Wednesday, October 14, 2015

RAMZAN SE MUTALLIQ 50 SAWALAT



BISMILLAH

1. Ramzan ke Roze kyun Farz kiye gayein?

Allah Taala ne farmaya:
Ai imaan walon tum par Roze farz kar diye gaye waise hi jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taki tum Taqwa ki raah ikhtiyar karo.
📖[Surah al-Baqarah (2); Ayat-183]

Baizawee farmate hain:
Taki tum gunahon se bacho, kyunki Roze sahwaton ko todta hai aur sahwat hi se gunahon ki shuruwat hoti hai, jaisa ke Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jo Nikah na kar sakta ho, woh Roze ka ihtemam kare, kyunki Roze us ke liye (sahwaton ko) todne ka zariya hai.
[Tafseer ul-Baizawee= (1/123)]

2. Imaan aur Ihtesab ke saath Roze aur Qiyam e Ramazan ke kya maani
hai?

Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jis ne Imaan ke saath aur Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe us ke pichhle saare Gunah muaaf kar diye jate hain.
[Bukhari: Al-Imaan 38,
Muslim: Salatul Musafirin wa Kasriha 1268] Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu

Jis ne Imaan ki bina par aur sawab ki garz se Ramzan ka Qiyam kiya us ke pichhle gunah muaaf kar diye jate hain.
[Bukhari: al-Imaan 37,
Muslim: Salatul Musafirin wa Kasriha 173-(759)] Rawi Abu Hurairah Radhiallahu Anhu

Hafiz Ibn Hajar farmate hain:
Imaanan se murad Roze par Allah ki taraf se kiye gaye wadah ko sach mante huye Roze rakhna hai, aur Ihtesaban se murad us ajr ki talab karte huye Roze rakhna hai na ki riya wagairah ki buniyad par.
[Fath ul-Bari: Tahat Hadees 2008]

3. Kya Ramazan mein saare Jinn qaid kar diye jaate
hain?

Allah ke Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jab Ramzan ki pehli raat hoti hai toh Jinnon mein se sharkash shayateen ko zanjeeron mein qaid kiya jata hai, Jahannum ke darwaze band kar diya jata hai, (mahine bhar) us ka koi darwajah nahin khulta aur Jannat ke darwaze khol diye jate hai (mahine bhar) us ka koi darwaza band nahi kiya jata, ek nidaa lagane wala nidaa lagata hai: Ai khayr ke talab karne wale, aage badh aur ai shar ka irada karne wale, ruk jaa, aur Allah kuchh logon ko Jahannum se azad kar deta hai.
(Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban, Haakim, Bayhaqi) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 759] (Hasan)
Alfaaz Ibn Khuzaima ke hain isi tarah ikhtesar ke saath Bukhari wa Muslim mein hai.

Allah ke Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Ai logon! Mujhe Shab e Qadr ki pehchan karayi gayi thi aur Main tumhein batlane ke liye aa raha tha magar yahan do(2) shaksh ladh rahe the aur un ke saath shaytan bhi tha lihaja woh Mujhe bhoola di gayi.
[Bukhari 2023]

4. Kya Ramazan se ek do din qabl Nafl Roze rakh sakte hain?

Allah ke Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jab nisf e Shabaan ho jaye toh Ramazan aane tak Roze na rakho.
(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nisa'i, Ibn Majah) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 397] (Saheeh)

Allah ke Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Tum mein se koi shaksh Ramazan se ek ya do din qabl Roze rakhne ki jaldi na kare, haan woh shaksh jis ka maa'mool ke mutabiq Roze aa jaye toh woh us din ka Roze rakh sakta hai.
[Bukhari: as-Saum 1914; Muslim: as-Siyam 21-(1082)] Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu

5. Shabaan ki 29 tareekh ko badal ki wajah se Hilal na dikhayi de toh kya karein?

Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
(Ramazan ka) chand dekh kar Roze rakho aur (Sawwal ka) chand dekh kar iftaar (Roze rakhna band) karo aur agar aasmaan saaf na ho toh Shabaan ke 30 din poore kar lo.
[Bukhari:as-Saum 1909; Musim-Siyam 19-(1081)] Rawi Abu Hurairah Radhiallahu Anhu

