Friday, February 5, 2016

JAHANAM MEIN'MUREED' APNE PEERON, FAKHERON SE DARKHAAST KARENGE 'HAME ALLAH KE AZAAB SE BACHAO' PEER JAWAB MAIN KAHENGE YAHAN ALLAH KE AZAAB SE BACHANE WALAA KOI NAHI - 2

BISMILLAH

PART - 2

Allah ta'ala farmata hai

"Kaash tum dekho, Inka haal, Us waqt Jab ye Zaalim Apne Rab ke huzur khadey honge, Us waqt ye ek dusre par Ilzaam dharenge, Jo log dunya mein daba kar rakhe gaye they, wo badey banney waalon se kahenge ke "Agar tum na hotey to hum 'Momin' hote" Wo badey banney waale Un dabey huwe logon ko Jawaab denge "Kya hum ne tumhe Us hidaayat se roka thaa, Jo tumhare paas Aayi thi? Nahi, balke tum khud Mujrim they" wo dabey huwe log un badey banney waalon se kahenge "Nahi, balke raat din ki 'MAKKARI' thi, Jab tum hum se kehte they ke hum Allah se kufr karen aur dusron ko Uska hamsar theraayen" Aakhir kaar Jab ye log Azaab dekhenge to Apne Dilon mein pachtayenge aur Hum In munkareen (haq) ke galon mein 'tauq' daal denge, kya logon ko Iske siva aur koi badla diya Jasakta hai ke Jaise Aamaal unke they weysi hi Saza wo Paayen?"(Sureh Saba, Ayaat 31-33)

Allahu Akbar! Qur'an mein Roze Qayamat, Roze Mahshar "Peeron" (badey log) aur Mureedon (dabey huwe log) ke darmiyan hone waali baahami takraar ka kaisa dil hila dene waala Manzar pesh kiya gaya hai, Un logon ka Jo dunya mein badey bankar rahe, Murshid ban kar rahe, peer bankar rahe, khud gumrah rahe aur Apne cheylon ko gumrah kiye, Aur 'Aankhen' band kar ke Badon ke peechey chalne waalo ka Anjaam bhi Ibratnaak hoga, wo bhi Azab mein mubtala honge, aur wo pachtayenge ke Hum kha-ma-kha Murshidon, Maqbaron ke mutawalliyon, Jhandon panjon aur Mujawaron ke peechey baghair samjhe bujhe chaley, Jiska nateeja ye huwa ke Aaj hamare Upar Jahannam ka Azab musallat hogaya, Haqeeqat ye hai ke Ye pairau (Mureed) logon ko Jab dunya mein kaha Jaata thaa, ke Allah ke ye Ahkamaat hai, Nabi sallallahu alaihi wasallam ka Uswae hasana ye hai, to kisi kheemat par bhi kaan dharne ke liye tayyar nahi hote, lekin Jab yahi log Roz-e-Mahshar Apni Aankhon se dekh lenge ke Unke peer, Unke badey log, Unke murshid, Unke Mujaawar Aur Unke peshwa Unhe ghalat samjhate rahe, dhoka dete rahe, to ye Apne badon par palat padenge aur pukaar pukaar kar kahenge ke Badbakhton! Tumne hame gumrah kiya, tum hamari Aakhirat ki barbaadi ke Zimmedaar ho, tum hame na behkaatey to hum 'MOMIN' hotey, Quran wa Hadees par Amal pera hokar Najaat paate, Iske Jawaab mein "PEER" hazraat kahenge ke hamare paas Ayesi koi taakhat na thi, Jiske zariye hum Mutthi bhar 'Murshid' log, hazaaron aur laakhon Insaano ko Zabardasti Apni pairvi aur Apne haath choomne aur pairon par peshaniyan ragadne Majboor kardete, haqeeqat ye hai ke Agar tum log Waqeyi yakheen wa Imaan ki 'Daulat' se maala maal hote, to hamari Sardariyon aur peshwaiyon ka 'takhta' hi Ulat kar rakh dete, Hamari taakhat, hamara bada pan to tumhi logon se thaa, hamari daulat aur Aaish ki Zindagi ka sarchasma to tum hi logon ke haaton mein thaa, tum hame Nazraaney aur Akheedat ke ghulu mein mubtala hokar hamare khadmon par "Daulat ke dheyr" laakar na daalte to hum Muflis they, tum log hamare haat par 'Bey'at' na karte aur hamare Ishaaron par nahi naachte to hamari Murshidi, hamari peeri, hamari peshwai aur harami Dukaan-daari ek din bhi na chalti, tum Josh aur Jazbey mein Andhi "Taqleed" mein mubtala hokar "Zindabaad" ke naarey hamare haq mein na lagaate to koi hamara puchney waala na hota..

