BISMILLAH
By: Muhammad Iqbal Kilani Hafizullah.
Roman urdu Written by: Syed Ibrahim Salafi
HULIYA MUBARAK
① Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka chehra mubarak.
*[Mas'ala 11]* Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka chehra mubarak chand se ziyada haseen wa jameel tha:
Hazrat Jabair Bin Samurah Radhi Allahu Anhu kehte hai maine Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ko chandni raat mein dekha, main ek nazar Rasoolullah (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ko dehkta aur ek nazar chaand ko, is waqt Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) surq rang ka libaas pehne huwe thaye, mujhe Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka chehra mubarak chand se ziyada khoobsurat laga. (Rawahu Tirmizi, Sahih)
مقتصر شمائل المحمدية، للالبان، رقم الحدیث ٨
Hazrat Kaab Bin Malik Radhi Allahu Anhu kehte hai jab Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) khush hote tou Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka chehra mubarak aise chamakta jsise chand ka tukda hai. (Rawahu Bukhari)
كتاب المناقب، باب صفة النبىﷺ
② Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ke hath mubarak:
*[Mas'ala 12]* Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka hath barf se ziyada thnda aur mushk se ziyada khushboo daar tha.
Hazrat Abu Juhaifa Radhi Allahu Anhu kehte hai maine Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam ka hath thama aur esse apne chehre par rakkha, Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka hath barf se ziyada thnda aur is ki khushboo mushk se bhi ziyada achchyee thi. (Rawahu Bukhari)
كتاب المناقب، باب صفة النبىﷺ
③ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki hateliya mubarak.
[Mas'ala 13] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki hateliya mubarak raaham se ziyada naram wa nazuk thi:
Hazrat Anas Radhi Allahu Anhu kehte hai maine koi mota ya bareek resham Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki hateli se ziyada mulayam nahi dekha. (Rawahu Bukhari)
كتاب المناقب، باب صفة النبىﷺ
④ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ke talwe mubarak.
[Mas'ala 14] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki hateliya aur talwe mubarak ghosh se pur thaye:
Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu kehte hai Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam taweel thaye na pa'ast khad aur Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki hateliya aur paow ke talwe mubarak ghosh se pur thaye, Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka sar mubarak bada aur haddiyo ke jod kushada thaye, aur seene se naaf tak bareek baal thaye, maine Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam se pehle aur Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ke baad kisi ko aisa nahi dekha. (Rawahu Tirmizi, Sahih)
كتاب المناقب، باب صفة النبىﷺ (٢٨٧٧/٣)
Syed Ibraheem Salafi:
{}Fazaile-Rahmattullil-Aalameen{}
By: Muhammad Iqbal Kilani Hafizullah.
...Bismillah Hir Rahman Nir Raheem...
⑤ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka sar mubarak.
[Mas'ala 15] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka sar mubarak bada tha aur Haddiyo ke jod kushada thaye.
Wazahat: Hadees mas'ala no.14 ke tehat mulhaiza farmaiye.
⑥ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka dehan mubarak.
[Mas'ala 16] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka dehan mubarak kushada tha:
Hazrat Jabair Bin Samurah Radhi Allahu Anhu kehte hai Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam kushada dehan thaye. (Rawahu Tirmizi, Sahih)
ابو اب الفضائل، باب ماجاء فى خاتم النبوة (٢٨٨٤/٣)
⑦ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki ankh mubarak.
[Mas'ala 17] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki ankho mein surq dooray thaye:
Hazrat Jabair Bin Samurah Radhi Allahu Anhu kehte hai Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam ki ankho mein surq dooray thaye. (Rawahu Tirmizi, Sahih)

⑧ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki aidiya mubarak.
[Mas'ala 18] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki aidiyo par ghosh kam tha yani patli thi:
Hazrat Jabair Bin Samurah Radhi Allahu Anhu kehte hai Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam ki aidiyo par ghosh kam tha. (Rawahu Tirmizi, Sahih)

⑨ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki pindli mubarak.
[Mas'ala 19] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki pindliya mubarak safeed chamak daar thi:
Hazrat Abu Juhaifa Radhi Allahu Anhu apne baap se riwayath karte hai ke Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam bahar nikle tou aap ne Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki sefeed chamak daar pindliya dekhi. (Rawahu Bukhari)
كتاب المناقب، باب صفة النبىﷺ
⑩ Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki bagal mubarak.
[Mas'ala 20] Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki bagle safeed thi:
Hazrat Abdullah Bin Malik Bin Bujainah Aasadi Radhi Allahu Anhu kehte hai Nabi (Sallallahu Aalaihi Wasallam) jab sajda karte tou dono hath (pait se) se aalag rakhte hatta ke hum Aap ke baglo ki safedi dekhte. (Rawahu Bukhari)

No comments:
Post a Comment