Tuesday, March 7, 2017

SHIRK ki Tafsilaat (Part -1)

BISMILLAH

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Shirk ki Lugawi Taarif (Dictionary Meaning):

“Shirk” ye ek Arabic lafz (word) jiska Urdu me matlab hota hai “Sharik karna/karwana”, “bhaagidaari karna/karwana” aur English me iska matlab hota hai kisi ke sath “Partnership” karna”, Associatate” karna wagaira wagaira.

Isliye Arabi zuban me kisi bhi Commercial ya Business “Company” ko “Sharikah” kaha jata hai jisme business ko chalane ke liye ek se zyada log milkar kaam karte hai yani ek dusre ke sath partnership ya contribute ya help karte hai.

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*


*Shirk ki Sharai Taarif
Ahle Ilm ne Shirk ki Sharai taarif (definition) is tarah ki hai :

“Allah ke “Rububiyat” me, uske “Uluhiyat” (ibaadat) me aur uske “Asma wa Sifaat” me kisi Makhluq ko uska sharik muqarrar karna ya samajna.

*ALLAH Ke RUBUBIYAT Mai SHIRK:*

Doosre alfaaz me, Ye aqeedah rakhna ke Allah to hamara Rab hai lekin usme apni kuchh zimmedariya doosro ko de rakhi jaisa ke ye samjna ke hamare Awliya, Murshid, Baba, Sant, Sadhuo ko bhi Allah ne kuchh Powers (Shakti) de rakhi hai isliye ye log bhi Insano ko nuksaan ya fayda pahuncha sakte hai. Isko “Allah ke Rububiyat me Shirk samja jayega”.


*ALLAH ke ULUHIYAT (ibaadat) Mai SHIRK

Ab koi Insan ke Aqeede me ye ho hamare Awliya, Murshid, Baba, Sadhu-Santo ke hatho me bhi Powers (shaktiya) diye to zahir se baat hai ke log inko khush karne ke liye inki ibaadat karne lag jayenge, in se dua talab karne lag jayenge, aur inke naam par chadhawe, mannat, gyarwi, niyaz karne lag jayenge. Isko “Allah ke Uluhiyat (ibaadat) me Shirk samja jayega”.

Jab in Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ke qabro par jakar log unse dua mange lag jayenge, in Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ke paas koi aisi taqat (power) nahi hai ke kisi ko kuchh de de lekin unke poojari ye samjenge ke hamko to hamare Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ne jo manga tha wo ataa kar diya lekin asal me unki murade Allah hi puri karega lekin Allah in mushriko ke Iman ko chhin lega, unko iska pata bhi nahi chalega wo zindagi bhar is guman me rahega ki ham Imanwale hai.

*ALLAH ke ASMA wa SIFAAT me SHIRK:*

Jab logo ki murade puri hoti jayenge (Asal me unki mudare Allah hi puri karega), to log apne Awliya, Murshid, Sadhu-Santo ko “Garib Nawaz”, “Bande Nawaz”, “Mushkil kusha” ke naamo se pukarenge lekin asal nawazne wala Allah hi hai. Isko ham Allah ke “Asma wa Sifaat” me shirk kahenge.

*KHULASA
Upar bayan kiye gaye teen tarah ke shirk, “Shirk-e-Akbar” hai. Aisa shirk karnewala Mushrik hai agar wo bagair tauba ke mar jaaye to hamesha ke liye wo jahannam me jalta rahega.

*AKHIRAT Mai MUSHRIK ko MAAFI Nahi

إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا

“Use Allah ta’ala qatan na baqshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut dur ki gumraahi mein ja pada”.

*(Surah 04 Nisa’a : Ayat 116 & 48)*

Allah ne SHIRK ki koi DALEEL naazil nahi ki aur Shirk ek SHAITANI kaam hai*

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Allah ne Shirk ki koi DALEEL naazil nahi ki aur Shirk ek SHAITANI kaam hai :

Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne farmaya :

“(Allah ne kaha) Maine mere saare bando ko KHALIS DEEN par paida kiya (Tawheed par aur Shirk se paak). Uske baad Shaitan unke paas aya and aur unko KHALIS DEEN se gumrah kiya. Shaiyateen ne halal ko haram banaya. Aur unko mere sath Shirk karne ki Dawat di jabke maine Shirk ki koi daleel nahi utari”.