Tum hamara Lashkar ban kar Quran wa Hadees ki Sada e Haq buland karne waalon ke khilaaf hamari Himaayat aur tayeed mein Ladney par tayyar na hote to ek Insaan par bhi hamara bas na chal sakta thaa, Aaj Qayamat ke roz Medaan-e-Mahshar mein kyun nahi Maantey ke dar'Asal tum khud Us 'Raaste' par chalna nahi chahte they Jo "QURAN WA HADEES" ke Aayin Mutaabiq thaa, Jisko Nabi muhtaram sallallahu alaihi wasallam ne Amal karke batlaaya thaa,

Aur waazehtaur par Jannat mein lejaane waala raasta kya hai
aur Jahannam mein lejaane wala raasta kya hai Samjha diya thaa,

Quran aur Hadees ki talimaat ko pesh karne waalon ki tum log Saqt Muqalafat karte rahe aur Unko muqtalif Alqaab se nawaaze, Unko pareshaan kiye

Filhaqeeqat tum log Apni Aghraaz aur khahishaat ke bandey bane huwe they, aur tumhare Khahishaat aur tumhare Nafs ke Mutaalbaat Quran wa Hadees ki Talimaat par Amal karne se kahan purey hosakte they, wo to Hamari Mureedi mein, hamari Andhi taqleed mein, hamari baatil Pairvi mein takmeel paa sakte they, tum log halaal wa haraam se beniyaaz ho kar Aaish-e-Dunya ke taalib they,

Aur wo Aaish e dunya hum Jaise gumrah, dunya prast, Allah bezaar aur Aakhirat faramosh Peeron, Murshidon, Naam nihaad sardaron ke paas mil sakta thaa, tum log to hum Jaise "Peeron" hi ki talaash mein they, Jo tumhe har tarha ke Gunaahon ki 'Khuli choot' dey den, aur Kuch Nazraane lekar Allah ke haan tumhe 'baqshwa' dene ki Pur-fareb khud zimmedaari ley len, tum ko Ayese Murshidon aur peeron ki Zaroorat thi, Jo har "SHIRK AUR BIDDAT"

Aur tumhare nafs ki har dil pasand Cheezon ko Quran aur Hadees ki Talimaat ke mutaabiq saabit karke tumhara dil khush karde, tum ko Aisey Jaali saazon ki Zaroorat thi, Jo Allah ke deen ko badal kar tumhari khahishaat ke Mutaabiq ek " Naya Deen" ghad'den, tum ko Ayese rehnuma matloob they Jo kisi na kisi tarha tumhari Aarzi faani aur Naaqis dunya banadey, chahe Aakhirat ka Hamesha hamesha ka Nakhaabil e Talaafi Nuqsaan-e-Azeemhojaye, Aaj tum Qayamat ke roz Allah ke Azab ko dekh kar kahan hamarey sar par ye Ilzaam thop rahe ho ke hum ne zabardasti, Jabr ke saath tumhe deen wa Imaan se door kardiya thaa, aur tum badey Parhezgaar Muttaqi aur Masoom they, filhaqeeqat tum khud Mujrim they

Ab Uske Jawaab mein dabey huwe unke Mureed hazraat ye kahenge ke tumhi hamare 'bigaad' ke Zimmedaar ho, hamare bigaad ki Zimmedari mein tum humko barabar ka Shareek kahan thera rahe ho, tum yaad karo ke tum ne Apni Chaal baaziyon, Fareb kaariyon aur Jhoote propagandon se ek Ayesa Ajeeb wa ghareeb Maahol 'barpa' kardiya thaa ke hum Dunya ko Jo Imtehaan gah thi, Aaishgah samajh liya thaa, Shirk ko tauheed samajh liya thaa, Biddat ko Ita'at e Rasool sallallahu alaihi wasallam khayaal karliya thaa, hum ne Ye yakheen karliya thaa, ke tum log Jaisa ke hum ko baawar karte rahe ke hum sab ko Baqshwa denge, lekin Ab hamare saamne soorat e haal bilkul baraqs (ulthi) hai, Jo kuch tum dhong rachaye they wo sab "JHOOT" saabit huwa, Aaj roz e Mahshar hum ko Ahsaas horaha hai ke tum log dunya mein Raat din Allah ki Makhlooq ko phaansne (Dhoka karne, Fareyb dene) ke liye kaise kaise Jatan kiya karte they, Makkariyon se hum ko bewaqoof banate they, aur tum mein ka har ek Shikaari roz ek naya Jaal bun kar tarha tarha ki tadbeeron se Allah ke bandon ko "Rah e Haq" se hata kar phansta thaa

