Showing posts with label HAJJ AND UMRAH. Show all posts
Showing posts with label HAJJ AND UMRAH. Show all posts

Sunday, September 13, 2015

HAJJ AND UMRAH


HAJJ AUR UMRAH KE MASAAYEL 



BISMILLAH

1⃣-HAJ KE MAANI :

Haj ke lafzi maani hai iraada karna Haj ke istelaahi maani hai makhsoos afaal ki adyegi ke liye masjid haram ki taraf (safar) ka irada karna Haj keh lata hai.

2⃣-UMRAH KE MAANI :

Umrah ke lafzi maani hai irada karna ya ziyarath karna Umrah ke istelaahi maani hai miqaath se ehraam baandh kar tawaaf baitullah aur safa marwa ki sayi karna aur baal mundwana ya katarwana umrah hai.

3⃣-HAJ KI MUKHTASAR TAREEF :

Baitullah ki tameer sab se pehle Allah ta’ala ke hukm sefarishto ke haatho amal mein aayi. Phir jab Nuh (as) kezamaane mein tofaan aya to baitullah ke asaar bhi mit gaye. 

Tofaan Nuh ke baadh Allah ta’ala ke hukm se sab se pehle Ibraheem (as) aur Ismail (as) be Baitulah ki tameer ki. Jab duno ne tameer shuro ki to Allah ta’alase dua karte jaate jis ke baare mein Qur’aan majeed mein Allah ta’ala ne farmaya ðŸ“–SURAH BAQARA ayath 127 mein aye hamare parvardigaar hamari is khidmath ko qubool farma, yaqinan tu sunne waala jaanne waala hai Jab tameer mukammil ho gayi to Allah ta’ala ne Ibraheem (as) ko hukm diya ke logo ko haj ke liye daawath do jis ke baare mein Allah ta’ala ne Qur’aan mein farmaya
📖 SURAH HAJ ayath 27 mein: logo mein Haj ka elaan kar do, log tere paas pyaade bhi ayenge aur doble pathle onto par bhi door daraaz ki tamaam raaho se ayenge. Phir isi tarah hoa aur us waqt se jo silsila shuro hoa to aaj bhi jaari hai aur In shaa Allah qiyamath tak ye silsila jaari rahega.

4⃣-NABI ï·º PAR HAJ KAB FARDH HUA :
Jamoor ulema ki ye raaye hai ke Haj 9 hijri mein fardh hoa jis ke baadh Nabi ï·º ne Hz. Abubakr Siddiq (RA) Makkah ravana kiya ta ke logo ko Haj ke manasik bata diye jaaye, unhone Haj ke dauraan hee elaan karvaya ke aaj ke baadh na koi mushrik ko Haj ki ijazath hai aurna hee koi nanga ho kar tawaaf kare. 
Phir ayinda saal yaani 10 hijri mein Nabi ï·º Haj ke liye Makkah tashreef laaye jise Hajjatul Wida kaha jaata hai.

5⃣-Umrah gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor ka badhla Jannat hai..
📚Hadith bukhari 1773: Nabi ﷺ ne farmaya ek umrah dosre umrah tak duno ke darmiyaani gunaaho ka kaffaara hai aur haj mabroor (yaani jis mein kisi qism ke gunaahka irtekaab na ho) ka badhla jannath ke alawa aur koi nahi .

6⃣-HAJ KARNE WALA GUNAAHO SE PAAK HO JAATA HAI :

📚Hadith Bukhari 1521: Nabi ﷺ ne farmaya jis ne haj kiya (aur us mein ) na aurto ke qareeb gaya aur na hee koi fasq wa fujoor ka kaam kiya to wo apne gunaaho se (paak saaf ho kar) us din ki tarah lautega jis din us ki maa ne us ko jana.

7⃣-AURTO, BACHO AUR BUDHO KE LIYE HAJ JIHAAD HAI :

📚Hadith bukhari 1861: Hz. Aisha (ra) ne Nabi ﷺ se arz kiya ke hum bhi kyo na Aap ke saath jihaad aur ghazwo mein jaya kare? Aap ﷺ ne farmaya tumhaare liye sab se accha aur munasib jihaad Haj hai, aisa Haj jo maqbool ho. Hz. Aisha (ra) bayaan karti hai ke jab se main ne Nabi ﷺ ka ye irshaad suna hai main ne kabi Haj nahi chodahai.

