Saturday, November 7, 2015

MALA NUMAH TASBEEH PADHNE KA KYA HUKM HAI ?


BISMILLAH

Imam Abu Muhammad Abdullah Bin Abdur Rehmaan Bin‬ ‪‎Fazal Bin Baharaam Ad Darmi ‬(Rahimahullah) (Mutwafi 255 Hijri) Farmate hai :

‪‎Umro_Bin_Salma‬ (Rahimahullah) farmate hai ki...

أخبرنا الحكم بن المبارك انا عمر بن يحيى قال سمعت أبي يحدث عن أبيه قال : كنا نجلس على باب عبد الله بن مسعود قبل صلاة الغداة فإذا خرج مشينا معه إلى المسجد فجاءنا أبو موسى الأشعري فقال أخرج إليكم أبو عبد الرحمن بعد قلنا لا فجلس معنا حتى خرج فلما خرج قمنا إليه جميعا فقال له أبو موسى يا أبا عبد الرحمن اني رأيت في المسجد أنفا أمرا أنكرته ولم أر والحمد لله الا خيرا قال فما هو فقال ان عشت فستراه قال رأيت في المسجد قوما حلقا جلوسا ينتظرون الصلاة في كل حلقة رجل وفي أيديهم حصا فيقول كبروا مائة فيكبرون مائة فيقول هللوا مائة فيهللون مائة ويقول سبحوا مائة فيسبحون مائة قال فماذا قلت لهم قال ما قلت لهم شيئا انتظار رأيك أو انتظار أمرك قال أفلا أمرتهم ان يعدوا سيئاتهم وضمنت لهم ان لا يضيع من حسناتهم ثم مضى ومضينا معه حتى أتى حلقة من تلك الحلق فوقف عليهم فقال ما هذا الذي أراكم تصنعون قالوا يا أبا عبد الله حصا نعد به التكبير والتهليل والتسبيح قال فعدوا سيئاتكم فأنا ضامن ان لا يضيع من حسناتكم شيء ويحكم يا أمة محمد ما أسرع هلكتكم هؤلاء صحابة نبيكم صلى الله عليه و سلم متوافرون وهذه ثيابه لم تبل وأنيته لم تكسر والذي نفسي بيده انكم لعلي ملة هي أهدي من ملة محمد أو مفتتحوا باب ضلالة قالوا والله يا أبا عبد الرحمن ما أردنا الا الخير قال وكم من مريد للخير لن يصيبه ان رسول الله صلى الله عليه و سلم حدثنا أن قوما يقرؤون القرآن لا يجاوز تراقيهم وأيم الله ما أدري لعل أكثرهم منكم ثم تولى عنهم فقال عمرو بن سلمة رأينا عامة أولئك الحلق يطاعنونا يوم النهروان مع الخوارج

قال حسين سليم أسد : إسناده جيد

“ Ham log subah ki namaz se pahle hazrath Abdullah bin Masood Radiallahu anhu ke darwaje par ( intezar me) baith jaaya karte the, jab wah ghar se bahar tashrif laate to ham unke saath masjid me jaate.

Ek din hamare paas hazrath Au Musa Ashari Radiallahu Anhu tashrif laaye aur farmaya...

" kya abhi tak abdurrahman (Ibne masood Radiallahu Anhu) bahar nahi aaye ?❓ "

Hamne kaha : Ji Nahi.

Wo bhi Hamare saath baith gaye yahan tak ki wah bahar tashrif le aye.
Jab wah aaye to ham sab ikatthe hi uthkar unke paas pahunch gaye, Abu musa ashari Radiallahu Anhu ne kaha…

"Abu Abdurrahman ! Maine abhi abhi masjid me ek kaam dekha hai jo mujhe ajeeb sa mahsoos huwa hai, waise Alhamdulillah maine acchi cheez hi dekhi hai,

Ibne masood ne poocha, ke

Who kaam kya hai ?❓

Unhone farmaaya ke…" Zindagi rahi to jald hi aap bhi dekh lenge. Phir farmaya : Maine masjid me kuch log namaz ke intezaam me halqe banakar baithe dekhe hain, unke saamne kankariya (Peices of small stones) padi hain, har halqe me ek aadmi hai, wah kahta hai.. :

Sau (hundred) baar Allahuakbar padho, wo sau baar Allahuakbar kahte hain,
Phir kahta hai…

Sau baar Laa ilaaha illallah kaho.. Wo sau baar la illaha illallahu kahte hain,

Phir kahta hai " Sau baar subhanallah kaho, wo sau baar subhanallah kahte hain (isi tarah zikr me mashgool hain)…

Hazrath Abdullah bin Masud Radiallallahu Anhu ne farmaya : Phir aapne unhe kya kaha ?❓

Unhone kaha : Maine kuch nahi kaha, balki aapki raaye aur hukm ka intezaar kiya.

