Showing posts with label JUMMAH KA FAZILAT(FRIDAY). Show all posts
Showing posts with label JUMMAH KA FAZILAT(FRIDAY). Show all posts

Thursday, February 4, 2016

SURAH AL-KAHF KI FAZILAT

Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

Hazrat Abu Sa’eed al-Khudri ne kaha: “Jo bhi SURAH AL-KAHF padhega JUMMAH ki raat ko, uske paas ek roshni hogi jo failegi(will stretch) uske aur Purane Ghar(Ka’bah) ke bich me.”
SUNAN AD-DARIMI (HADITH 3312)

πŸ“SOURCE OF SUNAN AD-DARIMI :-
http://www.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=137&pid=429022&hid=3312

Hazrat Abu Sa’eed Al-Khudri ne bayan kiya: RasoolAllah sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Jo shaks Jumua ke din surah Kahf padhega uske pas ek roshni hogi jo ek Jumua se dusre Jumua ke bich rahegi.”
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH 5856)

πŸ“SOURCE OF SUNAN KUBRA BAIHAQI :-
http://www.islamweb.net/newlibrary/display_book.php?flag=1&bk_no=71&ID=5856

Hazrat Abu Hisham ne bayan kiya: RasoolAllahu sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Jo shaks gufa(cave) ki surat (surah Kahf) ko tilawat karega, jis tarah se wo nazil hui thi, uske paas Qayamat ke din Roshni hogi.”
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH 5856)

πŸ“SOURCE OF SUNAN KUBRA BAIHAQI :-
http://www.islamweb.net/newlibrary/display_book.php?flag=1&bk_no=71&ID=5856

Hazrat Abu Darda’ ne bayan kiya ki Allah ke Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ne kaha: Agar koi shaks Surah al-Kahf ki shuru ki das aayate yaad kar leta hai toh wo Dajjal se mahfooz rahega.
SAHIH MUSLIM (Book 4, Hadith 1766)

Ye riwayat ki gai hai ki Ibn Umar ne farmaya: “ RasoolAllah sallAllahu Alaihi wasallam ne kaha jo shaks bhi Jumua ke din Surah kahf padhega, ek roshni chamkegi us ke pair ke tale se aasma ke badalo tak, jo uske liye Qayamat ke din chamkegi, aur uske do Jummah ke bich ke gunah muaf kar diye jayenge.
πŸ“–(TAFSEER IBN KATHIR)

πŸ“SOURCE OF IBN KATHIR :-
http://www.islamweb.net/newlibrary/display_book.php?flag=1&bk_no=49&ID=1055

AL-MUNDHIRI NE KAHA:-

Yeh Abu Bakr ibn Mardawayh se unki tafseer me riwayat ki gai thi, un isnad ke sath jisme koi galti nahi thi.
(AL-TARGHEEB WA’L-TARHEEB, 1/298)

SURAH AL-KAHF PADHNE KE AUKAAT (TIMING)

Is Surah ko jummah ke din ya jummah ki raat ko padha ja sakta hai. Jummah ki raat jum’eh’raat(thursday) ki suraj guroob hone ke baad shuru hoti hai, aur jummah ka din suraj dhalne ke baad khatm ho jati hai.

πŸ“Is wajah se surah padhne ka waqt jum’eh’raat(thursday) ko suraj guroob hone se leke jummah ko suraj dhalne tak ka hai.

AL-MANNAAWI NE KAHA:-

Al-Hafiz ibn Hajar ne apne Amaali me kaha tha: “Kuch riwayato me Jumua ka din kaha gaya hai aur kuch riwayato me jumua ki raat kahi gayi hai. Unko is tarah milai ja sakti hai ki jo samjhaya gaya hai wo din hai jisme raat bhi shumaar hai aur iske barak se bhi hai(vice-versa).
(FAYD AL-QADEER, 6/199)

AL-MANANI NE YEH BHI KAHA:-

“Ye mustahab hai Jumua ki raat ya din ko padha jaye, jaisa ki al-Shaafa’I r.a. ne farmaya”
(FAYD AL-QADEER, 6/198)

♻♻♻♻♻♻♻♻♻

▶NOTE:
πŸ“ŒCOME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUP N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg/

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

Thursday, October 22, 2015

JANBUCH KAR JUMMAH CHODNE KA ANJAM AUR MASJID ME KAB JANA



BISMILLAH

Rasool ο·Ί ne farmaya jo shaks susti ki wajah se teen jummah chchod de to allah taala uske dil par mohar laga deta hai
πŸ“–(ABU DAWOOD : 1052)
Hazrat ibne masood razi allahu anhu riwayat karte hain Rasool Allah ο·Ί ne:-
un logo ke gharon ko jo (baligh) jummah se piche reh jate hain, jalaa dene ka qasad kiya.
πŸ“–(SAHIH MUSLIM : 865)
Aey woh logo jo Emaan laye ho ! Jummah ke din namaz ki azaan di jaye to tum Allah ke zikr ki taraf dodh padho aur khareed-o-farokht chchod do, yeh tumhare haq mein bahot hi behtar hai agar tum jantay ho.
πŸ“–(SURAH JUMMAH : 9)

