Showing posts with label JANNAT / JAHANNAM. Show all posts
Showing posts with label JANNAT / JAHANNAM. Show all posts

Friday, February 5, 2016

JAHANAM MEIN'MUREED' APNE PEERON, FAKHERON SE DARKHAAST KARENGE 'HAME ALLAH KE AZAAB SE BACHAO' PEER JAWAB MAIN KAHENGE YAHAN ALLAH KE AZAAB SE BACHANE WALAA KOI NAHI -3



BISMILLAH

PART -3 [END]

JINNO AUR INSAANO KA EK DOSRE KO ISTEMAAL KARNA

"Aur Jis roz Allah un sab logon ko gheyr kar Jama karega, Us roz Wo Jinno se khitaab karke farmayega ke "Aye Jamaat e Jinnat ki, tum ne Insaano mein se bada hissa liya (Yaani Insano ki ek bahot badi tadaad ko tum ne gumrah karke apna pairokaar bana liya) Jo Insaan unke saath talluq rakhne waale they wo kahenge ke Aye hamare Parvardigaar hum mein ek ne dusre se faida haasil kiya thaa, Aur ab hum Us waqt par Aapahunchey hai, Jo tune hamare liye Muqarrar kardiya thaa" (Surah Anaam, Ayaat 128)

Jinno ka Insaano se faida uthaana ye hai ke unhe gumrah kiye, unse Shirk biddat aur deegar kafirana kaam karwaaye, Insaano ka Jinno se faida Uthaana ye hai ke Unse najaayaz, ghalat aur gandey kaam karwaaye, Maslan Jaadu toney aur "Taweez" waghera, Aksar Peer aur Mullah sadfisad dhongi, Ayyaar aur Makkaar, balke Insaani bhes mein poorey Shaitaan hote hai

Aur bholi bhaali Awaam par Apni Jhooti dhaak bithaaney ke liye Ajeeb wa ghareeb "Shubadah baaziyan" (Jaadugari, nazarbandi kartab, dhoka baazi, Chaalaki) dikhaate hai, Misaal ke taur par Agar In Qabr prast Peer aur Mulla'on se Ye sawaal kiya Jaaye ke Fulan ki "Jeyb" ya theyley mein kya hai?

To wo fauran Apne Jinno aur Shayateen ki "Madad" se bata detey hai ke Uski 'Jeyb' mein ek purse hai, aur Us mein Itney Rupiye hai, ya ek chaabi ka guccha hai, Jis mein Itni chaabiyan hai, ya 'theyley' mein fulan cheez ka bill, ya Itne Rupiye ka check, waghera hai, kabhi un mein se koi Shakhs Angaaron par Nangey peyron chalta hai, ya haath mein Jalta huwa Angaarah pakad leta hai, magar uska haath ya peyr nahi Jalta, kabhi Apni Zubaan mein Sooyi puraata hai, to kabhi Zameen se Upar "HAWA" mein baghair kisi sahaarey ke cycle chalaata hai, kabhi In khabees Qabar praston ko Shayateen kisi Ajnabi Shakhs ke gharelu, niji, aur Makhsoos halaat maloom karke unhe bata dete hai,

Misaal ke taur par Agar koi Anjaan shakhs pehli martaba unke paas Aaya ho to wo Uske bahen bhaiyon, bacho ya ahle khandaan ke Naam, ya unki zindagi ke Ahem Waaqiyaat, maslan kiski kahan Shaadi huwi hai, ya kon bimaar hai waghera batate chale Jaate hai, Jab wo Shubada baaz dusre logon ki Maujoodgi mein ye tamaam baaten batate hai to Awaam mein, unka Aitemaad khaayam hotaja hai, Aur saada luh aur Jaahil Awaam ye samajhte hai ke ye Peer aur mulley badey Muttaqi, parhezgaar wali hai, haalanke wo Asal mein bade Ayyaar aur Dhoke baaz hote hai, Jo Ilm-e-ghaib Janney ka Daawa karte hai (halanke Ilm-e-ghaib ka dawa karne wala pakka kafir hai, Kyunke Ghaib ka Ilm sirf Allah ko hai, Nabi salalahu alaihi wasalam bhi ghaib nahi Jante, Iski daleel Aakhir mein dekhiye) Jo haqeeqat mein Jaadugar aur 'Kaahin' hote hai, Jo Mustaqbil mein hone waaley Kaamon

Makhfi raaz (chupa huwa, poshida) aur Ilm-e-ghaib ki Maarifat ka daawa karte hai, unki aksar baaten Jhooti hoti hai, Jabke kuch Sahi bhi hoti hai, Ye Ilm unhe "JINNAT" ke zariye haasil hota hai, Jaise Chor kon hai? Chori kahan huwi? Ab wo cheez kahan hai, kiske paas hai? Waghera waghera, Unke In daawon ke Peechey Jinno ka hi dakhal hota hai, Iski haqeeqat ke baarey mein Imam bukhari (rh) ne Apni "Sahih" mein Aaisha (rz) se riwayat ki hai, Jis mein wo farmaati hai

"Kuch logon ne Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam se "Kaahino" Ke baarey mein pucha, to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Ye kuch bhi nahi, Yaani mahez laghw hai, Un logon ne Arz ki, Aye Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam! Wo hame Aaisi baaten batatey hai, Jo kabhi sach hojati hai, to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "Ye wo kalima haq hai, Jisko Jinn uchak leta hai, phir Apne dost (kaahin) ke kaan mein Daal deta hai, phir wo Uske saat sau (100) Jhoot mila kar pesh karta hai"(Sahi Bukhari)

JINNO KE BAAZ AASMAANI KHABRON kO UCHAK LEY BHAAGNEY kI KAIFIYAT

Allah ta'ala ne farmaya

"Yaqeenan Hum ne Aasmaan mein burj banaaye, aur dekhne waalon ke liye Use zeenat waala kiya hai aur Use har mardood shaitaan se Mehfooz rakha, haan magar Jo chori chupey "Sunney" ki koshish kare, uske peeche dahekta huwa khula 'Shola' lagta hai"(Sureh Hijr, Ayat 16-18)

Iska matlab ye hai ke Jinn wa Shyateen Aasmaan par baaten sunney ke liye Jaate hai, Jin par shihaabe saaqib toot kar girtey hai, Jinse kuch to Jal mar Jaate hai, aur kuch bach Jaate aur baaz sun Aatey hai, Hadees mein uski tafseer Is tarha Aati hai

Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "Jab Allah ta'ala Aasmaano mein kisi Amr ke baarey mein Faisla farmaata hai to farishtey Allah ke hukm ki farmabardari mein Apne baazu phad-phadatey hai aur Us se Is tarha ki Aawaaz paida hoti hai, goya ke Zanjeer chattano par kheenchi Jarahi ho, Jab unke dilon par se Khauf ki kaifiyat door hoti hai to wo kehte hai ke tumharey Rab ne kya hukm farmaya hai? Wo kehte hai ke haq farmaya hai, aur Wahi sabse Aala aur Bartar hai, pas chori se sunne waale (Jinn) Us hukm-e-Ilaahi ko sun lete hai, Wo chori chupey sunney waale ek dusre ke Upar khadey ho kar Upar pahunchte hai, kabhi Shihaab-e-saaqib Us sunney waale ko Aalagta hai, Aur use Jala kar bhasm kardeta hai, Us se khabl ke wo suni huwi baat Apne nichley saathi ko bata dey aur kabhi Aaisa hota hai ke Shihaabe saaqib use nahi lagta, hatta ke wo apne se nichle waale ko aur wo Us se neechey waale tak us Khabar ko pahuncha deta hai, hatta ke wo khabr sabse neeche waale Jinn tak Jaa pahunchti hai, Jo zameen par hota hai, pas wo khabr Nujumi ya Kaahin ke Muh tak pahunch Jaati hai, Jo us mein Sau (100) Jhoot mila kar Jhoot bolta hai, Jab uski wo ek Khabar "Sach" hojaati hai to log yahi kehte hai ke kya usne ye nahi kaha thaa, ke fulan aur fulan din Aaisa aur waisa hoga? Hum ne use Aasmanon ki sachi khabr sunney ki waja se saccha paaya hai"(Sahih Bukhari)

Ek aur Hadees mein Aaisha rz se marwi hai farmaati hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "Farishtey baadalon mein Zameen par waaqe hone waale 'Amr' ke baarey mein guftagu karte hai, Shaitaan unka koi kalima sun kar use "Kaahin" ke kaan mein Undeyl deta hai, Jis tarha Sheeshi ya butal (bottle) mein koi cheez Undeyli Jaati hai, phir wo uske saath sau Jhoot badha dete hai"(Sahi Bukhari)
Qayamat ke roz Mureed Apni hamesha ki tabahi dekh kar, Apne Mushidon ko Raund dene (Peyron se kuchal dene) ki Ishte'aal angez kaifiyat ka Izhaar Allah ke saamney karenge aur kahenge Aye Rab Zara hame dikhaadey Un Jinno aur Insaano ko Jinho ne hame gumrah kiya thaa, hum unhe paaun taley Raund daalenge, taa'ke wo khoob Zaleel wa khaar hon

