Sunday, July 10, 2016

RAMAZAAN KA PEHLA, DOOSRA AUR TEESRA ASHRAH. - Yeh Za’eef (Weak/Kamzor) Hadees Hai. -


“Ramazaan Ka Ibtidaai Hissah Rahmat Hai, Aur Darmiyaani Hissah Bakhshish Aur Aakhri Hissah Jahannam Se Aazaadi HaasiL Karney Ka Hai.”
-
[Ibn Khuzaimah, Kitaab-Us-Siyaam, Hadees *Za’eef* (Weak) : 1887]
-
Yeh Rivaayat Za’eef Hai, Kyun Ke :
1. Iska Raavi A’Li Bin Zaid Bin Jadu’aan “Za’eef ” Hai. (TaQreeb-UL-Tahzeeb : 4734)
-
2. Jamhoor Muhaddiseen Karaam Ne Usey *Za’eef* Kaha Hai. (Zavaaed Ibn Maajah : 228)
-
3. Imaam Abu Haatim (RahimahuLLaah A'Laih) Ne Kaha : “ Ye Hadees Munkar Hai.”
(AL-A’LaL Laaban Abi Haatim : 1/249)
-
4. Shaikh ALbaani (RahimahuLLaah A’Laih) Ne Kaha : *Munkar*
(SiLsiLat-UL-Ahaadees AL-Za’eefah WaL-Mauzoo’ah : 871)
-
5. Shaikh Abu IshaaQ AL-Huwaini Masri (HifzahuLLaah) Ne Kaha : “Ye Hadees BaatiL Hai.”
(AL-NaafiLatah Fee AL-Ahaadees AL-Za’eefah : 1/291)
-
*VAZAAHAT* : Pata Nahin MusaLmaan Kab A'QL Isti’maaL Karega Saheeh Ahaadees Hone Ke Baavajood Za’eef (Weak) Ahaadees PhaiLaaney Ki Kya Zaroorat Hai. Agar I'Lm Hone Ke Liye PhaiLa Raha Hai Ke FaLaan Hadees Za’eef (Weak) Hai Tou Koi Baat Nahin Lekin Us Za’eef Hadees Ko Bhi A’maL Karney Ke Liye Doosron Tak Pohancha Raha Hai Tou Kitni Buri Baat Hai. ALLaah Taa'Laa Ki Rahmat Ko Mahdood Kar Ke MusaLmaan Ko Sochney Par Majboor Kar Diya Jaa Raha Hai.
-
Kya ALLaah Taa'Laa Poorey Maheenah Ek Saath Teen Cheezein (Rahmat, Maghfirat, Jahannam Se Aazaadi) Nahin Kar Sakta ? (M’aaz ALLaah). Woh (ALLaah) Tou Har Cheez Par Qudrat Rakhney WaaLa Hai. Aur Hadd Tou Yeh Hai Ke Teenon Ashrah Ke Duaa’ein Bhi Maujood Hai Har Dus Din Ke Liye ALag ALag.
-
Aur (Shaitaan) Tou Tumhein ALLaah Taa'Laa Par Un Baaton Ke Kehney Ka Hukm Deyta Hai Jin Ka Tumhein I'Lm Nahin.
[Soorah AL-BaQarah, Aayat : 169]

No comments:

Post a Comment