BISMILLAH
Seerate Nabwi (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Jivani)
ek Bada Hee Uttam Aur Ucch-Streeye Vishaye Hain,
Ish Se Musalmano Ko Yeh Ilm Hota Hain ki Ush Ka 'Deen' Kaise-Kaise Daur Se Guzra Hain,
Ush Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Un Ke Sahabiyon (Sathiyon) Par Kya Beeti ?
ALLAH Ne Aap Ko Kaisi Kaisi Paariwarik Avam Vyaktigat Khoobiya Pradaan Ki Aur Kis Tarah Wahyi Risalat Aur Deen Ki Dawat Ke Liye Chuna,
Fhir Aap Ne Ush Raste Mein Kaisi-Kaisi Kathinayiyaa Jheli ,
kaisi-kaisi Musibate Sahen Ki,
Aur Antta: Kis Tarah Inamo Se Nawaze Gaye
Allah Ne Gaib Ke Parda Se Farishte Bhej Kar,
Saadhno Ko Juta Kar ,
Barkate Nazil Ki , Chamatkaar Dikha Kar Kis-kis Tarah Aap Ka Samarthan Avam Sahyog Kiya,
Aur Bade-Bade Shakti Shaali Senao Ne Aap ki Muththi Bhar Jama'at Ke Samne Munh Ki Khayi ,
Ye Sari Baate Seerat Ki Kitabo ke Panno Mein Susajjit Nazar Aati Hain
Mere Khayal Se Aisa Pehli Baar Hoga Ki Seerat ki Bate Facebook Par Bayaan ki jayegi
ye Meri Soch Hain Ki Nabi Ki Seerat par Main Kuch Likhu
waise To Seerat par Lakho Kitabe Likhi ja chuki hain
Humne Jo Kitab Seerat Par Chuni Hain Wo
AR RAHIKUL MAKTHOOM (LEKHAK SAFEEUR-RAHMAN MUBARAKPURI HAIN )
INKI ISH KITAB NE INAAM JEETA Tha Ish Liye Hum Ne inki Kitab Chuni Aur Inki Dusri Kitab Jo Hindi mein hai Aur Madeena Munawwara Se Chapi hain Uska Naam Nabuwwat Ki Kirne Hain Toh Hm Mila julakar In Kitab Se Likhne Wale hai Aur b Kuch kitabo Se hm beech mai Madad le sakte Hain
Allah humari Ish Koshish ko Qubool Kare
Islam Se Pehle Arbo Mein har Tarah Ke Log paye Jate the
Unko Do Dalo Mein Baanta Ja Sakta Hain
Ek Naastik Jo ALLAH Hi ka Inkaar Karte The Aur Kehte The Ki Humare Ish Jivan Ke Pashchaat Koi Aur Jivan Nahi Hain
Hum Toh Kewal Ish Jivan Mein Hi Khayenge-Piyenge Aur Fhir Mar Jayenge ,
Na Hume Dobara Uthaya Jayega Aur Na Humse Humare Karmo (Amal) Ka Badla Liya Jayega
Dusra Dal Dhaarmik Logon Ka Tha
Yeh Bhi Do Bhaago Mein Banta hua Tha
Ek Unka Jo Tauheed (Allah) Par Vishvaas Karte The,
Jinko 'Hanfiyaa' Kaha jata tha,
Lekin Ye Kawal Chand Log The
Dusra Bhaag Unka Tha Jo Moorti Pooja Karte The
Unka Vishvaas Tha ki Farishte Aur Poorvazo Ki Aatmayen Aadhyaatmik Shakti Hain
Inki Upasna (Ibadat) Se Allah ko Khus Kiya Ja Sakta Hain
Isi Liye Unhone Unki Moortiyaa Bana Rakhi Thi, Jinke Aage Weh Sir Jhukate The Aur Unse Apni Zarurato ki Cheeze Maanga Karte The
Aur Vishvaas Rakhte The Ki Yeh Moortiyaa Allah ke Paas Hamari Sifarish Karengi
In Moortiyon Mein Prasidh Moortiyaa HUBAL, WADD, SUWA'A, YAGOOS, YAUUQ, NASAR, UZZA, LAAT AUR MANAAT KI Thi
Isi Tarah Ibraheem Aur Maryam (Alaihissalam) Ki Moortiyaa Bhi Bana Rakhi Thi
Balki Unko Toh Kaabe Mein Rakha Hua Tha
