Showing posts with label RAMADHAN. Show all posts
Showing posts with label RAMADHAN. Show all posts

Monday, February 20, 2017

LAILATUL QADR AUR USKI FAZILAT

BISMILLAH

◄Hum ne ye Quran ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya hai.
(Al Quran, Surah Qadr 97, Ayaah 1)


◄Beshak! Hum ne is (Quran) ko Laylat-ul-Mubaraka me uthara hai. Beshak! Hum khabardaar karne wale hai, isi Raat me har mamile ka Hakimana faisla kiya jaata hai.
(Al Quran, Surah Dukhan 44, Ayaah 3-4)

◄Beshaq humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishtey aur rooh nazeel hote hain, Aapney Rab ke hukm se har kaam par wo subah Roshan honey tak salamati ki raat hai
(Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)

◄ Umm Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya

"Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo".
Sahih Bukhari, Vol 3, 2017

◄Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramzan ke aakhri ashrey ki taaq Raato me talaash karo
(Sahih Bukhari, Hadees 2017)

◄Hazrath Ibne Omar Radi Allahu Anhu ka bayan hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sahaba ko khwab mein Ramzan ke akhri Ashre mein Shabe Qadr nazer ayi

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya," Tum logon ko Ramzan ke akhri Ashre mein hi Shabe Qadr nazar ayi hai .Chunache Tum sab log Akhri Ashre hi mein iski justaju kiya karo ".

(Sahih Bukhari, Shabe Qadr ki fazilat ka Bayan ,Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2015)

=============

LAILATUL QADR ki FAZILAT

◄Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
"Ye Mahina jo tum par aya hai ismein ek aisee Raat hai jo Hazaar Mahino se behtar hai
Jo Shaks is se mehroom raha wo har bhalayi se mehroom raha is raat ki saadat se sirf Badnaseeb hi ko mehroom kiya jata hai "
(Sunan Ibn E Majah, Hadees Number 1644)

Sab e Qadr (ki raat) ek hazaar mahino se behtar hai [83 saal 4 mahino ki ibadaat se behtar](surah:kadr-97 aayat no.3) HAZRAT MUHAMMAD SALLAL LAHO ALAIH WA SALLAM NE FARMAYA

"jo lailatul qadr mein imaan wa ahtasaab ke saath namaaz mein khara rahega uske agle tammam gunaah maaf kar diye jaate hai "
(bukhari:2014)

==============

LAILATUL QADR KI DUWA

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّ

◄ Hazrath Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya," Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam agar

Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu "?

To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya.
kaho

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni

Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
(Sunan ibn Majah, Vol 3, 731-Sahih)
(Tirmizi ,Hadees Number 3513

==========
Bohat log aise hain jo apne aap ko Aashiq-E-Rasool,Ghulam-E-Rasool aur na Jaane kya kya bolte rehte hai lekin is hadeeson pe amal hi nahi..

raat din aimma arba ka rat lagane wale ko bhi aksar dekha jata hai ke ek raat (27 ),ko makhaus karar de kar sirf usi raat me ibadat karye hain .

kuch aise bhi hain jo apne man se us raat ki alag alag pahchan banaye hue hain .

Yaad rahe ! lailatul qadr ke baare me hadees me bataur e khaas uski alaamat bayaan nhi ki gai,is liye ye kehna ke is raat aasmaan par taaron ki chamak zada hoti hai,kutton ke bhokne ki awaaz nhi aati,suba hone par suraj tulu hota hai to us ki shuwaayen(rays) nahi hoti,baatil qaul hai,jiski daleel hadees me maujood nhi ..

Allah pak se dua hai ki allah hame ye Mubarak raat naseeb farma de.
Aur in taak raaton me ye dua kasrat se padhen.

ALLAH HUMMA INNAKA AFF'UN TUHIBBUL AFWA FA FU ANNI.
  • (Tirmizi)

Aur apni duao me mujhe yaad rakhe.

Jazak Allahu khairan

Sunday, July 10, 2016

RAMAZAAN KA PEHLA, DOOSRA AUR TEESRA ASHRAH. - Yeh Za’eef (Weak/Kamzor) Hadees Hai. -


“Ramazaan Ka Ibtidaai Hissah Rahmat Hai, Aur Darmiyaani Hissah Bakhshish Aur Aakhri Hissah Jahannam Se Aazaadi HaasiL Karney Ka Hai.”
-
[Ibn Khuzaimah, Kitaab-Us-Siyaam, Hadees *Za’eef* (Weak) : 1887]
-
Yeh Rivaayat Za’eef Hai, Kyun Ke :
1. Iska Raavi A’Li Bin Zaid Bin Jadu’aan “Za’eef ” Hai. (TaQreeb-UL-Tahzeeb : 4734)
-
2. Jamhoor Muhaddiseen Karaam Ne Usey *Za’eef* Kaha Hai. (Zavaaed Ibn Maajah : 228)
-
3. Imaam Abu Haatim (RahimahuLLaah A'Laih) Ne Kaha : “ Ye Hadees Munkar Hai.”
(AL-A’LaL Laaban Abi Haatim : 1/249)
-
4. Shaikh ALbaani (RahimahuLLaah A’Laih) Ne Kaha : *Munkar*
(SiLsiLat-UL-Ahaadees AL-Za’eefah WaL-Mauzoo’ah : 871)
-
5. Shaikh Abu IshaaQ AL-Huwaini Masri (HifzahuLLaah) Ne Kaha : “Ye Hadees BaatiL Hai.”
(AL-NaafiLatah Fee AL-Ahaadees AL-Za’eefah : 1/291)
-
*VAZAAHAT* : Pata Nahin MusaLmaan Kab A'QL Isti’maaL Karega Saheeh Ahaadees Hone Ke Baavajood Za’eef (Weak) Ahaadees PhaiLaaney Ki Kya Zaroorat Hai. Agar I'Lm Hone Ke Liye PhaiLa Raha Hai Ke FaLaan Hadees Za’eef (Weak) Hai Tou Koi Baat Nahin Lekin Us Za’eef Hadees Ko Bhi A’maL Karney Ke Liye Doosron Tak Pohancha Raha Hai Tou Kitni Buri Baat Hai. ALLaah Taa'Laa Ki Rahmat Ko Mahdood Kar Ke MusaLmaan Ko Sochney Par Majboor Kar Diya Jaa Raha Hai.
-
Kya ALLaah Taa'Laa Poorey Maheenah Ek Saath Teen Cheezein (Rahmat, Maghfirat, Jahannam Se Aazaadi) Nahin Kar Sakta ? (M’aaz ALLaah). Woh (ALLaah) Tou Har Cheez Par Qudrat Rakhney WaaLa Hai. Aur Hadd Tou Yeh Hai Ke Teenon Ashrah Ke Duaa’ein Bhi Maujood Hai Har Dus Din Ke Liye ALag ALag.
-
Aur (Shaitaan) Tou Tumhein ALLaah Taa'Laa Par Un Baaton Ke Kehney Ka Hukm Deyta Hai Jin Ka Tumhein I'Lm Nahin.
[Soorah AL-BaQarah, Aayat : 169]

APNE ZIMME KHARCH WAJIB WAALE SHAKHS KO ZAKAT DENA JAYEZ NAHI

BISMILLAH

Main Aurat hu aur apne mulk ke alawa kisi aur mulk me rahti hu. Mere 7 bache hai mai har baras apni walidah ko jo ki Morocco me rahti hai fitrana irsaal karti hu, ilm me rahe ke unka kharch bhi mai hi bardasht karti hu, kya is ke liye Zakat jayez hai ya Nahi?
Alhamdulillah..
Ulema e Karaam ka ittefaq hai ke farz zakaat jisme fitrana bhi shamil ho kisi aise shakhs ko deni jayez nahi jiska kharch bhi sahib e zakaat ke zimme ho jaisa ke walidain aur aulaad.
Al-Mudawwanah(1/344) mei darj hai.
Imaam Malik r.h. ka qaul hai : “Aap apne in rishtedaaron ko zakaat mat dein jinka kharch aap ke zimme hai.”
Al-Shaafai’i r.h. ne al-Umm(2/87) mei kaha:
“Aur (apne maal ki zakaat) walid walidah aur dada dadi, nana nani ko mat de.”
Ibn Qudaamah r.h. ne al-Mughni(2/509) mei kaha,
“Aur farz zakaat mai se walidain aur walidain ke walidain yani dada, nana aur dadi, nani , chahe jitne bhi upar ki nasal me ho mat de, aur na hi aulaad aur pooto aur nawason ko.
Ibn al-Mundhir r.h. kahte hai :
“Ahle ilm is par muttafiq hai ke walidain ko is halat me zakaat deni jayez nahi jab walidain kharch ke mohtaj ho aur aulaad par inka kharch lazim ho, kyunke inhe zakaat dene ki zaroorat me wo akhrajaat se mustaghni ho jayenge aur ye zakaat dene wale se sakhit hojayenga, aur is zakaat ka faida zakaat dene wale ko hoga, chunanche ye toh aise hi hua ke isne zakaat apne aap ko hi di isliye ye jayez nahi, bilkul is tarha ke wo is zakaat se apna qarz utaarde.”
Shaykh Ibn Uthaymeen r.h. se darj zail sawaal daryaaft kiya gaya: “Aqrab’a wa rishtedaaron ko fitrana dene ke bare mei kya hukm hai” ?
Sheikh ka jawaab tha, “Rishtedaar wa aqeab’a ko fitrana aur zakaat deni jayez hai, balke kisi aur ko dene ki bajaye rishtedaaron ko dena zyada behtar hai ; kyunke rishtedaron ko dena sadqa bhi hai aur sila rahmi bhi. Lekin isme shart ye hai ke iski adaegi mei apne maal ka bachao aur himayat na ho, ye isme ke jab ye faqeer jise wo zakaat de raha hai iska nafaqa aur kharch zakaat dene wale par wajib hota ho, toh is halat mei iski kisi zarurat ko poora karne ke liye zakaat dena jayez nahi.
Kyunke agar wo aisa karta hai tou isne zakaat ada karke apna asal maal bachaya hai jo iski zarurat poora karne ke liye kharch hona tha aur ye jayez aur halaal nahi.
Lekin agar iska kharch zakaat dene wale par wajib nahi toh wo ise zakaat de sakta hai, balke ise zakaat ada karna kisi door wale shakhs ki zakaat dene se afzal wa behtar hai kyunke Nabi kareem ﷺ ka farmaan hai, “Aap ka apne qareebi shakhs ko sadqa dena sadqa bhi hai aur sila rahmi bhi”.
Is bina par walidah ko zakaat deni jayez nahi, balke ap zakaat ke alawa maal se apni walida par kharch kare.

