Showing posts with label WOMEN SECTION. Show all posts
Showing posts with label WOMEN SECTION. Show all posts

Sunday, August 14, 2016

NIKAH ME WALI KI AHMIYAT

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

Hazrat Abu Musa Ashri(R.z) byan krte hain ke Nabi(SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: “Wali ke bagair Nikah nahi hai.”.

📚 *Narrated by Abu Dawood (2085), al-Tirmidhi (1101) and Ibn Maajah (1881) from Abu Moosa al-Ash’ari; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi*

Aur ek Hadees me Nabi(SallAllahu alaihi wasallam) ka farman hai:

“Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

📚 *Narrated by Ahmad (24417), Abu Dawood (2083) and al-Tirmidhi (1102); classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ (2709)*

Nabi sallAllahu alaihi wasallam ka farmaan hai : Koi aurat kisi aurat ki shadi nah kare, aur nah hi koi aurat khud apni shadi khud kare, jo bhi apni shadi khud karti hai woh zania hogi.

📚 *Sunan Ibn maja hadees number (1782 ) dekhen sahih Ul jamia hadees number (7298 )*

Aurat ka walii is ka waalid hai is ke baad jis ke baara mein woh wasiyat kare, phir is ka dada, aur iss ke oopar tak, phir is ke baad aurat ka beta, aur phir pota aur iss se neechay tak, phir is ke baad aurat ka saga bhai, phir waalid ki taraf se bhai, phir un dono ke betay, phir aurat ka saga chacha, phir waalid ki taraf se chacha, phir chacha ke betay, phir nasb ke lehaaz ke se qareebi shakhs jo ho walii banay ga jis terhan kay wirasat mein hai, aur phir jis ka koi walii nahi is ka walii musalman hukmaran ya phir is ka qaim maqam qaazi walii banay ga .

Aadmi ke liye Aqad nikah ke waqt walii ka hona wajib nahi hai. Aadmi ka ek walii ke baghair nikah ho jata hai

Nabi sallAllahu alaihi wasallam ka farmaan hai  Nikah ka elaan karo .

📚 *Musnad Ahmad sahih ul jamia mein usay husn qaraar diya gaya hai dekhen sahih hadees number (1072 )*

📌 *Come n join our Blog*: *http://akhiratkitayari.blogspot.sg*

Thursday, August 11, 2016

KAWATIN KA MASJID JANA NA JANA

 BISMILLAH

Pehle Hadith rasool Allah sallAllahu Alaihi wasallam  Abdullah Bin Umar Se Rawayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
”Jab Tum Me Se Kisi Ki Biwi (Namaz Padne Ke Liye Masjid Me Aane Ki ) Uss Se Ijazat Maange To Shauhar Ko Chahiye Ki Usko Na Roke.”
 *(Sahih Al Bukhari, Hadith 873)*

2⃣ Hazrat Ibn Umar Radi Allahu Anhu Se Rawayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya ”
All’ah Ki Bandiyo (Aurto) Ko Masjid Me Jane Se Mat Roko.”
*(Sahih Al Muslim, Hadith 443)*

3⃣ Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :
” All’ah Ki Bandiyo (Aurto) Ko Masjid Me Jane Se Mat Roko.”
 *(Sunan Abu Dawood 529 ,560)*
*(Musnad Ahmad: 2/438)*
*(Darmi: 2/293)*
*(Ibn Khuzaima: 1/679)*
*(Sahih Al Bahaki: 3/134)*

Ab umer rz ki mansha ka jaiza “Mu’ammar Se Riwayat Hai Unse Zuhri Riwayat Karte Hai Ki ‘Atika, Jo Zaid Ibn’umru Bin Nufail, Ki Beti Hai Jo Umar R.A Ki Biwi Thi ,Wo Hmesha Masjid Me Namaz Ada Karti Thi ‘Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Unse Kaha Me Pasnd Nahi Krta Ki Tum Masjid Me Namaz Padho Tb Unki Biwi ne Kaha Me Jb Tak Masjid Jane Se Nahi Rukungi Jb Tk Ap Mujhe Ye Huqm Nahi De Dete Tb Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Kaha Nahi Me Aap Ko Ye Huqm Nahi De Sakta Us Din Se Lekar Hmesa Atika Masjid Me Namaz Hmesha Ada Karti Yaha Tak Ki Umar R.A Wafat Pa Gaye
*(Abdur Razzaq’s Collection, Vol 3, Hadith 148)*

Sabit ho jata hai ke hz umer rz ne apni mansha ko sarasari kaha nake hz Ateqa ko hukam diya . Ager hukam dete to hz ateqa ruk jati . hz umer rz ka fikermand hone ki wajha dusri thi .wo waqiya khawatin ke mardo se khlat malat ho jane ka tha jo ke ek hadsa bhar tha niche dekhiye

WAJAH

*Kya Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Aurto Ko Masjid Me Ana Se Roka ?*

 Ji Han Roka Magr Sirf Unhe Jo Waha Bina Wajah Waha Rukne Lag Gai Thi Na Ki Unhe Jo Namaz Padhne Ati Thi Khawla Bint Qays Kah Hum Sb Aurat Masjid Madina Al Munawwara Me Thi, To Hum Log Bhid Ki Wajah Se Mardo Ke Sath Mix Ho Gai Jis Waha Se Waha Thodi Si Bhgdad Ho Gai Aur Aur Hme Chote Aa Gai Tab Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Ne Hme Masjid Se Bahar Kar Dia
 *("Kanz Al-`Ummal # 23131 From Ibn Sa`D's Tabaqat.)*


Join us on Telegram channel & Blogspot
Link: http://telegram.me/akhiratkiitayari

*http://akhiratkitayari.blogspot.sg*