"Aur Inkaar karne waale ye kahenge ke 'Aye hamare Rab, zara hame dikhaadey un Jinno aur Insaano ko Jinho ne hame 'gumrah' kiya thaa, hum unhe khadmo tale raund daalenge, ta'ake wo khoob zaleel wa khaar ho"
📖(Surah Haa meem sajda, Ayat 29)

Peer Jahannum mein Jaate huwe, Apne Mureedon ko dekh kar kahenge 'Badbakht' mureedon ki Fauj bhi Jahannam mein hi Jayegi, Mureed Apne peeron ki guftagu sun kar Nafrat se Jawaab dengey "Badbakhton! Tum bhi Jahannam mein hi Jarahe ho, Ya Allah! Hame Jahannam mein Pahunchane waalon ko khoob maza chaka

"(Peer apne mureedon ko Aate dekh kar Aapas mein kahenge mureedon ki) Ye fauj bhi tumhare saath hi mubtala e Azaab hone waali hai, Unke liye koi Khush "Aamadeed" nahi, Ab ye Aag mein Jhulasney waale hai, wo (Mureed sun kar) Jawaab denge, tum bhi 'Aag' mein Jhulsey Jaaney waale ho, tumhare liye bhi koi khush Aamadeed nahi, tum hi ye Anjaam hamare Aagey laaye ho, kaisa bura thikaana hai, phir wo Allah se darkhaast karenge Aye hamare Rab! Jisne hame Is Anjaam se dochaar kiya, use Aag ka dohra Azab dey, Aur Jahannami kahenge, kya baat hai ke wo log hame dikhaayi nahi dete, Jinhe hum burey logon mein Shumaar karte they, kya hum ne hi unka mazaakh bana rakha thaa, ya hamari nigaahen unse bahek rahi hai, Yaqeen Jaano ke dozakhiyon ka ye Jhagda zaroor hi hoga"
📖(Surah swaad, Ayat 59-64)

ghaib ka daawa karne waala pakka kaafir hai, kyunke ghaib ka Ilm sirf Allah ko hai, Ilm e ghaib Allah ta'ala ki khaas 'Sifat' hai, Uski maqlooq ka koi fard bhi Allah ta'ala ki Is Sifat mein Shareek wa saajhi nahi hai

"kehdijiye ke Aasmaan waalon mein se, Zameen waalon mein se, Siwaye Allah ke koi 'Ghaib' nahi Jaanta"
📖(Surah Namal, Ayat 65) Isi tarha dekhiye Surah fatir, Ayat 38, aur Surah Hujrat, Ayat 18, Surah hood, Ayat 123, Surah Yunus, Ayat 20 waghera, 

Aur Nabi sallallahu alaihi wasallam bhi "Ghaib" nahi Jaante

"Aye Nabi kehdijiye ke Na to mein tumse ye kehta hun ke Mere paas Allah ke 'Qazaaney' hai, Aur na Mein ghaib Jaanta hun, aur na Mein tumse ye kehta hun ke Mein farishta hun, mein to sirf Jo kuch Mere paas "WAHEE" Aati hai, Uska Itteba karta hun"
📖(Surah Anaam, Ayat 50)

"Aur agar Mein "Ghaib" ki baaton ka Jaanney waala hota to kasrat se Faidey haasil karleta aur Mujhe koi Nuqsaan na pahunchta"
📖(Surah Araaf, Ayat 188)

JAHANAM MEIN'MUREED' APNE PEERON, FAKHERON SE DARKHAAST KARENGE 'HAME ALLAH KE AZAAB SE BACHAO' PEER JAWAB MAIN KAHENGE YAHAN ALLAH KE AZAAB SE BACHANE WALAA KOI NAHI - 2

BISMILLAH

PART - 2

Allah ta'ala farmata hai

"Kaash tum dekho, Inka haal, Us waqt Jab ye Zaalim Apne Rab ke huzur khadey honge, Us waqt ye ek dusre par Ilzaam dharenge, Jo log dunya mein daba kar rakhe gaye they, wo badey banney waalon se kahenge ke "Agar tum na hotey to hum 'Momin' hote" Wo badey banney waale Un dabey huwe logon ko Jawaab denge "Kya hum ne tumhe Us hidaayat se roka thaa, Jo tumhare paas Aayi thi? Nahi, balke tum khud Mujrim they" wo dabey huwe log un badey banney waalon se kahenge "Nahi, balke raat din ki 'MAKKARI' thi, Jab tum hum se kehte they ke hum Allah se kufr karen aur dusron ko Uska hamsar theraayen" Aakhir kaar Jab ye log Azaab dekhenge to Apne Dilon mein pachtayenge aur Hum In munkareen (haq) ke galon mein 'tauq' daal denge, kya logon ko Iske siva aur koi badla diya Jasakta hai ke Jaise Aamaal unke they weysi hi Saza wo Paayen?"(Sureh Saba, Ayaat 31-33)

Allahu Akbar! Qur'an mein Roze Qayamat, Roze Mahshar "Peeron" (badey log) aur Mureedon (dabey huwe log) ke darmiyan hone waali baahami takraar ka kaisa dil hila dene waala Manzar pesh kiya gaya hai, Un logon ka Jo dunya mein badey bankar rahe, Murshid ban kar rahe, peer bankar rahe, khud gumrah rahe aur Apne cheylon ko gumrah kiye, Aur 'Aankhen' band kar ke Badon ke peechey chalne waalo ka Anjaam bhi Ibratnaak hoga, wo bhi Azab mein mubtala honge, aur wo pachtayenge ke Hum kha-ma-kha Murshidon, Maqbaron ke mutawalliyon, Jhandon panjon aur Mujawaron ke peechey baghair samjhe bujhe chaley, Jiska nateeja ye huwa ke Aaj hamare Upar Jahannam ka Azab musallat hogaya, Haqeeqat ye hai ke Ye pairau (Mureed) logon ko Jab dunya mein kaha Jaata thaa, ke Allah ke ye Ahkamaat hai, Nabi sallallahu alaihi wasallam ka Uswae hasana ye hai, to kisi kheemat par bhi kaan dharne ke liye tayyar nahi hote, lekin Jab yahi log Roz-e-Mahshar Apni Aankhon se dekh lenge ke Unke peer, Unke badey log, Unke murshid, Unke Mujaawar Aur Unke peshwa Unhe ghalat samjhate rahe, dhoka dete rahe, to ye Apne badon par palat padenge aur pukaar pukaar kar kahenge ke Badbakhton! Tumne hame gumrah kiya, tum hamari Aakhirat ki barbaadi ke Zimmedaar ho, tum hame na behkaatey to hum 'MOMIN' hotey, Quran wa Hadees par Amal pera hokar Najaat paate, Iske Jawaab mein "PEER" hazraat kahenge ke hamare paas Ayesi koi taakhat na thi, Jiske zariye hum Mutthi bhar 'Murshid' log, hazaaron aur laakhon Insaano ko Zabardasti Apni pairvi aur Apne haath choomne aur pairon par peshaniyan ragadne Majboor kardete, haqeeqat ye hai ke Agar tum log Waqeyi yakheen wa Imaan ki 'Daulat' se maala maal hote, to hamari Sardariyon aur peshwaiyon ka 'takhta' hi Ulat kar rakh dete, Hamari taakhat, hamara bada pan to tumhi logon se thaa, hamari daulat aur Aaish ki Zindagi ka sarchasma to tum hi logon ke haaton mein thaa, tum hame Nazraaney aur Akheedat ke ghulu mein mubtala hokar hamare khadmon par "Daulat ke dheyr" laakar na daalte to hum Muflis they, tum log hamare haat par 'Bey'at' na karte aur hamare Ishaaron par nahi naachte to hamari Murshidi, hamari peeri, hamari peshwai aur harami Dukaan-daari ek din bhi na chalti, tum Josh aur Jazbey mein Andhi "Taqleed" mein mubtala hokar "Zindabaad" ke naarey hamare haq mein na lagaate to koi hamara puchney waala na hota..

Tum hamara Lashkar ban kar Quran wa Hadees ki Sada e Haq buland karne waalon ke khilaaf hamari Himaayat aur tayeed mein Ladney par tayyar na hote to ek Insaan par bhi hamara bas na chal sakta thaa, Aaj Qayamat ke roz Medaan-e-Mahshar mein kyun nahi Maantey ke dar'Asal tum khud Us 'Raaste' par chalna nahi chahte they Jo "QURAN WA HADEES" ke Aayin Mutaabiq thaa, Jisko Nabi muhtaram sallallahu alaihi wasallam ne Amal karke batlaaya thaa,

Aur waazehtaur par Jannat mein lejaane waala raasta kya hai
aur Jahannam mein lejaane wala raasta kya hai Samjha diya thaa,

Quran aur Hadees ki talimaat ko pesh karne waalon ki tum log Saqt Muqalafat karte rahe aur Unko muqtalif Alqaab se nawaaze, Unko pareshaan kiye

Filhaqeeqat tum log Apni Aghraaz aur khahishaat ke bandey bane huwe they, aur tumhare Khahishaat aur tumhare Nafs ke Mutaalbaat Quran wa Hadees ki Talimaat par Amal karne se kahan purey hosakte they, wo to Hamari Mureedi mein, hamari Andhi taqleed mein, hamari baatil Pairvi mein takmeel paa sakte they, tum log halaal wa haraam se beniyaaz ho kar Aaish-e-Dunya ke taalib they,

