BISMILLAH
*(7)➾ Namaaz ki taakeed*
"Namaaz" Islaam ka doosra rukn hai, Qur'aan wa Hadees mein namaaz padhne ki sakht taakeed ki gai hai, yeh tamaam ibaadaton mein sab se afzal ibaadat hai, namaaz har musalmaan par farz hai aur zaahiri taur par momin aur kaafir ke darmiyaan farq karne waali cheez namaaz hi hai, goya yeh musalmaanon ki ek khaas nishaani hai.
Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: *"Inna bainarrajuli wa bainashshirki walkufri tarkassalaah"*
* Tarjama:* Aadmi aur kufr wa shirk ke darmiyaan namaaz chhod dene hi ka farq hai.
[Sahih Muslim: 256]
Islaam mein namaaz ko jitni ahmiyat di gai hai, kisi aur ibaadat ko utni ahmiyat nahin di gai hai. Namaaz ko chhodna ya us ko ada karne mein laaparwaahi karna sakht gunaah hai, is se Allah Ta'ala bahot naaraaz hote hain.
Ek hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke jo banda ehtemaam se namaaz ada karega, to woh (Namaaz) qayaamat ke din us ke waaste noor hogi, (Jis se qayaamat ki andheriyon mein us ko roshni milegi aur us ke imaan waala hone aur Allah Ta'ala ka farmaanbardaar banda hone ki nishaani) aur daleel hogi aur us ke liye najaat ka zariya banegi aur jo shakhs namaaz ki adaaigi ka ehtemaam nahin karega, to woh us ke waaste na noor banegi aur na daleel hogi aur na hi najaat ka zariya hogi aur woh badbakht qayaamat mein Qaaroon, Firaon, Haamaan aur Umayya bin Khalf ke saath hoga.
[Musnad-e-Ahmad: 6576]
Is liye ham logon ko kabhi bhi namaaz nahin chhodni chaahiye. Is ko waqt par ada karne aur jamaat ke saath padhne ka poora ehtemaam karna chaahiye. Agar kabhi kisi sakht majboori ki wajah se namaaz qaza ho jaaye, to jald se jald padh lene ki koshish karni chaahiye. Agar ham nahin padhenge, to Allah Ta'ala ham se naaraaz ho jaayeinge aur ham ko Jahannam mein daal deinge.
*(8)➾ Ehsaan ka shukriya ada karna
Huzoor ﷺ ne jahaan ek doosre ko hadiya dene ki taaleem di hai aur us ke fazaail bayaan kiye hain waheen hadiya dene waalon aur ehsaan karne waalon ko badla dene aur kam az kam unhein dua dene ki hidaayat farmaai hai.
Hazrat Jaabir RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis Shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriye ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Duaa-e-Khair kahe. Jis ne aisa kiya us ne shukriye ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki.
[Abu Daawood: 4813]
Huzoor ﷺ ko jab koi hadiya aur tohfa bhejta tha, to Aap ﷺ us ko qubool farmaate aur us ka badla bhi diya karte the aur un ke liye Duaa-e-Khair bhi farmaaya karte the.
Ek hadees mein Aap ﷺ ne apni ummat ko taaleem dete huwe farmaaya ke jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di: *"Jazaakallaahu khairaa"* (yaani Allah Ta'ala aap ko is ka behtar badla ata farmaaya), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di.
[Tirmizi: 2035]
Is hadees mein Rasoolullah ﷺ ne aise logon ko taaleem di hai jo ehsaan karne Waalon ko badla dene ki haisiyat nahin rakhte, ke un ke haq mein dua hi dede aur kam az kam *"Jazaakallaahu Khairaa"* keh de, is se bhi ehsaan karne waalon ka haq ada ho jaayega.
*(9)➾ Har ek ko salaam karna*
Ek musalmaan bhaai ki jab doosre musalmaan bhaai se mulaaqaat hoti hai, to woh salaam karte hain. Mulaaqaat ke waqt salaam karna, islaam ka bahot hi achchha tareeqa hai, is se behtar doosra koi tareeqa nahin hai. Is ki bahot saari fazeelatein aayi hain, salaam karne se aapsi muhabbat badhti hai aur doosron se badgumaani door hoti hai, khaas taur se salaam mein pahel karna bahot badi neki hai.