Aisi Dasha Mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko ALLAH Ne Nabi Banakar Bheja,
Ta'aki Logo'n Ko Moorti-Pooja Chhodkar Ek ALLAH Ki Ibadat Ki Dawat Dey Aur Vidharmiyon ko Suchcha Dharm ka Maarg Dikhayen
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Jivan-Charitr Par Kuch Likhne Se Pehle Yahaa Kuch Arab Desh Aur Makka Nagar Ki Tatkaleen,
Paristhitiyon Par Prakash Dalna Behtar Hoga
Arab Ki Bhoomi Seeriya Se Lekar Yaman Aur Laal Sagar Se Lekar Arab Ki Khaadi Tak Faili Hui Hain,
Yahaa Ke Nivasiyon Ka Vansh Ismail-bin-Ibraheem Se Praarambh Hota Hain |
Ish Tarah Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ismail (Alaihissalam) Ki Aulaad (Santaan) Se The
Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Janm 12 Rabeeul-Awwal , Somwaar (Monday) Tadanusaar 20 Athwa 22 April 571 Isvi.' ko Makka Mein Hua
Aapke Pita Abdullah Ka Aapke Janm Se Pehle Hi Dehaant (Wafaat) Ho Chuki thi
Sahih Hadeeso Mein Aaya Hain Ki Aapki Mata Ne Dekha Ki Aapke Janm Ke Baad Ek Aisa Noor (Prakash) Nikla Jisne Seeriya Tak Ke Ilaqe Ko Jagmaga Diya
(Hadees : Mustdarak Hakim, 2/600, Musnad Ahmad, 4/127)
Quran mazeed ki insaikilopidiya Page No. 470
Nasab Nama
Pavittr Wansh Sharankhla
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Pavittr Wansh Sharankhla Nasab Nama Nimnlikhit Hain :
Muhammad Bin Abdullah Bin Abdul Muttalib Bin Hashim Bìn Abd Manaaf Bin Kosai Bin Kelaab Bin Murrah Bin Ka'ab Bin Luyi Bin Gaalib Bin Fahar Bin Malik Bin Nazar Bin Kanana Bin Khozaima Bin Mudrika Bin Ilyaas Bin Mudar Bin Nazaar Bin Ma'ad Bin Adnaan
Adnaan Ke Bare Mein Sabhi Log Ekmat Hain Ki Wah Hazrat Ismail (Alaihissalam) Ke Wansh Se Hain,
Lekin Dono Ke Beech Kitni Pushte Guzri Hain Aur Unke Naam Kya-Kya Hain ?
Ish Mein Matbhed Paye Jate Hain
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Maa Ka Naam Aamina Tha,
Unke Pita Wahab Bin Abd Manaaf Bin Johra Bin Kelaab The,
Yeh Wahi Kelaab Hain Jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Pita Ke Wansh-Sharankhla Mein Bhi Aate Hain
Kaha Jata Hain Ki Un Ka Asal Naam Urwa Ya Hakeem Tha,
Lekin Wah Kutto Ke Zariya Bahut Shikaar Kiya Karte The Isliye Kelaab Ke Naam Se Mashoor Huye ,
Arabi Language Mein Kutto Ko Kelaab Kehte Hain
Qabeela :
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Kuraish Qabeela Ke The ,
Kuraish Pure Arab Mein Sab Se Pratishthit Qabeela Tha,
Kuraish Asal Mein Fahar Bin Malik Bin Nazar Bin Kanana Ka Laqab Tha,
Baad Mein Unki Santaan Usi Naam Se Pukari Jane Lagi,
Waise Toh Ish Qabeele Ko Har Daur Mein Sardari Mili Lekin Qosai Ko Ek Vishesh Sthaan Hasil Hua ,
Ush Ka Naam Zaid Tha Aur Bachpan Mein Hee Yateem Hokar Maa Ke Sang Seeriya Ke Nikat Azrat Qabeela Mein Ja Basa Tha,
Wahi Ush Ka Lalan
Palan Hua,
Lekin Jawan Hokar Makka Aa Gaya Aur Kuch Hee Dino Ke Baad Khana Ka'aba Ka Mutwalli (Prabandhak) Ban Gaya