8⃣-HAR SAAHEB ISTETA’ATH PAR HAJ FARDH HAI:

📖SURAH AALE IMRAN AYATH 97: Allah ta’ala ne un logo par jo us ki taraf raaste (yaani akhrajaat waghayra) ki taaqath rakhte ho, us ghar (yaani Baitullah) ka haj fardh kiya hai.

9⃣-HAJ ZINDAG MEIN SIRF EK MARTABA FARDH HAI:

📚Hadith Sahih Abi Dawood 1514: hz. Ibn Abbas (ra) se marvi marfo rivayath mein hai ke haj ek martaba (fardh) hai, aur jis ne zyaada kiya to wo nafli Haj hai.



📌
HAJ KE LIYE SHARAAYET 
1⃣Mardh ke liye:Islam tasleem karna, baaligh hone, aqal mandh hona, azaad hona (yaani ghulaami mein nahona), isteta’ath hona.

2⃣Aurto ke liye:Islam tasleem karna, baaligh hone, aqalmandh hona, azaad hona(yaani ghulaami na hona), isteta’ath hona, mahram ka saath hona aur iddath meinna hona.

📌HAJ KE 5⃣ ARKAAN HAI :

1⃣ Niyyath

2⃣ Waqoof Arfaah

3⃣ Muzdalifa mein shab guzaarna

4⃣Tawaaf Ziyarath

5⃣Sayi (safa marwa ki) agar in mein se koyi arkaan chot jaaye to ayinda saal dubara haj karna hoga bashart ye ke isteta’ath ho (in arkaan ki tafsilaath aagedi jayegi).

📌HAJJ KE FARAAYEZ MEIN 5⃣ BAATE HAI :
1⃣miqaath se ehraam baandhna

2⃣ jamro ko kankriya maarna

3⃣ sar ke baal mundwaana ya katarwana

4⃣ Ayyaam tashreeq ki rate mina mein guzaarna

5⃣tawaaf wida karna agar in mein se koi waajib chot jaaye to fidye mein ek jaanwar qurbaan karna hoga agar jaanwar qurbaan karne ki taaqath na ho to 10 roze rakhne honge jis mein se 3 ayyaam haj ke dauraan aur 7 ghar pahonch kar.

📌AURATH KA HAJJ :

1⃣ Mardh ki tarah tamaam sharaayeth aurath ko bhi hai lekin 2 sharaayeth mazeedh hai, jis mein ek mahram ka saath hona aur dosra aurath iddath mein na ho (yaani talaaq ke baadh waali iddath)

2⃣Haj ko aurath ki jihaad qaraar diya gaya hai.

3⃣Aurath haj ke safar ke aghaaz ke waqt agar haalat hayz se ho to ghusul kar ke ehraam baandh le.

4⃣Dauraane hayz tawaaf ke alawa baakhi tamaam haj ke manasik ada kar sakti hai.

5⃣Aurte bhi mard ke saath tawaaf kar sakti hai.

6⃣Aurath ke liye tawaaf ke pehle 3 chakkar mein ramal (yaani thoda tez chalna) mashro nahi.

7⃣Safa marwa ki sayi ke dauraan bhi aurath ke liye bhaagna zaruri nahi hai.

8⃣Aurath ke liye sar ke baal mundvana jaayez nahi, kuch baal katarvana chahiye (ek por jitna)

9⃣Hayz se paak hone ke baadh aurath tawaaf ziyarath karne ke liye masjid Aisha ja kar ehraam baandhe aur phir tawaaf kar le chaahe wo ayaam tashreeq ke baadh hee ho.

🔟Hayz ki haalat mein aurath par tawaaf widayi ki rukhsath hai jab ke us ne 10 zil haj ko tawaaf ziyarath kar liya ho.

1⃣1⃣Agar hayz se paak hone se pehle mulk ko jaane ke waqt aa jaaye to phir tawaaf ziyarath na karne ki surath mein aurtah ko rukna hoga aur tawaaf ziyaraf ke baadh hee mulk jana hoga.