Unhone farmaya: Aapne unhe Ye hukm kyon na diya ki we apne gunaah shumaar karen, Aur unhe zamanat kyon na di ki unki koi neki zaaya nahi hogi ?❓

Iske baad wah (masjid ki taraf) chal pade, Ham log bhi aapke saath chale , Yahan tak ki aap un halqon me se ek halqe ke paas ja khade hue aur farmaya:

" Mai tumhe yah Kya karte dekh raha hun ?❓ "

Unhone kaha : Aye Abu Abdurrahman ! Yah kankariya hain, ham unke saath ginkar takbeer, tahleel, aur tasbeeh karte hain.."

Ibne Masood Radiallahu Anhu ne farmaya : " Apne gunah shumar karo, Mai zamanat deta hun ki tumhari koi neki zaaya nahi hogi, "

Aye muhammad Sallallahu Alai Wasallam ki ummat ! Tum par afsos hai, kitni jaldi tum halaqat ke raaste par chal pade ho, abhi to tumhare nabi Sallallahu Alai Wasallam ke sahaba kaafi taydaad me maujood hain, abhi to Nabi Sallallallahu Alai Wasallam ke kapde bhi nahi fate, abhi to nabi Sallallallahu Alai Wasallam ke bartan bhi nahi toote, Khasam hai us zaat ki jiske haath me meri jaan hai, Ya to tum Mohammad Sallallahu Alai Wasallam ke raaste se bhi zyada hidayat waale raaste par ho, Ya gumraahi ka raasta khol rahe ho"….

Unhone kaha…:

" Ya Abu abdurrehman ! Allah ki kasam hamara iraada to sirf neki ka hai, "

Farmaya.. " Bahut se log neki ka iraada rakhte hain lekin unhe neki tak pahunchna naseeb nahi hota, Nabi E Kareem Rasoollullah Sallallahu Alai Wasallam ne hamen yah bataya tha ki kuch log Honge jo Quran padhege lekin Quran unke halaq se aage nahi jaayega.
Allah ki kasam ! Malum nahi shayad unme se aksar tum log hi ho ".. Yeh kahkar unke paas se chale aaye..

Hazrath Amr bin salma Radiallahu Anhu ne farmaya… Hamne Jang e naharawan me dekha ki zikr ke wah halqe qaayam karne waalon mese aksar afraad kharijion ke saath milkar hamare khilaaf ladh rahe they"…

📌REFERENCE :

📚[ Ref : - Related by Ad-Daremie (204) and Abu Na`eim with an authentic chain. Authenticated by Al-Haithamee (Al-Majma, 1/181, 189),

📘Al-Haitamee (Az-Zawaajir, Al-Kabeerah #51 ),

📗Al-Albaanee (As-Saheehah, 2005; Ar-Radd alal-Habashee, p.45-47),

📙Abdul-Muhsin Al-Abbaad (Al-Hathth alat-tibaa-is-Sunnah, p.49),
Bakr Aboo Zaid (Tas-heeh-ud-Duaa’, p.149, 153, 154),
Husayn Asad (Musnad-ud-Daarimee, 210),
Amr Saleem (Al-Bida libn Waddaah, 27),
Al-Hilaalee (Al-Bidah, p.44-47),
Al-Halabee (Ihkaam-ul-Mabaanee, p.55-58),
Al-Huwainee (Al-Bidah wa Aathaaruhaa (1), 03:45),
Mashhoor Salmaan (Al-Amr bil-Ittibaa, p.83-84), Zakariyyaa Al-Baakistaanee (Taudeeh-ul-Usool ) and others.]

Hazrat Abdullah bin Amr riwayat karte hai ki maine RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam ko apne unglio par Tasbih ginte hue dekha .
📚Sunan an-Nasa’i, 1356 .

Hazrat  Yusayrah, Yasir ki maa riwayat karti hai ki RasulAllah SallAllahu Alaihi wasallam ne hukm diya;
Allah hu Akbar, SubhanAllah, La-ilaha illallah Kahna apne uper lazim kar lo aur ye ki apne ungliyon per gina karo kyunke (qayamat k din ) un(unglia se) sawal ki jayengi aur (ungliyo ko) bolne ko kaha jaega.
📚(Hasan)Sunan Abi Dawud,baab-Tasbeeh pathharo par padhna,
hadith- 1496 .

Hazrat Abdullah bin Amr riwayat karte hai ki maine RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam ko apne unglio par Tasbih ginte hue dekha .
📚Sunan an-Nasa’i, 1356 .

📌NOTE:
LIHAZA SUNNAH SE MOHABBAT KARE AUR RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE TARIKE KO IKHTIYAR KARE , RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA

“…AUR JISNE MERE SUNNAT(TARIKE) SE MOHABBAT KIYA USNE MUJHSE MOHABBAT KIYA AUR JISNE MUJHSE MOHABBAT KIYA WO MERE SATH RAHEGA JANNAT ME . “
📚SUNAN TIRMIZI, HADITH-59 .

ALLAH SWT QURAN ME KAHTE HAI
“Or nasihat tou wohi qubool kertay hain jo aqal istemal kertay hain.”
📖 [Al-Quran 2:269, 3:7] .

▶NOTE:
📌COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUO N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974