Aur wo Aaish e dunya hum Jaise gumrah, dunya prast, Allah bezaar aur Aakhirat faramosh Peeron, Murshidon, Naam nihaad sardaron ke paas mil sakta thaa, tum log to hum Jaise "Peeron" hi ki talaash mein they, Jo tumhe har tarha ke Gunaahon ki 'Khuli choot' dey den, aur Kuch Nazraane lekar Allah ke haan tumhe 'baqshwa' dene ki Pur-fareb khud zimmedaari ley len, tum ko Ayese Murshidon aur peeron ki Zaroorat thi, Jo har "SHIRK AUR BIDDAT"

Aur tumhare nafs ki har dil pasand Cheezon ko Quran aur Hadees ki Talimaat ke mutaabiq saabit karke tumhara dil khush karde, tum ko Aisey Jaali saazon ki Zaroorat thi, Jo Allah ke deen ko badal kar tumhari khahishaat ke Mutaabiq ek " Naya Deen" ghad'den, tum ko Ayese rehnuma matloob they Jo kisi na kisi tarha tumhari Aarzi faani aur Naaqis dunya banadey, chahe Aakhirat ka Hamesha hamesha ka Nakhaabil e Talaafi Nuqsaan-e-Azeemhojaye, Aaj tum Qayamat ke roz Allah ke Azab ko dekh kar kahan hamarey sar par ye Ilzaam thop rahe ho ke hum ne zabardasti, Jabr ke saath tumhe deen wa Imaan se door kardiya thaa, aur tum badey Parhezgaar Muttaqi aur Masoom they, filhaqeeqat tum khud Mujrim they

Ab Uske Jawaab mein dabey huwe unke Mureed hazraat ye kahenge ke tumhi hamare 'bigaad' ke Zimmedaar ho, hamare bigaad ki Zimmedari mein tum humko barabar ka Shareek kahan thera rahe ho, tum yaad karo ke tum ne Apni Chaal baaziyon, Fareb kaariyon aur Jhoote propagandon se ek Ayesa Ajeeb wa ghareeb Maahol 'barpa' kardiya thaa ke hum Dunya ko Jo Imtehaan gah thi, Aaishgah samajh liya thaa, Shirk ko tauheed samajh liya thaa, Biddat ko Ita'at e Rasool sallallahu alaihi wasallam khayaal karliya thaa, hum ne Ye yakheen karliya thaa, ke tum log Jaisa ke hum ko baawar karte rahe ke hum sab ko Baqshwa denge, lekin Ab hamare saamne soorat e haal bilkul baraqs (ulthi) hai, Jo kuch tum dhong rachaye they wo sab "JHOOT" saabit huwa, Aaj roz e Mahshar hum ko Ahsaas horaha hai ke tum log dunya mein Raat din Allah ki Makhlooq ko phaansne (Dhoka karne, Fareyb dene) ke liye kaise kaise Jatan kiya karte they, Makkariyon se hum ko bewaqoof banate they, aur tum mein ka har ek Shikaari roz ek naya Jaal bun kar tarha tarha ki tadbeeron se Allah ke bandon ko "Rah e Haq" se hata kar phansta thaa

baherhaal roz e Mahshar Peer aur Mureed ki Ayesi baahami takraar se kuch haasil nahi hoga, peer aur uske cheley dono ke Galon mein tabahi wa barbadi ke tauq daaldiye Jayenge, dono Jahannam ka Azaab bhugtenge

Yahan Surah Saba ki Ayaat 31-33 ke silsile kalaam mein khususi taur par dabey huwe logon ke Alfaaz ki taraf tawajja mabzool karwaana nihaayat darja Munasib hoga Jisme Mureed hazraat Apne Badon, peeron se Roz e Qayamat kahenge ke " Agar tum na hote to hum Momin hote" In Alfaaz mein hasrat wa yaas ka Izhaar hai, ek Ayesa pachtaawa hai Jiski talaafi ki koi surat hi nahi, In alfaaz mein ek peghaam bhi hai, ek Warning bhi hai ke Aye Insaano Jabke tum abhi Dunya mein zinda ho, Muhlat e Amal rakhte ho, Aqal wa fahem se kaam lete huwe Asal hidaayat ke sarchasme Quran aur Ahadees e sahi ki taraf kyun na Ruju hojaate, Ye naubat hi kyun Aane dete ke Zindagi ke Kheemti lamhaat ghaflat, berahrawi mein basar hojayen aur roz e Qayamat ek dusre ko Muride Ilzaam theraaya Jaaye, Quran wa Hadees ko chor kar dusron ke peeche chalna Ayesa hi hai, Jaisa ke Apne hi haathon se Apne pairon par kulhaadi maarna hai, Is badbaqtana Amal ka Laazmi natija Khatarnaar aur haulnaak hoga

Mazeed Is silsila kalaam mein Gumrah badon ka Ye kehna ke "Balke tum khud mujrim they" Uske Jawaab mein dabey huwe logon ka kehna ke "Nahi, balke raat wa din ki tumhari Makkariyan thi, tab hi tum, humse kehte they ke hum Allah se kufr karen aur dusron ko Allah ka Hamsar theraayen"

In peeron aur mureedon ki Is baahami bahes wa takraar aur Mukalama mein hamare liye Dawat e ghaur wa Fikar hai aur Sambhalne sudharney aur Sawarne ka bahot kuch "Sabakh" hai, Naam nihaad badey logon ne Jaan bujh kar "Hidayat" ke badle gumrahi khareeliye aur dunya ko lootna Apni zindagi ka Maqsad kharaar deliye

Isliye khud gumrah huwe aur Jaahilon ko gumrah karte huwe Apni dukaan daariyon ko khoob chamkaye, raat aur din Isi chaal baaziyon mein Apni zindagi ki Kheemti Muhlat e Amal khatm kardiye, Yahantak ke Allah ke saamne khadey hugaye aur Apne Aakhri holnaak "ANJAAM" dekh liye, Dabey huwe log In gumrah 'BADON' ke dabaau mein Allah aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Taalimaat ko Nazar Andaaz karke ek Wehshat naak ghalti ka Irtekaab kiye aur badon ke Ishaaron par "Naachtey" rahe aur un badon ne un dabey huwe logon ke Zehno mein ye "Baatil baat" bithaadi ke hum tum ko Roz e mahshar baqshwa dengey

ye dabe huwe log ye Yaqeen karliye ke Roz-e-Qayamat Jannat mein daakhila zaroor naseeb hoga, Ab kya chahiye, Aakhirat mein Jannat hai aur Dunya mein Aaish-e-dunya hai, Rind (Ayyash, sufi, Aawara, ghair sharai) ke rind rahe aur haath se 'Jannat' bhi na Jaaye

Thursday, February 4, 2016

JAHANAM MEIN'MUREED' APNE PEERON, FAKHERON SE DARKHAAST KARENGE 'HAME ALLAH KE AZAAB SE BACHAO' PEER JAWAB MAIN KAHENGE YAHAN ALLAH KE AZAAB SE BACHANE WALAA KOI NAHI - 1




BISMILLAH

🔥PART - 1

"Jab ye saare log Allah ke huzur Be-naqaab honge to Un mein se Jo log dunya mein Kamzor they (Yaani pairvi karne waale they) Wo un logon se Jo badey bane huwe they(yaani rehnuma) Unse kahenge "Dunya mein hum tumhare pairokaar (taabedaar) they, Ab kya tum Allah ke Azaab se hame bachaane ke liye kuch kar sakte ho?" wo Jawaab denge "Agar Allah ne hame Najaat ki koi 'Rah' dikhaayi hoti to hum tumhe bhi Najaat ki rah dikha dete, Ab hamare liye barabar hai kha cheekhen chillayen Ya sabr karen, hame bachaane waala koi nahi"(Sureh Ibraheem, Ayat 21)

Gumrah karne waale Aalimo aur Peeron, fakheeron se Unke Pairokaar Jahannam mein kahenge 'Ab hamara kuch to Azaab kam karo' Wo Jawaab denge, Yahaan hum sab ek hi Jaisey hai, tumhare kisi kaam nahi Aasakte

"Jab ye log Jahannam mein Ek dusrey se 'Jhagad' rahe honge to Dunya ke hisaab se Jo Kamzor honge, wo bada banney waalon se kahenge (dunya mein) hum tumhare pairokaar they, Ab kya tum yahan Jahannum ki 'Aag' ki takleef ke kuch hissey se hame bacha loge? Bada banney waale Jawaab denge hum sab yahan ek hi haal mein hai, Allah ta'ala bandon ke darmiyaan Faisley kar chuka hai, (Is faisle ke khilaaf ab kuch nahi hosakta)"(Sureh Momin, Ayat 47-48)

Jahannum mein pahunchne ke baad gumrah Mulla'on aur Gumrah Awaam ka Aapas mein Jhagda

"(Gumrah Ulema aur Awaam) ek dusrey ki taraf Mutawajje hokar Sawaal Jawaab karenge, (Awaam) kahenge ke tum Hamare paas Aakar "Qasmen" khaatey they, (ke hum tumhari haq ki taraf rehnumayi kar rahe hai, gumrah Mulley) kahenge tum to khud hi Imaan laaney waale nahi they, hamara tum par koi Zor nahi thaa, tum log khud hi Sarkash they, Aakhir kaar hum (sab) Apne Rab ke Is farmaan ke mustahiq hogaye ke hum Azaab ka Maza chakney waale hai, chunke hum khud gumrah they lehaza tumhe bhi gumrah kiya, gharz Us roz wo sab ( gumrah karne waale aur gumrah hone waaley) Azaab mein (ek dusre ke) saathi hongey"(Sureh Saaffaat, Aayat 27-33)