Yeh Kuraish Qabeela Ka Pehla Aadmi Tha Jo Khanaye Ka'aba Ka Mutwallee (Prabandhak) Bana,
Prabandhak Hone Ka Taatparye Yeh Hain Ki Usi Ke Haath Mein Khanaye Ka'aba Ki Chaabhi Hoti Thi,
Wah Jis Ke Liye Aur Jab Chahta Tha Ka'aba Ka Darwaza Kholta Tha,
Ish Ke Alawa Kuraish Makka Se Bahar Aabaad The,
Ush Ne Unhe Makka Mein Lakar Basaya,
Wah Zaid Hee Tha Jis Ne Hajiyon Ke Atithi Satkaar Ka Aayojan Shuru Kiya,
Wah Hajj Ke Dino Mein Bade istar Par Khana Taiyar Karata Aur Chamde Ke Bade-Bade Hauzo Mein Khajoor, Shahad Ya Kishmish Se Meetha Sharbat Banwata Aur Hajiyon Ko Pilata
Ush Ne Ka'aba Ke Uttar Mein Daroon Nadwa Ke Naam Se Ek Ghar Bhi Banwaya Tha Jo Kuraish Ki Saamoohik Gatividiyon Ka Kendr Tha,
Kuraish Ka Jhanda Aur Kamaan Bhi Kosai Hee Ke Haath Mein Tha,
Ataeve Ladai Ka Jhanda Ush Ke Siwa Koi Nahi Baandh Sakta Tha, Wah Bada Karpalu Aur Budhdimaan Tha,
Kuraish Ush Ki Baat Bina Virodh Ke Maan Liya Karte The
Wansh :
Aap Ka Wansh , Aap Ke Pardada Hashim Ke Naam Par Hashmi Wansh Kehlata Tha,
Un Ko Qosai Ki Zimmedariyon Mein Se Hajiyon Ke Atithi-Satkaar Ki Zimmdari Hasil Thi,
Yeh Zimmedari Hashim Ke Baad Unke Bhai Muttalib Ko Mili,
Muttalib Ke Baad Yeh Zimmedari Fhir Hashim Santaan Ki Or Sthaanaantarit Hui Aur Islam Ke Aane Tak Unhi Ke Haath Mein Rahi
Hashim Apne Zamane Ke Sub Se Mahaan Aadmi Samjhe Jate The,
Unhe "Waadi Ka Sardaar" Kaha Jata Tha,
Wah Roti Todh Kar Gosht Aur Shorba Mein Bhigote Aur Logon Ko Khane Ke Liye Rakh Dete The,
Choonki Arabi Bhasha Mein Ish Tarah Kisi Cheez Ko Todhne Ko "Hashm" Aur Todhne Wale Ko 'Hashim' Kehte Hain,
Isliye Un Ka Naam Hashim Pad Gaya
Waise Un Ka Asal Naam Amar Tha,
Kuraish Vyapaar Kiya karte The,
Hashim Ne Un ke Liye Jaade Mein Yaman Aur Garmi Mein Seeriya Vyapaar Ke Liye Jane Ki Vyevastha Ki aur Ish Ke Liye Dono Desho'n ke Haakimo Se Vyapaar Ki Anumati Avam Jaan wa Maal Ki Hifazat Ki Garanti Bhi Lee,
Ish Yaatra (Safar) Ka Ullekh Qur'an Ki Surah Kuraish Mein Allah Ke Ek Zabardast Ehsaan Ke Taur Par Kiya Gaya Hain
Hashim Ek Baar Vyapaar Ke Liye Seeriya Jate Samaye Yasrab (Jo Baad Mein Madeena Munawwara Kehlaya) Se Guzre Toh Wahaa Banu Adee Bin Najjar Ki Ek Ladki Salma Bint Amar Se Shaadi (Vivaah) Kar Liya,
Aur Kuch Din Ruk Kar Seeriya Chale Gaye Aur Wahi Filisteen Ke Suprasidh Nagar Gazza Mein UnKa Dehaant (Wafaat) Ho Gayi Yasrab Se Wida Hote Samaye Salma Garbh Se Thi,
Baad Mein Bachche Ka Janm Hua ,
Jis ke Sir Ke Baalo'n Mein Safedi Thi,
Isliye Ush Ka Naam Shaiba Rakh Diya Gaya,
Yeh Bachcha Madeena Mein Palta Raha,
Lekin Makka Mein Hashim Ke Bhaiyon Aur Pariwaar Ke Dusre Logo'n Ko Ish Ka Ilm (Gyaan) Na Tha,
8 Saal Ke Baad Hashim Ke Bhai Muttalib Ko Ish Ka Pata Chala Toh Wah Madeena Jakar Usko Apne Saath Ley Aaye,
