Monday, March 6, 2017

TAUBAH WA ISTIGFAAR KARNA

BISMILLAH

Taubah wa istigfaar ka matlab
hai ke jab bande se koi galti ya koi gunaah sarzad ho jaaye, to Allah Ta'ala ke saamne apni galti ka iqraar kare aur us par
sharmindagi aur nidaamat ka ehsaas ho aur Allah Ta'ala se maafi maang le aur ahad kare
ke aainda kabhi aisi galti aur gunah nahin karega.

Allah Ta'ala maafi ko bahot pasand farmaate hain, aur maafi maangne waalon se bahot khush hote hain , khud Allah Ta'ala ne

bandon ko apne gunaahon se maafi maangne aur toba karne ka hukm diya hai , ek jagah irshaad farmaaya : Aye Imaan
waalo : Allah se sachchi pakki taubah karo , ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hon gi.

[Sura-e-Tehreem: 8]

Rasoolullah ﷺ ne bhi tamaam logon ko taubah wa istigfaar karne ki hidaayat di hai aur iski fazeelat bayaan farmaai hain , is liye jab
bhi kisi se koi gunah ho jaaye, to use fauran Allah Ta'ala se maafi maang leni chaahiye ,

Huzoor ﷺ ka irshaad hai ke Allah Ta'ala farmate hain: Tum raat din khataaein karte ho sirf main tumhaare tamaam gunaahon ko maaf kar sakta hoon , mujh se magfirat Talab karo main tumhaare saare gunaahon ko maaf kardoonga.

[Muslim: 6737]

Gunaahon se taubah wa istigfaar na karne ki wajah se kaafi nuqsaan hota hai, dil-o-dimaag par taareeki chha jaati hai aur gunah ki qabaahat dil se nikal jaati hai , jis tarah aadmi ka kapda maila ho jaata hai, to us ko saabun se dho dete hain, isi tarah gunah karne se aadmi ka dil ganda ho jaata hai aur us ko saaf karne ka zariya

"Taubah wa Istigfaar" hai.
Jab insaan Allah Ta'ala ke saamne apne gunaahon ka eteraaf kar ke sachi pakki toba kar leta hai to woh gunaahon se bilkul paak-o-saaf ho jaata hai.

Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya : Jab momin banda koi gunah karta hai , to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah
nukta lag jaata hai phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur taubah wa istigfaar kar leta hai, to (woh kaala nukta khatm ho jaata hai aur) dil bilkul saaf ho jaata hai (aur agar us ne taubah wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai.

[Tirmizi: 3334]

Yeh baat zahen mein rehni chaahiye ke taubah ki qubooliyat ke liye 3 shartein hain 

(1) Gunah ka ehsaas hote hi ruk jaana.

(2) Us kiye huwe gunah par naadim aur sharminda hona.

(3) Yeh pakka iraada kare ke aainda kabhi yeh gunah nahin karoonga.

Lekin yeh us waqt hai jabke us gunah ka taalluq bandon ke huqooq se na ho aur agar us ka taaluq bandon ke huqooq se ho , to us ko ada karna zaroori hai , maslan kisi par bohtaan baandha ho to us se apna qasoor maaf karwaaye ya kisi ka maal hadap kar liya to us ko ada kare , is ke bagair taubah mukammal na hogi.

Ref: Deeniyat Course book
[Idara-e-Deeniyat]

No comments:

Post a Comment