Is haqeeqat se tamaam ahle Imaan acchi tarha ba'khabar hai ke Allah ta'ala Hazrat Aadam alaihissalam ke daur hi se Insaano aur Jinno ki "Hidaayat" ke liye 'Wahee' aur Risaalat ka Nizaam-e-hidayat muqarrar farmadiya, 'Wahee' ki pairvi se Muraad Allah ki bandagi, Ita'at wa farmabardari aur Nafarmaniyon se bachna, aur Rasool ki Ita'at Itteba aur pairvi karna aur Nafarmaniyo se bachna, yahi Hidayat hai, yahi Islam hai, yaani Allah ki Kitaab aur Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki pairvi hi mein Islaam 'Mahsoor' hai, Jaisa ke Allah ta'ala Irshaad farmata hai

"Aye Nabi (sallallahu alaihi wasallam) kehdijiye ke raasta (hidayat) bas wahi hai Jo Allah ne bataaya hai, warna agar Us Ilm ke baad, Jo tumhare paas Aachuka hai, tum ne unki Khahishaat ki pairvi ki, to Allah ki "Pakad" se bachaane waala koi Dost aur madadgaar tumhare liye nahi hai"(Sureh Bakhra, Ayat 120)

"Tum log uska Itteba karo Jo tumhare Rab ki Taraf se Aayi hai (Quran aur Hadees) aur Allah ta'ala ko Chor kar dusre Rafiqon ka Itteba Mat karo, tum log bahot hi kam Nasihat Maante ho"(Sureh Araaf, Ayta 3)

"Kya Un logon ne Ayese Allah ke shareek Muqarrar kar rakhe hai, Jinho ne Ayese Ahkaam-e-Deen muqarrar kar diye hai, Jo Allah ke farmaye huwe Nahi hai"(Sureh Shoora, Ayat 21)

Pas Azal hi se hidaayat ke do (2) sarchashmey rahe hai, ek 'Allah ki kitaab' dusre Nabi (sallallahu alaihi wasallam) ki Sunnat, Jo bhi In dono "Sarchashmon" (Quran wa hadees) se Seyraab huwa, Nihaal (kaamiyaab) huwa, Aur Jo bhi In dono sarchashmon se door raha aur muh moda, Namuraad huwa, aur hamesha hamesha ke khasaarey se dochaar huwa, Kitne waazeh taur par batladiya gaya hai ke Jannat ka raasta Allah ki Naazil karda "Wahee", Yaani Quran ki Itteba aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Ita'at, Itteba aur pairvi mein Poshidah hai, Is se Inkaar karne waalon ke liye Abadi badbakhti ka mukhaam "JAHANNAM" hai, Is haqeeqat ke bawajood Imaan ka daawa karne waalo ki bhaari 'Aksariyat' Allah ki Ita'at aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Ita'at se muh modhte hai, Apne Naam-Nihaad Badon, Sardaaron aur Peeron Murshadon ke peechey peechey chaltey hai Aur unhi ko "Meyaar-e-Haq" kharaar dete hai, Ayese hi logon ka 'Dil' hila dene waaley Andaaz mein Qur'an majeed mein Yun Nakhsha kheencha gaya hai, Allah ta'ala farmata hai

"Us roz (Qayamat ke roz) Unke chehrey 'Aag' par Ulat Pulat kiye Jayenge, Us waqt wo kahenge ke "Kaash hum ne Allah aur Rasool ki Ita'at ki hoti" Aur kahenge "Aye hamare Rab, hum ne Apne Sardaaron aur Apne Badon ki Ita'at ki aur Unho ne hame Raahe raast se bhatka diya (gumrah kardiya), Aye Parvardigaar! Unko dohra Azaab dey, aur Unpar saqt Laanat kar"(Sureh Ahzaab, Ayaat 66-68)

Allahu Akbar! Kitni baaten hamare saamne Aagayi, hazaar Ibraten hai ke 'Aankhen' band karke Apne Naam Nihaad sardaron, buzurgon. peshwaa'on, Peeron, Murshidon aur Fareyb dene waale shaitaano ke Ishaaron par Naachte rahe, Yahantak ke Qayamat khaayem hogayi, hamesha hamesha ki Bad'bakhti Musallat hogayi, Jahannam ki haulnaak "Aag" muqaddar hogayi, aur Us waqt ye kehna ke "kaash hum Allah ta'ala ki Ita'at kiye hote aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Ita'at kiye hote" Ayesi baat hai Jiska koi Haasil nahi, Saari "Muhlat-e-Amal"to Quran wa Hadees ki Mukhalafat mein guzaar diye, Allah ke Ahkamaat aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ke Irshadaat se Muh modey rahe, kisi Allah ke bandey ki Naseehat ke "Quran par Amal karo, Hadees par Amal karo" kaan tak nahi dharey, Ab Roz-e-Qayamat Jab Aag mein Jhonkey Jarahe hai to Maloom huwa ke Asal Hidayat ka Raasta Quran wa Hadees par Amal karne ka thaa, Jise Nazar Andaaz kiya gaya, Badon par, Sardaron par, Peeron par "Bharosa" kiye rahe, Jinho ne Haq ko chupaaya, ghalat baawar karaya, hamesha hamesh ki "Tabaahi" taraaji, Jalna Jhulasna Muqaddar hogaya, Ab ye kehna ke "In badon aur sardaron ne hame bhatka diya, unhe dohra Azab dey aur unpar saqt laanat kar" Ye to unke liye zaroor hokar rahega, lekin Peer hazraat kyun dunya mein Andhe baney rahe, aur Apni Aakhirat barbaad kar daale, Ab Jabke Muhlat-e-Amal Naseeb hai, kyun na Apni Islah ki taraf bila taakheer Mutawajje hojayen, aur Apne Aapko aur Apni Ahl ko Abadi 'Nuqsaan se bachaalen, Kaash! Ye log Isko samjhen!

Monday, October 19, 2015

QABAR KA AZAAB


 BISMILLAH

“ Mauth [ Death ] “ aani hi hai, usse bachkar koi nahi jaasakta. Aur Jisne Mauth ko bhulgaya wo bahoth bade dhoke me hai.

Azab Qabar me bhi hoga, aur aakhirat ke Hisaab e Kitaab ke baad hoga.

QURAN

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ

Har jaan maut ka maza chakhne wali hai.

[ SURAH AL IMRAN # 185 ]

Asal maslah Duniya ke pareshaniyonka nahi hai, asal masla Akhirat ka hai.

MAUTH PAR SAQT TAKLEEF HOGI.

Ummul Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya..
“ Allah ke siwa koi ma’bood nahi hai aur sahime mauth par saqt takleef hai.”

[ BUKHARI & AHMED ]

QABAR KA AZAB KO INSAAN AUR JINN KE ALAWA SAB JAANDAR SUNSAKTE HAI 

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hai ke ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ney farmaya ke..

“ Aadmi jab apni qabr me rakha jata hai aur janaza me shareek hone wale log isse rukhsat hote hain to abhi woh unke Jooton ki aawaz sunta hota hai ke do farishtay [ Munkar, Nakir ] iske paas ate hain.
Wo usey bithakar puchte hain ke..

“ Is shakhs yani Mohammad Sallallahu Alai Wasallam ke baare me to kya aitqaad rakhta tha ? 

Momin to yeh kahega ke mai Gawahi deta hun ke aap Sallallahu Alai Wasallam Allah ke bande aur is ke Rasool hain. 

Is jawab par isse kaha jayega ke “ Tu ye dekh apna jahannum ka thikana lekin Allah taala ne iske badleme tumahre liye jannat me thikana daydiya. “
Uswaqt usey Jahannum aur Jannat dono thikaane dikhaaye jayenge. 

Qatadeh ne bayan kiya ke iski Qabar khoob kushadah kardi jaye gi. 
( Jisse Aaraam o raahat milegi )

Phir Qatadeh ne Anas Ra. ki hadees bayan karni shuru ki' farmaya..
“ Aur munafiq o kafir se jab kaha jaye ga ke is shakhs ke baare mein to kya kehta tha to woh jawab dega ke mujhe kuch maloom nahi' mein bhi wohi kehta tha jo dosre log kehte they. 

phir isse kaha jayega ke
“ Naahi tune jan-nay ki koshish ki aur naahi samajhney walon ki raye par chala. 

Phir use lohay ke hatodi se bari zorse mara jayega ke wo cheekh parega aur iski cheekh ko JIN AUR INSANON KE SIWA IS KE AAS PAAS KI TAMAM MAKHLOOQ SUNAY GI .

[ SAHIH AL-BUKHARI # 1374 ]

Ummum Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya..

“ QABAR ka Azaab HAQ hai, magar kisikotho sunne aata nahi ? “
“ Jinnat aur Insaan usko nahi sunpaate magar doosre jaandar usko sunte hai. “

[ BUKHARI & MUSLIM ].