*(Sahih Muslim Jild 8 :159, Ahmad 4/162)*

Tumne aur tumhaare baap-daao ne apne taraf se Awliya, Murshid aur Sadhu-Santo ko jo darja de rakha hai ye hamare khud sakta (self-made) nam hai:

Aaj Insaano ne Allah ke makhluq ko “Garib Nawaz”, “Banda Nawaz”, “Mushkil Kusha”, “Daataar”, “Dastgir” jo darja de rakha hai ye naam ham aur hamare baap-daa ne khud se tayyar kiye huye naam hai, Allah ne iski koi daleel Asman se nahi utaari hai.

Jaisa ke Allah khud farmata hai :

⁠ مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءًۭ سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلْطَٰنٍ ۚ إِنِ ٱلْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا۟ إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ

“Us ke (yaani Allah ke) siwa tum jin ki ibaadat (pooja-paat) kar rahe ho, wo sab naam hai naam hai jo tum ne aur tumhare baap dadaao ne khud hi ghad (bana) liye hai, Allah ta’ala ne un ki koi daleel nazil nahi farmayi, farma-rawaayi sirf Allah ta’ala hi ki hai, uska farmaan hai ke tum sab siwa uske kisi aur ki ibadaat (pooja) na karo, yahi deen (Islam) durust hai lekin aksar log nahi jante”.

*(Surah 12 Yousuf: Ayat 40)*


* Khulasa 

Shirk karne ki ijaazat Allah ne nahi di balke Shirk ki shuruwaat to :

1⃣Shaitan ke sath mil kar

2⃣Tumne aur

3⃣Tumhare baap-daao ne ki hai.

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

Mushrik ko Allah kabhi Maaf nahi karega aur uske liye hamesha ke liye JAHANNAM

Agar koi insaan Allah ke Rububiyat, Ibaadat aur Asma wa Sifaat me kisiko sharik karta tha ya samjta tha aur isi haalat me uski bagair tawba ke maut ho jaati hai to aisa shakhs hamesha ki Jahannam me rahega:

Allah ne khud farmaya hai ke wo Shirk karne walo ko kabhi maaf nahi karega :


إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا

“Use Allah ta’ala qatan (hargiz) na baqshega ke uske saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut door ki gumraahi mein ja pada”.

*(Surah 04 Nisa’a : 116)*

Aur 1 jagah ne Kaha :

“Yaqeen maano ke jo shakhs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par Jannat haraam kardi hai (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ )”.

*(Surah 05 Maydah : Ayat 72)*

Wasile me shirk.*

*✍🏻Kya ham Shaitan se bhi zyada bad-tar hai?*

“(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.

*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

ٱتَّبِعُوا۟ مَآ أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا۟ مِن دُونِهِۦٓ أَوْلِيَآءَ ۗ قَلِيلًۭا مَّا تَذَكَّرُونَ

“Tum log us ki itteba karo jo tumhaare Rab ki taraf se aayi hai aur Allah ta’ala ko chhod kar man-ghadat Awliya ki itteba mat karo, tum log bahuth hee kam nasihath pakadte ho”.

*(Surah 07 Araaf : 3)*

Aksar Musalman Nabi, Rasool, Awliya ke zaat ke wasile se Allah se dua karte jo ek bilkul galat tariqa hai.Lambi lambi dua ki jaati hai aur aakhir me kaha jata hai ke “Aye Allah tere Nabi ke sadqe-tufail me is dua ko qubul farma”. Ye na Nabi ka tariqa hai na hi Sahaba ka aur nahi kisi Salaf-Salehin ka.

