Showing posts with label TAWHEED AND SHIRK. Show all posts
Showing posts with label TAWHEED AND SHIRK. Show all posts

Tuesday, April 4, 2017

KAAFIRON YA MUSHRIKON KE SAATH REHNA

BISMILLAH

Raavi-e-Hadees Jareer Bin AbduLLaah (RaziyALLaahu Anhu),
-
Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ne Farmaaya :

Mai Har Us MusaLmaan Se Baree Hoon (Ya'ni Mai Us Ka Zimmedaar Nahi Hoon) Jo Mushrikon Ke Darmiyaan Rehta Hai. Logon Ne Poocha: Kyun (ALLaah Ke RasooL) ?

Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ne Kaha: "Donon Ki (Ya'ni IsLaam Aur Kufr Ki) Aag Ek Saath Nahi Reh Sakti."

In English,

The Prophet (Peace be upon him) said: "I am not responsible for any Muslim who stays among polytheists. They asked: Why, Messenger of ALLaah? He said: Their fires should not be visible to one another."
-
[Sunan Abu Daawood, Hadees : 2645 ; Saheeh by AL-ALbaani in Urwaa AL-GhaLeeL : 1207]
-
VAZAAHAT : Is JumLey Ki Taujiye Mein Teen (3) AQwaaL Vaarid Hain. Ek Mafhoom Yeh Hai Ke Kaafiron Aur MusaLmaanon Ka Hukm Ek Jaisa Nahi Ho Sakta.

Doosra Yeh Ke ALLaah Ta'aaLaa Ne Daarus-SaLaam Ko DaaruL-Kufr Se ALag Kardiya Hai, Lihaaza MusaLmaanon Ke Liye Yeh Saheeh Nahi Hai Ke Woh Kaafiron Ke MuLk Mein Un Ke Saath Rahey,

Teesra (3) Yeh Hai Ke MusaLmaan Mushrik Ki Khususiyaat Aur ALaamaton Ko Na Apnaaye Aur Na Hi ChaaL DhaaL Aur ShakaL Wa Soorat Mein Un Ke Saath Tashabba Ikhtiyaar Karey.

Tuesday, March 7, 2017

SHIRK ki Tafsilaat (Part -1)

BISMILLAH

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Shirk ki Lugawi Taarif (Dictionary Meaning):

“Shirk” ye ek Arabic lafz (word) jiska Urdu me matlab hota hai “Sharik karna/karwana”, “bhaagidaari karna/karwana” aur English me iska matlab hota hai kisi ke sath “Partnership” karna”, Associatate” karna wagaira wagaira.

Isliye Arabi zuban me kisi bhi Commercial ya Business “Company” ko “Sharikah” kaha jata hai jisme business ko chalane ke liye ek se zyada log milkar kaam karte hai yani ek dusre ke sath partnership ya contribute ya help karte hai.

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*


*Shirk ki Sharai Taarif
Ahle Ilm ne Shirk ki Sharai taarif (definition) is tarah ki hai :

“Allah ke “Rububiyat” me, uske “Uluhiyat” (ibaadat) me aur uske “Asma wa Sifaat” me kisi Makhluq ko uska sharik muqarrar karna ya samajna.

*ALLAH Ke RUBUBIYAT Mai SHIRK:*

Doosre alfaaz me, Ye aqeedah rakhna ke Allah to hamara Rab hai lekin usme apni kuchh zimmedariya doosro ko de rakhi jaisa ke ye samjna ke hamare Awliya, Murshid, Baba, Sant, Sadhuo ko bhi Allah ne kuchh Powers (Shakti) de rakhi hai isliye ye log bhi Insano ko nuksaan ya fayda pahuncha sakte hai. Isko “Allah ke Rububiyat me Shirk samja jayega”.


*ALLAH ke ULUHIYAT (ibaadat) Mai SHIRK

Ab koi Insan ke Aqeede me ye ho hamare Awliya, Murshid, Baba, Sadhu-Santo ke hatho me bhi Powers (shaktiya) diye to zahir se baat hai ke log inko khush karne ke liye inki ibaadat karne lag jayenge, in se dua talab karne lag jayenge, aur inke naam par chadhawe, mannat, gyarwi, niyaz karne lag jayenge. Isko “Allah ke Uluhiyat (ibaadat) me Shirk samja jayega”.

Jab in Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ke qabro par jakar log unse dua mange lag jayenge, in Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ke paas koi aisi taqat (power) nahi hai ke kisi ko kuchh de de lekin unke poojari ye samjenge ke hamko to hamare Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ne jo manga tha wo ataa kar diya lekin asal me unki murade Allah hi puri karega lekin Allah in mushriko ke Iman ko chhin lega, unko iska pata bhi nahi chalega wo zindagi bhar is guman me rahega ki ham Imanwale hai.

*ALLAH ke ASMA wa SIFAAT me SHIRK:*

Jab logo ki murade puri hoti jayenge (Asal me unki mudare Allah hi puri karega), to log apne Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ko “Garib Nawaz”, “Bande Nawaz”, “Mushkil kusha” ke naamo se pukarenge lekin asal nawazne wala Allah hi hai. Isko ham Allah ke “Asma wa Sifaat” me shirk kahenge.

*KHULASA
Upar bayan kiye gaye teen tarah ke shirk, “Shirk-e-Akbar” hai. Aisa shirk karnewala Mushrik hai agar wo bagair tauba ke mar jaaye to hamesha ke liye wo jahannam me jalta rahega.

*AKHIRAT Mai MUSHRIK ko MAAFI Nahi

إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا

“Use Allah ta’ala qatan na baqshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut dur ki gumraahi mein ja pada”.

*(Surah 04 Nisa’a : Ayat 116 & 48)*

Allah ne SHIRK ki koi DALEEL naazil nahi ki aur Shirk ek SHAITANI kaam hai*

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Allah ne Shirk ki koi DALEEL naazil nahi ki aur Shirk ek SHAITANI kaam hai :

Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne farmaya :

“(Allah ne kaha) Maine mere saare bando ko KHALIS DEEN par paida kiya (Tawheed par aur Shirk se paak). Uske baad Shaitan unke paas aya and aur unko KHALIS DEEN se gumrah kiya. Shaiyateen ne halal ko haram banaya. Aur unko mere sath Shirk karne ki Dawat di jabke maine Shirk ki koi daleel nahi utari”.

*(Sahih Muslim Jild 8 :159, Ahmad 4/162)*

Tumne aur tumhaare baap-daao ne apne taraf se Awliya, Murshid aur Sadhu-Santo ko jo darja de rakha hai ye hamare khud sakta (self-made) nam hai:

Aaj Insaano ne Allah ke makhluq ko “Garib Nawaz”, “Banda Nawaz”, “Mushkil Kusha”, “Daataar”, “Dastgir” jo darja de rakha hai ye naam ham aur hamare baap-daa ne khud se tayyar kiye huye naam hai, Allah ne iski koi daleel Asman se nahi utaari hai.

