Sunday, August 14, 2016

NIKAH ME WALI KI AHMIYAT

Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

Hazrat Abu Musa Ashri(R.z) byan krte hain ke Nabi(SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: “Wali ke bagair Nikah nahi hai.”.

📚 *Narrated by Abu Dawood (2085), al-Tirmidhi (1101) and Ibn Maajah (1881) from Abu Moosa al-Ash’ari; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi*

Aur ek Hadees me Nabi(SallAllahu alaihi wasallam) ka farman hai:

“Jis Aurat ne bhi apne wali ki ijazat ke bagair Nikah kiya,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai,Uska Nikah batil hai. Aur ager jhagda kare to uska jiska wali na ho uska Haakim wali hai.

📚 *Narrated by Ahmad (24417), Abu Dawood (2083) and al-Tirmidhi (1102); classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’ (2709)*

Nabi sallAllahu alaihi wasallam ka farmaan hai : Koi aurat kisi aurat ki shadi nah kare, aur nah hi koi aurat khud apni shadi khud kare, jo bhi apni shadi khud karti hai woh zania hogi.

📚 *Sunan Ibn maja hadees number (1782 ) dekhen sahih Ul jamia hadees number (7298 )*

Aurat ka walii is ka waalid hai is ke baad jis ke baara mein woh wasiyat kare, phir is ka dada, aur iss ke oopar tak, phir is ke baad aurat ka beta, aur phir pota aur iss se neechay tak, phir is ke baad aurat ka saga bhai, phir waalid ki taraf se bhai, phir un dono ke betay, phir aurat ka saga chacha, phir waalid ki taraf se chacha, phir chacha ke betay, phir nasb ke lehaaz ke se qareebi shakhs jo ho walii banay ga jis terhan kay wirasat mein hai, aur phir jis ka koi walii nahi is ka walii musalman hukmaran ya phir is ka qaim maqam qaazi walii banay ga .

Aadmi ke liye Aqad nikah ke waqt walii ka hona wajib nahi hai. Aadmi ka ek walii ke baghair nikah ho jata hai

Nabi sallAllahu alaihi wasallam ka farmaan hai  Nikah ka elaan karo .

📚 *Musnad Ahmad sahih ul jamia mein usay husn qaraar diya gaya hai dekhen sahih hadees number (1072 )*

📌 *Come n join our Blog*: *http://akhiratkitayari.blogspot.sg*

No comments:

Post a Comment