Jab Makka Mein Dakhil Huye Toh Logon Ne Samjha Ki Yeh Un Ka Gulaam Hain,
Ataeve Unhe 'Abdul Muttalib' Keh Kar Pukarne Lage Aur Ant-ta: Wah Ladka Usi Naam Se Mashoor Hua
Abdul Muttalib Bahut Sundar Aur Mahaan Aadmi The,
Un Ke Daur Mein Unke Jaisa Koi Paida Na Hua Wah Kuraish Ke Sardaar Aur Makka Ke Vyapaarik Qafila Ke Zimmedaar The,
Itne Sakhi (Daani) The Ki Un Ka Naam "Faiyaz" (Daanveer) Pad Gaya
(Un Ka Dastarkhaan ka) Bacha Hua Khana Gareebo'n Janwaro Aur Chidiyon Ko Khane Ke Liye Daal Diya Jata Tha Aur Isi Aadhaar Par Un Ke Bare Mein Kaha Jane Laga Ki "Zameen Par Insano, Aur Pahaad ki Chotiyon Par Wahshi Janwaro Aur Panchiyon Ko Khilane Wala "
Unhe Zam Zam Ka Kuwaa Khodne Ka Saubhagye Bhi Praapt Hua,
Ush Kuye'n Ko Banu Jurhum Ne Makka Se Jate Samaye Paat (Band) Kar diya Tha,
Ush Samaye Se Ush Jagah ki Jankari Kisi ko Na Thi,
Abdul Muttalib Ko Sapna Mein Ush Kuye'n Ki Jagah Batayi Gayi Aur Khodne Ka Aadesh Diya Gaya,
Unhone Khudai Ki Toh Purana Kuwaa Baramad Ho Gaya
Unhi Ke Zamane Mein Khanaye Ka'aba Par Haathi Walo Ke Hamle ki Ghatna Ghatee,
Weh Sab Habshee The,
Unke Sardar Ka Naam Abraha Tha,
Abraha Yaman Par Qabza Karke Wahaa Ka Haakim Ban Baitha Tha,
Wah Khanaye Ka'aba Dhaane Ke Liye 60 Hazaar Hathiyaro Se Lais Sena Ke Saath Chadh Dauda,
Lekin Jab Makka Ke Purab Mein Muzdalifa Aur Minaa Ke Beech Muhassar Ghaati Mein Pahucha Aur Makka Par Hamla Karne Ke Liye Taiyar Hua Toh ALLAH Ne Ush Ki Sena Par Chidiyon Parindon Ka Jhund Bhej Diya,
Jinhone Ush Par Theekre Jaise Patthar Barsa Diye,
Aur Wai Khaye Huye Bhoose ki Tarah Ho Gaya,
Yeh Ghatna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Janm Se 50-55 Din Pehle Ghati Thi
Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Pita (Baap) Hazrat Abdullah,
Abdul Muttalib Ke Sub Se Khoobsurat ,
Paak Daaman Aur Chahete Bete The,
Unhe "ZABIH" Bhi Kaha Jata Hain,
Ush Ka Kaaran Yeh Hain Ki Zam Zam Ki Khudai Mein Jab Kuye'n Ke Chinh Dikhai Dene Lage Toh Kuraish Ne Bhi Abdul Muttalib Ke Saath Bhagidaar Banna Chaha aur Ish Ke Liye Un Se Jhagda Kiya,
Jo Badi Kathinayi Se Nibat Saka,
Yeh Dekh Kar Abdul Muttalib Ne Nazar Mani Ki Yadi ALLAH Ne Un Ko 10 Ladke Diye Aur Har Ek Muqable Ke Layaq (Yogye) Hua Toh Un Mein Se Ek Ko ALLAH Ke Raste Mein Qurbaan Kar Denge
Ab Allah ka Karna Aisa Hua Ki Un Ki Yeh Nazar (Abhilasha) puri Ho Gayi,
Ataeve Unhone Sab Ladko Ke Beech kuraa Dala,
Kuraa Abdullah Ke Naam Nikla,
Lihaza Unhe Zibha Karne Ke Liye Khanaye Ka'aba Ke Paas Ley Jaya Gaya,
Magar Kuraish Ne Unhe Rok Diya,
Vishesh Roop Se Abdullah Ke Bhai Aur Mamu Ne Ish Ka Kada Virodh Kiya,
Ant-ta: Yeh Faisla Hua Ki Un Ke Badle 100 Ount Zibha Kiye Jaye ,
Ataeve Abdul Muttalib Ne Aisa Hee Kiya