NOTE:-
Allah rabbul Aalameen Aese shaqs ke dil par mohar laga deta hai jo bina kisi ujr ke or susti ki wajah se 3 jumah chchod de, or jiske dil par Allah mohar laga deta hai to wo insan bahot hi nuksan uthane walo me ho jata hai,
Yahan tak ki Allah ke Rasool ο·Ί ne ye irada kiya ki me aese logo ke gharo me aag laga dun jo jumah padne nahi aate,
Or Suah Jummah ki aayat no 9 par aaj khas taur par logo ko dhiyan dene ki zaroorat hai, khas taur par un logo ko jo azaan hone ke bawajood apne karobaar me lage rehte hain, is aayat me Allah ne huqm diya hai ki
"jab Jummah ke din namaz ki azaan di jaye to tum Allah ke zikr ki taraf dodh padho aur khareed-o-farokht chchod do", yani jab jummah ki azaan keh di jaye to har insan par lazim hai ki wo apne karobar ko chchod kar Allah ke zikr (namaz) ke liye nikal jaye,
or isi aayat me aage Allah ne ye farmaya hai ki "yeh tumhare haq mein bahot hi behtar hai agar tum jantay ho"
yani jab jummah ki azaan ho jaye to us waqt Allah ka zikr hi hamare liye behtar hai na ki hamare dusre kaam ya karobaar, or beshaq behtar wahi hai jisko Allah khud behtar bol de.
Allah ta-aala hame jummah ki ehmiyat samajhne ki taufeeq de or jummah ke din hame sabse pehle masjid me pahonchne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH

Friday, October 16, 2015

JUMU'AH ki FARZIAT WA FAZILAT KA BAYAN


BISMILLAH

Hazrat Syedna Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu riwayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Hum akhir mein aane wale Qiyamat ke din sabqat le jane wale honge bawajood is ke ki unhein (Yahood wa Nasara ko) Hum se pehle Kitab mili aur Humein unke baad mili. Pas yeh din un par Farz kiya gaya toh unhone is mein ikhtilaaf kiya phir Allah ne Humein is ki hidayat di lihaza sab log Humare baad hain, Yahoodion ka din kaal (hafta) aur Nasara ka parson (itwaar) hai.
[Muwatta Imam Malik| Tarjuma, Tahqeeq, Takhreej wa Sharah: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah; Riwayat-373]

TAHQEEQ : Sanadahu Saheeh
TAKHREEJ:
Al-Muwatta (Riwayat al-Juhri Ba saneerah An Malik: 576)
Wa Akhraja Ibn Khuzaima
(3/109, 110 Hadees 1720) wa Rawahu Al-Bukhari (876) wa Muslim (855)

TAFAQQUH:
(1) Tamam Qaumon par Musalmano ki Fazilat ki ek wajah yeh bhi hai ki inhone tamam Anbiya' wa Rasoolon ko mana aur un par Imaan laye jabki yahood wa nasara ne baaz Nabiyon ko mana aur baaz ka inkaar kar diya.

(2) Aqeedah agar Saheeh ho toh thori amal par bhi bahut ajr milta hai.

Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai, unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wa-sallam ko yeh farmate suna: Hum baad mein aaye hain lekin Qayamat ke din sabse aage honge. Sirf itni baat hai ki pehle lgon ko Humse qabl Kitab di gayi, Phir yehi Jumu'ah ka din unke liye bhi muqarrar tha magar woh is ke mutalliq ikhtilafat ka shikar ho gaye lekin Humein Allah Taala ne is ki Hidayat kar di, is bina par sab log Humare pichhe ho gaye. Yahood kaal (hafta) ke din aur Ishayi parsho (itwaar) ke din (ibadat karenge).

Narrated AbU Hurairah Radhiallahu Anhu: I heard Allah's Messenger Sallallahu Alaihe Wa-sallam saying, "We (Muslims) are the last (to come) but (will be) the foremost on the Day of Resurrection though the former nations were given the Scripture before us. And this was their day (Friday) the celebration of which [i.e. religious ceremonies like Khutba (religious talk)],
(Jumu'ah prayer etc.) was made compulsory for them but they differed about it. So, Allah gave us the guidance for it (Friday) and all the other people are behind us in this respect: the Jews' (holy day is) the following day (i.e. Saturday) and the Christians' (is) the day after the following day (i.e. Sunday)."
[Sahih al-Bukhari: 11-Kitabul Jumu'ah; Hadees-876]

FAYDE: Is Hadees se wajeh taur par Jumu'ah ki Farziat maloom hoti hai kyunki is mein yahood wa nasara par is ke Farz hone ka zikr hai, unhone is se inhiraf kiya toh Allah Taala ne is ki Farziat ke mutalliq Humari rehnumayi farma di. Baaz riwyat mein hai ki Allah Taala ne Jumu'ah ko Hum par likh diya hai.
(Fath ul-Bari: 2/459)

Jumua'ah ki Farziat ki taqid Muslim ki ek riwayat se bhi hoti hai, jiske alfaaz hai, "Hum par Jumu'ah Farz karar diya gaya."(Aunul Bari: 2/6)

Saheeh Ibn Khuzaima ki Hadees mein Alfaaz hai: 'HAZA AL-YAUM AL-LAZI KATABAHU ALLAHU ALAYHIM' yeh lafz Jumua'ah ke Farz hone ki daleel aur is mein is Ummat ki Fazilat ka bayan hai. (Sharh Nawawi: 6/142)


πŸ“ NOTE:
Whatsapp GROUP / BROADCAST join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974