📌KISI DOSRE KI taraf SE HAJ KERNE KA HUKM:
🔺🔷ZINDA KI TARAF SE HAJ KARNA :
📚hadith bukhari 1513: ek aurath ne Nabi ﷺ se arz kiya ke Aye Allah ke Rasool ﷺ beshakAllah ki jaanib se us ke bandho par aayedh fariza haj ne mere waalid ko pa liya hai, aur wo bahuth budhe hai,sawari par sawaar hone ki taaqath nahi rakhte, kya main un ki taraf se haj karo? Aap ﷺ ne farmaya haan.
Ye hajjatul wida ke mauqe par kaha gaya. 
Mayyith ki taraf se haj karna: 📚hadith bukhari 1852: ek aurath Nabi ﷺ ke paas aayi aur us ne arz kiya ke meri waleda ne nazar maani thi ke wo haj karegi lekin wo haj karne se pehle hee fauth ho gayi, kya mein us ki taraf se haj karo? Aapﷺ ne farmaya haan us ki taraf se haj kar. Aap ﷺ ne pucha mujhe bata agar teri maa par qardh hota to kya to ose ada karti?
Allah ka qarz ada kar. (kyo ke) Allah ka qarz sab se zyaada haq rakhta hai ke ose ada kiya jaaye Mardh aurath ki taraf se haj kar sakta hai aur aurath mardh ki taraf se haj kar sakti hai, duno surate jaayez hai. 
Kisi dosre ki taraf se haj karne ke liye shart ye hai ke wo pehle apni taraf fardh haj ada kiya hoa ho📚 (Sahihabi dawood hadith 1589).
Kisi dosre ki taraf se umrah bhi kiya ja sakta hai 📚(abi dawood 1810).

5⃣-QARZDAAR KA HAJ:

Fatwa Saudi majlis ifta – Shaik bin Baaz (Ra): agar aap ke paas haj ke aqrajaat aur qarz ki adayegi duno kitaaqath hai to aap par haj waajib hai, aur agar aap ke paas duno ki taaqath nahi to aap par haj waajib nahi hai.

6⃣-HAJJ KE EQSAAM: Haj ke 3⃣ eqsaam hai

1⃣ HAJ TAMATTU– yaani fayeda uthana (umrah karne ke baadh ehraam utar dena aur phir haj ka ehraam 8 tareeq ko baandhna)

2⃣ HAJ QIRAAN– yaani milana (umrah aur haj ko milana)

3⃣HAJ IFRAAD– yaani alkela karna (sirf haj ki niyyath karna)

📌-HAJ TAMATTU :
yaani Fayeda uthana Haj tamattu aam taur par log karte hai jo qurbaani ka janwar saath nahi le ja sakte. 

Haj tamattu mein umrah ka ehraam alag baandha jayega aur umrah mukammil karne ke baadh ehraam kipabandiyo se azzad ho jaaye.phir 8 zil haj ko mina jaane se pehle ehraam baandha jayega.Haj tamattu ka tariqa is tarah hai mardh ke liye bhi aur aurath ke liye bhi.

(Haj ke mahine : Shawwal, Zul Qada aur Zul hajj ka pehla ashra

1⃣Haj ke mahino mein( jab bhi makkah pahonchne ka irada ho, us se pehle Miqaath pahonch kar ehraam pehen kar ye talbiya kaha jaaye Allahumma labbaik umratan (Aye Allah main umrah ke liye haazir hoon).

2⃣Ehraam pehen kar haram ki taraf onchi awaaz mein talbiya padte chale.

3⃣Haram mein daakhil ho kar Baitullah ke 7 challar lagaaye (mardh apne kandhe ko khol kar).

4⃣Tawaaf shuro karte waqt kahe hajr aswad kitaraf rukh kar ke Bismillahi Wallahu Akbar aur har chakkar par hajr aswad ke paas pahonch kar sirf Allahu akbar kahe.

5⃣Tawaaf karne ke baadh muqaam Ibraheem ke piche 2 rakath salaah pade.

6⃣ 2 rakath salaah ada karne ke baadh safa marwa ki taraf bade aur waha 7 chakkar lagaye 

7⃣.Safa marwa ke chakkar mukammal karne ke baadh sar ke baal taraashe aur ehraam khol de, ghusl kar le aur phir saade libaas pehen le aur ehraam ki pabandiya khatamho gayi, ab miya biwi hum bistari kar sakte hai.

8⃣ 8Dhul haj ko dobara ehraam pehen kar ehraam ki pabandiyo mein aa jaaye aur haj ke 5 din ka Mubarak safar shuro kare.