Isi Liye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko Do Zabih Ki Santaan Kaha Jata Hain,
Ek Zabih Hazrat Ismail (Alaihissalam) The Aur Ek Aapke Pita Hazrat Abdullah,
Isi Tarah Aap Ko Do (Fidiya) Sadka Mein Jaanwar Qurbaan Kiye Gaye Bujurgo Ki Santaan Bhi Kaha Jata Hain
Kyonki Hazrat Ismail (Alaihissalam) ko Medhe Ka Fidiya Diya Gaya Aur Aap Ke Pita ko 100 Ounto'n ka
Abdullah Ka Nikah Aamina Bint (Suputri) Wahab Se Hua Jo Ush Samaye Kuraish ki Sub Se Ucch Stareeye Aurat Thi,
Un Ke Pita (Baap) Wahab Bhi Banu Zohra Ke Sardaar Aur Ounche Wansh Ke The,
Aamina Nikah (Vivaah) Ke Turant Baad Garbhwati Ho Gayi ,
Idhar Kuch Dino Ke Baad Abdul Muttalib Ne Abdullah Ko Vyapaar Ke Liye Madeena Ya Seeriya Bheja,
Wapsi Mein Wah Madeena Mein Bimaar Pade Aur Wahee Un ki Maut Ho Gayi aur Unhe Naabga Jubyaani Ke Makaan Mein Dafan Kiya Gaya ,
Ush Samaye Tak Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka Janm Nahi Hua Tha
JANM (PAIDAIS) NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA JANM
Aap Makka Mukarrama Ke Sha'ab Bani Haashim Ke Andar Wasant Rihtu Mein Paida Huye,
Yeh Somwaar (Monday) Ki Subah Thi Aur Rabee-Ul-Awwal Ki 9, Aur Kaha Jata Hain Ki 12 Tareekh Thi
Saal Wahi Tha Jis Mein Abraha Ne Makka Par Chadhai Ki Thi,
Choonki Wah Apne Saath Haathi Bhi Laya Tha,
Aur Arabi (Language) Mein Haathi Ko Fheel Kehte Hain Ish Liye Ush Saal Ka Naam Aamul Fheel Pad Gaya,
Wah Din San Isvi Ke Anusaar 22 April San 571 Isvi Ka Tha
Janm (Paidais) Ke Waqt Daayi (Nurse) Ka Kaam Hazrat Abdur-Rehmaan Bin Auf (Radhi Allahu Anhu) Ki Maa Shafa Bint Amar Ne Kiya
Jab Aap Ka Janm Hua Toh Aap Ki Maa Ke Shareer (Zism) Se Ek 'NOOR' Nikla Jis Se Seeriya Ke Mahel Roshan Ho Gaye,
Fhir Maa Ne Abdul Muttalib Ke Paas Aap Ke Janm (Paidais) Ki Khus Khabri (Shubh-Suchna) Bhijwayi,
Wah Khushi-Khushi Padhare Aur Aap Ko Khanaye Ka'aba Mein Ley Jakar ALLAH TA'ALA Se Dua Ki Aur Ush Ka Shukr Ada Kiya Aur Ish Aasha Par Ki Aap Ka Gungaan Hoga,
Aap Ka Naam MUHAMMAD Rakha
Fhir Arab Ki Reetiyon Ke Anusaar Saatve Din Aqeeqa Aur Khatna Kiya Aur Logo'n Ki Dawat Ki
Aap Ko Aap Ke Pita (Baap) Ki Laundi Umme Aiman God Khilaya Karti Thi,
Wah Habshee Nasal Ki Thi Aur Un Ka Naam Barkat Tha,
ALLAH Ne Un Par Badi Karpa Ki,
Ataeve Unhone Aap Ki Nabuwwat Ka Daur Paya ,
Islam Laayi Aur Hijrat Bhi Ki,
Fhir Aap Ki Wafaaf Ke (5) Paanch (6) Chaa Maheene Ke Pashchaat Wafaat Paayi
RAZA'AT (DOODH PILAYI)
Aap Ki Maa Ke Baad Sub Se Pehle Abu Lahab Ki Laundi Sovaiba Ne Aap Ko Doodh (Milk) Pilaya ,
Ush Samaye Ush Ka Apna Jo Bachcha Doodh Peeta Tha Ush Ka Naam Masrooh Tha,
Sovaiba Ne Aap Se Pehle Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib Ko Aur Aap Ke Baad Abu Salma Bin Abdul Asad Makhjoomi Ko Bhi Doodh Pilaya Tha,
Ish Tarah Yeh Teeno Aapke Razaai (Doodh ke) Bhai Huye.