Jaisa ke Allah khud farmata hai :

⁠ مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءًۭ سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلْطَٰنٍ ۚ إِنِ ٱلْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا۟ إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

“Us ke (yaani Allah ke) siwa tum jin ki ibaadat (pooja-paat) kar rahe ho, wo sab naam hai naam hai jo tum ne aur tumhare baap dadaao ne khud hi ghad (bana) liye hai, Allah ta’ala ne un ki koi daleel nazil nahi farmayi, farma-rawaayi sirf Allah ta’ala hi ki hai, uska farmaan hai ke tum sab siwa uske kisi aur ki ibadaat (pooja) na karo, yahi deen (Islam) durust hai lekin aksar log nahi jante”.

*(Surah 12 Yousuf: Ayat 40)*


* Khulasa 

Shirk karne ki ijaazat Allah ne nahi di balke Shirk ki shuruwaat to :

1⃣Shaitan ke sath mil kar

2⃣Tumne aur

3⃣Tumhare baap-daao ne ki hai.

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Mushrik ko Allah kabhi Maaf nahi karega aur uske liye hamesha ke liye JAHANNAM

Agar koi insaan Allah ke Rububiyat, Ibaadat aur Asma wa Sifaat me kisiko sharik karta tha ya samjta tha aur isi haalat me uski bagair tawba ke maut ho jaati hai to aisa shakhs hamesha ki Jahannam me rahega:

Allah ne khud farmaya hai ke wo Shirk karne walo ko kabhi maaf nahi karega :


إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا

“Use Allah ta’ala qatan (hargiz) na baqshega ke uske saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut door ki gumraahi mein ja pada”.

*(Surah 04 Nisa’a : 116)*

Aur 1 jagah ne Kaha :

“Yaqeen maano ke jo shakhs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par Jannat haraam kardi hai (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ )”.

*(Surah 05 Maydah : Ayat 72)*

Wasile me shirk.*

*✍🏻Kya ham Shaitan se bhi zyada bad-tar hai?*

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

ٱتَّبِعُوا۟ مَآ أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا۟ مِن دُونِهِۦٓ أَوْلِيَآءَ ۗ قَلِيلًۭا مَّا تَذَكَّرُونَ

“Tum log us ki itteba karo jo tumhaare Rab ki taraf se aayi hai aur Allah ta’ala ko chhod kar man-ghadat Awliya ki itteba mat karo, tum log bahuth hee kam nasihath pakadte ho”.

*(Surah 07 Araaf : 3)*

Aksar Musalman Nabi, Rasool, Awliya ke zaat ke wasile se Allah se dua karte jo ek bilkul galat tariqa hai.Lambi lambi dua ki jaati hai aur aakhir me kaha jata hai ke “Aye Allah tere Nabi ke sadqe-tufail me is dua ko qubul farma”. Ye na Nabi ka tariqa hai na hi Sahaba ka aur nahi kisi Salaf-Salehin ka.

1437 saal punare Makkah ke Mushrikin ki tarah aaj ka Musalman Allah ko Zameen wa Asman ka Rab manta hai, apna Khaliq bhi manta hai lekin aaj ke musalman ka Asal Shirk Allah ke “Ibaadat” aur uske “Asma wa Sifaat” me hai.

Aaj ka Musalman Allah ki ibaadat me “Wasile” ke zariye Shirk karta hai, yahi amal to Muhammadur Rasoolullah Sallallahu A’laihiWaSallam ke zamane ke Makkah ke mushrikin kiya karte the. Isi wajah se Allah ne unko Mushrik aur kafir karar diya tha. Allah ne Makkah ke Mushrikin ke Mushrik hone ki asal wajah Quran me is tarah bayan ki hai:

“Khabardaar! Allah hee ke liye khaaalis ibaadat karna hai aur jin logo ne us ke siwa Awliya bana rakhe hai (aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de, ye log jis baare mein ikhtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata”.

*(Surah 39 Zumar : Ayat 03)*


*✍🏻Mushrik Wasila (Intercession) kyun apnate hai:*

Apne dua ke qubuliyat ke liye wasila apnana buri baat nahi hai lekin hamara wasila quran aur sahih Hadees ke roshni me ho.

*Wasile 2 tarah ke hote hai:*

1⃣Na-Jayez wasila

2⃣Jayez wasila

*Na-Jayez wasila:*

Jab kisi Dargaah, Qabr, Murti- Parst Insan se puchha jata hai ke aap Awliya ke, Sadhu-Santo ke, Peer-Murshid ke darbaar par jaakar unke wasile se dua kyun mangte ho to wo kahte hai ke ham to bade gunhegaar bande hai Allah kaha hamari dua sunega. Ye log Allah ke Kharibi hai, isliye ye log hamari duao ko Allah tak pahuchhate hai. Is tarah ye Awliya hamare aur Allah ke bich wasila (bridge) ka zariya hai.

“(aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de”.

*(Surah 39 Zumar : Ayat 03)*

Is Ayat ke mutabik Mushrikin ka Aqeeda hota hai ke, Awliya hamari dua Allah tak pahuchate hai aur hamko Allah ka kharibi banate hai. Yehi to asal Shirk hai jo Nuh (A) ke zamane se log karte aarahe hai aur aaj bhi Musalmano ki Aksariyat is Shrik me dubi hui hai. Allah hamko Shirk ke bareme gaheri samaj aata kare.

Kya aap Shaitan -Iblis se bhi zyada bad-tar hai ?*

Aapko malum hoga ke jab Allah ne saare Farishto aur Iblis se kaha tha ke Adam (A) ko sajda karo lekin Iblis ne Adam (A) ko sajda karne se inkaar kiya aur kafir ban gaya tha.

Us waqt Adam (A) Allah ke Wali (dost) the aur Shaitan Allah ka na-farmaan tha, aise waqt me Shaitan ne Adam (A) se ye nahi kaha ke tum to Allah ke Wali (dost) ho zara meri Allah se 1 shifarish kar dena, balke Adam (A) se wasila liye bina us ne Allah se Direct dua ki aur Allah ne uski dua sun bhi li, wo dua kuch is tarah Allah ne Quran me darj kiya hai:

*Shaitan ki Allah se Direct Dua :*

“(Iblis) kahne laga ke : Aye mere rab mujhe us din tak ki dheel (mauka) de ke log dubara utha khade kiye jaaye (yani Qayamat tak) ? (Allah ne kaha) ke achha tu un me se hai jinhe muhullat mili hai. Roze muqarrar tak ke waqt ki (yani Qayamat tak)”.

*(Surah 15 Hijr : Ayat 36,37,38)*

Is Ayat se pata ye chala ke ham kitne bhi bade gunhegaar kyun na ho Allah se hi hamesha dua karna chahiye aur us se hi har chiz mangna chahiye.

Agar ham khatakaar ho lekin Shaitan se badhkar khatakar nahi ho sakte. Fir hamko Allah ke Ar-Rahman hone me shak kyun hai? Allah to apne bando se 70 Maa se zyada pyar karne wala hai. Aap bataye duniye me aisi kaunsi Maa ho sakti hai jo apne awlaad ko Aag me jalna pasand karegi? Fir Allah to “Ar-Rahaman Ar-Raheem” hai wo kaha se pasand karega ke uske bande Aag me jale, wo to hamko Jannat ki taraf bula raha hai aur ham hai ke Jahannam ki taraf jana chah rahe hai.