1437 saal punare Makkah ke Mushrikin ki tarah aaj ka Musalman Allah ko Zameen wa Asman ka Rab manta hai, apna Khaliq bhi manta hai lekin aaj ke musalman ka Asal Shirk Allah ke “Ibaadat” aur uske “Asma wa Sifaat” me hai.

Aaj ka Musalman Allah ki ibaadat me “Wasile” ke zariye Shirk karta hai, yahi amal to Muhammadur Rasoolullah Sallallahu A’laihiWaSallam ke zamane ke Makkah ke mushrikin kiya karte the. Isi wajah se Allah ne unko Mushrik aur kafir karar diya tha. Allah ne Makkah ke Mushrikin ke Mushrik hone ki asal wajah Quran me is tarah bayan ki hai:

“Khabardaar! Allah hee ke liye khaaalis ibaadat karna hai aur jin logo ne us ke siwa Awliya bana rakhe hai (aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de, ye log jis baare mein ikhtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata”.

*(Surah 39 Zumar : Ayat 03)*


*✍🏻Mushrik Wasila (Intercession) kyun apnate hai:*

Apne dua ke qubuliyat ke liye wasila apnana buri baat nahi hai lekin hamara wasila quran aur sahih Hadees ke roshni me ho.

*Wasile 2 tarah ke hote hai:*

1⃣Na-Jayez wasila

2⃣Jayez wasila

*Na-Jayez wasila:*

Jab kisi Dargaah, Qabr, Murti- Parst Insan se puchha jata hai ke aap Awliya ke, Sadhu-Santo ke, Peer-Murshid ke darbaar par jaakar unke wasile se dua kyun mangte ho to wo kahte hai ke ham to bade gunhegaar bande hai Allah kaha hamari dua sunega. Ye log Allah ke Kharibi hai, isliye ye log hamari duao ko Allah tak pahuchhate hai. Is tarah ye Awliya hamare aur Allah ke bich wasila (bridge) ka zariya hai.

“(aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de”.

*(Surah 39 Zumar : Ayat 03)*

Is Ayat ke mutabik Mushrikin ka Aqeeda hota hai ke, Awliya hamari dua Allah tak pahuchate hai aur hamko Allah ka kharibi banate hai. Yehi to asal Shirk hai jo Nuh (A) ke zamane se log karte aarahe hai aur aaj bhi Musalmano ki Aksariyat is Shrik me dubi hui hai. Allah hamko Shirk ke bareme gaheri samaj aata kare.

Kya aap Shaitan -Iblis se bhi zyada bad-tar hai ?*

Aapko malum hoga ke jab Allah ne saare Farishto aur Iblis se kaha tha ke Adam (A) ko sajda karo lekin Iblis ne Adam (A) ko sajda karne se inkaar kiya aur kafir ban gaya tha.

Us waqt Adam (A) Allah ke Wali (dost) the aur Shaitan Allah ka na-farmaan tha, aise waqt me Shaitan ne Adam (A) se ye nahi kaha ke tum to Allah ke Wali (dost) ho zara meri Allah se 1 shifarish kar dena, balke Adam (A) se wasila liye bina us ne Allah se Direct dua ki aur Allah ne uski dua sun bhi li, wo dua kuch is tarah Allah ne Quran me darj kiya hai:

*Shaitan ki Allah se Direct Dua :*

“(Iblis) kahne laga ke : Aye mere rab mujhe us din tak ki dheel (mauka) de ke log dubara utha khade kiye jaaye (yani Qayamat tak) ? (Allah ne kaha) ke achha tu un me se hai jinhe muhullat mili hai. Roze muqarrar tak ke waqt ki (yani Qayamat tak)”.

*(Surah 15 Hijr : Ayat 36,37,38)*

Is Ayat se pata ye chala ke ham kitne bhi bade gunhegaar kyun na ho Allah se hi hamesha dua karna chahiye aur us se hi har chiz mangna chahiye.

