BISMILLAH
Qur'aane kareem Allah Ta'ala ki taraf se naazil shuda mubaarak kalaam hai , us mein ahkaam wa ma'arif aur akhlaaq-o-aadaab bayaan kiye gaye hain , us mein
duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ke aamaal bataaye gaye hain aur woh tamaam insaanon ke liye hidaayat ka zariya hai. Yeh
bahot hi ba barkat aur muqaddas kalaam hai , is ki barkatein beshumaar hain , is ke alfaaz bahot hi paakeezah aur mubaarak hain. Jo shakhs is ki tilaawat karta hai , is ke liye aakhirat mein be inteha ajr-o -sawaab hai aur is ki taaleemaat par amal karna duniya wa aakhirat ki sar bulandi aur
izzat-o-asmat ka zariya hai.
Woh log bahot hi khush naseeb aur sa'adatmand hain jo hamesha is ki tilaawat karte aur is ki taaleemaat par amal karte hain , is ko samajhne aur doosron ko samjhaane ki koshish mein lage rehte hain.
Aise shakhs ko Allah ke Rasool ﷺ ne qaabil-e-rashk bataaya hai , chunaanche ek Hadees mein irshaad farmaaya: “Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain : Ek woh jis ko Allah ne Qur'an ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur
woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai.”
[Bukhari: 7529]
Qur'an-e-Kareem ki tilaawat se dil ki safaai hoti hai aur Allah ki yaad aur aakhirat ke anjaam se befikri aur gaflat door hoti
hai. Hadees mein hai ke Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Insaanon ke quloob par isi
tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya : Ya Rasoolullah ! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya : Maut ko kasrat se
yaad karna aur Qur'an-e- Kareem ki tilaawat karna. [Sho'ab-ul-Imaan:2014]
Ref: Deeniyat Course book
[Idara-e-Deeniyat]

No comments:
Post a Comment