*Jayez Wasila:

1⃣ Allah ke Asma wa Sifaat (Naamon) ka Wasila.
*[Surah 07 Araaf : 180,Surah 17 Isra : 110]*

2⃣ Apne Nek A’maal ka Wasila.
*[Saheeh Al-Bukhari : 2215]*

3⃣ Kisi Nek Zinda-Mumeen se Duaa’ Karwaana.
*[Saheeh Al-Bukhari : 1010]*

*Quran kya kaheta hai :*

1⃣ Quran kahta hai ki Allah tumhare karib hai aur jab tum use pukarte ho wo pukar sunta bhi aur dua qubul bhi karta hai:

وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِى عَنِّى فَإِنِّى قَرِيبٌ ۖ أُجِيبُ دَعْوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ۖ فَلْيَسْتَجِيبُوا۟ لِى وَلْيُؤْمِنُوا۟ بِى لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ

“Jab mere bande mere baare mein aap se sawaal kare, to (aap kehde) ke mai bahut hee qareeb hoon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukaare qubool kaarta hoon, is liye logo ko bhi chaahiye ke wo meri baat maan liya kare aur mujh par imaan rakhe, yahi un ki bhalaayi ka baayes hai”.

*(Surah 02 Baqrah :186)*

2⃣ Quran kaheta hai ki Allah tumhare bilkul karib hai, us tak pahunchne ke liye kisi bhi insan ke zariye ki zarurat nahi:

“Khabardaar!

Allah hee ke liye khaaalis ibaadat karna hai aur jin logo ne us ke siwa Awliya bana rakhe hai (aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de, ye log jis baare mein ikhtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata.”

*(Surah 39 Zumar: 03)*

3⃣ Quran kahta hai ke jo Qabro ke andar hai wo nahi sun sakte na aap unko sun sakte :

وَمَا يَسْتَوِى ٱلْأَحْيَآءُ وَلَا ٱلْأَمْوَٰتُ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُسْمِعُ مَن يَشَآءُ ۖ وَمَآ أَنتَ بِمُسْمِعٍۢ مَّن فِى ٱلْقُبُورِ

“Aur zinde aur murde baraabar nahi ho sakte, Allah ta’ala jis ko chaahta hai suna deta hai aur aap un logo ko nahi suna sakte jo qabro mein hai”.

*(Surah 35 Fatir : 22)*

*MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA nahi pahucha payenge.*

“(Aye Nabi) aap kah dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.
*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

“Un me se Aksar log (Majority) Allah par Imaan rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.
*(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)*

ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
“Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”._
*(Surah 18 Kahf: Ayat 107)*

*MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA nahi pahucha payenge:*

“Yaqinan teri taraf (yaani Muhammad s ki taraf) bhi aur tujh se pehle (ke tamaam Ambiya) ki taraf bhi wahee ki gayi hai ke agar tu (yaani Muhammad s) shirk kiya to bila shuba tera amal zaaya ho jayega aur bil yaqeen tu ziyaa kaaro me se ho jayega”.
*(Surah 39 Zumar : Ayat 65)*

Is Ayat me shirk karne walo ka anjaam bataya gaya hai. Waise Allah ke Ambiya aur Rasool Allah ke sath kabhi Shirk nahi karte lekin unko tambi (warning) ki gayi ke agar aap Nabi hokar bhi Shirk karenge to apke bhi zindagi ke saare aamaal barbaad kar diye jayenge, Jab Shirk kiye jaane par Allah Ambiya ko tak nahi bakshega to hamara kya haal hoga.

Janab Muhammad sallAllahu alaihi wasallam ko Nabi banaye jaane se pahle ke zamaane ko Zamaan-e-Jahiliayat kaha jata hai, us waqt Makka me ek bahot hi sakhi shakhs raha karta tha jiska naam “Abdullah bin Judaan” tha jo har saal aanewale Haajiyo ki mehman nawazi karta kiya karta tha lekin wo Mushrik tha. Isi ke bareme Ayesha (Rz) ne Nabi s se sawal kiya hai kuchh is tarah kiya tha:

Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya ke :

“Judaan ka beta zamana -e-jahiliyat me sila-rahmi karta tha miskeeno ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?” Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya : “Use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: Aye mere Rabb! qayamat k din mere gunah maaf farma”.
*(Sahih Muslim Kitabul Emaan)*

Aaj Ummat ke logo ka haal ye hai ke Allah ke sath Shirk bhi kar rahe aur sath sath me Salaat par Salaat(Namaze), Siyaam par Siyaam (Roze), Umre par Umre, Haj par Hajj adaa karte jaarahe hai. Kya inke saare aamaal Qayamat ke din kuchh kaam ayenge ?

Pyare Bhaiyo Behano apke Nek aamaal (deeds) Allah ke paas qubul hona chahte ho to pahle apne Iman, Aqeeda, Manhaj ko sahih karlo iske baad agar aap jo bhi chhoti si chhoti neki karoge Allah ke paas uska bahot bada badla paaoge.

Isiliye Allah ne irshad farmaya:

“Jo log Imaan laye aur Unhone Apne Imaan me Zulm (Shirk) Ki Milawat nahi ki to aise logo ke liye Aman Hai aur Yahi log Hidayat Paane Wale Hai”.
*(Surah 6 An’am: Ayat 82)*

*Kafir-Mushrik ke liye Allah ke paas Azaab:*

قُلْ هَلْ نُنَبِّئُكُم بِٱلْأَخْسَرِينَ أَعْمَٰلًا

“kah dijiye ke agar (tum kaho to) mai tumhe bata du ke ba-etebaare amaal sab se zyaada khasaare (nuksaan) me kaun hai?”

ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا

“Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”.

أُو۟لَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمْ وَلِقَآئِهِۦ فَحَبِطَتْ أَعْمَٰلُهُمْ فَلَا نُقِيمُ لَهُمْ يَوْمَ ٱلْقِيَٰمَةِ وَزْنًۭا

“Yahi wo log hai jinhone apne parwardigaar ki aayato aur us ki mulakhat se kufr kiya is liye un ke amaal ghaarat (barbaad) ho gaye pas Qayaamat ke din hum un ka koyi wazan qaayam na karenge”.

ذَٰلِكَ جَزَآؤُهُمْ جَهَنَّمُ بِمَا كَفَرُوا۟ وَٱتَّخَذُوٓا۟ ءَايَٰتِى وَرُسُلِى هُزُوًا

“Haal ye hai ke un ka badla Jahannam hai kyunke unhone kufr kiya aur meri aayato aur mere Rasulo ko mazaaq mein udaaya”.
*(Surah 18 Kahf : 102-106)*

Imanwalo ke liye Allah ke paas Inaam:

إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَعَمِلُوا۟ ٱلصَّٰلِحَٰتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّٰتُ ٱلْفِرْدَوْسِ نُزُلًا

“Jo log Imaan laaye aur unhone kaam bhi acche kiye yaqinan un ke liye Firdaus (Jannat) ke baghaat ki mehmaani hai”.

خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يَبْغُونَ عَنْهَا حِوَلًۭا

”Jaha wo hamesha raha karenge jis jageh ko badalne ka kabhi bhi un ka iraada hi na hoga”.-
*Surah 18 Kahf : 107-108)*

Sunday, August 21, 2016

TAWHEED KYA HAI

BISMILLAH

Tawheed Kya Hai ? (taruf)
Roman Urdu script: syed Ibraheem salafi

Tawheed ka lafz hadees mein maujood hai, Nabi (Sallallahu Aalaihi wasallam) ne farmaya:

"Ahle Tawheed mein se baaz aise bhi loug hogen jo Jahannum ki Aag mein Aazab diye jayegen yahan tak ke wo jal ke koyla ho jayegen lekin phir bhi Allah'tala ki Rahmat unko payegi phir unko nikal liya jayega, Jahnnum se nikal kar Jannat mein dal diya jayega."

Is hadees ko Immam Ahmed (Rahmatullah Aaleh) Immam At Tirmizi (Rahmatullah Aaleh) ne Jabair (Radi Allahu'anhu) se Riwayat kiya hai, aur Saheeh Aj'Jamia Sageer Hadees no. 8103 par Shaikh Al Bani (Rahmatullah Aaleh) ne Saheeh Kahan hai.

Shaikh Uthaymeen (Rahmatullah Aaleh) kehte hai:

"Ahle Ilm (Rahimahullah) ne Tawheed ki 3 qismein bayaan ki hai, Tawheed-e-Rububiyath, Tawheed-e-Uloohiyath, aur Tawheed-e-Asma was Sifaat.

In Teeno ki Daleel ek Aayat mein hai, Allah'tala ne farmaya:

"Wo Rab hai Aasmano aur Zameen ka aur unke bech tamaam chizo ka Tu Ussi ki Ebadad kar aur uski Ebadad par Jama reh Kya tu uska hum naam koi jaanta hai."

[Surah Maryam Aayat 65]

Tou Allah'tala ka ye farmana ke "Wo Rab hai Aasmano aur Zameen ka aur unke bech tamaam chizo ka" ye Tawheed-e-Rububiyath hai,

Aur Allah'tala ka ye farmana ke "Tu Ussi ki Ebadad kar aur uski Ebadad par Jama reh" ye Tawheed-e-Uloohiyath hai,

Aur Allah'tala ka ye farmana ke "Kya tu Uska hum naam koi jaanta hai" ye Tawheed-e-Asma was Sifaat hai."

[Fatawa Noor 'ala ad-Darb Suwaal no.300]

1. Tawheed-e-Rububiyath:

Shaikh Uthayemeen ka fatwa hai, Majmoo Fatawaa wa Rasail Ibn Uthayemeen Jild 1, Safa 18 par.

Shaikh Uthayemeen (Rahmatullah Aaleh) kehte hai: Tawheed-e-Rububiyath ye hai ke Teen Bataou mein Allah'tala ko Aakela Manna (yani ye kaam Allah ke Siwa koi nahi karta hai, Allah ke jaisa is mein koi nahi hai)

wo teen baate ye hai:

1. Khalq (Har cheez ka Khaliq Paida karne wala Sirf Allah''tala hi hai)

2. Mulk (Har cheez ka Malik Sirf Allah'tala hi hai) aur

3. Tadbeer (Tadbeer-e-Amr karne wala (Kayenaat ka Nizam chalane wala) Mudabbir Sirf Allah'tala hi hai) ye Tawheed-e-Rububiyath hai.

Tamaam chizo ka Khaliq Sirf Allah'tala hi hai, iski Daleel:

Allah'tala ka farmaan hai:

"Allah hi har cheez ka Khaliq hai aur Wo har cheez par Nigehbaan hai."

[Surah Az-Zumar Aayat 62]

Tamaam chizo ka Malik Sirf Allah'tala hi hai, iski Daleel:

Allah'tala ka farmaan hai:

"Allah hi ki Badeshahi hai Aasmano ki Zameen ki aur un mein jo kuch hai, aur Wo tou har cheez par Qadir hai."

[Surah Maida Aayat 120]

Tadbeer-e-Amr Kayenaat ka Nizam chalane wala Mudabbir Sirf Allah'tala hi hai, iski Daleel:

Allah'tala ka farmaan hai:

"Aasmaan se Zameen tak ka Nizam Allah'tala hi chalata hai."

[Surah As Sajad Aayat 5]

(Yani Kayenaat ki har cheez ka Khaliq Paida karne wala Sirf Allah'tala hi hai aur Kayenaat ki har cheez ka Malik bhi Sirf Allah'tala hi hai aur is Kayenaat ka Nizam chalane wala Tadbeer-e-Amr karna wala Mudabbir bhi Sirf Allah'tala hi hai, is mein Allah ka koi Shareek nahi hai aur Allah jaisa koi nahi hai wo Aakela hi ye sab kaam karta hai)

2. Tawheed-e-Uloohiyath:

Har Qisam ki Ebadad Sirf Allah ke liye ki jaye, ye Tawheed-e-Uloohiyath hai.

Allah ki Ebadad mein kisi ko Shareek karna Shirk hai, iski Daleel Allah Tala ka ye farmaan hai:

"Allah ki Ebadad karo aur Allah ke sath kisi cheez ko bhi Shareek na karo."

[Surah An Nisa Aayat 366]

LA'ILHA ILLALLAH ka Matlab aur Saheeh Tarjuma:

Tarjuma: La'ilha'illalalh ka Saheeh Tarjuma ye hai "Allah ke Siwa koi Haqiqi Mabood nahi"

Iski Daleel Allah Tala ka ye farmaan hai:

"Ye is liye ke Allah Tala hi Haq hai aur Allah ke siwa jin ko ye Pukarte hai wo Batil hai."

[Surah Zumar Aayat 63]

Matlab: La'ilha'illalalh ka matlab ye hai ke "Allah ke Siwa koi Ebadad ke layaq nahi hai"

Iski Daleel Allah Tala ka ye farmaan hai:

"Aye Nabi ! Aapse pehle jo koi Rasool Humne behja tou har Rasool ki taraf Humne ye paigham behja ke Mere Siwa koi bhi Ilah (mabood) nahi hai tou Tum Meri hi Ebadad karna."

[Surah Al Ambiya Aayat 25]

Ilah (mabood) ka Matlab: Mabood wo hai jiski Ebadad ki jaye, tou in Do Aayaat mein bata diya gaya hai ke Haqiqi Mabood Sirf Allah hi hai is liye Ebadad bhi Sirf Allah ki hi ki jayegi.

Ebadad kya hai ?