Huzoor ﷺ ne farmaaya: *"Inna aulannaasi billaahi man bada-ahum bissalaami"*
Tarjama:* Logon mein Allah Ta'ala se sab se ziyaada qareeb woh shakhs hai jo logon ko salaam karne mein pahel kare.
[Abu Dawood: 5197]
Baaz log sirf apne jaanne pehchaanne waalon hi ko salaam karte hain, yeh sahi nahin hai, Islaam ki taaleem yeh hai ke har musalmaan bhaai ko salaam kiya jaaye, khwaah un ko pehle se pehchaante ho ya na pehchaante ho. Jab kisi tarah maaloom ho jaaye ke woh musalmaan hai to us ko salaam karna chaahiye, is mein bahot sawaab hai.
Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasoolallah! Kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante ho ya na pehchaante ho.
[Sahih Bukhaari: 12]
Hamein bhi har ek ko salaam karna chaahiye, khwaah woh hamaare dost hon, ya rishtedaar, ya koi doosre musalmaan bhaai.
*(10)➾ Jhoot ka wabaal*
Jo baat jaisi ho usi tarah bayaan kar dena "Sachchaai" hai aur us ke khilaaf bayaan karna "Jhoot" kehlaata hai. Jhoot bolna intehaai bura fel hai, Islaam is ko bilkul pasand nahin karta, is ka shumaar bade gunaahon mein hota hai. Jhoot bolne mein duniya aur aakhirat donon ka nuqsaan hai. Yeh insaanon ko halaak kar deta hai, jhoota aadmi logon ki nazron se girjaata hai aur us par se logon ka etemaad khatm ho jaata hai aur jhoot bolne se barkat uthh jaati hai. Allah Ta'ala jhoote logon ko sakht saza deinge.
Huzoor ﷺ ek martaba apne ek khwaab ka zikr kiya jis mein jhoote aadmi par hone waale azaab ka zikr karte huwe farmaaya: Phir ham aise shakhs ke paas pahonche jo leta huwa tha aur us ke sar ki taraf ek aur shakhs tha, jo lohe ki kainchi se us ke jabde aur aankhein guddi tak kat raha tha. Jab ek taraf kaat leta, to doosri taraf kaat'ta tha, abhi ek taraf poori taur par kaat bhi nahin paata ke doosri taraf sahi ho jaata. Main ne (apne saath maujood 2 farishton se) poochha: Yeh kaon hain? Unhon ne bataaya ke yeh shakhs jhoot bolta tha (usi ki saza di jaarahi hai) Is ke saath qayaamat tak yahi muaamla hota rahega.
[Sahih Bukhaari: 1386]
Jhoot bolna itni buri cheez hai ke is se farishton ko bhi takleef hoti hai. Hadees mein hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: *"Izaa kazabal 'abdu, tabaa'ada 'anhul malaku meelan min natni maajaa'a bihee"*
*Tarjama:* Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai.
[Tirmizi: 1972]
Is liye ham logon ko jhoot bolne aur jhooti baat bayaan karne se bachna chaahiye, agar ham jhoot boleinge, to hamein bhi duniya aur aakhirat mein nuqsaan uthhaana padega aur Allah Ta'ala ham ko sakht saza deinge. Isi tarah suni sunaai baaton ko bagair tahqeeq ke bayaan nahin karna chaahiye; kyun ke is tarah insaan baaz martaba jhoot mein mubtila ho jaata hai.
Huzoor ﷺ ne farmaaya: *"Kafaa bilmar'i kaziban ainyyuhaddisa bikulli maa sami'a".*
*Tarjama:* Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire.
[Sahih Muslim: 8]
*(11)➾ Allah Ta'ala ki naafarmaani ka wabaal*
Allah Ta'ala ne tamaam insaanon ko jin baaton par chalne ka hukm diya hai, usi ke mutaabiq chalna zaroori hai, us ke khilaaf zindagi guzaarna aur Allah Ta'ala ke hukmon ko na maanna bade nuqsaan ka zariya hai, alse logon se Allah Ta'ala sakht naaraaz ho jaate hain, insaanon par jo tarah tarah ki museebatein aur pareshaaniyaan aati hain woh Allah Ta'ala ki naafarmaani aur gunaah hi ka nateeja hota hai.