baherhaal roz e Mahshar Peer aur Mureed ki Ayesi baahami takraar se kuch haasil nahi hoga, peer aur uske cheley dono ke Galon mein tabahi wa barbadi ke tauq daaldiye Jayenge, dono Jahannam ka Azaab bhugtenge

Yahan Surah Saba ki Ayaat 31-33 ke silsile kalaam mein khususi taur par dabey huwe logon ke Alfaaz ki taraf tawajja mabzool karwaana nihaayat darja Munasib hoga Jisme Mureed hazraat Apne Badon, peeron se Roz e Qayamat kahenge ke " Agar tum na hote to hum Momin hote" In Alfaaz mein hasrat wa yaas ka Izhaar hai, ek Ayesa pachtaawa hai Jiski talaafi ki koi surat hi nahi, In alfaaz mein ek peghaam bhi hai, ek Warning bhi hai ke Aye Insaano Jabke tum abhi Dunya mein zinda ho, Muhlat e Amal rakhte ho, Aqal wa fahem se kaam lete huwe Asal hidaayat ke sarchasme Quran aur Ahadees e sahi ki taraf kyun na Ruju hojaate, Ye naubat hi kyun Aane dete ke Zindagi ke Kheemti lamhaat ghaflat, berahrawi mein basar hojayen aur roz e Qayamat ek dusre ko Muride Ilzaam theraaya Jaaye, Quran wa Hadees ko chor kar dusron ke peeche chalna Ayesa hi hai, Jaisa ke Apne hi haathon se Apne pairon par kulhaadi maarna hai, Is badbaqtana Amal ka Laazmi natija Khatarnaar aur haulnaak hoga

Mazeed Is silsila kalaam mein Gumrah badon ka Ye kehna ke "Balke tum khud mujrim they" Uske Jawaab mein dabey huwe logon ka kehna ke "Nahi, balke raat wa din ki tumhari Makkariyan thi, tab hi tum, humse kehte they ke hum Allah se kufr karen aur dusron ko Allah ka Hamsar theraayen"

In peeron aur mureedon ki Is baahami bahes wa takraar aur Mukalama mein hamare liye Dawat e ghaur wa Fikar hai aur Sambhalne sudharney aur Sawarne ka bahot kuch "Sabakh" hai, Naam nihaad badey logon ne Jaan bujh kar "Hidayat" ke badle gumrahi khareeliye aur dunya ko lootna Apni zindagi ka Maqsad kharaar deliye

Isliye khud gumrah huwe aur Jaahilon ko gumrah karte huwe Apni dukaan daariyon ko khoob chamkaye, raat aur din Isi chaal baaziyon mein Apni zindagi ki Kheemti Muhlat e Amal khatm kardiye, Yahantak ke Allah ke saamne khadey hugaye aur Apne Aakhri holnaak "ANJAAM" dekh liye, Dabey huwe log In gumrah 'BADON' ke dabaau mein Allah aur Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Taalimaat ko Nazar Andaaz karke ek Wehshat naak ghalti ka Irtekaab kiye aur badon ke Ishaaron par "Naachtey" rahe aur un badon ne un dabey huwe logon ke Zehno mein ye "Baatil baat" bithaadi ke hum tum ko Roz e mahshar baqshwa dengey

ye dabe huwe log ye Yaqeen karliye ke Roz-e-Qayamat Jannat mein daakhila zaroor naseeb hoga, Ab kya chahiye, Aakhirat mein Jannat hai aur Dunya mein Aaish-e-dunya hai, Rind (Ayyash, sufi, Aawara, ghair sharai) ke rind rahe aur haath se 'Jannat' bhi na Jaaye

No comments:

Post a Comment