Ulama Akraam ne Ebadad ki 5 Qismein batayee hai:

1. Qalbi Ebadaad, (Dil se ki jane wali Ebadaad, jaise Allah par Emaan Rakhna, Aaqirat par Rakhna, Allah se Umeed Rakhna, Allah ki Saza ka Khauf Rakhna, Allah se Muhabbat karna, wagaira, wagaira, ye Qalbi Ebadaad hai)

2. Lisani Ebadaad, (Zubaan se ki jane wali Ebadaad, Tasbeeh Padna, Qur'an Padna, Kutba dena, Neki ka hukum dena, Burayee se Rokna, Shukar karna, wagaira, wagaira)

3. Badani Ebadaad, (Badan (jisam) se ki jane wali Ebadaad, Namaz mein Qayaam Karna, Sajda Karna, Ruku Karna, Kabe ke Tawaaf karna, wagaira, wagaira, ye Badani Ebadaad hai)

4. Mali Ebadaad, (Maal se ki jane wali Ebadaad, jise Zakaat dena, Sadqa karna, Hajj ka Kharch, Masajid Banana, Qurbani karna, wagaira wagaira, jis mein Maal lagta hai wo Mali Ebadaad hai)

5. Tarki Ebadaad (Aamaal Tark karna Allah ki Riza ke liye, wo Aamaal jo Insaan Tark karta hai Allah ke liye, jaise Roze mein Khana, Peena Tark karna, Sharaab Tark karna, Zina se Tark karna, wagaira, wagaira, wo Aamaal jo Allah ke liye Tark kiye jaye wo Tarki Ebadaad hai)

In 5 Ebadaad mein bhi 2 Qisam hai,

1. Ebadaad-e-Mahza aur

2. Ebadaad-e-Gair'Mahza,

Allah ne jo hukum diye hai wo 2 Qisam ke hai,

1. Wo Aamaal jinki Nisbat Allah hi ki taraf hoti hai,

Misaal: Namaz Padna, Dua karna, Sajda karna, wagaira, wagaira, aise Aamaal jis mein Allah aur Bande ke bech mein koi nahi hota hai. ye Ebadaad-e-Mahza hai,

2. Wo Aamaal jinki Nisbat Bando ki taraf hoti, wo Aamal Allah ke liye hi hota hai lekin uska Ruqh Bando ki taraf hota hai,

Misaal: Maa Baap ki Khidmat karna, Sadaqaat karna, wagaira wagaira, jis mein Allah aur Bande ke bech mein koi aur hota hai. ye Ebadaad-e-Gair'Mahza hai.

3. Tawheed-e-Asma wa Sifaat:

Ibne Taiymiya "Rahmatullah aaleh" farmate hai:

"Salaf ka mazhab Allah ke taluq se ye hai ke wo Allah ke bareme wahi baat tasleem karte hai jo Allah ne Apne bareme bayaan ki hai aur jo Allah ke Rasool "Sallallahu Aalaihi wasallam" ne Allah ke bareme bayaan ki hai, aur is ke tasleem karne mein wo in Asma wa Sifaat ki Tehreef nahi karte aur na usko Mu'at'tal karte hai, aur un Sifaat aur Af'aal ki koi Kaifiyat wo apni taraf se Tai nahi karte, aur Allah ki kisi Sifat mein kisi Maqlooq ko Allah jaisa nahi maante yane Allah ke liye Tamseel ka aqrar nahi karte, Allah ne jo Sifaat Apne liye Zikar ki hai unka Inkaar bhi nahi karte hai, aur Allah ki kisi Sifat mein Maqlooq ki tarha Allah ko tasleem nahi karte hai, ya Maqlooq ki tarha Allah ko nahi maante, Allah ki Sifaat ki Nafi karne wala Mu'at'til hai, aur jo Mu'at'til hai wo Madoom ki Ebadad karraha hai, aur Allah Tala ki Sifaat mein Maqlooq ko Allah jaisa manna ya Allah ko Maqlooq jaisa manna Ek se ziyada Mabood ki Ebadad karne jaisa hai waise hi jaise koi Insaan kisi Sanam (but) ki Ebadad karraha hai, aur Salaf ka mazhab tarika ye hi hai ke wo Allah ki Sifaat ko maante hai lekin Maqlooq jaisa nahi, aur Allah Tala ki Paki aur Allah ko tamaam Ooyoub se Munazza hone ka aiteqaad rakhte hai."

[Majmoo Al Fatawaa, Jild no.8, Safa no.432]

Allah ke Asma aur Sifaat ke bareme buniyadi baat ye hai ke Allah ke bareme hum tai nahi karsakte hai ke Allah ki kunsi Sifat kya maana rakhti hai balki iska marje aur mastar aagar koi hai tou kudh Allah ki Kitaab aur Allah ke Rasool "Sallallahu Aalaihi wasallam" ki Sunnat hai (yane Qur'an aur Aahedees) kuy ki Allah ke bareme sab se ziyada jaane wala aagar koi hai tou wo Allah hi hai,

Allah Tala ka farmaan hai:

"Allah jaanta hai aur Tum nahi jaante."

[Surah Al Imran Aayat 67]

Maqlooq Allah ke bareme kuch bhi nahi jaan sakti hai jab tak ke kudh Allah Tala Apni Maqlooq ko Apne bareme na bataye, is liye Allah Tala ne Apne Bando mein se Apne Nabiyo ko chuna aur Unko Apne bareme batlaya aur hukum diya ke wo lougo ko bataye ke Allah kaisa hai,

Allah ke Rasool "Sallallahu Aalaihi wasallam" ne farmaya:

"Tum mein sab se ziyada Allah se Darne wala aur sab se ziyada Allah ke bareme ilm rakhne wala Main hu."

{Saheeh Bukhari, Kitabul Emaan}

Is liye apni aqal se Allah ke bareme kuch na kahen, balki Qur'an aur Aahadees mein jo aaya hai wahi kahen.

Allah ke Asma aur Sifaat ke bareme Allah ne ilhaad se mana kiya hai, (ilhaad Seerat-e-mustaqeem se hatna hai)

Allah Tala farmate hai:

"Allah ke kahee achche achche Naam hai tum unhi Naamo se Allah ko pukaro, aur unhe chordo jo Allah ke Naamo ke silsile mein ilhaad ka tarika aqtiyaar karte hai, an'qareeb unko unki kartoot ka badla zaroor milega."

[Surah Al Aa'raaf Aayat 180]

Ilhaad kya hai ? Ahle Ilm ne Ilhaad mein 4 cheeze bayaan ki hai, 1.Ta'teel, 2.Tamseel, 3.Tak’yeef, aur 4.Tehreef.

Allah ke Asma aur Sifaat ke bareme Allah ne ilhaad se mana kiya hai, (ilhaad Seerat-e-mustaqeem se hatna hai)

Allah Tala farmate hai:

"Allah ke kahee achche achche Naam hai tum unhi Naamo se Allah ko pukaro, aur unhe chordo jo Allah ke Naamo ke silsile mein ilhaad ka tarika aqtiyaar karte hai, an'qareeb unko unki kartoot ka badla zaroor milega."

[Surah Al Aa'raaf Aayat 180]

Ilhaad kya hai ? Ahle Ilm ne Ilhaad mein 4 cheeze bayaan ki hai, 1.Ta'teel, 2.Tamseel, 3.Tak’yeef, aur 4.Tehreef.