Ummum Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..

Ek yahoodi aurat unke paas aayi. Usne azaab qabar ka zikar cherdiya aur kaha ke Allah tujh ko azaab qabar se mehfooz rakhay. 

Is par Aisha Ra. ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam se azaab qabar ke bareme daryaft kiya. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne iska jawab yeh diya ke..
“ Haan azaab e qabar haq hai. “

Aisha Ra. bayan kiya ke..

“ Phir maine kabhi aisa nahi dekha ke aap Sallallahu Alai Wasallam ne koi namaz parhi ho aur usme azaab qabar se Allah ki panah nahi mangi ho.

[ SAHIH AL-BUKHARI # 1372 ]

QABAR PAHLI MANZIL HAI AUR AZAB E QABAR SABSE JYADA KHAUFNAAK AZAB HAI. :

Hani Se rivayat hai ke..

“ Jab kabhi Uthman bin afwan Ra. Jab kabhi kisi Qabar ke paas taherte tho rone lagte yahatak ke unke aansuonse Dadi bheegjaati thi.

Tho unse poochagaya ke “ jab Jannat aur Jahannum ka taskara aata tho AAP itna kyun rote hai ?

Tho aapne farmaya ke..
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ QABAR AAKHIRAT KI MANZILOMESE PAHLI MANZIL HAI, AGAR INSAAN IS QABAR KE MAMLOMESE NAJAAT PAAJAYE THO ISKE BAADKE JO BHI MANZILE HAI WO JYADA ASAAN HAI AUR AGAR ISMESE NAJAAT NAHI PAATA HAI THO ISKE BAADKE JO BHI MANZILE HAI WO ISSE JYADA SAQT HAI. “

Aur Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke

“ MAINE KOI KHAUFNAAK AZAB KA MANZAR NAHI DEKHA MAGAR JITNA QABAR E AZAB KA MANZAR SABSE JYADA HAI. “

[ IBNE MAJAH Book 37, Hadith 4408 ]

IS UMMAT KO QABAR ME AAZMAAYA JAAYEGA.

Anas ibn Malik Rad. Se rivayat hai ke..
“ Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka farmaya hai ke..

“ Agar mujko is baat ka dar nahi hotha ke tum apne murdonko dafan karna chordoge tho mai ALLAH se Dua karta ke JO AZAAB E QABAR MAI SUNTA HU WO ALLAH TUMKO BHI SUNAADE. “

[ SAHIH MUSLIM # 2868 ]

PAISHAB KE CHEETONSE AUR GHEEBAT KI WAJAH SE QABAR ME AZAAB HOGA.

Hazrat Ibn Abbas Ra. Se rivayat hai ke..

“ Nabi e kareem Sallallahu Alai Wasallam madinah Munawwara ke kisi baagh se tashreef laaye to aap ne do ( murda ) insanon ki aawaz suni jinhein unki qabarome mein azaab diya ja raha tha.

“ Phir aapne farmaya..
“ Inhen azaab horaha hai aur kisi barre gunah ki wajah se inhen azaab nahi horaha hai. Unme se 1 shakhs pishaab ke chhinton se nahi bachta tha aur dosra chugal Khor tha. 

Phir aapne khajoor ki ek hari shaakh mangwayi aur usey do hisson me toara aur Ek tukda ek ki qabar par aur dosra dosray ki qabar par garh diya. 

Phir farmaya shayad ke unke azaab mein is waqt taq ke liye kami kar di jaye, jabtaq yeh sookh nahjayen .

[ SAHIH AL BUKHARI Vol. 8, Book 73, Hadith 81 ]

Bahr bin Marrar apne Dada Abu Bakrah Ra. Se rivayat karte hai ke..

“ Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka guzr do Qabar ke dauran se huwa. “
Fir aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ In qabar ke logonko Azaab diya jaaraha hai, magar wo logko ahem gunah [ major sin ] k liye saza nahi di jaarahi hai, balke ek ko PAISHAAB KE CHEETONKI WAJAH SE aur doosre ko GHEEBAT ki wajah se.. “

[ IBNE MAJAH VOL. 1, BOOK 1, HADITH 349 ]

QABAR ME 3 SAWAL:

Al-Bara’ (razi allahu anhu) se riwayat hai, Inhon ne kaha hum Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke sath ek Ansari ke janaze me gaye hum kabar ke paas phunche toh abhy lehed (kabar) tayar nahi hui thy Rasool SallAllahu Alaihi wasallam baith gaye aur hum bhi Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke sath baith gaye. Gooya kee hamare saraon par parinde ho (nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the).

Aap SallAllahu Alaihi wasallam ke hath me chadi thy Aap SallAllahu Alaihi wasallam is se zameen khuraid rahe the.
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne apna sar uthaya aur farmaya
Allah se Kabar ke azab ki amaan mango.

Aapne 2-3 baar ye farmaya (jurair ki riwayat me yahan izafa hai.)
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya jab log (murde ko dafna kar) wapis jate hai to mayyat inke qadmo ki aahat sunti hai jab ke isse yahan pucha jaa raha hota hai

Aye falanh: Tera Rab kaun hai.?
Tera Deen kya hai.?
Tera Nabi kaun hai.?
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya iske paas 2 farishte ate hai aur ise baithate hai aur is se kehte hai
Tera Rab koun hai.?
Too woh kahta hai mera Rab Allah hai.
Fir wo puchte hai- Tera Deen kya hai.?
To woh kehta hai mera Deen Islam hai.

Fir woh puchte hai, ye admi kaun hai jo tum me maboos kiya gaya tha.?
Wo kehta hai ki woh Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam hai.

Fir wo kahte hai tujhe kaise Ilm hua?
Wo kahta hai maine Allah ki kitab padhi hai, ispar imaan laya aur iski tazdeek ki. jurair ki riwayat me mazeed hai, yahi(sawal jawab) misdaq hai Allah ke is farmaan ka(ayat hai)” phir wo dono riwayat karne me muttafiq hai, aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya phir aasman se munadi karne wala ailaan karta hai.

Tahqeeq mere bande ne sach kaha hai, ise Jannat ka bistar bichadoo aur jannat ka libas pehnado aur iske liye jannat ki taraf se darwaza khol doo,
Fir farmaya jannat ki taraf se wahan ki hawaein, rahatein, aur khushbu aane lagty hai, aur iski Qabr ko itehayi nazar tak wasee kar diya jata hai,

Fir Kafir aur iski maut kaa zikr kiya aur farmaya: Iski Rooh iske jism me lautayi jaaty hai aur wo iske paas aate hai aur woh iske paas aate hai aur ise baithate hai aur ise puchte hai 

Tera Rab koun hai ?
Wo kahta hai ke haye afsoos mujhe khabar nahi hai.

Fir wo us se pochte hai tera Deen kya hai ???
To wo kahta hai haye haye mujhe khabar nahi,

Fir wo us se pochte hai ye aadme koun hai jo tum me maboos kiye gaya tha..

wo kehta hai ke haye haye mujhe khabar nahi..
to munadi asman se nida dete hai ke isne jhut kaha, ise aag ka bistar bichado, ise aag ka libaas pehnaadoo, aur iske liye dozaq ki taraf ka darwaza kholdo..

Farmaya ki phir ise jahannam ki taraf se tapish aur saqht garam hawa ane lagty hai aur is par Kabar ko tang diya jaata hai,hatta ke iski phansiliyan ek dusre me ghuns jaate hai,
jurair ki riwayat me mazeed hai Fir is pe ek andha gungaa farishta muqarrar kardiya jata hai jiske paas bhary garz hota hai,agar isi pahad par maara jaye to wo (pahad)matthy matthy hojaye,
Fir wo ise iske saath aisy chot marta hai jis ki awaaz jino aur insano ke alawa mashriq wa maghrib ke darmiyaan maqlooq sunty hai,
aur phir wo matthy (reza reza) hojata hai,
Farmaya fir ismee rooh lautayi jaaty hai.

[ Narrated by Abu Dawood, 4753; Ahmad, 18063 – this version was narrated by him. Classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 1676. ]

QURAN, SURAH AL MOMINOON # 99 – 103.

حَتَّىٰ إِذَا جَاءَ أَحَدَهُمُ الْمَوْتُ قَالَ رَبِّ ارْجِعُونِ {99

لَعَلِّي أَعْمَلُ صَالِحًا فِيمَا تَرَكْتُ ۚ كَلَّا ۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَائِلُهَا ۖ وَمِنْ وَرَائِهِمْ بَرْزَخٌ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ {100

فَإِذَا نُفِخَ فِي الصُّورِ فَلَا أَنْسَابَ بَيْنَهُمْ يَوْمَئِذٍ وَلَا يَتَسَاءَلُونَ {101

فَمَنْ ثَقُلَتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ {102

وَمَنْ خَفَّتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ فِي جَهَنَّمَ خَالِدُونَ{103

TARJUMA :

Yeh log [ disbelievers ] isi tarah gaflat me rahenge, Yahatak ke inmese kisike paas Mauth aajayegi tho kahega ke
“ Aye Parwardigaar ! Muje fir Duniyame wapas bhejde taake mai jisme jise chod aaya hu NEK kaam kiya karu “.