SADQA KHAIRAT

BISMILLAH

Jo Log Aasanee Me Aur Sakhti Ke Mauqa Per Bhi Allah Ke Raaste Men Kharch Karte Hain, Ghussa Peene Wale Aur Logon Se Darguzar Karne Wale Hai,’ Allah Taa’la Un Naik Karo Se Muhabbat Karta Hai.
(Al Quran, Surah Al Imran 3, Ayat 134)
Jo Log Apna Maal Allah Tala Ki Raah Me Kharch Karte Hain Iski Missal Us Dane Jaise Hai Jisme Se Saat Baliyan Nikley Aur Har Baali Me Sau (100)Dane Hon Aur Allah
Tala Jise Chahta Hai Barah Charah Kar De, Aur Allah Tala Kusoodgi Wala Aur Ilm Wala Hai
(Al Quran, Surah Bakra 2, Ayat 261)
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
" Tum Mein Se Har Shaks Se Qayamat Ke Din Allah Taala Is Tarah Baat Karega Ki Bandey Aur Allah Ke Beech Koi Tarjuman(Interpreter) Nahi Rahega
Jab Wo (Banda) Dekhega To Uskey Aagey Koi Cheej Nazar Nahi Aayegi Aur Phir (Dusri Baar) Wo Apney Samney Dekhega To Uskey Samney Aag Hogi
Isliye Tum Mein Se Jo Shaks Bhi Apney Aap Ko Us Aag Se Bacha Sakey To Usey Bachna Chahiye, Chahey Khajur Ka Ek Tukda (Khairat) Dekar Hi Sahi ".
(Sahih Al Bukhari,Vol 8, Hadith 6539)
Aur Usmein Se Kharch Karo Jo Humney Tumhey Rozi Di Hai Is Sey Pahley Ki Kisi Ko Tum Mein Se Maut Aa Jaye To Kahey Ki Aye Mere Rab Tuney Mujhe Thodi Muddat Ke Liye Dheel Kyun Na Di Ki Main Khairat Karta Aur Naik Logon Mein Ho Jata.
(Al Quran , Surah Al-Munafiqoon 63, Ayat, 10)
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki,
" Maal Ko Theli (Bag) Mein Band Karkey Na Rakhna Warna Allah Subhanahu Bhi Uskey Khazaney Mein Tumharey Liye Bandish Laga Dega, Jaha Tak Ho Sakey Logon Mein Khairat Taqseem Kiya Karo".
(Sahih Al Bukhari, Vol 2, Hadith 1434)
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya -
Bewaon Aur Miskeenon Ke Kaam Aaney Wala Allah Ke Raastey Mein Jihad Karney Waley Ke Barabar Hai Ya Raat Bhar Ibadat Aur Din Bhar Roza Rakhney Waley Ke Barabar Hai
(Sahih Al Bukhari, Hadees 5353)
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki
"Khairat Ko Mat Roko Warna Tumhara Rizq Bhi Rok Diya Jayega"
(Sahih Al Bukhari, Vol 2, Hadith 1433)
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Sadqa Karo Kyunki Bahut Jald Logon Par Aisa Zamana Aayega Jab Ek Shaksh Apna Sadqa Lekar Phirega Aur Koi Usey Lene Wala Nahi Milega"
(Sahih Bukhari, Vol 8, Hadith 7120)
Rasoollallah Sallallahualalhi Wasallam Ne Farmaya,
"Raham Karney Walo Par Rahman Bhi Raham Fermata Hai, Tum Zameen Walo Par Raham Karo Tum Par Wo (Allah) Raham Karega Jo Aasman Mein Hai ".
(Sunan Abu Dawud, Vol 3, Hadith 1504)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya -
Dojakh Se Bacho Sadqa Dekar Chahey Khajur Ka Ek Tukda Dekar Hi Sahi Aur Jisey Ye Bhi Na Miley Use Chahiye Ke Achchi Baat Kahkar (Kyunki Achchi Bata Kahna Bhi Sadqa Hai)
(Sahih Al Bukhari, Vol8, Hadith 6563)

ZAKAT INFORM LIST

ZAKAT INFORMATION LIST.📔

Rupees. Rs. Ps.
100.  2. 50
200 5. 00
300 7. 50
400.  10. 00
500. 12. 50
600. 15. 00
700. 17. 50
800. 20. 00
900. 22. 50
1000. 25. 00
1500. 37. 50
2000. 50. 00
2500. 62. 50
3000. 75. 00
3500. 87. 50
4000. 100. 00
4500. 112. 50
5000. 125. 00
🔹5500. 👉137. 50
🔹6000. 👉150. 00
🔹6500. 👉162. 50
🔹7000. 👉175. 00
🔹7500. 👉187. 50
🔹8000. 👉200. 00
🔹8500. 👉212. 50
🔹9000. 👉225. 00
🔹9500. 👉237. 50
🔹10000. 👉250. 00
🔹15000. 👉375. 00
🔹20000. 👉500. 00
🔹25000. 👉625. 00
🔹30000. 👉750. 00
🔹35000. 👉875. 00
🔹40000. 👉1000. 00
🔹45000. 👉1125. 00
🔹50000. 👉1250. 00
🔹55000. 👉1375. 00
🔹60000. 👉1500. 00
🔹65000. 👉1625. 00
🔹70000. 👉1750. 00
🔹80000. 👉2000. 00
🔹90000. 👉2250. 00
🔹1 lakh. 👉2500. 00
🔹2 lakh. 👉5000. 00
🔹3 lakh. 👉7500. 00
🔹4 lakh. 👉10000. 00
🔹5 lakh. 👉12500. 00
🔹6 lakh. 👉15000. 00
🔹7 lakh. 👉17500. 00
🔹8 lakh. 👉20000. 00
🔹9 lakh. 👉22500. 00
🔹10 lakh. 👉25000. 00
🔹20 lakh. 👉50000. 00
🔹30 lakh. 👉75000. 00
🔹40 lakh. 👉1 lakh.
🔹50 lakh. 👉1 lakh 25000
🔹1 caror. 👉2 lakh 50000
🔹2 caror. 👉5 lakh.
Frwded as received ......ye ramzan mein kaam aiga save rakho.
Apna zakat aur fitra muslimano ke bhalai ke liye istmal kare.

TARAWEEH, TAHAJJUD, QIYAM AL LAIL ME FARK

BISMILLAH


ISLAMI SHARAIAH MAI TARAWEEH, TAHAJJUD, QIYAM AL LAIL AUR QIYAM E RAMADAN EK HI NAMAZ KA NAAM HAI.

Qiyam al lail do lafz se bana hai: Pahla Qiyam aur dusra al Lail. Qiyam ka matlab khade hona hota hai aur al Lail ka matlab raat hota hai. Isliye lughat me iska matlab raat ko khade hona hota hai. Lekin Islami Shariah me ye ek Nawafil namaz hai jo Isha ke baad aur fajr se pahle padhi jati hai . Qiyam alfaz diya gaya tha kyuki ek shaks apne nawafil namaz me lambi ayate padhta hai toh khade hona lambe waqt tak ho jata hai. Isi liye is namaz ko Qiyam ul lail kahte hai.

Tahajjud, hajada lafz se aya hai jiska matlab uthna hota hai. Toh jab koi shaks so jata hai aur namaz  padhne ke liye uth ta hai toh is ko tahajjud kahte hai.

Taraweeh: Ye lafz arabic lafz “raahha” se aya hai  jiska matlab aaraam karna hota hai. Kyuki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke kuch nasl ke baad jab log Taraweeh padhte the to char rakat ke baad thoda aaraam karte the. Toh us waqt se ye lafz istemal hone laga Ramadan me Qiyam ul lail ke badle . Ye Taraweeh lafz khas ramadan me jo Qiyam ul lail hota usko kahte hau, gair ramadan ko nahi. Lekin RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke waqt me ye lafz ka istemal nahi hua tha aur na hi sahaba ke waqt me. Isi liye apko Quran aur sunnah me kahi bhi ye lafz nahi milega. Isi liye behtar lafz Qiyam ul lail hai na ki Taraweeh.