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain.
[Tirmizi: 3252]
Baarish jo ke Allah ki badi nemat hai, yeh bhi hamaare gunaahon ki wajah se ruk jaati hai, jab gunaah aur Allah ki naafarmaaniyaan hone lagti hain, to Allah Ta'ala baarish ko rok lete hain.
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jab haakim log zulm karne lagte hain, to baarish rok li jaati hai.
[Hilyatul Auliya: 5/200]
Pichhli qaumon par Allah Ta'ala ki naafarmaani ki wajah se azaab bhi aachuka hai, maslan Hazrat Nooh Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, us ke saath shirk kiya, gunaahon mein mubtila ho gai, to Hazrat Nooh Alaihissalam ne un ko samjhaaya aur sirf ek Allah ki ibaadat karne aur gunaahon ko chhodne ka hukm diya aur Allah Ta'ala ki marzi ke mutaabiq zindagi guzaarne ki hidaayat di, magar chand logon ke siwa kisi ne bhi un ki baaton ko nahin maana aur Allah Ta'ala ki naafarmaani mein had se aage badhte gaye, to Allah Ta'ala ne us qaum par apna azaab naazil kiya aur ek toofaani sailaab ke zariye tamaam kaafiron ko halaak kar diya.
Isi tarah Hazrat Loot Alaihissalam ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, tarah tarah ki buraaiyon aur gunaah ke kaamon mein mubtila ho gai, to Hazrat Loot Alaihissalam ne un ko Allah ki naafarmaani se bachne aur gunaahon se baaz rehne ki hidaayat di, magar unhon ne nahin maana aur naafarmaani aur sarkashi mein had se aage badh gaye, to Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraeel Alaihissalam ko bheja, unhon ne poori basti ko uthhaaya aur aasmaan ke qareeb le gaye aur waheen se poori basti ko zameen par patakh diya aur oopar se pattharon ki baarish barsaai, is tarah is holnaak azaab ke zariye poori qaum halaak ho gai.
Aaj kal zameen ki khudaai ke dauraan jo khandaraat nikalte hain aur puraane zamaane ke makaanaat daryaaft hote hain, bahot mumkin hai ke Allah Ta’ala ne apne azaab ke zariye un ko zameen mein dhansa diya ho aur woh khandaraat mein tabdeel ho gaye hon.
*(12)➾ Masjid ka ehteraam*
Islaam mein masjid ki badi ahmiyat hai, masjid ka adab wa ehteraam karna zaroori hai aur us ke aadaab ka lihaaz rakhna parhezgaari ki nishaani hai. Masjid ke aadaab mein se yeh hai ke masjid mein daakhil hote waqt salaam karein, bashart yeh ke masjid mein baithhe huwe log dars ya zikr mein mashgool na hon aur agar masjid mein koi shakhs na ho, to is tarah salaam karein *"Assalaamu ‘alaina wa‘ala ‘ibaadillaahis saaliheen".*
[Sho'abul Imaan: 8836]
Masjid mein jaakar sab se pehle do rakat Tahiyyatul Masjid ada karein, kasrat se Allah ka zikr karte rahein, masjid mein dunyaawi guftagu, khareed-o-farokht aur gumshuda cheez ka elaan na karein, Allah ke zikr ke alaawa kisi aur cheez mein aawaaz buland na karein, logon ki gardanon ko phalaang kar aage badhne ki koshish na karein, jagah ke liye kisi namaazi se jhagda na karein, saf mein kisi par jagah tang na karein, namaazi ke samne se na guzrein, masjid mein na thookein, na ungliyan chatkhaayein, masjid ko gandagi se paak saaf rakhein aur na samajh bachchon aur paagalon ko masjid mein na aane dein.
Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo.
[Ibne Maajah: 750]
Ek doosri hadees mein Aap ﷺ ne farmaaya: Ek zamaana aisa aayega ke masjidon mein dunyawi baatein hongi, tumhein chaahiye ke un logon ke paas bhi na baithho, Allah ko un logon se koi sarokaar nahin.
[Sho'abul Imaan: 2962]
Ref:* DEENIYAT COURSE BOOK

No comments:
Post a Comment