HALEEMA SADIYA KI GODH MEIN
Arab Ke Logo'n Ke Yahaa Chalan Tha Ki Weh Apne Bachcho Ko Shaher Ki Bìmariyon Se Bachane Ke Liye Unhe Doodh Pilane Wali Baddu Mahilao (Aurto'n) Ke Hawale Kar Diya Karte The Ta'aki Un Ke Patthe Mazboot (Shaktishaali) Aur Unki Arabi Bhasha Shudh Aur Salees Ho Jaye,
Isi Reeti Ke Anusaar Abdul Muttalib Ko Bhi Doodh Pilane Wali Daayi Ki Khoj Thi,
Idhar Banu Saad Bin Bakr Bin Hawazin Ki Kuch Mahilaaye (Aurte) Isi Uddeshye Se Makka Aayi Aur Un Ke Samne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bhi Pesh Kiya Gaya,
Lekin Jab Unhe Maloom Hota Ki Aap Yateem Hain (Yani Aap Ke Baap ki Maut Ho Chuki Hain) Toh Weh Aap Ko Lene Se Inkaar Kar Deti
Ek Mahila (Aurat) Haleema Bint Abu Juwaib Ko Koi Bachcha Na Mila,
Lihaza Ush Ne Majboor Hokar Aap Hee Ko Ley Liya,
Magar Jab Ley Liya Toh Un Par Shaubhagye Ka Aisa Dwaar Khula Ki Duniya Aashcharye Chakit Reh Gayi,
Jis Ki Ek Jhalak Aagami Panktiyon Mein Dekhenge
Hazrat Haleema Ke Baap Abu Juwaib Ka Naam Abdullah Bin Haaris Tha,
aur Wah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Razaai (Doodh Ke Rishte Se) Nana Huye,
Haleema Ke Pati (Shauhar) Ka Naam Haaris Bin Abdul Uzza Tha Aur Dono Hee Qabeela Saad Bin Bakr Bin Hawazin Se Sanbandhit The, Ish Tarah Haarish Ke Bachche-Bachchiyaa Aap Ke Razaai Bhai Bahen Huye,
Jinke Naam Ye Hain :
Abdullah,
Aneesa Aur Judama (Shaima) Thi,
Shaima Aap Se Badi Thi Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Godh Khilaya Karti Thi
HALEEMA KE GHAR MEIN BARKATE HEE BARKATE
Jaisa Ki Pehle Hee Sanket Diya Ja Chuka Hain Ki Jab Tak Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Haleema Ke Ghar Mein Rahe,
Un Ke Ghar Par Barkato'n Ki Baarish (Varsha) Hoti Rahi,
Haleema Ka Bayaan Hain Ki Jab Wah Aayi Thi Toh Ush Saal Akaal Pada Hua Tha ,
Un Ke Paas Ek Gadhee Thi Jo Itni Kamzor Aur Dublee Thi Ki Pure Qaafile Mein Sab Se Sust Aur Mariyal Chaal Chalti Thi,
Ek Ounti Bhi Thi Lekin wah Ek Boond Bhi Doodh Na Deti Thi,
Haleema Ka Apna Bachcha Bhookh Se Raat-Raat Bhar Bilakta Aur Rota Rehta Tha
Lekin Jab Wah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Lekar Apne Dere (Padao) Par Aayi Aur Godh Mein Unhe Rakha To Chaatiyaa Doodh Se Bhar Gayi,
Yahaa Tak Ki Aap Ne Shikam Sair Hokar (Santusht Ho Kar) Doodh Piya Aur Aap Ke Saath Haleema Ke Bachche Ne Bhi Jee Bhar Kar Piya, Fhir Dono Aaraam Ki Neend So Gaye
Idhar Un Ke Pati (Shauhar) Uth Kar Outni Ke Paas Gaye Toh Kya Dekhte Hain Ki Than Se Doodh Ubla Chahta Hain,
Ataeve Unhone Doodh Dooha Aur Fhìr Dono Ne Khoob Sair Ho Kar Doodh Piya Aur Bade Sakoon Se Raat Guzari
Makka Se Waapsi Mein Hazrat Haleema Usi Sookhi-Mariyal Gadhee Par Sawaar Hui Aur Apne Saath Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Bhi Liya, Lekin Ab Wahi Gadhee Itni Tez Chalee Ki Pure Qaafile Ko Kaat Kar Aage Nikal Gayi Aur Koi Gadha Ush Ka Saath Na Pakad Saka
Hazrat Haleema Ka Ghar,
Banu Saad Ka Ilaqa Sub Se Zyada Akaal Garast Tha,
Magar Ish Ke Baad Makka Se Wapsi Par Un Ka Haal Yeh Hua Ki Jab Bakariyaa Char Kar Wapas Aati Toh Un Ki Kokh Nikli Hoti Aur Than Doodh Se Bhare Hote,
Pati-Patni (Shauhar-Biwi) Khoob Doodh Duhte Aur Peete Jabki Kisi Aur Ko Doodh Naseeb Na Hota
Ish Tarah Lagataar Ush Ghar Par Khair Aur Barkat Ki Baarish (Varsha) Hoti Rahi Yahaa Tak Ki (2) Do Saal Beet Gaye,