Jab Ayesha r.a. se pucha gaya ki RasoolALlah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti thi to unhe saaf saaf sirf ek hi namaz ka zikr kiya. Agar Taraweeh aur tahajjud alag namaz hoti to wo ye zarur puchti ki Raat ke kis namaz ki baat kar rahe hai sahabi:

Abu Salma bin ‘Abdur Rahman r.a. riwayat karte hai ki maine Aisha r.a. se pucha ki RasoolAllah ki Ramadan ki raat ki namaz kaisi hoti? Unhone farmaya ki Ramzaan hota ya gair Ramzaan, Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм gyarah rakat se zyada nai padhte.(Pahle) aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye fir aap char rakat padhte aur us namaz ki lambai aur khubsurti ko mat puchye. Fir (akhir) me ap teen rakat (witr) padhte.

Sahih al Bukhari,hadith-1147,2013,3569.

Is hadith se malum hua ki Tahajjud, Qiyam ul lail, Qiyam e ramzaan aur Namaz e Taraweeh ek hi namaz ke mukhtalif naam hai.

Kuch log kahte hai ki ye tahajjud ki namaz ke bareme hai na ki Taraweeh ki namaz ke bareme to un ke ilm ke izafe ke liye bata du ki Islam ke sabse bade muhaddith, Imam Bukhari, unhone apne kitab e saheeh me is hadith ko Kitab Salat al-Taraweeh (Book of Taraweeh  me likha hai. Aur ek Baat gaur karne wali hai ki RasoolAllah aur sahabao ne “Taraweeh” alfaz kabhi nahi istemal kiya tha ye alfaz baad me istemal kiya gaya tha. Isi Liye hadith ke arabic alfaaz me “Taraweeh” word kahi bhi nahi milega apko.

Aur bhi boht saari ahadiths hai jo kahti hai ki RasoolAllah ne Ramzaan ke raato me sirf ek hi namaz padhi. Agar Taraweeh aur Tahajjud alag alag hota to RasoolAllah dono padhte na ki sirf ek:

Abu Dharr r.a. riwayat karte hai, “Hamne RasoolAllah ke sath roze rakhe, lekin unhone (raat ki) namaz nahi padhi jab tak ke Ramadan ki sat (7) raate nahi bachi. Fir unhone hamari imamat kari yaha tak ke ek tehai raat guzar gai, Fir unhone chathi raat ki namaz me hamari imamat nahi kari. Fir unhone panchwi raat hamari imamat kari yaha tak ke aadhi raat guzar gayi. Hamne daryaft kiya, “Ae Allah ke Rasool kya ap baaki raat ke hisse me hamari imamat nahi karenge”. Unhone farmaya, “Jo shaks Imam ke sath Khada ho kar padhta hai jab tak Imam khatm na karde to Allah (uske aamal me) likhenge ki usne puri raat namaz me guzari.”; Fir unhone hamari imamat nahi karayi jab tak ke teen raat na bach gayi. Fir unhone teesri raat hamari imamat karyi aur unhone apne Gharwalo ko aur apne biwio ko hamare sath namaz padhne ko kaha itni der tak ke hame khatra mahsus hua ki kahi sahri ka waqt na khatm ho jaye.”

Narrated by al-Tirmidhi- 806, Sunan Abu Daud- hadith-1275. Classed as Hasan Saheeh by Imam Tirmidhi and saheeh by al-Albaani.

Agar qayam e Ramadan ke alawa RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм tahajjud bhi padha karte the to fir bataiye ki apne 27wi ramadan ko tahajjud kyu na padhi??

Malum hua ke maahe Ramadan me Tahajjud aur qayam e Ramadan alag alag nahi balki ek hi namaz hai. Sire se mankul hi nahi ki apne Ramadan ul mubarak ki kisi raat ko tahajjud aur qayam e Ramadan ka alag alag intezam kiya ho.

20 Rakat Taraweeh Ke Dalail Ka Tahqiqi Jaiyeza- Usool E Muhaddiseen Ki Roshni Me

Daleel No.1:
حدثنا يزيد بن هارون قال انا إبراهيم بن عثمان عن الحكم عن مقسم عن بن عباس إن رسول الله صلى الله عليه و سلم كان يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر
“Hazrat Abdullah Bin Abbas (Raziallahu Anhu) farmate hai ki beshak Rasoolullah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ramadan main 20 rakat (Taraweeh) aur witr padhte the”.
Sanad: Yazeed Bin Haroon » Ibraaheem Bin Uthmaan » Hakam » Miqsam » Ibn Abbaas (Raziallahu Anhu)
Takhreej:{Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/225, HadithNo.7774), Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No.4615), Taareekh Baghdaad (6/113), (2/45)}
Tahqiq: Yeh hadith jhooti hai kyun ki is hadith main Ibraaheem bin Uthmaan hai.
Ibraaheem Bin Uthmaan Muhadithseen ki nazar main:
1.Imaam Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Siqa nahi hai, Daif.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)} 
2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)} 
3.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha:Muhadithseen ne is say khamoshe ikhtiyaar kiye hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)} 
4.Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
5.Imam Tirmizi (Rahimahullah) ne kaha:Munkar ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)} 
6.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:Matrook ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
7.Daulaabee ne (Rahimahullah) kaha:Matrook ul hadith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
8.Imaam Abu Haatim (Rahimahullah) ne kaha:Daeef aur Muhadithseen ne is say khamoshe ikhtiyaar kiye hai aur chood diyaga hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)} 
9.Juzjaanee (Rahimahullah) ne kaha:Aatibar say gira hua hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
10.Saaleh Jazrah (Rahimahullah) ne kaha:Bohut daaef hai aur iski hadith likhe hi na jaye.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
11.Abu Alee Neesaabooree (Rahimahullah) ne kaha:Kamzoor hai.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/144)}
12.Imaam Shu’bah (Rahimahullah) ne kaha:Kazzab.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
13.Ibn Sa’ad (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
14.Daarqutnee (Rahimahullah) ne kaha:Daeef.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
15.Ibn Al-Mubaarak (Rahimahullah) ne kaha:Choodo isko.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
16.Abu Taalib (Rahimahullah) ne kaha Imam Ahmad ne kaha:Mukar ul haidith.{Tahzeeb At-Tahzeeb (1/145)}
17.Imam Aqeli (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya hai.{Daifa, 1/59, no.54
18.Imaam Baihaqee (Rahimahullah) ne kaha: Daeef.{Sunan al-Kubraa (2/496)} 
19.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne kaha:Is ne kuch nahi suna hai Al-Hakam Say Siwaye ek hadith k .{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}
Ibn Aadi (Rahimahullah) ne isko Al-Kamil (1/521) mein b zikr kiya hai.
20.Imam Nawawi (Rahimahullah) ne kaha: In ke daif hone par itifaaq hai.{Shara Sahih Muslim, Mukdima, 1/64} 
21. Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha:Is ke daeef hone par ijma hai.{Deewaan adh-Dhu’afaa Wal-Matrookeen (1/52 no.211)}
22.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Matrook -ul-hadith.{Taqreeb At-Tahdheeb (No.217, PageNo.112)}
23. Hafiz Al-Haithamee (Rahimahullah) ne kaha:Matrook.{Majma’a Az-Zawaa’id (6/153, Hadithno.10058)}
24.Imaam Suyootee (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.{Jame’a Al-Ahadith (10/144, no.9281)}
25.Imam Muhammad Bin Tahir Makdasi (Rahimahullah) ne kaha:Matrook-ul-Hadith.{Zakheeratal Hifiz (2/847, Hadith no.1687) }
Is hadith ko daif kahne walay Muhadithseen yeh hai:
1.Imam Aadi (Rahimahullah) ne is hadith ko Al-Kamil mein zikr kiya hai.{Al-Kamil (1/524, no.1461)}
Note:Alama Aine (Rahimahullah) ne kaha Ibn Aadi ne Al-Kamil mein is hadith ko munkar karar diya.{Umdatul Qari (11/168)}
2.Imam Bahqee (Rahimahullah) ne is hadith ko nakal kar k farmaya:”Abu Shaybah Ibraaheem Bin Uthmaan is hadith ko bayaan karne main munfarid hai aur yeh daeef hai”.{Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No. 4615)}
3.Imam Mizzi (Rahimahullah) farmate hai: Iski munkar riwayat mein say ek wo bhi hai jis mein hai kii Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ramzaan mein 20 rakaatein pada karte thy.{Tahzeeb-ul-Kamaal (2/149)}
4.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne is hadith ko munkar karar diya hai.{Meezan-ul-Atidaal (1/48)}
5.Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: “Is hadith ki sanad daeef hai aur yeh hadith Aisha (raziallahu anha) ki hadith ke khilaaf hai jo Sahih Bukhari main hai”. {Fath ul Bari, Kitab ul Salat ul Taraweeh, Vol. No.4, Page No. 322, Hadith No 2013}
6.Hafiz Haisami (Rahimahullah) ne daif karar diya hai.{Majma’a Az-Zawaa’id (3/402, Hadith no.5018) }
7.Imaam Suyootee (Rahimahullah) ne farmate hai: Yeh hadith sakhat tareen daif hai, is say hujjut wa dalil qayim nahi ho sakhti.{ Al-Masaabih fi Salaat at-Taraweeh (Safa no.17) }
Hanafi Ulma ne b is hadith ko daif karar diya hai:
1.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha: Yeh riwayat Abu Shaiba Ibrahim Bin Usmain rawee ki waja say ma’alool (daif) hai jo kii Imam Abu Bakr Bin Abi Shaiba k dada hai, in ke daif hone par itifaaq hai, Imam Aadi ne bhi Al-Kamil mein inko kamzoor karar diya hai phir yeh us sahih hadith k mukhalif bhi hai jis mein Abu Salma Bin Abdur Rahman ne Hazrat Aisha se Rasoolullah ki ramzaan mein namaz ke bare mein sawal kiya toh Sayeda Aisha ne farmaya: Aap ramzaan ya ghair ramzaan mein 11 rakaat say zeyada nahi padte thy.{ Nasb ur-Rayaa (2/153) }
2.Anwar Shah Kashmiri farmate hai: 8 rakaat (nimaz-e-taraweeh) Rasoolullah say sahih sabit hai aur jo 20 rakaat ki riwayat hai wo daif hai aur is ke daif hone par itifaaq hai. { Al-Urf Shazee (Safa no.209) }
3. Ibn Abideen Shaami Hanafi farmate hai: Yeh hadith daif hai kyunkii is mein rawee Abu Shaiba bil-itifaaq daif hai, saath saath yeh hadith sahih hadith ke b khilaaf hai.{ Minhat ul-Khaaliq (2/66) }
4. Abd ush-Shakoor Deobandi ne kaha: Agarchee Nabi say 8 rakaat taraweeh masnoon hai aur ek daif rewayat mein Ibn Abbas say 20 rakaat b, magar…….. { Ilm alFiqh (Safa no.197) }
5.Muhammad Taqi Usmani Deobandi ne kaha: Laykin yeh Ibrahim Bin Usmain ki wajah se daif hai. {Dars-e-Tirmizi (3/304)}
6.Tahtawi ne Hashaya Maraqi Al-Falaha (Safano.411) mein.
7.Rasheed Ahmad Gungohi ne Al-Rai Ajya Mandarja Majmua’a Resala (Safa no.180) mein.
8.Mufti Kifayatulla ne Kifayatal Mufti (3/351,354,359,363) mein.
9.Abdul Hay Lakhnawi ne Al-Ta’aleequl Mamjad (142) Wa Tahfatul Aakhir (Safa no.50) mein.
10.Alama Nimawee ne Aathaar as-Sunan (Safano.254) mein.
11.Shabir Ahmad Usmani ne Fathul Mulheem (2/320) mein.
12.Khair Muhammad Jalandari ne Khairul Masabiha Mandarja Khairul Fatawa (2/587) mein.
13.Muolana Muhammad Zakriha ne Aw Juz Al-Masaliq (1/397) mein.
14.Muhammad Yousuf Banori ne Marifatus Sunan (2/546) mein.
15.Mufti Yaar Khan Barelwi ne Ja Al-Haq (2/243) mein Imam Tirmidhi say nakal kiya hai kii Ibrahim Bin Usmaan Abu Shaiba munkarul hadith hai.
16.Ghulam Rasool Sa’ayedi Barelwi ne Shara Sahih Muslim (2/496) mein.
17.Muhammad Shareef Barelwi ne Dalail Al-Masail (91) mein.