Agar ham khatakaar ho lekin Shaitan se badhkar khatakar nahi ho sakte. Fir hamko Allah ke Ar-Rahman hone me shak kyun hai? Allah to apne bando se 70 Maa se zyada pyar karne wala hai. Aap bataye duniye me aisi kaunsi Maa ho sakti hai jo apne awlaad ko Aag me jalna pasand karegi? Fir Allah to “Ar-Rahaman Ar-Raheem” hai wo kaha se pasand karega ke uske bande Aag me jale, wo to hamko Jannat ki taraf bula raha hai aur ham hai ke Jahannam ki taraf jana chah rahe hai.


*Jayez Wasila:

1⃣ Allah ke Asma wa Sifaat (Naamon) ka Wasila.
*[Surah 07 Araaf : 180,Surah 17 Isra : 110]*

2⃣ Apne Nek A’maal ka Wasila.
*[Saheeh Al-Bukhari : 2215]*

3⃣ Kisi Nek Zinda-Mumeen se Duaa’ Karwaana.
*[Saheeh Al-Bukhari : 1010]*

*Quran kya kaheta hai :*

1⃣ Quran kahta hai ki Allah tumhare karib hai aur jab tum use pukarte ho wo pukar sunta bhi aur dua qubul bhi karta hai:

وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِى عَنِّى فَإِنِّى قَرِيبٌ ۖ أُجِيبُ دَعْوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ۖ فَلْيَسْتَجِيبُوا۟ لِى وَلْيُؤْمِنُوا۟ بِى لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ

“Jab mere bande mere baare mein aap se sawaal kare, to (aap kehde) ke mai bahut hee qareeb hoon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukaare qubool kaarta hoon, is liye logo ko bhi chaahiye ke wo meri baat maan liya kare aur mujh par imaan rakhe, yahi un ki bhalaayi ka baayes hai”.

*(Surah 02 Baqrah :186)*

2⃣ Quran kaheta hai ki Allah tumhare bilkul karib hai, us tak pahunchne ke liye kisi bhi insan ke zariye ki zarurat nahi:

“Khabardaar!

Allah hee ke liye khaaalis ibaadat karna hai aur jin logo ne us ke siwa Awliya bana rakhe hai (aur we kehte hai) ke hum unki (Awliya) ibaadat sirf isi liye karte hai ke ye (buzrug) Allah ke muqrab (Kharib) bana de, ye log jis baare mein ikhtelaaf kar rahe hai, us ka (saccha) faisla Allah khud karega, jhute aur na shukre (logo) ko Allah raah nahi dikhaata.”

*(Surah 39 Zumar: 03)*

3⃣ Quran kahta hai ke jo Qabro ke andar hai wo nahi sun sakte na aap unko sun sakte :

وَمَا يَسْتَوِى ٱلْأَحْيَآءُ وَلَا ٱلْأَمْوَٰتُ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُسْمِعُ مَن يَشَآءُ ۖ وَمَآ أَنتَ بِمُسْمِعٍۢ مَّن فِى ٱلْقُبُورِ

“Aur zinde aur murde baraabar nahi ho sakte, Allah ta’ala jis ko chaahta hai suna deta hai aur aap un logo ko nahi suna sakte jo qabro mein hai”.

*(Surah 35 Fatir : 22)*

*MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA nahi pahucha payenge.*

“(Aye Nabi) aap kah dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko se me nahi”.
*(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)*

“Un me se Aksar log (Majority) Allah par Imaan rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.
*(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)*

ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
“Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”._
*(Surah 18 Kahf: Ayat 107)*

*MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA nahi pahucha payenge:*

“Yaqinan teri taraf (yaani Muhammad s ki taraf) bhi aur tujh se pehle (ke tamaam Ambiya) ki taraf bhi wahee ki gayi hai ke agar tu (yaani Muhammad s) shirk kiya to bila shuba tera amal zaaya ho jayega aur bil yaqeen tu ziyaa kaaro me se ho jayega”.
*(Surah 39 Zumar : Ayat 65)*

Is Ayat me shirk karne walo ka anjaam bataya gaya hai. Waise Allah ke Ambiya aur Rasool Allah ke sath kabhi Shirk nahi karte lekin unko tambi (warning) ki gayi ke agar aap Nabi hokar bhi Shirk karenge to apke bhi zindagi ke saare aamaal barbaad kar diye jayenge, Jab Shirk kiye jaane par Allah Ambiya ko tak nahi bakshega to hamara kya haal hoga.