Ta'teel aur Tamseel:

Ta'teel ye hai ke Allah ke Asma wa Sifaat ko mu'at'tal kardiya jaye uska inkaar kardiya jaye,

Allah Tala ne farmaya:

"Yaqinan wo loug jo Allah ki Aayatou ka inkaar karte hai, unke liye bada hi dard'naak aazab hai."

[Surah Al Imran Aayat 4]

Is Aayat mein Allah Tala ne Allah Tala ki Aayatou ka inkaar karne walo ke liye Aazab ka zikar kiya aur unpar Kufr ka fatwa diya hai, Qur'an ki Aayat mein jo bhi Allah ke Asma ya Sifaat aaye hai unka inkaar karna Allah ki Aayatou ka inkaar karna hai.

Allah Tala ne farmaya:

"Yaqinan wo loug Allah aur Uske Rasool ka kufr karte hai aur unka irada ye hai ke Allah aur Uske Rasoolou mein faraq karde, aur jo loug ye kehte hai ke hum baaz bar Emaan layegen aur baaz par Emaan nahi layegen, aur unka irada ye hai ke bas isme se bech ki koi rah aqtiyaar kare, tou waqayee ye hi loug hai jo Pakke Kafir hai, aur Humne Kafiro ke liye bohat hi zillat wala aazab taiyaar kar rakkha hai."

[Surah Nisa Aayat  150-151]

In Aayaat se pata chala ke Allah aur Uske Rasool mein faraq karne wala, aur baaz par Emaan lana aur baaz par Emaan nahi lane wala, kafir hai, aur jo Nabi ki Hadees ka inkaar kare wo bhi Kafir hai, aur Hadees mein jo Allah ke Asma wa Sifaat aaye hai unka inkaar karne wala bhi kafir hai.

Tamseel:

Tamseel ye hai ke Allah ki Sifaat mein maqlooq ko Shareek mane (yane Allah ki Sifaat ki tarha maqlooq ki Sifaat mane, Allah ko maqlooq ki tarha mane) Allah Tala ne iska inkaar kiya hai,

Allah Tala ne farmaya:

"Allah ki Misl koi cheez nahi hai, Wo Sunne wala Dekhne wala hai."

[Surah As'Shuraa Aayat 11]

Is Aayat mein Allah ne farmaya ke Allah ki Misl koi cheez nahi hai, aur Allah Dekhne wala aur Sunne wala hai magar Maqlooq ki tarha nahi, kuy ki Allah ki Misl koi cheez nahi hai. (Allah ka Dekhna aur Sunna aalag hai aur Bando ka Dekhna Sunna aalag hai)

Allah Tala ne farmaya:

"Allah ke liye Misale na ghado(banaoo) Allah Tala jaanta hai aur tum nahi jaante."

[Surah An-Nehal Aayat 74]

Is Aayat mein Allah ne Allah ke liye Misale Ghadne(bananey) se mana kiya hai, kuy ki ho sakta hai ke wo Jahalat mein Allah ki Shaan mein Gustaki karde.

Tak’yeef aur Tehreef:

Tak'yeef ye hai ke ek insaan apni Aaqal se Allah ke Asma wa Sifaat ki koi kaifiyat bayaan kare,

Tehreef ye hai ke ek insaan Allah ke Asma wa Sifaat mein Tehreef karde (unka kuch ka kuch matlab apni aaqal se badal de) Tehreef 2 aitebaar se hoti hai,

1. Tehreef-e-Lafzi, (ek insaan Allah ke Kalaam mein Allah ka Kalaam nikaal kar us mein apna Kalaam daalde, ya koi Lafz daalde)

2.Tehreef-e-Manwi (Allah ki Aayatou ko jou'ka'tu padhe lekin tilawat ki had tak, jab uska Maana bayaan karne lage, jab usko Samjhane lage tou apni taraf se us mein aise Maana bayaan kare jo Allah aur Uske Rasool ne bayaan nahi kiye, jo waqayi uske Muraad ke qilaaf ho, ya us se hatke ho)

Allah ne Allah ke bareme hummari aaqal se kuch kehne se mana kiya hai, kuy ki ye Apni taraf se Allah ke bareme kehna hai aur Allah Tala bagair ilm ke Qaoul ko pasand nahi karte.

Allah Tala farmate hai:

"Allah ke bareme tum Haq ke siwa kuch na kaho."

[Surah Nisa]

Aur farmaya: "Allah jaanta hai aur Tum nahi jaante."
[Surah Al Imran Aayat 67]

Is liye apni aaqal se Allah ke Asma wa Sifaat ki na koi Kaifiyat bayaan kare na unka kuch Matlab bayaan kare, bas Qur'an aur Aahadees mein jitna hai aur jo hai wahi mane.

Qur'an aur Aahadees mein jis tarha Allah Tala ke Naam aur uske Sifaat saabit hain un par Tamseel, Tak’yeef, Ta’teel, aur Tehreef ke baghair Emaan laana Tawheed-e-Asma wa Sifaat kehlata hai.

Yani Allah Tala ke Asma aur Sifaat par bina kisi qism ki  koi kami ya zyadati ke min-wa-ann (jaisa aur jitna batladiya hai waise hi) Emaan lana chahiye.

Allahu'Aalamu

Wednesday, October 14, 2015

KABRO KI POOJA



BISMILLAH


Ye Ek aisa gunah hai jiski maafe nahe tab tak jab tak sucche dil se toba na kar le.. Aap sabhi se Guzarish h k ye topic gor se padhe amal kare. aur sab ko share kar...

📝 ”QURAN KI AYAT AUR HADITH KYA KAHRAHI HI ARAM SE PARHNA”

Aur tumhare RABB ne faisla
farmaya hai ke Uske siwa kisi kiibadat na karo.
(Surah Isra..a:23)

Aur us shakhs se bad kar koun gumrah ho sakta hai, jo aiso ko pukare, jo Qayamat tak useyjawaab na de sake aur inko unke pukaar ne hi ki qabar na ho.
( Sure Ahqaf : 5 )

Allah ke siwa jin jin ko bhi tum pukaar te ho, wo ek makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarchey ke wo sab iske liye jamaa ho jaye.
(Surah Hajj:73)

Rasul(SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: Jo shakhs ghairullah ko pukaarta aur us se
dua aur pukaar karta mar jaye, toh wo JAHANNAM me jayega.
(Bukhari:4497)

Aur Zinde aur Murde barabar nahi ho sakte, Allah jisko chahata hai suna deta hai aur Aye Nabi! Tum un logo ko nahi suna sakta jo KABRO
me hai.
(Surah Fatir:22)

Aye Nabi! Beshak Tum MURDO ko nahi suna sakta.
(Surah Room:52)

Aap(SallAllahu Alaihi wasallam) ne Ali ibn Abu Talib(ra) se farmaya: Jo koi Mujassama dekho toh use MITAA do, koi UNCHI KABAR dekho toh use BARABAR kardo.(Muslim:969)

Aap(SallAllahu Alaihi wasallam) ne un logo ke upar LAANAT ki hai, jo log KABRO par jakar chiraag jala te hai.(Abu Dawood:3230)

Aap(SallAllahu Alaihi wasallam) ne KABRO par Masjid (Sajda karne ki jagah) bana ne walo par LAANAT farmayi hai.
(Abu Dawood:3288)

Rasul (SallAllahu Alaihi wasallam ) ne KABAR par BAITH ne se, KABRO ko PAKKHI karne se,KABRO ko UNCHA karne se,
KABRO par kuch TAMEER karne se aur KABRO par likhe huye PATTAR laga ne se manaa farmaya hai.
(Abu Dawood:3225)

Rasul(SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jo shakhs kisi KABAR ka MUJAAWAR bane, us
se behtar hai ke wo AAG ke
angaarey par baith jaye aur AAG uske jisam aur uske kapdo ko jalaa kar raaqh kar daale.

