Friday, March 3, 2017

APNA KAAM KHUD SE KARNA

BISMILLAH

Hamaare Deen Jahaan hamein aur bahot si achchhi baatein sikhaata hai waheen apna kaam khud karne ki targeeb deta hai, jo shakhs apna kaam apne haath se karta hai , Allah Ta'ala us ko kisi ka mohtaaj nahin hone deta. Apna kaam apne haath se karne
waale ki muaashare mein sab izzat karte hain aur ghar waalon ki nigaah mein bhi woh aadmi pasandeedah ban jaata hai. Khud Huzoor ﷺ ki Aadat-e-Shareefa
yehi thi ki aap ﷺ apna kaam apne haathon se kiya karte the.

Kisi ne Hazrat Aaisha Radi Allahu anha se poochha ke Huzoor ﷺ jab ghar mein hote,
to kya karte the? Hazrat Aaisha Radi Allahu anha ne jawaab diya: "Jaise tum log ghar waalon ke kaam kaaj karte ho ( Aise
hi Huzoor ﷺ kiya karte the ) apna joota thheek kar liya karte, apna kapda si liya karte aur dol ki marammat kar liya karte the".[Sahi Ibne Hibbaan:5676]


Ek martaba Huzoor ﷺ ke paas kuchh gulaam aaye , to Hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne Hazrat Faatima Radi Allahu Anha se kaha: Tum apne waalid ke paas jaakar ek khaadim maang lo , Hazrat Faatima Radi Allahu Anha Huzoor ﷺ ke paas aayein, magar wahaan kuchh log baithhe huwe
the , is liye waapas hogaeen, doosre roz Huzoor ﷺ tashreef laaye aur farmaaya : kal tum kis zaroorat se aaeen theen? Woh
khaamoosh raheen , Hazrat Ali Radi Allahu Anhu waheen the, unhon ne kaha ke ya Rasoolullah! Main bataata hoon , chakki
chalaane ki wajah se in ke haath main ghatte pad gaye hain, paani ka mashak uthhane ki wajah se gale main nishaan pad gaya hai, jab aap ke paas kuchh khaadim
aaye , to main ne in se kaha ke jaakar aap se ek khaadim maang lein taake inhein mashaqqat se chhutkara mil jaaye, Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aye Faatima! Allah se daro, apne rab ke fareeze ko ada karo aur apne ghar waalon ke kaam kaaj kiya karo aur jab
sone ke liye bistar par aao, to 33 martaba *SubhaanaAllaah*, 33 martaba *Alhamdulillaah* aur 34 martaba *Allaahu Akbar* padhliya karo. Yeh tumhaare liye
khaadim se behtar hai. Hazrat faatima Radi Allahu Anha ne farmaaya ke main Allah ke
Rasool se raazi hoon.
  • [Abu Dawood: 2988]

Ref: Deeniyat Course book
[Idara-e-Deeniyat]

No comments:

Post a Comment