Janab Muhammad sallAllahu alaihi wasallam ko Nabi banaye jaane se pahle ke zamaane ko Zamaan-e-Jahiliayat kaha jata hai, us waqt Makka me ek bahot hi sakhi shakhs raha karta tha jiska naam “Abdullah bin Judaan” tha jo har saal aanewale Haajiyo ki mehman nawazi karta kiya karta tha lekin wo Mushrik tha. Isi ke bareme Ayesha (Rz) ne Nabi s se sawal kiya hai kuchh is tarah kiya tha:

Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya ke :

“Judaan ka beta zamana -e-jahiliyat me sila-rahmi karta tha miskeeno ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?” Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya : “Use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: Aye mere Rabb! qayamat k din mere gunah maaf farma”.
*(Sahih Muslim Kitabul Emaan)*

Aaj Ummat ke logo ka haal ye hai ke Allah ke sath Shirk bhi kar rahe aur sath sath me Salaat par Salaat(Namaze), Siyaam par Siyaam (Roze), Umre par Umre, Haj par Hajj adaa karte jaarahe hai. Kya inke saare aamaal Qayamat ke din kuchh kaam ayenge ?

Pyare Bhaiyo Behano apke Nek aamaal (deeds) Allah ke paas qubul hona chahte ho to pahle apne Iman, Aqeeda, Manhaj ko sahih karlo iske baad agar aap jo bhi chhoti si chhoti neki karoge Allah ke paas uska bahot bada badla paaoge.

Isiliye Allah ne irshad farmaya:

“Jo log Imaan laye aur Unhone Apne Imaan me Zulm (Shirk) Ki Milawat nahi ki to aise logo ke liye Aman Hai aur Yahi log Hidayat Paane Wale Hai”.
*(Surah 6 An’am: Ayat 82)*

*Kafir-Mushrik ke liye Allah ke paas Azaab:*

قُلْ هَلْ نُنَبِّئُكُم بِٱلْأَخْسَرِينَ أَعْمَٰلًا

“kah dijiye ke agar (tum kaho to) mai tumhe bata du ke ba-etebaare amaal sab se zyaada khasaare (nuksaan) me kaun hai?”

ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا

“Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”.

أُو۟لَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمْ وَلِقَآئِهِۦ فَحَبِطَتْ أَعْمَٰلُهُمْ فَلَا نُقِيمُ لَهُمْ يَوْمَ ٱلْقِيَٰمَةِ وَزْنًۭا

“Yahi wo log hai jinhone apne parwardigaar ki aayato aur us ki mulakhat se kufr kiya is liye un ke amaal ghaarat (barbaad) ho gaye pas Qayaamat ke din hum un ka koyi wazan qaayam na karenge”.

ذَٰلِكَ جَزَآؤُهُمْ جَهَنَّمُ بِمَا كَفَرُوا۟ وَٱتَّخَذُوٓا۟ ءَايَٰتِى وَرُسُلِى هُزُوًا

“Haal ye hai ke un ka badla Jahannam hai kyunke unhone kufr kiya aur meri aayato aur mere Rasulo ko mazaaq mein udaaya”.
*(Surah 18 Kahf : 102-106)*

Imanwalo ke liye Allah ke paas Inaam:

إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَعَمِلُوا۟ ٱلصَّٰلِحَٰتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّٰتُ ٱلْفِرْدَوْسِ نُزُلًا

“Jo log Imaan laaye aur unhone kaam bhi acche kiye yaqinan un ke liye Firdaus (Jannat) ke baghaat ki mehmaani hai”.

خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يَبْغُونَ عَنْهَا حِوَلًۭا

”Jaha wo hamesha raha karenge jis jageh ko badalne ka kabhi bhi un ka iraada hi na hoga”.-
*Surah 18 Kahf : 107-108)*

No comments:

Post a Comment