HARGIS nahi. Yeh ek Aisi baat hai wo ise zuban se kahraha hoga aur uske saath amal nahi hoga AUR UNKE PEECHE “ BARZAKH “ HAI JAHA WO USDINTAK RAHENGE JISDIN FIRSE UTHAYE JAYENGE WAHI RAHENGE, fir jab sooor phoonka jaayega tho naatho unme karabaten rahenge aur naatho ek doosre ko poochenge. 

Tho jinke amal ka bojj bhaari honge wahi kaamiyaab honge aur jinke bojj halke honge yeh wo log hai jinhone apne apko Khasareme daala hamesha Dozakk me rahenge.

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hain ke..

“ Allah ke nabi Sallallahu Alai Wasallam Banu al-Najjar ke khajoor ke ek baagh me daakhil hue, to ek khaufnaak aawaz suni.
Aap Sallallahu Alai Wasallam farmaya : 

” Yeh qabrain kis ki hain ? “

Logon ne arz kya : “ Zamana jahliat me marne walon ki hain “
Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

“ Tum log jahannum ke azaab se aur Dajjal ke ftne se Allah ki panah mango ” 

Logon ne arz kya : “ Aisa kyun, Aye Allah ke Rasool ?? 

“Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

“ Momin jab qabar me rakha jata hai to uske paas ek farishta aata hai, aur usse poochta hai k: 

“ Tum kis ki ibadat karte the ? 

“to agar Allah usey hidaayat diye hota hai to woh kehta hai : 
“ Main Allah ki ibadat karta tha “ 

Phir usse poocha jata hai, “ Tum is shakhs ke baray mein kya kehte they ?
“ Tho wo kahta hai : 
“ wo Allah ke bande aur Uske Rasool hain, “ 

Phir uske ilawa aur kuch nahi poocha jata, Phir usey ek ghar ki taraf lejaya jata hai, jo uske liye jahannum me tha aur usse kaha jata hai : 

“ Yeh tumhara ghar hai jo tumahre liye Jahannum me tha, lekin Allah ne tumhe isse bacha liya, tum par reham kiya aur iske badleme tumhe jannat me ek ghar diya. 

Tho woh kehta hai : Mujhe chordo ke mai jakar apne ghar walon ko basharat dedun. 
lekin usse kaha jata hai, thehre raho.

Aur jab kafir qabar me rakha jata hai tho uske paas ek farishta aata hai aur usse daant kar poochta hai ke..

“ Tu kiski ibadat karta tha ?? 
Tho woh kehta hai : Main nahi jaanta,
Tho usse kaha jata hai ke : 

“ Naahi tune jana aur naahi kitaab parhi ( yani quran )..” 

Phir usse poocha jata hai :

“ Tu is shakhs ke bareme kya kehta tha ?? 

Tho woh kehta hai : wohi kehta tha jo log kehte they..
Tho woh usey lohey ke Ek garz se uske dono kaanon ke darmain maarta hai, tho wo is tarha chillata hai ke uski AAWAZ AADMI AUR JIN KE ILAWA SAARI MAKHLOOQ SUNTHEE HAI “ .

[ SUNAN ABI DAWUD # 4751 – SAHIH. ]

QAYAMAT ke DINTAK ek hi THIKANA HOGA :

Hazrath Abdulah bin Umar Ra. se rivayat hai ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke 
“ Jab tummese koi shakhs marjata hai tho uska thikana usey subah o shaam dekhaya jata hai. Agar woh janati hai to jannat walon me aur jo dozakhi hai to dozakh walon me. Phir kaha jata hai yeh tera thikana hai yahan taq ke qayamat ke din Allah tujh ko uthayega.
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1379 ]

BARZAKHI ZINDAGI : 

YEH EK HALAT E ZINDAGI HAI.YAANI KE MAUT KE BAAD AUR QAYAMAT SE PAHLE WALI ZINDAGI. 

QURAN PADKAR USPAR AML NAHI KARNE WALE AUR NAMAZ KO TARK KARNE WALON KO AZAB :

NOTE : 
YEH EK TAWEEL HADITH HAI ISME SE KUCH HISSA YEH AZABONKE BAREME BATAYAGAYA HAI..

“ Aur ham chalte chalte ek jagah pahoonche, maine dekha ki ek aadmi leta hai aur ek aadmi uske paas khada hai aur uske haath me ek patthar hai woh patthar is zor se us lete huye aadmi ke sar par maarta hai ki us ka sar paash paash ho jaata hai aur woh patthar ludhhak kar door gir jaata hai, jab tak woh pattthar utha kar laaye yahaan us ka sar bilkul asli haalat par aa jaata hai phir woh us ko maarne lagta hai.
Aur Yeh azab usko Qayamat ke dintak chalte rahega. “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

JHOOT BOLNE WALON KO SAZA :

Ham aage badhhe yahaan tak ki aisi jagah pahoonche ki wahaan do aadmi the..Ek chit leta tha aur doosra khada tha aur us ke haath me lohe ka zanboor tha uszanboor se lete huye aadmi ke kalle ko cheerta hai aur woh zanboor phaadta hua guddi tak pahoonch jaata hai phir doosre kalle ke saath yahi maamla karta hai jaisa pahli jaanib kiya tha aur doosre kalle se faarigh nahin hota tha ki pahla kalla duroost ho jaata tha jaisa pahla tha aur yahi maamla phir shuroo kar deta tha. 

“ Yeh saza uske liye thi jo Subah hi susbah nikal kar aisa jhoot bolta tha ki tamaam aalam me phail jaata tha. Aur Yeh azab usko Qayamat ke dintak chalte rahega. “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

BADKAAR MARD AUR AURATEIN

Ham aage chale to ek ghaar mila jo mishl tanoor ka tha..
[ Raawi kahte hain ki mera khyaal hai ki Huzoor Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya ki us me bhut shor o shaghaf tha ]..

Us me aag jal rahi thi… Maine [Sallallahu Alai Wasallam] jo us ko dekha to us me mard aur auratein nange badan nazar aayeen aur unke neeche se aag ka shola uthta hai jab woh shoal un ke lag jaata hai to woh be ikhteyaar cheekhein maarne lagte hain…
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

SOOD KHOR :

“ Ham aage chale to ek nahar mili [ raawi ka gumaan hai ki aap ne farmaaya woh nahar khoon ki tarah surkh thi ] nahar me ek pairaak e aadmi tair raha hai aur nahar ke kinaare ek shakhs khada hai jis ke paas bahut se patthar hain.. 

Jab nahar waala aadmi tairta hua kinaare pahoonchata hai to apna munh khol deta hai aur kinaare waala aadmi uske munh me patthar ka luqma dedeta hai phir woh chala jaata hai aur tairne lagta hai phir palat ta hai to phir us ke saath yahi maamla kiya jaata hai… “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

GHEEBAT AUR LOGON KI IZZATONKE SAATH KHELNE WALONKI SAZA :

Hazrath Anas bin malik Ra. Se rivayat hai ke..
Nabi Sallalalhu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ Jab Miraj ki raat mai aasmaanonpar gaya tho mera guzar ek aise Giroh ke paas se hua jinke Naaqoon Taambe ke the aur wo usse apne seene aur chahrepe nonchrahe the..”

Maine Jibrail se poocha ke..” Yeh Kaun hai ? “
Tho farmaya…” Yeh wo log hai jo GHEEBAT karte the aur Logonki Izzatonko badnaam karte the. “

[ SUNAN ABI DAWUD # 4878 ]

AZAB E QABAR SE BACHNE K LIYE DUA :

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hai ke ..
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam in cheezonse Panah manga karte the..

“ Aye Allah ! mai teri panah mangta hu Ajzi aur susti se [ Majboori ] ' buzdili aur burhapay ki zaleel hudood mein pahonch jane se aur main teri panah mangta hun zindagi aur mout ke fitnon se aur mein teri panah mangta hun QABAR KE AZAAB SE “.

[ SAHIH AL BUKHARI VOL. 8, BOOK 75, HADITH # 37 ]

Abdullah bin Abbas Ra. Se rivayat hai ke..
“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam inh yeh dua isi terhan sikhate jis terhan quran ki surah sikhate the.

FARMAYA : 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ 

“ Aye Allah mai teri panah mangta hun Jahannum ke azaab se, 
Aye ALLAH mai teri panah mangta hun qabar ke azaab se,
Aye ALLAH mai teri panah mangta hun maseeh Dajjal ke fitnonse aur teri panah mangta hun zindagi aur mout ki azmaaishon se “ .