(Muslim:2119)

Rasul(SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: Meri
ummat ke bad-tareen log wo
honge, jo KABRO ki ibaadat
karenge, jinki zindagi hi me unke upar qayamat aayegi.
(Musnad Ahmad:3844)

Aap(SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: Allah ki LAANAT ho Yahudiyo aur Isayiyo ke upar, jinho ne apne Ambiya ki KABRO ko SAJDA-GAAH banaa liya.
(Bukhari:435)

Sunday, September 13, 2015

TAWHEED KI AHMIYAT

💥TAWHEED KI AHMIYAT



BISMILLAH 

📌 AQEEDAH E TAWHEED PAR EMAAN NA LAANE WALE JAHANNAM MEIN JAYENGE

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mare k Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraaya tha wo aag mein dakhil hoga". 📚 (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jisne Allah ta'ala se is haal mein mulaqaat ki k uske saath kisi ko shareek nahi thehraaya wo jannat mein dakhil hoga, jo Allah ta'ala se is haal mein mila k usne Allah ta'ala k saath shirk kiya ho wo jahnnam mein jayega".📚 (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

📌
TAWHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO KO NABI SE QURABAT-DARI BHI JAHANNAM K AZAAB SE NAHI BACHA SAKTI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jahannamiyo mein se sabse halka azaab Abu Talib ko hoga wo aag ki 2 jootiya pehne honge jis'se unka dimaag khool raha hoga". 📚 (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

⏩ RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HAZRAT MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KO SHIRK KARNE KI BAJAYE QATAL HO JAANE YA AAG MEIN JALL JAANE KI NASIHAT FARMAYI

Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe 10 baato ki takeed farmayi:
1⃣ Allah ta'ala k saath kisi ko shareek na karna khawah tumhey qatal kar diya jaye ya aag mein jala diya jaye.
2⃣ Apne walidayen ki nafarmaani na karna khawah tumhey tumhare ahal aur maal se alag hone ka hukm de.
3⃣ Jaan-boojh kar farz namaz tark na karna kyunki jisne farz namaz jaan-boojh kar tark ki wo Allah ta'ala ki hifazat ya bakhshish k zimmey se nikal gaya.
4⃣ Sharaab na peena kyunki ye tamaam be hayaiyo ka sar chashma (ya jadd) hai.
5⃣ Gunah se bachna kyunki gunah se Allah ta'ala ka gazab nazil hota hai.
6⃣ Maidaan e jang se bhaagne se guraiz karna khawah loog mar rahey ho.
7⃣ Jab (kisi jagah ya baya beemari k baa'as) loog marne lagey aur tum pehle se waha muqeem ho to wahi thehrey rehna.
8⃣ Apne ahle wa ayaal par tofeeq k mutabiq kharch karna.
9⃣ Apne ahle wa ayaal ko (deen par chalne k liye) laathi k istemaal se guraiz na karna.
🔟 Aur Allah ta'ala k baare mein unhe daraatey rehna. (Musnad Ahmad, Tabraani, Sahih Targeeb wa Tarheeb Kitabus Salaat)

📌 AQEEDAH E TAWHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO USKE NAIK AAMAAL QAYAMAT K DIN KOI FAIDA NAHI DENGE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya k "Jud'aan ka baita zamana e jahiliyat mein sila rahmi karta tha miskeen ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: "Ae mere rabb! qayamat k din mere gunah maaf farmana". 📚 (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

📌 AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO MARNE K BAAD KISI DOOSRE SHAKS KI DUA YA NAIK AMAL KA SAWAAB NAHI PAHUNCHTA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Aas bin Wayel ne jahiliyat mein 100 ounth qurbaan karne ki nazar maani thi Hishaam bin Aas ne apne hissey k 50 ounth zibah kar diye lekin Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar tumhara baap tauheed parast hota aur tum uski taraf se roozey rakhte ya sadqa karte ho use sawaab mil jaata". 📚 (Musnad Ahmad, Muntaful Akhbaar Kitabul Janaiz)

📌 TAWHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO K KHILAAF HAKOOMAT E WAQT KO JANG KARNE KA HUKM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhey loogo se ladne ka hukm diya gaya hai yaha tak k wo "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar kare, mujh par emaan laye, meri layi hui talimaat par emaan laye agar wo aesa kare to unhone apne khoon (yaani jaaney) aur apne maal mujhse bacha liye magar haqq k badley aur unke amaal ka hisaab Allah ta'ala k zimmey hai". 📚 (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

NOTE📝 Wazahat: 1. Magar haqq k badley ka matalab ye hai k agar wo koi aesa kaam kare jiski saza qatal ho masalan qatal ya zina murtad hona wagairah to phir unhe shariyat k mutabiq qatal ki saza di jayegi, 2. Tauheed ka iqraar na karne wale agar islaami haqoomat k tahat zayy ban kar rehna qubool karle to phir unke khilaaf jang nahi hogi (yaani islami huqumat k mutabiq rahey).
🔚

Saturday, September 12, 2015

TAWHEED AND SHIRK

ASSALAM O ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHU

BISMILLAH

TAWHEED AND SHIRK

⏩TAWHEED Ka MATLAB hai “Ek” janna aur “Ek” kahna. 

Tawheed Se Muraad Allaah Ko Uski Zaat, Sifaat, Uski Ebaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta Aur Bemisaal Maan’na.

📌QURAN’HADEES KI ROUSHNI ME TAWHEED Ki 3⃣KISME HAI .

1⃣Tawheed’e’Ruboo’Biat

2⃣Tawheed Asma’Wa’Sifaat

3⃣Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada.

  1. TAWHEED’E’RUBOO’BIAT Se Muraad Allaah ko Kae’naat Ki Har Cheez Ka Khaliq,Malik,Raziq Aur Tamaam Umoor ki TadBeer KarneWalaMaan’na.”
(Ay Nabi)Aap(In Mushrikeen se)Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun PahunchaTa Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta hai,Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai,Wo fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne Wala)Allaah Hai.To UnSe Poocho Ke Phir Tum(Allaah Se)Darte Kyon Nahi.
📖(Quran 10:31).

