Thursday, March 9, 2017

NAMAAZ-E-JANAAZAH MEIN MAYYAT KE LIYE DUAA KARNA. -y

BISMILLAH

Raavi-e-Hadees Auf Bin MaaLik (RaziyALLaahu Anhu),
RasooL ALLaah (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Ne Ek Janaazah Padhaaya Tou Mai Ne Aap Ki Duaa Mein Se Yeh Yaad KarLiya,

Nabi (SaLLaLLaahu ALaihi Wa SaLLam) Farmaa Rahey The :

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لَهُ وَارْحَمْهُ وَعَافِهِ وَاعْفُ عَنْهُ وَأَكْرِمْ نُزُلَهُ وَوَسِّعْ مُدْخَلَهُ وَاغْسِلْهُ بِالْمَاءِ وَالثَّلْجِ وَالْبَرَدِ وَنَقِّهِ مِنَ الْخَطَايَا كَمَا نَقَّيْتَ الثَّوْبَ الأَبْيَضَ مِنَ الدَّنَسِ وَأَبْدِلْهُ دَارًا خَيْرًا مِنْ دَارِهِ وَأَهْلاً خَيْرًا مِنْ أَهْلِهِ وَزَوْجًا خَيْرًا مِنْ زَوْجِهِ وَأَدْخِلْهُ الْجَنَّةَ وَأَعِذْهُ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ أَوْ مِنْ عَذَابِ النَّارِ."

(ALLaahum-MaghfirLahu War-Hamhu, Wa Aafihi Wa Aafu Anhu, Wa Akrim NuzuLahu, Wa Was-Si' Mud-KhaLahu, Wagh-SiLhu BiL-Maai, Was-SaLji, WaL-Barad, Wa NaQQihi MinaL-Khataaya Kama NaQQaitas-SaubaL Abyaza Minad-Danas, Wa AbdiLhu Daara Khairam-Min Daarihi, Wa AhLan Khairam-Min AhLihi, Wa Zaujan Khairam-Min Zaujihi, Wa AdkhiLhuL Jannah, Wa A'izhu Min AzaabiL-Qabri Wa Min Azaabin-Naar.)

TARJUMAH : 
Aye ALLaah ! Usey Bakhsh Dey Aur Us Par Raham Farmaa Aur Usey Aafiyat Dey, Usey Muaaf Farmaa Aur Usey Izzat Ke Saath Ziyaafat Farmaa Aur Us Ke DaakhiL Hone Ki Jagah (Ya'ni Qabar) Ko Vasee' Farmaa Aur Us Ke Gunaahon Ko Paani, Baraf Aur OLon (ice cubes) Se Dhodey,

Usey Gunaahon Se Is Tarah Saaf Kardey Jis Tarah Tooney Safeyd Kapdey Ko MayL KuchaiL Se Saaf Kiya Aur Usey Us Ghar Ke BadLey Mein Behtar Ghar, Us Ke Ghar WaaLon Ke BadLey Behtar Ghar WaaLey Aur Us Ki Beewi Ke BadLey Mein Behtar Beewi Ataa Farmaa

Aur Us Ko Jannat Mein DaakhiL Farmaa Aur Qabar Ke Azaab Se Aur Aag Ke Azaab Se Apni Panaah Ataa Farmaa.

(Raavi-e-Hadees) Ne Kaha: (Yeh Duaa Sunkar) Yahaan Tak Hua Ke Merey DiL Mein Aarzu Paida Huyi Ke (Kaash) Yeh Mayyat Mai Hota !

[Saheeh MusLim, Kitaab-UL-Janaaiz (Funeral), Hadees : 2232 or 963]

No comments:

Post a Comment