[ SUNAN ABU DAWUD # 1542 ]

Saturday, September 19, 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOG


BISMILLAH

PART - 2

NARAM DIL, AAJIZ, MUNKASIRUL MIJAAZ HAR WAQT ALLAH SE DARNE WALE BE ZARAR AUR HALEEMUL TABEY LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese loog dakhil hongye jinke dil chidyo jese hongey". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)

JANNAT MEIN GAREEB, FAKEER, MOHTAAJ, MISKEEN AUR KAMZOOR LOOGO KI KASRAT HOGI

Hazrat Haarsa bin Wahhab Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tumhey bataau jannat mein jaane wale loog kaun hai?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "har naatawa, loogo k nazdeek kamzoor (lekin Allah k nazdeek itna bargazeedah) agar (kisi muamale mein) Allah ki qasam kha le to Allah use saccha karde" phir farmaya "Kya mein tumhey jahannam mein jaane wale loogo k baare mein na bataau?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu Nahi" Aap ne irshad farmaya "har jhagdaalu, bad akhlaaq aur takabbur karne wala". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)

NARAM DIL, SHAREEFUL NAFS, MUNKASIRUL MIJAAZ AUR HAR DIL AZEEZ SHAKS JANNATI HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har wo shaks jo naram dil hai shareefun nafs hai, munkasirul mijaaz hai aur loogo se qareeb (yaani har dil azeez) hai us par jahannam ki aagh haraam hai". (Musnad Ahmad, Saheeh Jamey Sageer Hadees no. 313)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri tamaam ummat jannat mein dakhil hogi magar jisne mera inkaar kiya (wo jannat mein dakhil nahi hoga)" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kisne inkaar kiya?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jisne meri ita'at ki wo jannat mein dakhil ho gaya aur jisne nafarmaani ki usne inkaar kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

ALLAH KI RAZA K LIYE JO SHAKS ROZAANA 12 RAKAAT NAMAZ (NAMAZ E FAJR SE QABL 2 RAKAAT, NAMAZ E ZUHAR SE QABAL 4 RAKAAT AUR BAAD MEIN 2 RAKAAT, NAMAZ E MAGHRIB K BAAD 2 RAKAAT AUR NAMAZ E ISHA K BAAD 2 RAKAAT SUNNAT) ADA KAREGA WO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e Mohtarma se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks rozaana Allah ki raza k liye farzo k alawa 12 rakaat nawafil ada karta hai Allah ta'ala uske liye jannat mein ek ghar banata hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen)

SILA REHMI KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe koi aesa amal bataiye jo mujhe jannat k kareeb aur jahannam se door karde Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah ki bandagi kar aur uske saath kisi ko shareek na kar, namaz qayam kar, zakaat ada kar, raham walo se talluq qayam rakh" jab wo aadmi wapas palta to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jin baato ka use hukm diya gaya hai agar un par amal kiya to jannat mein dakhil hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

KHUSH AKHLAAQ, TAHAJJUD GUZAAR, KASRAT SE NAFLI ROOZEY RAKHNE WALE AUR DOOSRO KO KHANA KHILAAN WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese mehal hai jinke andar (khade ho) to bahar ki har cheez nazar aati hai aur bahar (khade ho) to andar ki har cheez nazar aati hai" ek aaraabi ne khade ho kar arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye kis aadmi k liye hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Uske liye hai jo acchi baat kare, khana khilaaye, ba-kasrat roozey rakkhey aur jab loog mazey ki neend soo rahe ho wo uth kar namaz padhey". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)

AADIL HAKIM, DOOSRO PAR RAHAM KARNE WALA, NARAM DIL, PAKEEZAH AUR DOOSRO SE SAWAAL NA KARNE WALA BHI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ayaaz bin Hamaar Mujashi'e Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek rooz apne khutbey mein irshad farmaya "Jannat mein jaane wale teen qism k loog hai":
1. Hakim, insaaf karne wala, sach boolne wala aur naik kaamo ki tofeeq diya gaya
2. Wo shaks jo har qurabat-daar aur har musalmaan k liye meharbaan aur naram dil hai
3. Wo shaks jo paakdaman hai aur ayaal daari k ba-wajood kisi se sawal nahi karta. (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)

ALLAH AUR USKE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LAANE MEIN KHUSHI MEHSOOS KARNE WALE AUR ISLAAM KO BARZA WA RAGBAT APNA DEEN SAMAJHANE WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne yu kaha "Mein Allah k rabb hone par, islaam k deen hone par aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Rasool hone par raazi hu" uske liye jannat wajib ho gayi". (Sunan Abu Dawood Abwabul Witr, baab fi astagfaar)

DO YA DO SE ZAAYED BAITIYO KI DEENI TALEEM WA TARBIYAT KARNE AUR JAWAAN HONE K BAAD NAIK AADMI SE NIKAH KARWANE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne do ladkiyo ko unke jawaan hone tak paala poosa qayamat k din mein aur wo is tarah aayengey aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni ungliyo ko aapas mein milaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)

WUZU K BAAD DO RAKAAT NAFIL (TAHYATUL WUZU) BA-QAIDAGI SE ADA KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (ek rooz) namaz e fajr k baad Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu se pucha "Ae Bilaal! Islam laane k baad wo tumhara kaun sa amal hai jis par tumhey bakhshish ki ziyaada ummeed hai kyunki aaj raat mene jannat mein apne aagey aagey tumhare chalne ki aawaaz suni hai" Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu arz kiya "mein , is se ziyaada ummeed afza amal to koi nahi paata k din ya raat mein jab bhi wuzu karta hu to jitni Allah ta'ala ko manzoor ho namaz padh leta hu". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 1682)

NAMAZ ROOZEY KI PABAND, PAAKBAAZ AUR SHOHAR KI ITA'AT GUZAAR KHAWATEEN JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo aurat paanch namazey ada kare ramazaan k roozey rakkhey apni sharm-gaah ki hifazat kare aur apne shohar ki ita'at kare (qayamat k rooz) use kaha jayega jannat k (aatho) darwaazo mein se jis se chaho dakhil ho jao". (Sahih Ibne Hibban, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 683)

ANBIYA, SHOHDA, AHLE EMAAN K FAUT HONE WALE CHOOTE BACCHEY AUR ZINDA DARGOOR KI GAYI LADKIYA JANNAT MEIN JAYENGI

Hazrat Hasna'e binte Muawiyah Razi Allahu Anha kehti hai hum se mere chacha ne ye hadees bayan ki k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya jannat mein kaun kaun jayega? Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nabi jannat mein jayega, Shaheed jannat mein jayega, no-molood jannat mein jayega aur zinda dargoor ki gayi ladki jannat mein jayegi". (Sunan Abu Dawood Kitabul Jihaad)

ALLAH KI RAAH MEIN julm ke khilaf LARNE WALA JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman aadmi ne Allah ki raah mein itni dair tak zulm ke khilaf qitaal kiya jitni dair oonthni (camel) ka doodh doohne mein lagti hai, us par jannat wajib ho gayi". (Sunan Tirmizi Abwab Fazalul Jihaad)

Tuesday, September 15, 2015

JANNAT KI BASHARAT PAANE WALE LOOG


Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH


🔺PART - 1

✳JANNAT MEIN SABSE PEHLE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DAKHIL HONGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Qayamat k rooz mein (sabse pehle) jannat k darwaazzey par aayunga aur darwaaza khulwaunga jannat ka khazin (darwaaza khatkhatane par) poochega kaun hai?" mein jawab dunga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)!" khazin kahega "Mujhe isi baat ka hukm diya gaya tha k aapse pehle kisi k liye darwaaza na khoolu".
 📚(Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz sabse ziyadah ummati mere hongey aur sabse pehle mein jannat ka darwaaza khatkhataunga".
📚(Sahih Muslim Kitabul Emaan)

📌HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUI RAZI ALLAHU ANHU AUR HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU ANHU UN JANNATIYO K SARDAAR HONGEY JO DUNYA MEIN BUDHAPEY KI UMAR MEIN FAUT HUE HONGEY

Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu kehte hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha achanak Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu bhi aa gaye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "ye dono hazraat badi umar mein faut hoone wale musalmano k jannat mein sardaar hongey khawah agli ummato se ho ya pichli ummato se siwa e anbiya aur Rasoolo k, Ae Ali! unhey na bataana".
📚(Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)

📌HAZRAT HASAN RAZI ALLAHU ANHU AUR HUSSAIN RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN UN LOOGO K SARDAAR HONGEY JO JAWANI KI UMAR MEIN FAUT HUE HONGEY

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hazrat Hasan Razi Allahu Anhu aur Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu dono jannati nojawaano k sardaar hongey".
📚(Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)

📌10 HAZRAAT KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DUNYA MEIN JANNATI HONE KI BASHARAT DI JINHEY ASHARAH E MUBASH'SHARAH KAHA JATA HAI UN K NAAM YE HAI

Hazrat Abdur Rahman bin Aaouf Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abu Bakr Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Umar Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Usman Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Ali Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Talha Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Zubair Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Abdur Rahman bin Aaouf Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Saeed bin Zaid Razi Allahu Anhu jannat mein hai, aur Abu Ubaidah bin Jarrah Razi Allahu Anhu jannat mein hai".
📚 (Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)

📌HAZRAT KHADEEJA RAZI ALLAHU ANHA KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANANT MEIN GHAR KI BASHARAT DI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha ko jannat mein ek ghar ki basharat di. 📚(Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

📌HAZRAT AYESHA RAZI ALLAHU ANHA KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ayesha! kya tu is baat par raazi nahi k dunya aur aakhirat mein tum meri beewi raho?" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Tum dunya aur aakhirat mein meri beewi ho".
📚(Mustadrak E Haakim, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1147)

📌HAZRAT UMMEY SALEEM RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E HAZRAT ABU TALHA RAZI ALLAHU ANHU) KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI
HAZRAT BILAAL RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe jannat dikhlaayi gayi mene waha Abu Talha Razi Allahu Anhu ki beewi (Ummey Saleem Razi Allahu Anha) ko dekha phir apne aagey aagey kisi k chalne ki aawaaz suni dekha to Bilaal Razi Allahu Anhu they".
📚(Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