📝 Isse pata chala MUSHRIKEEN e MAKKA TAWHEED’E’RUBOO’BIAT Ko MANTE the tey .


2⃣Tawheed Asma'Wa'Sifaat


⏩Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allaah Ke UnSab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allaah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi s.a.w. Ne Ahadees Me Unka Zikar Kiya. Aur Allah ke Asma aur sifat me kisi ko shareek na kiya jaye.

Jaise...
”Allaah Ne Kaha:
Ay Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jise My Ne Apne Haatho Se Paida Kiya”.📖(Quran 38:75)
”Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.📖(Q 20:5)”
Allaah Ne Musa a.s. Se Kalam Kiya”📖(Q4:164)”
Allaah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai”.
📕(Muslim:758)”
Us(Allaah)Jaisi Koyi Cheez Nahi”.
📖(Quran 26:11)

Allaah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.

DAWAT-E-ISLAAMI Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke Prachar Se Kiya Jaye. Logo par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazeh Kiya Jaye.
“Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona Chahiye.” Yani Ye Ke Log Allaah Hi Ko Ilaah Waahid Maane.
📗[Bukhari:1395, Muslim:19]

3⃣Tawheed Ulu'hiat Ya Tawheed Al'Ebaada

⏩Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allaah He Haqeeqi Aur Akela Mabud Hai.Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe.
Namaz,Roza,Haj,Qurbani,Dua,Naz ar Wa Niaz…Sirf Allaah Ke liye Ho.”

Aur (Ay Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek He Hai,Uske Alawa Koyi Ebaadat Ke Layaq Nahi,Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.📘(Quran 2:163)


📌SHIRK

Shirk Ka Logvi Mani hota hain SHARIK karna , aur Sharai Aetbar se Shareek ka matlab hota hai, ke ALLAH-Tala ki “ ZAAT” Ya Phir “SIFAT” may kisi ko Sharik karna.
“Subse Bada Gunah Ye Hai Ke Tu Allaah Ke Saat Kisi Ko Shareek Kare Halan Ke Usne Tujhe Paida Kiya.”
📕Bukhari 4477, Muslim 86.

Allaah Ke Saat Shirk Na Karna.
Beshak Shirk Bada Bhari Zulm Hai.
📖Quran 31:13
Shirk Se Bache.Tawheed Parast Bane.

Shirk Karne Ka Nuksaan yeh Hai ki:
“Jisne Allaah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya,Allaah Ne Uspar Jannat Haram Kardiya.Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.”
📖[Quran 5:72]
“Jo Koyi Is Haalme Mare Ke Wo Allaah Ke Siwa Kisi Aurko Pukaarta Hoto Wo Jahannum May Dakhil Hoga.”
📕[Bukhari 4497,Muslim 92].

Shirk Karne wale Ko Uske Nek Aamal Faida nahi Denge. Nek Aamal(jaise Sadqa,Khairat,Namaz,Roza,…) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekar Ho Jate Hai Aur Allaah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allaah Ne 18 Jaleelul Qadar Anbiya Ka Naam Lene keBaad Farmaya:
“Aur Agar Unlogo Ne Shirk Kiya Hota To Unke Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jate”.📖[Quran 6:88]

La’ilaaha’illallaah Muhammadur Rasool Allaah Padh Ne Wala bhi Mushrik Ho Sakta Hai
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: “Tum Yaqeenun Apne Se Pehli Ummato Ki Pairwi Karoge, Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood Wa Nasara Hai”.
📕[Bukhari.3456,Muslim.2669]

“Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo But Aur Tagoot Par Emaan Laate Hai”.📖[Quran 4:51]


RasoolAllah Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha: “Qiyamat Us Waqat tak Khayam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Milay Aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log But Parasti Na Kare”.
📕📎[Tirmizi 2219]

Jab Kisi Qabar ki ibadat Ho toh Usko But-Parasti Kaha Jayega. Ap Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha:
“Ay Allaah Meri Qabar Ko But Na Banana Jiski ibadat Ki Jaye. Allaah Ka Us Kaum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana Letay Hai”.
📘📕[Muwatta Imaam Malik 9:88]

Aisha r.a. Farmati Hai ke SallellahuAlaihi Wasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:
“Yahood Wa Nasara ParAllaah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabaro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Sallellahu Alaihi Wasallam Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Banalia Jayega To Aap Ko Band Hijray Me Dafan Na kiya Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti.
📕📘📎[Bukhari.1390,Muslim.529]

Mashuray Me Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allaah Se Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai.
Kaum Noah Ko Dekhia=>”Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr Noah Ki Khoum Ke Swaleheen The Jin Ki Logo Ne baadme Parashtish Shuru Kardi”. 📕📌[Bukhari 6:442]
“Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Mabudo Ko Hargis Na Cho’dna Aur Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr KoKabhi Na Cho’dna”.
📖[Quran 71:23]

Mushrikeen Macca Bhi Allaah Ko Ilaah Mante The Magar Allaah Ke Alawa Aur Bahut Se Ilaah Banaye Huye The Aur Allaah Ko Subse Bada Ilaah mante The. Isliye Nabi Ki Dawat Par Mushrik Kahne Lage:
“kya Usne Itne Sare Mabudo Ki Jagah Bas Ek He Mabud Banaliya,Ye To Badi Ajeeb Bath Hai”.
📖[Quran 38:5]

(Unse)Kahiye, Apna Haal To Batao Agar Tum Par Allaah Ka Koi Azaab Aajaye Ya Qayamat Aa Pahunche To Kya Tum Allaah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaroge. Agar Tum Sache Ho[To Batao] Balke tum Usi[Allaah] Ko Pukaroge, Fir Jis Dukh Ke lia Tum Pukaroge Agar Wo Chahe To Usko Door Kardega Aur Jin Ko Tum Shareek Banate Ho Us Waqat Un Subko Bhool Jaoge.
📖[Quran Al’Anaam:40,41]

Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ebadat Kyon Kiya Karte?? Allah iska jawab deta hai:

“Hum Unki Ebaadat Sirf Isliye Karte Hai Ke Wo Allaah Ki Nazdeeki Ke Martabe Tak Humari rasayi Karade”.
📖[Quran Sura Zumar:3]

Yani Mushrikeen Makka Gairullaah ko Apna Sifarishi Aur Allaah Ke Qareeb Ka Zariya Samajhte The.
“Wo Kehte Hai Ke Ye Allaah Ke Paas Humare Sifarishi Hai”.
📖[Quran Sura Yunus:18].

Ap Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha,”Ye Aise Log Hai Jab Inme se Koi Nek Banda Marjata To Uski Qabar Par Sajda Gaah Banadete Hai Aur Tasveere Bana Dete Hai. Ye Allah Ke Nazdeek Badtareen Maqlooq Hai”.
📖[Bukhari.427,Muslim.528]

Kya Aaj Neak Logo Ki Qabaro Ko Aisa He Nahi Karte? Isiliye Quran May Allaah Farmata Hai,
“Beshak Tum Allah Ke Siwa Jin Ko Pukaarte Ho Wo Tum Jaise Bande He Hai”.
📖[Quran Surah Al’Aaraf.194]