Ataeve Hazrat Haleema Ne Aap Ka Doodh Chuda Diya,
Ish Beech Aap Hatte-Katte Aur Mazboot Ho Chuke The
KUCH AUR AWADHI HALEEMA KE PAAS
HALEEMA Ne Yeh Niyam Bana Rakha Tha Ki Wah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Har 6 Maheene Par Makka Laati,
Maa Aur Pariwaar Ke Anye Logo'n Se Milati Aur Fhir Apne Ilaqe Banu Saad Wapas Le Aati
Jab Doodh Pilane Ki Awadhi Puri Ho Gayi Aur Doodh Chhuda Kar Aap Ki Maa Ke Paas Laayi Toh Ab Tak Jo Khair Aur Barkat Dekh Chuki Thi Ush Ko Dekhte Huye Yeh Chahti Thi Ki Aap Ko Unhi Ke Paas Rehne Diya Jaye,
Ataeve Unhone Aap Ki Ammi Se Kaha Ki Kyon Na Aap Bachche Ko Mere Hee Paas Rehne Dey Ki Wah Zara Aur Mazboot Ho Jaye ?
Kyonki Makka Ke Sankaramak Rogo Se Darr Lagta Hain,
Ammi Ush Par Sehmat (Razi) Ho Gayi Aur Haleema Aap ko Lekar Khus-Khus Apne Ghar Wapas Hui,
Aur Aap Lagbhag 2 Saal Aur Wahi Rahe,
Fhir Aap Ke Mubarak Seene Ko Chaak Karne ki Ghatna Pesh Aayi,
Jis Se Bhayebheet Ho kar Haleema Aur Un Ke Pati Ne Aap Ko Aap Ki Ammi Ke Hawale Kar Dìya
SEENA MUBARAK KA hAAK KIYA JANA:
Anas Bin Malik (Radhi Allahu Anhu) ka Bayaan Haìn Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Bachcho Ke Saath Khel Rahe The Ki Hazrat Jibreel (Alaihissalam) Aap Ke Paas Aaye Aur Aap Ko Lita Kar Seena Chaak Kar Diya,
Fhir Aap Ka Dil Nikala Aur Ush Mein Se Ek Lothda Nikaal Kar Kaha Ki Yeh Tum Se Shaitan Ka Hissa Hain,
Fhir Dil Ko Seene Se Trey Mein Zam Zam Se Dhoya,Phir Use Usi Tarah Jodh Diya Aur Usi Jagah Palta Diya
Ìdhar Bachche Haapte-Kaapte Aap ki Maa Yani Daayi Haleema Ke Paas Pahuche Aur Kehne Lage Ki Muhammad Ki Hatya Kar Di gai Hain,Weh Log Haapte-Kaapte Wahaa Pahuche Toh Dekha Ki Rung Utra Hua Tha
(hadees : Sahih Muslim, 1/147)
Hazrat Anas Radhi Allahu Anhu Ka Bayaan Hain Ki Main Aap ke Seene Par Silayi ka Chinh (Nishaan) Dekha Karta Tha
MAA KI AAGOSHE MUHABBAT MAIN :
Jaisa ki Ish Ghatna ke Baad (Yani Nabi Ka dil Nikaal kar Jibreel Alaihissalam Ne Zam Zam Se Dhoya Iska Bayan Part-8 Mein Guzar Chuka hain,
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko Makka Pahucha Diya Gaya aur Aap Ne Apni Maa Ki Muhabbat Ke Saaye Mein Apne Pariwaar Walo Ke Saath Koi 2 Saal Bitaye,
Fhir Maa, Dada, Aur Umme Aiman Ke Saath Madeene Ki Yaatra Ki,
Madeena Mein Aap Ke Baap Ki Qabr Thi Aur Dada Ka Nanihaal Bhi,
Aap Madeena Mein Ek Maheena Ruk Kar Wapas Huye Toh Raste Mein Aap Ki Ammi Jaan (Maa) Bimaar Pad Gayi Aur Abwa'aa Pahuch Kar Un Ki Maut Ho Gayi,
Wahee Unhe Dafan Kar Diya Gaya
DADA KI DEKH-REKH MAIN :
Ab Boodhe Abdul Muttalib Aap Ko Lekar Makka Pahuche,
Un Ke Dil Par Aap Ki Ish Nayi Museebat Ke Ehsaas Ka Gehra Ghao Tha,
Ataeve Aap Ke Liye Un Ke Dil Mein Aisi Prem-Bhawna Jaagrat Hui Ki Sawayam Un ke Apne Beto'n Ke Liye Bhi Aisi Chahat Na Jagee Thi,
Wah Aap Ka Bada Khayal Karte ,
Apni Santaan Se Bhi Badh Kar Chahte,
Khoob Izzat Dete,
Un Ka Vishesh Bistar Jis Par Koi Aur Na Baith Sakta Tha Ush Par Aap Ko Bithate ,
Peeth Par Haath Fherte,
Aap Ki Gatividhiyon Ko Dekh Kar Khus Hote Aur Vishwaas Karte The Ki Bhavishye Mein Aap Ki Nirali Shaan Hone Wali Hain,
Lekin Abhi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Age (Aayu) Kewal 8 Saal 2 Maheena 10 Din Hui Thi Ki Abdul Muttalib Ki Maut Ho Gayi .