📌HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT MEIN MAHAL KI BASHARAT DI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein soo raha tha k mene apne Aapko jannat mein paaya mene ek mehal k andar kooney mein ek aurat ko wuzu karte dekha to pucha ye mehal kiska hai?" unhoney kaha "Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ka, mujhe Umar Razi Allahu Anhu ki gairat ka khayaal aaya to mein peeth pher kar chala aaya" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (ye sun kar) rooney lagey arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya mein aap par gairat karunga?". 📚(Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)

📌HAZRAT TALHA BIN UBAIDULLAH RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI

Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai k jang e uhad k rooz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam do zirhey pehle hue they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek patthar par chadne lage to na chadh sake chunanchey
Talha Razi Allahu Anhu ko bithaya aur un par pao rakh kar chattan par chadh gaye, Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai (us waqt) mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna "Talha par (jannat) wajib ho gayi". 📚(Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)

📌HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein ek raishmi kapda laya gaya loogo ne uski nafasat aur narmi par tajjub ka izhaar kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein Saad bin Muaaz k rumaal is se afzal hai". 📚(Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)

📌AS'HAAB E BADR AUR AS'HAAB E SHAJR JANNATI HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jang e badr aur Sulah Hudaibiya mein shamil hone wale loogo mein se koi bhi aagh mein nahi jayega".
📚(Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 2160)

🔄WAZAHAT:
 Sulah hudaibiya (zil qaada 6 hijri) se qabl Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne hudaibiya k ek darakht k nichey Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k dast e mubarak par jaaney qurbaan karne k liye bait ki thi un tamaam As'haab e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko As'haab e shajr kaha jata hai.

📌HAZRAT ABDULLAH BIN SALAAM RAZI ALLAHU ANHU KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANANT KI BASHARAT DI

Hazrat Saad Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kisi zindah chalte phirte aadmi k baare mein jannati kehte nahi suna siwaaye Abdullah bin Salaam Razi Allahu Anhu k. 📚(Sahih Muslim Kitabul Manaqib)

🔄WAZAHAT :

Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne sirf Hazrat Abdullah bin Salaam k baare mein hi ye basharat suni lihaza unhi k baare mein gawahi di lekin daigar Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se doosre Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k baare mein basharatey riwayat ki hai.

💥 JANNAT KI BASHARAT PAANE WALE LOG

📌HAZRAT MARYAM BINTEY IMRAN RAZI ALLAHU ANHA, HAZRAT FATIMA RAZI ALLAHU ANHA (BINTEY HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM), HAZRAT KHADEEJA RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM) AUR HAZRAT AASIYA RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E FIROON) JANNATI KHAWATEEN KI SARDAAR HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati khawateen ki sardaar Maryam bintey Imran Razi Allahu Anha k baad Hazrat Fatima Razi Allahu Anha, Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha aur Hazrat Aasiya Razi Allahu Anhu Anha firoon ki beewi hai". 📚(Tabraani, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1434)

📌HAZRAT ZAID BIN UMAR RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to Zaid bin Umar bin Nafeel k do darje dekhey".
📚 (Ibne Asakir, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1406)

📌HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR BIN HARAAM RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Uhad k din jab Abdullah bin Haraam Razi Allahu Anhu Shaheed hue to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Jabir! kya mein tujhe wo baat na batau jo Allah ta'ala ne tumhare baap se ki hai?" mene arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah ta'ala ne kisi shaks se bagair hijaab k baat nahi farmayi lekin tere baap se bagair hijaab k (yaani baraah e raast) guftagu farmayi hai aur kaha hai ae mere bande jo chahte ho maango mein tumhey dunga" tumhare baap ne arz kiya "ae mere rabb! mujhe dobara zindah farma takey mein dobarah teri raah mein mara jau" Allah ta'ala ne irshad farmaya "ye baat to hamari taraf se pehle hi tey ho chuki hai k marne k baad dunya mein wapsi nahi hogi" tere baap ne arz kiya "Ae mere rabb! accha to meri taraf se (ahle dunya ko) mera ye paigham (yaani dobarah zindah ho kar shaheed hone ki tamanna karna) pahucha de" tab Allah ta'ala ne ye Aayat nazil farmayi "jo loog Allah ki raah mein qatal ho jaye unhey murdah na kaho, balkey wo zindah hai aur apne rabb k han rizq diye jaate hai
📖(Surah Aal E Imraan Surah no. 3 Ayat no. 169)".
📚(Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2258)

📌HAZRAT AMMAAR BIN YAASIR AUR HAZRAT SALMAN FAARSI RAZI ALLAHU ANHUM JANNATI HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat teen aadmiyo ka shoonq rakhti hai Hazrat Ali, Hazrat Ammaar aur Hazrat Salmaan Faarsi Razi Allahu Aanhum". 📚(Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1594)

📌HAZRAT JAFAR BIN ABU TALIB RAZI ALLAHU ANHU AUR HAZRAT HAMZA RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein kal raat jannat mein dakhil hua aur us mein dekha k Jafar Razi Allahu Anhu farishto k saath udh rahe hai aur Hamza Razi Allahu Anhu takhat par takiya lagaaye baithey hai".📚 (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3358)

📌HAZRAT ZAID BIN HAARSA RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to ek nojawaan dosheezah ne mera istaqbaal kiya mene us se pucha tu kis k liye hai? kehne lagi Zaid bin Haarsa k liye".📚 (Ibne Asakir, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3361)

📌GUMEESA BINTEY MILHAAN RAZI ALLAHU ANHA JANNATI HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to apne aagey kisi k chalne ki aawaaz suni mene pucha ye aawaaz kesi hai? mujhe bataya gaya k ye Gumeesa binte Milhaan Razi Allahu Anha hai". 📚(Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3362)

🔄WAZAHAT:
Yaad rahe Hazrat Gumeesa binte Milhaan Razi Allahu Anha k shohar aur baita gazwa e uhad mein shaheed hue unke bhai Haraam bin Milhaan Razi Allahu Anhu haadsha bare maoona mein shaheed hue aur khud jazeerah e qabras ki taskheer k baad wapas aane wale jihaadi lashkar mein shamil thi k doraan e safar mein Allah ko piyaari ho gayi (INNA ILLAHI WA INNAA ILAIHI RAAJI'OON)

📌HAZRAT HAARSA BIN NOMAAN RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to quraat ki aawaaz suni mene pucha ye kaun hai?" farishto ne jawab diya "Haarsa bin Noman (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye sun kar farmaya) "Naiki ka ajr to yahi hai naiki ka sawab to aesa hi hota hai". 📚(Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3363)

📌MAKKA MUKARRAMA SE MADEENA MUNAWWARAH HIJRAT KARNE WALO KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tum jaante ho meri ummat mein se konsa garooh sab se pehle jannat mein dakhil hoga?" mene arz kiya "Allah aur uska Rasool hi behtar jaante hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Muhajir loog (makka se madeena hijrat karne wale) qayamat k rooz jannat k darwaazey par ayengey to darwaazah khola jayega, jannat ka khazin unse puchega kya tumhara hisaab ho gaya hai? wo jawab dengey hisaab kis cheez ka? hamari talwaarey Allah ki raah mein hamare kandho par thi aur is halat mein hamey maut aa gayi, chunanchey jannat ka darwaazah unke liye khool diya jayega aur wo doosre loogo k jannat mein dakhil hone se chalees saal pehle jannat mein ja kar mazey karengey". 📚(Mustadrak E Haakim, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 852)

🔄WAZAHAT :
Tirmizi Shareef ki hadees mein paanch soo saal baad jannat mein dakhil hone ka zikr hai, ye fark loogo k aamaal ki bunyaad paar hoga. (Wallahu Aalam bis Sawaab)

📌HAZRAT IBNE DAHDAAH RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN HAI

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ibne Dahdaah Razi Allahu Anhu ki namaz e janazah padhayi phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek nangi peeth wala ghooda laya gaya aur usko ek shaks ne pakda, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam us par sawaar hue wo ghooda bidakta tha hum sab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey pichey doodh rahe they k loogo mein se ek shaks ne kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ibne Dahdaah Razi Allahu Anhu k liye jannat mein kitne hi, (phalo k) khoshey latke hue hai".📚 (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz)

📌UMMUL MOMINEEN HAZRAT HAFSA RAZI ALLAHU ANHA JANNATI HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ne (mujhey) kaha k Aap Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha se ruju kare kyunki wo bahut ziyaadah roozey rakhne wali bahut ziyaadah qayaam karne wali hai aur jannat mein aapki beewi hai". 📚(Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sagir Hadees no. 4727)

🔄WAZAHAT :
 Yaad rahe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ko raji'e talaaq di thi aur Allah ta'ala k hukm par ruju farma liya tha.

📌HAZRAT AKAASA RAZI ALLAHU NAHU JANNATI HAI

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat mein se sattar hazaar aadmi bagair hisaab jannat mein jayengey" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kaun (khush naseeb) loog hongey?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "ye wo loog hongey jo na damm karate hai na shagon lete hai na daagh lagaate hai aur sirf apne rabb par tawakkal karte hai" Hazrat Ukasa Razi Allahu Anhu khade hue aur arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! dua farmaiye Allah mujhey unme se karde, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya tu unme se hai".
📚(Sahih Muslim Kitabul Emaan)