Daleel No.2:
حدثنا أبو الحسن علي بن محمد بن أحمد القصري الشيخ الصالح رحمه الله حدثنا عبد الرحمن بن عبد المؤمن العبد الصالح قال أخبرني محمد بن حميد الرازي حدثنا عمر بن هارون حدثنا إبراهيم بن الحناز عن عبد الرحمن عن عبد الملك بن عتيك عن جابر بن عبد الله قال خرج النبي صلى الله عليه و سلم ذات ليلة في رمضان فصلى الناس أربعة وعشرين ركعة وأوتر بثلاثة
“Sayedina Jabir (Raziallahu Anhu) say rewayat kii Ramzan mein ek raat Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм bahar tashreef laaye aur Sahaba Kiraam ko 24 rakaate padaye aur 3 rakaat witr padaye”.
Sanad: Abul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Ahmad Al-Qasri Sheikh Saliha – Abdur Rehman Bin Abdul Mawmin Al-Abdul Saliha – Muhammad Bin Humaid Ar-Razi – Umar Bin Yaroon – Ibrahim Bin Al-Janaaz – Abdul Muluk Bin Ateeq.
Takhreej:{ Taareekh Jarjaan (Safa no.275, Hadithno.556)}
Tahqiq:Yeh jhooti riwayat hai kyun kii Muhammad Bin Humaid Ar-Razi aur Umar Bin Haroon Al-Balkhi dono kazzab hai.
۞ Muhammad Bin Humaid Ar-Razi Muhadithseen ki nazar main:
1.Yaqoob Bin Shaiba (Rahimahullah) ne kaha: Kaseerul Manakeer.
2.Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: Fee Hee Nazar.
3.Abu Zura Razi (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab.
4.Kosaj (Rahimahullah) ne kaha: Main gawahi deta hoon kazzab hai.
5.Ibn Kharaash (Rahimahullah) ne kaha: Allah ki kasam Kazzab hai .
6.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Siqah nahi hai.
7.Saliha Juzra (Rahimahullah) ne kaha:Main ne Ibn Shaaz Kufi aur Ibn Humaid say bad kar kise ko jhoot par dilear nahi dekha.
Mezaan-ul-Atidaal, 3/530, no.7453.
۞ Umar Bin Haroon Al-Balkhi par Muhadithseen ki jarah:
1.Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Kazab Khabees, Koi cheez nahi hai. 
2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
3.Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha: Bohut Kamzoor hai.
4.Ibn Mahdi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
5.Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
6.Saliha Jazra (Rahimahullah) ne kaha: Kazab.
7.Abu Ali Nasaburi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook.
8.Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha: Gair Siqa hai.
9.Darqutni (Rahimahullah) ne kaha: Bohut Kamzoor hai.
10.Zaqriya Asaji (Rahimahullah) ne kaha: Daif.
Mezaan-ul-Atidaal, 3/228, no.6237.
11.Asabahani (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya. {Daifa Lil Asabahani,1/113, no.152}
12.Ijli (Rahimahullah) ne kaha: Daif. {Marifat-ul-Siqaat, 2/171, no.1364}
13.Abu No’aam Asbahani (Rahimahullah) ne kitab-ul-daifa mein zikr. {Kitab-ul-Daifa, 1/113, no.152}.

Daleel No.3:

وحدثني عن مالك عن يزيد بن رومان أنه قال :كان الناس يقومون في زمان عمر بن الخطاب في رمضان بثلاث وعشرين ركعة

“Yazeed Bin Ruman farmate hai kii log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ke zamane main Ramadan main 23 rakat padhte the”.
Sanad: Yahya » Malik » Yazid Ibn Ruman.
Takhreej: {Muwatta Imam Malik (1 /159 HadithNo.380), Sunan Al-Kubraa (2/699, Hadith No. 4618)}
Tahqiq:Yeh hadith Daeef hai kyun ki sanad main inqata’a hai, yani Rawi ne jinke bareme hadith kahi unka zamana nahi paya hai :
1.Imam Bahaqi (Rahimahullah) farmate hai:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya.{Nasb ur-Rayaa (2/54), Umdatul Qari (5/267), Khulasatal Ahkaam (no.588)}
2. Shaikh Nimawee Hanafee ne kaha :Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya. {Aathaar as-Sunan,Hasha:pg.253
3.Alama Ainee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha:Yeh hadith Daeef hai is ki sanad munqati hai. {Umdatul-Qaaree Sharh Saheeh al-Bukhaari (11/ 127))} 
4.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya. {Nasbul Raya: 2/154}
5.Kabeeree kitab likhne wala Hanafee ulma ne kaha:Yazid Ibn Ruman ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) say mulaqat nahi kiye, yeh asar munqat’ha hai. {Kabeeree (pg.351)} 
6.Imam Nawawi (Rahimahullah) ne kaha:Yeh hadith Daeef hai. {Al-Majmu’ sharh al-Muhadhdhab (4/33)}
7.Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha:Yazid Ibn Ruman sika hai aur 5th level ka rave hai aur wafat 130 Hijri main hue”. {Taqreeb At-Tahdheeb (2/323)}
Muqaddimah Taqreeb At-Tahdheeb (1/25) main Haafidh ne sarahat kiye hai:”5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhone ek do sahaba ko dekha hai aur zyada say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii: “Ulma ka itifaaq hai kii munkati rivayat Daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii: “Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”. {Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}
Imam Shafi (Rahimahullah) farmate hai: Humaray ilm k mutabiq kise ne bhi baday tab’een ke ilawah (Chotay Tab’een ki) mursal rewayat ko kobool nahi kiye.
{Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.37), Al-Ba’ith Al-Hathith Shara Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.46)}
Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith ke khilaaf bhi hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai.

