BISMILLAH
Hazrat Syedna Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu riwayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Hum akhir mein aane wale Qiyamat ke din sabqat le jane wale honge bawajood is ke ki unhein (Yahood wa Nasara ko) Hum se pehle Kitab mili aur Humein unke baad mili. Pas yeh din un par Farz kiya gaya toh unhone is mein ikhtilaaf kiya phir Allah ne Humein is ki hidayat di lihaza sab log Humare baad hain, Yahoodion ka din kaal (hafta) aur Nasara ka parson (itwaar) hai.
[Muwatta Imam Malik| Tarjuma, Tahqeeq, Takhreej wa Sharah: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah; Riwayat-373]
TAHQEEQ : Sanadahu Saheeh
TAKHREEJ:
Al-Muwatta (Riwayat al-Juhri Ba saneerah An Malik: 576)
Wa Akhraja Ibn Khuzaima
(3/109, 110 Hadees 1720) wa Rawahu Al-Bukhari (876) wa Muslim (855)
TAFAQQUH:
(1) Tamam Qaumon par Musalmano ki Fazilat ki ek wajah yeh bhi hai ki inhone tamam Anbiya' wa Rasoolon ko mana aur un par Imaan laye jabki yahood wa nasara ne baaz Nabiyon ko mana aur baaz ka inkaar kar diya.
(2) Aqeedah agar Saheeh ho toh thori amal par bhi bahut ajr milta hai.
Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai, unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wa-sallam ko yeh farmate suna: Hum baad mein aaye hain lekin Qayamat ke din sabse aage honge. Sirf itni baat hai ki pehle lgon ko Humse qabl Kitab di gayi, Phir yehi Jumu'ah ka din unke liye bhi muqarrar tha magar woh is ke mutalliq ikhtilafat ka shikar ho gaye lekin Humein Allah Taala ne is ki Hidayat kar di, is bina par sab log Humare pichhe ho gaye. Yahood kaal (hafta) ke din aur Ishayi parsho (itwaar) ke din (ibadat karenge).
Narrated AbU Hurairah Radhiallahu Anhu: I heard Allah's Messenger Sallallahu Alaihe Wa-sallam saying, "We (Muslims) are the last (to come) but (will be) the foremost on the Day of Resurrection though the former nations were given the Scripture before us. And this was their day (Friday) the celebration of which [i.e. religious ceremonies like Khutba (religious talk)],
(Jumu'ah prayer etc.) was made compulsory for them but they differed about it. So, Allah gave us the guidance for it (Friday) and all the other people are behind us in this respect: the Jews' (holy day is) the following day (i.e. Saturday) and the Christians' (is) the day after the following day (i.e. Sunday)."
[Sahih al-Bukhari: 11-Kitabul Jumu'ah; Hadees-876]
FAYDE: Is Hadees se wajeh taur par Jumu'ah ki Farziat maloom hoti hai kyunki is mein yahood wa nasara par is ke Farz hone ka zikr hai, unhone is se inhiraf kiya toh Allah Taala ne is ki Farziat ke mutalliq Humari rehnumayi farma di. Baaz riwyat mein hai ki Allah Taala ne Jumu'ah ko Hum par likh diya hai.
(Fath ul-Bari: 2/459)
Jumua'ah ki Farziat ki taqid Muslim ki ek riwayat se bhi hoti hai, jiske alfaaz hai, "Hum par Jumu'ah Farz karar diya gaya."(Aunul Bari: 2/6)
Saheeh Ibn Khuzaima ki Hadees mein Alfaaz hai: 'HAZA AL-YAUM AL-LAZI KATABAHU ALLAHU ALAYHIM' yeh lafz Jumua'ah ke Farz hone ki daleel aur is mein is Ummat ki Fazilat ka bayan hai. (Sharh Nawawi: 6/142)
📝 NOTE:
Whatsapp GROUP / BROADCAST join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/
No comments:
Post a Comment