Shaikh AL-Ansaari Ne Kaha :
"Shaikh AL-ALbaani [رحمه اللّٰه] Hanafi The. Leykin Jab Woh Hadees Ki science Mein DaakhiL Huye Tou Woh Uski Oonchaai Tak Pohanch Gaye (Aur Phir Ek Bohat Badey Muhaddis Baney Aur Martey Dum Tak Sirf Muhammad [صلّى اللّٰه عليه و سلّم] Ko Maanney WaaLey Bangaye)."
Shaikh AL-Ansaari Said: "Shaikh AL-ALbaani [رحمه اللّٰه] used to be Hanafi. Then, he entered in the science of Hadees and reached it's peak.
📚 *[AL-Majmoo' : 2/598]*
📌 *TASHREEH*
Shaikh AL-ALbaani [رحمه اللّٰه] Ka Is Ummat Par Bohat Hi Bada Ehsaan Hai Ke Unhoney Is Ummat Ko Ahaadees Samajhney Ke Liye Bohat Hi Aasaan Kardiya Apne TehQeeQ Ke Zariye Se.
Unhoney Ahaadees Mein Se Kaun Si Hadees Za'eef Aur Kaun Si Saheeh Hai Uski ALag Ahaadees Ki Kitaabein Banaayi Hai Jaisa Ke,
📌Saheeh Abu Daawood, Saheeh At-Tirmizee, Saheeh Ibn Maajah, Saheeh Sunan An-Nasaaee.
🖊Aur Unki Khud Ki Kitaabein *SiLsiLatuL Ahaadees As-Saheehah Jismey Saarey Ahaadees SAHEEH Hai*
Aur Ek Kitaab *SiLsiLatuL Ahaadees Az-Za'eefah Jismey Saarey Ahaadees ZA'EEF Hain*
📝NOTE
Ab Koi Shakhs Qiyaamat Ke Din ALLaah Se Yeh Nahi Keh Sakta Ke Muje tak Saheeh Ahaadees Nahi Pohanchi Aur Is Liye Mai Za'eef Ahaadees Par A'maL Karta Raha.
*POSTED BY*: *http://akhiratkitayari.blogspot.sg*
No comments:
Post a Comment