Daleel No.4:

حدثنا وكيع عن مالك بن أنس عن يحيى بن سعيد أن عمر بن الخطاب أمر رجلا يصلي بهم عشرين ركعة

“Yahyaa Bin Sa’eed farmate hai ki Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ne ek adami ko hukum diya kii logu ko 20 rakat padawo”.
Sanad: Waqi’i » Malik Bin Anas » Yahyaa Bin Sa’eed.
Takhreej: Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/223, HadithNo.7764).
Tahqiq:Yeh hadith bhi daeef hai kyun kii sanad main inqata’a hai:
1. Nimawee Hanafe ne kaha: Main kahta hoon is hadith ke sab rawee sikah hai magar Yahyaa Bin Sa’eed ne Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ka zamana nahi paaya. {Aathaar as-Sunan, Hasha:pg.253, HadithNo.780}. 
2.Imaam Ibn Hazam (Rahimahullah) ne kaha: Yahyaa Bin Sa’eed, Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ki wafat k 25 saal baad paida hue. {Al-Muhallaa (10/60 ya 10/293, Masla No.1899)}.
3.Haafidh Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: “Yahyaa Bin Sa’eed Bin Qais Al-Ansaari Al-Madanee sikah, dabit hai aur 5th level ka rave hai aur wafat 144 Hijri main hue ya is ke baad. {Taqreeb At-Tahdheeb (2/303)}
Muqaddimah Taqreeb At-Tahdheeb (1/25) main Haafidh ne sarahat kiye hai: “5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhune ek do sahaba ko dekha hai aur zeada say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.
4. Allaamah Al-Mubaarakpooree ne bhi Nimawee Hanafe ka kaul bayaan kiya hai aur is kaul say mutmayan hai.{Tuhfatul-Ahwadhee (3/445)} 
5.Allaamah Al-Albaanee ne kaha: Yeh sanad munqat’a hai. {Salaatul-Taraaweeh (Safa no.54-55)}
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati revayat daeef hote hai”.{Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}
Imam Shafi (Rahimahullah) farmate hai: Humaray ilm k mutabiq kise ne b baday tab’een ke ilawah (Chotay Tab’een ki) mursal riwayat ko kobool nahi kiye.
{Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.37), Al-Ba’ith Al-Hathith Shara Ikhtisar Aloom-ul-Hadith (Safa no.46)}
Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith ke khilaaf b hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai .

Daleel No.5:

وقد أخبرنا أبو عبد الله الحسين بن محمد بن الحسين بن فنجويه الدينوري بالدامغان ثنا أحمد بن محمد بن إسحاق السني أنبأ عبد الله بن محمد بن عبد العزيز البغوي ثنا علي بن الجعد أنبأ بن أبي ذئب عن يزيد بن خصيفة عن السائب بن يزيد قال : كانوا يقومون على عهد عمر بن الخطاب رضي الله عنه في شهر رمضان بعشرين ركعة قال وكانوا يقرؤون بالمئين وكانوا يتوكؤن على عصيهم في عهد عثمان بن عفان رضي الله عنه من شده القيام

“Saa’ib Bin Yazeed (Raziallahu anhu) farmate hai ki log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ke zamane main 20 rakat taraweeh padte the aur yeh bhi farmaya Qari hazraat 100, 100 aayati tilawat karte aur Hazrat Usmaan (raziallahu anhu) ke dour main chadiyo ya laatheeyo ka sahara lete”.
Sanad: {Abu Abdullaah Al-Hussain Ibn Muhammad Ibn Al-Hussain Finjuwayah Ad-Dinawaree » Ahmad Ibn Muhammad Ibn Ishaaq As-Sunnee » Abdullaah Ibn Muhammad Ibn Abdul Azeez Al-Baghawee » Ali Ibn al-Ja’ad » Ibn Abee Dhi’b » Yazeed ibn Khaseefah » Saa’ib ibn Yazeed}
Takhreej: {Sunan Al-Kubraa (2/698-699, Hadith No. 4617), Masnad Ali Bin Ja’ad (Page No. 413, Hadith No. 2825)}
Tahqiq:Ye hadith munkar aur shaaz hai kyun ki:
1. Abu Abdullaah Al-Hussain Ibn Muhammad Ibn Al-Hussain Finjuwayah Ad-Dinawaree :
Imaam Zahabi (Rahimahullah) kahte hai:” Sherwiyyah ne apne taareekh main kaha hai ki Finjuwayh Ad-Dinawaree sika hai, sacha hai lekin bohut mukar hadith bayaan karta tha”. {Siyar A’laam an-Nabula (17/384, no.224)}
2. Yazeed Ibn Khaseefah :  “Agarchee Yeh sika hai magar Al-Aajuri ne kaha Abu Dawud ne kaha Ahmad Bin Hanbal ne isko mukar ul hadith kaha hai {Tahzeeb Ul Tahzeeb (11/298, no.553)} aur Imaam Dhahabee ne apne kitab Al-Kashif (2/385, no.6326) main kaha ki Yazeed Ibn Khaseefah siqah hai, bohut ibadat guzaar hai laykin Ahmad Bin Hanbal ne isko mukar ul hadith kaha hai .
3. Yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith ke khilaaf b hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai aur Muwatta Imam Maalik ki is hadith ke sab rave bohut mazbhoot hai (Sab rawee Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ke hai) Sunan Al-Kubraa ki is hadith ke mukabalay main. Yazeed Ibn Khaseefah apne say zyada mazbhoot rawee ( Muhammad Ibn Yoosuf) ki mukhalfat karta hai. Is liye yeh rivayat shaaz hai. Muhammad Ibn Yoosuf, Saa’ib Ibn Yazeed (raziallahu anhu) ka poota hai aur zyada Qawi bhi iski hi hadith hogi.
4. Is hadith mein Hazrat Umar (Raziallahu anhu) ka hukum nahi hai jabki Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith mein Hazrat (Umar Raziallahu Anhu) ka hukum maujood hai.
5. Agar is hadith ko sahih bhi maan liya jaye toh kya Wo sab 20 rakat taraweeh sunnate muokkada samajh kar padte the iska koi soboot nahi. Humaray nazdeek 20 rakat taraweeh padna jaiyez hai kyunkii is mein gunjayish hai magar 20 rakaat taraweeh ko sunnate muokkada kahna galat hai.

Daleel No.6:

أخبرنا أبو طاهر الفقيه قال : أخبرنا أبو عثمان البصري قال : حدثنا أبو أحمد محمد بن عبد الوهاب قال : أخبرنا خالد بن مخلد قال : حدثنا محمد بن جعفر قال : حدثني يزيد بن خصيفة ، عن السائب بن يزيد قال : « كنا نقوم في زمان عمر بن الخطاب بعشرين ركعة والوتر 

” Saa’ib Ibn Yazeed (Raziallahu Anhu) faramte hai ki hum log Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ke daur main 20 rakat taraweeh aur witr padte the”.
Sanad: Abu Tahir Al-Faqeeh » Abu Usmain Al- Basri » Abu Ahmed Muhammad Bin Abdul Wahhab » Khalid Bin Makhlad » Muhammad Bin Jafar » Yazeed Ibn Khaseefah » Saa’ib ibn Yazeed.
Takhreej: Marifatul Sunan wal Asaar Lil Bahaqi (4/207, Hadith no. 1443).
Tahqiq:Ye hadith munkar aur shaaz hai kyun ki:
۞ Is hadith main Yazeed ibn Khaseefah rawee hai. (Dekheye Daleel no.4)
۞ Khalid Ibn Makhlad Abul Haysami Al Bajalee:
1. Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: “Is ke pass kuch munkar rivayate hai”. {Jarah Wa Tadeel (3/354, no.1599)}.
2.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne Is ki 10 riwayate munkar bayaan kiye hai.{Al-Kamil (3/462, no.595)}
3. Muhammad Ibn Saeed (Rahimahullah) ne kaha: “Yeh rawee mukar ul hadith hai aur sheyat main bohut aagay guzra gaya tha. {Mezaan-ul-Atidaal (1/640, no.2463)} 
4.Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: ” Khalid Ibn Makhlad Abul Haysami Al Bajalee sodook hai, Sheya hai aur is ki aakaylee kuch ahadith hai. (Afrad :matlab saaz ahadith hai).{Taqreeb At-Tahzeeb (1/263,no.1682)}.

Daleel No.7:

الحارث بن عبد الرحمن بن أبي ذباب عن السائب بن يزيد قال كان القيام على عهد عمر بثلاث وعشرين ركعة

“Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab say marve hai kii Saa’ib ibn Yazeed (Raziallahu Anhu) farmate hai kii Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) k door main log 20 rakat taraweeh aur witr padte thy”.
Sanad: Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab » Saa’ib ibn Yazeed.
Takhreej: Umdatul-Qaaree (17/157), Al-Tamheed (8/114).
Tahqiq:Yeh rewayat Daif hai kyunki:
1. Is rewayat mein Inqita hai kyunki:
Imam Abu Umar Yusuf Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ki paidayesh 368 Hijri mein hue hai aur Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab ki wafaat 146 Hijri mein hue hai. {Taqreeb At-Tahzeeb (1/175,no.1033)}
Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ne Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab tak sanad bayaan nahi kiye hai. {Al-Tamheed (8/114)}
2. Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab ka hafiza kamzoor tha:
Jarah:
1. Ibn Abee Haatim (Rahimahullah) apne walid say nakal karte hai ki yeh Darwardee say munkar riwayat bayaan karta hai aur yeh qawi nahi hai aur kaha is ki hadith bas likhee jaye. {Al-Jarah Wa Tadeel (3/80,no.365)}
2. Ibn Hazm (Rahimahullah) ne kaha: Daeef. {Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
3. Imam Malik (Rahimahullah) ke nazdeek qabil-e-atimaad nahi hai aur na in say rewayat liye hai. {Tahdheeb At-Tahdheeb (2/128, no.249) }
4. Ibn Sa’id (Rahimahullah) ne kaha: Qalilul Hadith (Inki kam ahadith hai). {Tahdheeb At-Tahdheeb (2/128, no.249) } 
5. Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Sacha hai magar waham karta tha. {Taqreeb At-Tahdheeb1/175,no.1033}
6. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha:” Is ki yadash kharaab thee”.{Salaatul-Taraaweeh (pg.52)}
Tadeel:
1.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Mashoor.{Al-Jarah Wa Tadeel (3/80, no.365)}
2.Imam Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha: Koi harij nahi. {Al-Jarah Wa Tadeel (3/80, no.365)}
3.Abu Zurah (Rahimahullah) ne kaha: Koi Harij nahi.{Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
4.Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Koi harij nahi.{Mezaan-ul=Atidaal (1/437, no.1629)}
5.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kitab-ul-siqaat mein zikr kiya hai.{Kitab-ul-Siqaat (6/172, no.7214)}
6.Imam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Siqa.{Mezaan-ul-Atidaal (1/437, no.1629)}
Maloom Al-Haarith Bin Abdur-Rahmaan Bin Abee Dhubaab agarchee siqa hai magar yeh munkar riwayaat bhi bayaan karta hai aur waham b karta hai lihaza yeh rewayat daif hai kyunkii yeh hadith Muwatta Imam Maalik ki sahih hadith k khilaaf hai jis main 11 rakat ka zikir aaya hai.

