BISMILLAH
"Ghulu" ye hai ke kisi cheez ko Uski Muqarrarah 'Had' se badha dena, Yahi wo Cheez hai Jo bani Aadam mein Shirk ke Aghaaz ka sabab bani Aur Aainda bhi Isi ki waja se Shirk phelne ka khadshah thaa, Isliye Nabi sallallahu Alaihi Wasallam ne Is se Mana farmadiya, Hazrat Ibn Abbas rz se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Ghulu se bacho, kyunke tum se pehle log deen mein ghulu ki waja se hi halaak huwe they"(Ibne Majah, Musnad Ahmad)
Hazrat Umar rz se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Mujhe (tareef wa tauseef mein) Is tarha mat 'Badhaao' Jaisey Nasara (Christions) ne Ibne Maryam (hazrat Eesa Alaihissalam) ko bad'haaya, Mein sirf ek Banda hun, lehaza Mujhe sirf Allah ka bandah Aur Uska Rasool hi kaho"(Bukhari, Musnad Ahmad)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne 3 martaba farmaya "Hadse badhney waale halaak hogaye"(Muslim, Abu dawud, Musnad Ahmad)

No comments:
Post a Comment