Chacha Ki Dekh-Rekh Mein :
Ab Aap Ke Chacha Abu Talib Ne Aap Ke Paalan-Poshan Ka Beeda Uthaya (Jimmedari Lee) Yeh Aap Ke Abbu (Pita) Ke Sage Bhai The, Wah Bhi Aap Se Khaas Muhabbat Aur Prembhaw Ka Vyevahaar Karte The,
Wah Dhanwaan (Maaldaar) Toh Na The Lekin Aap Ke Bharan-Poshan Ki Zimmedaari Lete Hee Un Ke Thode Se Maal Mein Itni Barkat Hone Lagi Ki Ek Aadmi Ka Khana Pure Pariwaar Ke Liye Paryaapt Ho Jata ,Swayam Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Bhi Sabr Dhairye Aur Sanyam Ke Namuna The Jo Kuch Milta Usi Par Santusht Rehte |
Seeriya Ki Yaatra Aur Buhaira Raahib Se Mulaqaat :
Jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Age (Aayu) 12 Saal (Aur Kaha Jata Hain Ki 12 Saal 2 Maheene 10 Din) Hui Toh Abu Talib Ne Vyapaar Ke Uddeshye Se Seeriya Jaane Ki Yojna Banayi,
Aap Ko Un Se Alag Hona Bahut Khala,
Jis Se Abu Talib Bhi Bahut Prabhavit Huye aur Aap Ko Apne Saath Ley Liya
jab Qafìla Seeriya Ki Seema Mein Pahucha Aur Basra Ke Nikat Padao Dala Toh Baheera Naam Ka Isaiyon Ka Ek Bada Raahib,
Apne Girja Se Nikal Kar Un Ke Paas Aaya Aur Qafile Ke Beech Guzarta Hua Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Paas Pahucha Aur Aap Ka Haath Pakad Kar Kehne Laga
"Yeh Duniya Ke Sardaar Hain,
ALLAH Ke Rasool Hain,
ALLAH Ne Inhe Duniya Ke Liye Rehmat Bana Kar Bheja Hain"
Logo'n Ne Pucha,
Aap Ko Yeh Kaise Maloom Hua ?
Ush Ne Kaha,
"Tum Log Jab Ghaati Ke Ish Or Aaye Toh Koi Pat'thar Ya Pedh (Tree) Aisa Na Tha Jo SAJDA Ke Liye Jhuk Na Gaya Ho,
Aur Yeh Dono Cheeze Nabi Ke Alawa Kisi Aur Ko SAJDA Nahi Karti,
Fhir Main Unhe Muhre Nabuwwat (Nabi Ki Muhar) Se Bhi Pehchaanta Hun Jo Kandhe Ke Neeche Narm Haddi Ke Paas Seb Ki Tarah Hain,
Aur Hum Unhe Apni Kitabo Mein Bhi Paate Hain
Fhir Ush Ne Qafile Ka Swagat (Welcome) Kiya Aur Abu Talib Se Kaha Ki Aap Ko Wapas Kar Dey,
Seeriya Na Ley Jaye,
Kyonki Yahoodiyon Aur Romiyo'n Se Khatra Hain, Ish Par Abu Talib Ne Aap Ko Makka Bhej Diya
Book : Nabuwwat ki Kirne page no. 17 to 27 And Ar Rahikul maktoom

No comments:
Post a Comment