Daleel No.8:

حدثنا حميد بن عبد الرحمن عن حسن عن عبد العزيز بن رفيع قال كان أبي بن كعب يصلي بالناس في رمضان بالمدينة عشرين ركعة ويوتر بثلاث

“Abdul-Azeez Bin Rufa’e farmate hai kii Hazrat Ubayy Bin Ka’ab Ramadan mubarak ke dooran Madina main logu ko 20 rakat taraweeh aur witr padate thy”.
Sanad: Humaid Bin Abdur-Rehman » Hassan » Abdul-Azeez Bin Rufa’e.
Takhreej: {Musannaf Ibn Abi Shaybah (5/224, HadithNo.7766)}
Tahqiq: Yeh hadith Daeef hai kyun kii sanad main inqata’a hai:
1. Nimawee Hanafe ne kaha:Abdul-Azeez Bin Rufa’e ne Hazrat Ubayy Bin Ka’ab ko nahi paaya. {Aathaar as-Sunan, Safa no.253}.
2. Allaamah al-Mubaarakpooree (Rahimahullah) ne bhi Nimawee Hanfee ka kaul bayaan kiya hai aur is kaul say mutmayan hai. {Tuhfatul-Ahwadhee (3/445)}
3. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha: Abdul-Azeez Bin Rufa’e aur Ubayy bin Ka’ab k darmiyaan 100 saal ka faasla hai. {Salaatul-Taraaweeh (Page No. 67-68)}
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii:” Ulma ka itifaaq hai kii munkati riwayaat Daeef hote hai”. {Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}.

Daleel No.9:

أخبرنا أبو عبدالله محمود بن أحمد بن عبدالرحمن الثقفي بأصبهان أن سعيد بن أبي الرجاء الصيرفي أخبرهم قراءة عليه أنا عبدالواحد بن أحمد البقال أنا عبيدالله بن يعقوب بن إسحاق أنا جدي إسحاق بن إبراهيم بن محمد بن جميل أنا أحمد بن منيع أنا الحسن بن موسى نا أبو جعفر الرازي عن الربيع بن أنس عن أبي العالية عن أبي بن كعب أن عمر أمر أبيا أن يصلي بالناس في رمضان فقال إن الناس يصومون النهار ولا يحسنون أن ( يقرؤا ) فلو قرأت القرآن عليهم بالليل فقال يا أمير المؤمنين هذا ( شيء ) لم يكن فقال قد علمت ولكنه أحسن فصلى بهم عشرين ركعة

“Hazrat Umar (Raziallahu Anhu) ne Ubayy Bin Ka’ab ko hukum farmaya kii ramzan main logu ko namaaz padhawo toh Ubayy bin Ka’ab ne 20 rakat padaye”.
Sanad: Abu Ja’afar Ar-Raazee » Rabee’a bin Anas » Abee A’aaliyyah » Ubayy bin Ka’ab.
Takhreej: {Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Lil Maqdisee 3/367, Hadith no.1161}
Tahqiq:Yeh hadith Daeef hai kyun ki Abu Ja’afar Ar-Raazee (Eesaa Bin Abee Eesaa Bin Mahhaan) Daeeef hai.
Jarah:
1. Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Hadith mein qawi nahi hai. {Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319,no.6595)}
2. Imam Ali Bin Madine (Rahimahullah) ne kaha: Siqah hai magar galtiya karta hai, Aur kaha: Iski hadith toh likhi jayege magar yaad rakho yeh galtiya karta hai. {Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
3. Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: Iski hadith likhe jayege magar yeh galtiya karta hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/49, no.8347)}
4. Imam Falaas (Rahimahullah) ne kaha: Is ka hafiza kharaab tha. {Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
5. Imam Abu Zur’ah (Rahimahullah) ne kaha:Kaseer ul waham hai. {Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
6. Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha:Qawi nahi hai. {Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
7. Imam Umaro Bin Ali (Rahimahullah) ne kaha: Daif aur wo sachho mein hai magar hafiza kharaab tha. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
8.Imam Ibn Kharash (Rahimahullah) ne kaha: Sacha hai magar iska hafiza kharaab tha.{Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
9.Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kaha: Yeh mashoor rawiyo say munkar riwayat bayaan karta tha, iski riwayat say dalil pakadna mujko pasand nahi hai ila yeh kii wo aise riwayat bayaan karay jo motabar rawiyo ke mutabiq ho, iski riwayat par atibaar karna theek nahi ila jo motabar rawiyu ke mutabiq ho. {Al-Majroheen (2/120)}
Ibn Hibban (Rahimahullah) ne Rabee’a Bin Anas k mutaliq farmaya: Iski marwiyat say muhadithseen kiraam bachte the jo is se Abu Jafar Razi ke waste se hai kyunkii Abu Jafar ne jo us se riwayaat nakal kiye hai in mein se kasrat say iztiraab hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (3/207, no.464)}
Note: Abu Jafar ne yeh riwayat Rabee’a Bin Anas say bayaan kiye hai.
10.Imam Al-Ijli (Rahimahullah) ne kaha: Qawi nahi hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
11. Ibn Qayyim (Rahimahullah) ne Zaad al-Maa’ad (1/99) main kaha sahib-ul-manakir aur jab aakayla hadith bayaan kare toh is ki rivayat ko kabil-e-sehat hargiz nahi samja jata hai. 
12. Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Sacha magar iska hafiza kharaab tha. {Taqreeb At-Tahzeeb (3/376)}
13. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne Salaatul-Taraaweeh (pg.69-70) kaha Daeef.
Tadeel:
1.Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha:Siqa. {Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
2.Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Hadith mein acha hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/49,no.8347)}
3.Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha: Siqa, Sacha hai.{Al-Jarah Wa Tadeel (6/281, no.1556), Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
4.Zakriya Sa’aji (Rahimahullah) ne kaha:Sacha hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
5.Ibn Aadi (Rahimahullah) ne kaha:Iski hadith achi hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
6.Ibn Sa’id (Rahimahullah) ne kaha:Siqah hai. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
7.Ibn Umaar Al-Mosali (Rahimahullah) ne kaha:Siqah. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
8.Imam Hakim (Rahimahullah) ne kaha:Siqah. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
9.Ibn Abdul Barr (Rahimahullah) ne kaha:Siqah. {Tahzeeb At-Tahzeeb (12/50, no.8347)}
10.Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Hadith mein acha hai. {Meezan-ul-Atidaal (3/319, no.6595)}
Maloom Abu Jafar agarche sachha hai magar bohut galtiya karta tha aur Abu Jafar jab Rabee’a Bin Anas se riwayat toh un mein bohut iztiraab paya jata hai lihaza yeh riwayat Daif hai.

Dalil no.10:

وفي سنن أبي داود: يونس بن عبيد، عن الحسن أن عمر بن الخطاب جمع الناس على أبي بن كعب في قيام رمضان، فكان يصلي بهم عشرين ركعة

Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) say riwayat hai ki Hazrat Umar (Radiallahu Anhu) ne logo ko Hazrat Ibi Abi Ka’ab (Radiallahu Anhu) ki imamat par jam’a kiya, Wo logu ko 20 rakaat padhate thy.
Sanad: Shuja’a Bin Makhlad » Husham » Younis Bin Ubaid » Hassan.
Takhreej: {Sunan Abu Dawud, Siyar A’laam an-Nabula (1/400-401), Jami’a Al-Masaneed Wal Sunan (1/55)}
Tahqiq:Yeh hadith Daeef kyunkii:
1. Is hadith mein Deobandiyo ne tahreef kiye hai, “20 Rakaat” nahi hai “20 Raatein” hai. Sunan Abu Dawud ke tamam nusku mein 20 raatein hi hai. Haal hi mein Muhammad Uwama ki tahqiq say jo Sunan Abu Dawud ka nuskha publish hua hai jis mein 7, 8 nuskhu ko saamne rakhagaya hai, us mein 20 raatein hi hai, Muhammad Uwama likhte hai: Saray ke saray bunyaadi nuskhu mein yahi alfaaz hai. {Sunan Abu Dawud (2/256)}
20 Raatein hi hai is par bohut zabardast dalil yeh hai ki Imam Bahaqi (Rahimahullah) ne yahi riwayat Imam Abu Dawud (Rahimahullah) ki sanad say zikr kiya hai aur us mein bhi 20 Raatein ke alfaaz hai. {Sunan Al-Kubra (2/498, Hadith no.4814)}.
Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) { Nasb ur-Rayaa (2/126) }, Hafiz Al-Manzari (Rahimahullah) {Mukhtasar Sunan Abu Dawud (3/125)}, Imam Wali Deen Tabrizi (Rahimahullah) {Mishkaat Al-Masabih (1/288, Hadith no.1293)}, Ibn Kathir (Rahimahullah) {Masnad Farooq (1/187)}, Imam Zahabi (Rahimahullah) {Al-Mazhab Fi Ikhtisaarul Sunan Al-Kabeer (2/464)}, Alama Aaine (Rahimahullah) {Shara Sunan Abu Dawud (5/342)} ne 20 raatein hi zikr kiya hai.
Agar koi kahte hai Imam Zahabi (Rahimahullah) aur Imam Kathir (Rahimahullah) ne 20 rakaat ke alfaaz zikr kiye hai toh iska jawab hai:
1. Jab yeh alfaaz Sunan Abu Dawud ke motabar nuskhu mein nahi hai toh In ke hawalaat pesh karna theek nahi hai ya yeh kitabat ki galti ho ya Imam Zahabi aur Imam Ibn Kathir se galti hui hoon.
2. Imam Zahabi (Rahimahullah) ne Al-Mazhab Fi Ikhtisaarul Sunan Al-Kabeer (2/464) mein aur Ibn Kathir (Rahimahullah) ne {Masnad Farooq (1/187)} mein 20 raatein zikr kiya hai .
3. Sunan Abu Dawud ki is hadith mein saaf maloom hota kii yeh 20 raatein hai nakii 20 rakaat hai.
4. Is hadith ki sanad munqata hai kyunkii Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) ne Hazrat Umar ka zamana nahi paaya hai. Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne Nasb ur-Rayaa (2/126) mein aur Alama Aaine (Rahimahullah) ne Shara Abu Dawud (5/343) mein kaha hai : Hazrat Hassan Basri (Rahimahullah) ne Hazrat Umar ka zamana nahi paaya.
5. Hassan Basri (Rahimahullah) mudalis bhi the aur riwayat “An” se hai. {Tabqaat-ul-Mudaliseen, Safano.29, Tabqa no.2, Rawe no.40}.

Daleel No.11:

أَخْبَرَنَا أَبُو الْحُسَيْنِ بْنُ الْفَضْلِ الْقَطَّانُ بِبَغْدَادَ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنِ عِيسَى بْنِ عَبْدَكٍ الرَّازِىُّ حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ : عَمْرُو بْنُ تَمِيمٍ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ يُونُسَ حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ شُعَيْبٍ عَنْ عَطَاءِ بْنِ السَّائِبِ عَنْ أَبِى عَبْدِ الرَّحْمَنِ السُّلَمِىِّ عَنْ عَلِىٍّ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ : دَعَا الْقُرَّاءَ فِى رَمَضَانَ ، فَأَمَرَ مِنْهُمْ رَجُلاً يُصَلِّى بِالنَّاسِ عِشْرِينَ رَكْعَةً. قَالَ : وَكَانَ عَلِىٌّ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ يُوتِرُ بِهِمْ.

“Ramzan mubarak main Hazrat Ali (Radiallahu Anhu) ne qariyeen hazraat ko bulaya aur un main say ek aadami ko hukum farmaya ki wo logu ko 20 rakat taraweeh padaya kare aur khud Hazrat Ali namaz-e-witr padaya karte the”.
Sanad: Abul Hassan Bin Al-Fazal Al-Qattan » Muhammad Bin Ahmad Bin Aayase Bin Aabadak Al-Razi » Abu Aamir UmaroBin Tamyam » Ahmad Bin Abdula Bin Younis » Hammaad Bin Shu’ayb » A’taa Bin Saa’ib » Abu Abdur-Rahmaan As-Silmee » Hazrat Ali(raziallahu anhu) }
Takhreej:{Sunan Al-Kubraa (2/698-699, Hadith No. 4620)}
Tahqiq: Yeh hadith Daeef jiddan hai kyun kii:
۞ Hammaad Bin Shu’ayb:
1. Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne kaha: “Daeef hai aur Yahyaa ne ek martaba kaha is ki rivayat na likhee jaye”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
2. Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: “Fee Hee Nazar”. {Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962), Taareekh Kabeer (3/25 no.101)}
3. Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: “Daeef”. {Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)}
4. Ibn Aadee (Rahimahullah) ne kaha: “Is ki bayaan karda aksar rivayate aise hai jin par is ki mutabiaat nahi kiya jayega”. {Leesaan ul-Meezaan (2/395no.2962)}
5. Abu Haatim (Rahimahullah) ne kaha: “Ghair qawi”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)} 
6. Abu Zur’ah ne (Rahimahullah) kaha: “Daeef”.{Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)} 
7. Ibn Al-Jarood ne Imam Bukhari (Rahimahullah) say nakal kiye hai ki yeh  “Mukar-Ul-Hadith” hai. {Leesaan ul-Meezaan (2/395 no.2962)} 
8. Saajee (Rahimahullah) ne kaha: “Is ki hadith main kamzori hai”. {Meezaan ul-Ei’tidaal (2/366 no.2257)} 
9. Imam Aqili (Rahimahullah) ne daifa mein zikr kiya. {Daifa (1/311, no.381)}
10. Imam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: Daif.{Mustadrak Ala-Sahihyeen Talkhees (3/582, Hadith n.6158), Seer Alamul Nubla (2/600)}
11. Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Bohut daif hai.{Majmua Zawaid (2/380, Hadith no.3021)}
12. Imam Suyuti (Rahimahullah) ne Imam Hasami ki jarah nakal kiye aur muwafaqat ka soboot diya. {Jamia Al-AHadith (5/296, Hadith no.4169)}
13. Hafiz Ahmed Bin Abi Bakr Bin Ismail Al-Buseri (Rahimahullah) ne kaha: Daif. {Athaful Khairatal Mahrat (إتحاف الخيرة المهرة بزوائد المسانيد العشرة) (1/78,no.514)}
14. Sheikh Abu Abdur Rehman Asim Al-Deen Al-Sabate (Rahimahullah) ne kaha: Bohut Daif hai. { Jamai Al- AHadith Al-Qudseyat ( جامع الأحاديث القدسية) (1/29, Hadith no.607)}
15. Nimawee Hanfee ne Aathaar as-Sunan (pageno.56) main kaha hai ki Hammaad Bin Shu’ayb Daeef hai.
16. Allaamah al-Mubaarakpooree (Rahimahullah) likhte hai kii is asaar ki sanad main Hammaad Bin Shu’ayb hai jis ke bare main Imam Bukhari ne kaha “FeeHee Nazar ”. Is liye hadith kabile hujjut nahi aur laayak-e-aatibaar nahi hai. {Tuhfatul-Ahwadhee (3/444) }. 
17. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne Salaatul-Taraaweeh (pg.66-67) kaha hai ki is hadith ki sanad Daeef hai, A’taa Bin Saa’ib ikhthilaat ka shekar tha aur Hammaad Bin Shu’ayb bohut kamzoor rawi hai, Imam Bukhari ne kaha “FeeHee Nazar” aur dosre baar kaha “Munkar Ul Hadith” .
18. Sheikh Shoaib Al-Aranoot (Rahimahullah) ne kaha: Daif. {Masnad Ahmad (131, Hadith no.21238)}
۞ A’taa Bin Saa’ib:
1. Imam Ahmad (Rahimahullah) ne kaha: “Jin rawiyo ne ikhthlaat se pahle suna ho toh sahih hadith hai aur jin rawiyo ne ikhthlaat ke baad suna hai toh wo ahadith kuch nahi hai, aur kahte hai Sufiyan aur Shu’bah ne ikhtilaat say pahle sune hai”.
2. Imam Yahyaa (Rahimahullah) ne kaha: “Is ki ahadith Daeef hai siwaye jo Shu’bah and Sufyaan se suna hai”.
3. Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: “A’taa Bin Saa’ib ke qadeem zamaane ke ahadith sahih hai”.
4. Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: “Siqa hai qadeem zamaane ki ahadith mein”.
5. Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha: “Sadooq ikhtilaat say pahle, aur kahte hai Sufiyan aur Shu’bah ne ikhtilaat say pahle sune hai”.
6. Imaam Zahabi (Rahimahullah) ne kaha: “Aakhri Umar main ikhthlaat ka shekar hua tha. 
{Meezaan ul-Ei’tidaal (5/90-92 no.5647), Tahdheeb ut-Tahdheeb (7/177-180 no.4754), al-Jarh Wat-Ta’deel (6/332-334 no.1848), Taareekh al-Kabeer (6/465 no.3000)}
7. Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: “Sacha magar yadash kharaab”. {Taqreeb ut-Tahdheeb (no.4625 pg.678) }
8. Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Siqah lekin ikhtilaat ka shekar tha . {Majmua Zawaid (1/233, Hadith no.230)}
9. Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) ne kaha: “Aakhri Umar main ikhthlaat ka shekar hogaya tha aur tamam jinhone is say riwayat kiye hai ikhthlaat ke baad kiye hai sewaye Shu’bah and Sufyaan k. {Nasb ur-Raayah (3/58)}
10. Ibn Akyaal (Rahimahullah) ne Al-Kawaakib An-Neeraat Fee Ma’arifah Min Ikhtilaat Min Rawaah Ath-Thiqaat (no.327) main isko zikr kiya.
Sheikh Ghulam Mustafa Zaheer likhte hai Hammaad Bin Shu’ayb un logu mein se nahi hai, jinho ne is say kabal al-ikhtilaat suna hai.

Daleel no.12:
أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ بْنُ فَنْجُوَيْهِ الدِّينَوَرِىُّ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاقَ السُّنِّىُّ أَخْبَرَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْبَزَّازُ حَدَّثَنَا سَعْدَانُ بْنُ يَزِيدَ حَدَّثَنَا الْحَكَمُ بْنُ مَرْوَانَ السُّلَمِىُّ أَخْبَرَنَا الْحَسَنُ بْنُ صَالِحٍ عَنْ أَبِى سَعْدٍ الْبَقَّالِ عَنْ أَبِى الْحَسْنَاءِ : أَنَّ عَلِىَّ بْنَ أَبِى طَالِبٍ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُ أَمَرَ رَجُلاً أَنْ يُصَلِّىَ بِالنَّاسِ خَمْسَ تَرْوِيحَاتٍ عِشْرِينَ رَكْعَةً. وَفِى هَذَا الإِسْنَادِ ضَعْفٌ وَاللَّهُ أَعْلَمُ.
حدثنا وكيع عن حسن بن صالح عن عمرو بن قيس عن بن أبي الحسناء أن عليا أمر رجلا يصلي بهم في رمضان عشرين ركعة
“Hazrat Ali (Radiallahu Anhu) ne ek admi ko hukum farmaye kii wo logu ko 20 rakat padaye”.
Sanad: Waqi’i » Hassan Bin Salaha » Umaro Bin Qayas » Abee Hasnaa.
Takhreej: {Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/223, Hadith No. 7763), Sunan al-Kubraa (2/699, Hadith No. 4621)}
Tahqiq: Yeh hadith Daeef hai kyun ki Abee Hasnaa majhool (unknown) hai.
۞ Abee Hasnaa:
1. Haafidh Dhahabee (Rahimahullah) ne kaha: Ghair Maroof. {Meezaan ul-Ei’tidaal (4/515, no.10106)}
2. Haafidh Ibn Hajr ne (Rahimahullah) kaha: Majhool hai. {Taqreeb ut-Tahdheeb (2/384)}
3. Haafidh Hasami ne (Rahimahullah) kaha: Ghair Maroof. {Majmua Zawaid (4/21, Hadith no.5979)}
4. Shaikh Nimawee Hanafee ne kaha:” Majhool hai”. { Haashiyyah Aathaar as-Sunan (Safa no.57)}
5. Allaamah Al-Albaanee (Rahimahullah) ne kaha: Ibn Hajr ne Tahzeeb (12/66, no.8386) main Abee Hasnaa ke halaat main Qurbani se mutalaka ek hadith bayaan kiye hai jis ki sanad yeh hai:
Abee Hasnaa » Al-Hakam Bin Utaibah » Hansh » Hazrat Ali.
Is se pata chala is hadith main Abee Hassan aur Hazrat Ali ke darmeyaan 2 rawee gayeb hai lehaza yeh hadith Mu’adhal hai.
6. Imaam Baihaqee (Rahimahullah) ne is hadith ko nakal kar ke kaha: “Is hadith ki sanad daeef hai”. {Sunan al-Kubraa (2/700, Hadith No. 4621)}.

Dalil No.13:  Imam Husain ne farmaya hai kii Hazrat Ali ne hukum diya 20 rakaat padawo……
{Masnad Zaid (Safa no.139), Urdu Hawala (Safano.155-156, Hadith no.295)}
Yeh rewayat jhoote hai kyunkii :
1.Umaro Bin Khalid (Is kitab ka rawwe) Mudadithseen ki nazar mein:
1. Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) ne kaha: Matrook-ul-Hadith, Koi cheez nahi hai, Kazzab, Yeh Zaid Bin Ali say jhooti ahadith bayaan karta tha.
2. Imam Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) ne: Kazzab, Siqa nahi hai, Koi cheez nahi hai.
3. Imam Ishaq Ibn Rahwayh (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith ghadta tha.
4. Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha: Munkar-ul-Hadith.
5. Imam Waki’a (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab, Ahadith ghadta tha.
6. Imam Abu Zurah Razi (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith ghadta tha.
7. Imam Abu Hatim Razi (Rahimahullah) ne kaha: Matrook-ul-Hadith.
8. Imam Abu Dawud (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab, Koi cheez nahi hai.
9. Imam Nasai (Rahimahullah) ne kaha: Siqah nahi hai, Iski hadith likhi hi na jaaye, Matrook-ul-Hadith.
10. Jozijaani (Rahimahullah) ne kaha: Gair siqah.
11. Imam Darqutni (Rahimahullah) ne kaha: Matrook, Kazzab.
12. Ibn Sa’ad (Rahimahullah) ne kaha: Iski hadith likhe hi na jaye.
13. Imam Hakim (Rahimahullah) ne kaha: Yeh Zaid Bin Ali se jhooti ahadith bayaan karta tha.
14. Imam Abu Nu’aim Asbahani (Rahimahullah) ne kaha: Koi cheez nahi hai.
{Tahzeeb At-Tahzeeb (8/24-25, no.41), Jarah Wa Tadeel (6/230, no.1277), Mezaan-ul-Atidaal (3/257,no.6359)}
15. Imam Bahaqi (Rahimahullah) ne kaha: Ahadith gadne mein maroof hai.  {Marifatul Sunan wal Asaar (1/383, Hadith no.329), Sunan Al-Kubra (1/228, Hadith no.1020)}
16. Imam Ibn Adi ne (Rahimahullah) Al-Kamil (6/217,no.1289) mein zikr kiya.
17. Imam Abu Uwana ne kaha: Koi cheez nahi hai, Matrook-ul-Hadith.{Daifa Lil Aqili (3/268, no.1274)}
18. Imam Aqili (Rahimhullah) ne Daifa mein zikr kiya. { Daifa (3/268, no.1274)}
19. Imam Ibn Hibban (Rahimahullah) ne kaha: Yeh jhooti riwayaat bayaan karta tha. {Al-Majruheen (2/76)}
20. Imam Ibn Hajar (Rahimahullah) ne kaha: Matrook. {Taqreeb (1/733)}
21. Imam Hasami (Rahimahullah) ne kaha: Kazzab. {Majmua Zawaid (1/560, Hadith no.1277)}.

Daleel No.13:
رواه محمد بن نصر المروزي قال أخبرنا يحيى بن يحيى أخبرنا حفص بن غياث عن الأعمش عن زيد بن وهب قال كان عبد الله بن مسعود يصلي لنا في شهر رمضان فينصرف وعليه ليل قال الأعمش كان يصلي عشرين ركعة ويوتر بثلاث
“Hazrat Abdula Bin Masood 20 rakat taraweeh aur 3 witr padha karte the”.
Sanad: Yahya Ibn Yahya — Hafas Bin Gayas — Aamash — Zaid Bin Wahab}
Takhreej: {Mukhtasar Qiyaam al-Layl (Safa no.200) , Umdatul-Qaaree Sharh Saheeh al-Bukhaari (17/ 157)}.
Tahqiq: Yeh hadith Daeef hai kyun kii:
1. Hafas Bin Gayas (Rahimahullah) ka Mudallis hona sabit hai. {Tabqaat –ul-Mudaliseen (Tahqiq:Zubair Ali Zai ), Safa no.22, Tabqa no.1, Rawe no.9}
1. Imam Aamash (Rahimahullah) Mudalis hai aur ‘An’ se rivayat kar rahe hai.{Tabqaat-ul-Mudaliseen, Safano.33, Tabqa no.2, Rawe no.55}
Note: Ibn Hajar ne Aamash ko Al-Nukat (2/640) Tabqa no.3 mein zikr kiya hai
Muqaddimah Taqreeb ut-Tahdheeb (pg.82) main Haafidh Ibn Hajr ne sarahat kiya hai: “5th tabqa sagera taba’een ka hai jinhone ek do sahaba ko dekha hai aur zyda say sama sabit nahi hai jaisay Aamash”.
Imam Shafi (Al Risala, Safa No.1033) main farmaya hai ki jis admi ka sirf ek dafa tadlees karna humain maloom ho jaye toh rivayat main uska parda chak hoga yaani hum uski An wali rivayat kubul nahi karege jab tak yeh maloom na ho kisse hadith suni hai.
Ibn Salaha ne kaha sahih yeh hai ki Mudalis agar samaa ki tasaree kare toh maqbool hai warna madood hai. (Ikhtisar-ul-Uloom Ul Hadith, Safano.43).
3. Abdullaah Bin Mas’ood (Radhiallaahu Anhu) ki wafat 33 Hijri main hui hai aur Aamash (Rahimahullah) ki paidayish 61 Hijri hue hai (Al-Kaashif (1/130) ).
Abdullaah bin Mas’ood (Radhiallaahu Anhu) aur Aamash (Rahimahullah) ke darmeyaan 28 saal hai lahaza sanad munqati hai.
Usool-e-Hadith ki kitab main likha hua hai kii: “Ulma ka itifaaq hai kii munkati riwayat Daeef hote hai”. {Taseer Mustalha Al Hadith, Safa no.61}.