6. Hilal dekh kar kya Duaa padhe?
Talha bin Ubaidullah Radhiallahu Anhu farmate hain:
Nabi sallAllahu Alaihi wasallam jab Hilal (mahine ka pehla) chand dekhte toh yeh Duaa padhte:

Allahumma Ahillahu Alayna Bil Amni Wal Imaani Wassalaamati
Wal Islami Wattaufiki Lima
Tuhibbu Wa Tarda Rabbana Wa Rabbukallah.

TARJUMA :
Ae Allah! Is Chand Ko Barkat Ke sath Aur Iman Aur Salamaati Aur Islam Aur Us Cheez Ki Taufik Ke sath Nikaal Jisse Tu Raazi Hota Hy Aur Pasand Farmata Hy.Aamin!
Ae Pehli Raat Ke Chand Mera Aur Tera Rab Allah Hai.
(Musnad Ahmad,
Tirmidhi 3/157, 5/504 , Ad darimi 1/336 sahih grade Al Albani dia hein Haakim)
[Saheeh ul-Jami' 4726] (Hasan)

7. Ramzan ke Hilal ke liye kitne logon ki gawahi darkar hai?
Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Chand dekh kar Roze rakhna shuru karo aur chand dekh kar hi Roze rakhne se ruk jao aur apni ibadat (Hajj wagairah) ke auqaat chand ki riwayat se hi muqarrar kar liya karo, agar chand tumhein nazar na aaye toh poore 30 din ki ginti poori kar lo aur agar 2 Musalman gawahi de diye toh in ki gawahi par Roze rakho aur 2 Musalman ki gawahi par hi iftaar kar lo (yani Roze rakhna band kar do).
(Musnad Ahmad, Nisa'i)
[Saheeh ul-Jami' 3811] (Saheeh)

Ibn Umar Radhiallahu Anhuma farmate hain:
Log chand dekhne ki kosish karne lage Maine Rasool-Allah ko batlaya ke maine chand dekha hai. Is par Aap sallAllahu Alaihi wasallam ne Roza rakha aur logon ko bhi Roza rakhne ka hukum diya.
(Abu Dawud, Darimi)
[Sunan Abee Dawud Tahqeeq ul-Albani 2342] (Saheeh)

8. Jis ko din ke kisi hisse mein Hilal ki khabar mile woh kya kare?
Rubai' bint Mu'awwij Radhiallahu Anha farmati hain:
Nabi SallAllahu Alaihi wasallam ne Ashura' ki subah ansar ke muhallon mein yeh paigham bheja, jo Roza se nahi hai woh baqiya din Roza rakhe aur jo Roza se hai woh apni Roza poora kare, farmati hain: lihaja us ke baad hum yeh (Ashura' ka) Roza rakhte aur apne bachcahon se bhi Roza rakhwate. Unke liye Unn(Wool) ke khilone banate, agar koi bachcha rota toh usey woh gudya thama dete yahan tak ki iftaar ka waqt ho jata.
[Bukhari: as-Saum 1960; Muslim: as-Siyam 136-(1136)] Alfaaz Bukhari ke hain.

9. Kya dur daraj ke ilaqon mein Roza aur Laylatul Qadr mein farq ho sakta hai?❓

Kuraib Rahimahullah farmate hain:
Umm Fazl bint Haris ne unhein Mu'awiah Radhiallahu Anhu ke paas Sham bheja. Farmate hain: main Sham aaya aur un ka diya huwa kaam poora kiya, abhi main sham hi mein tha ki Ramzan ka chand nazar aagaya, maine Jumu'ah ki raat chand dekha, phir mahine ki akhri dino mein Madinah pahunch gaya. Abdullah ibn Abbas Radhiallahu Anhuma ne dauran e guftagu chand ka jikr kiya aur mujh se poochha: tum ne (sham mein) chand kab dekha? Maine kaha: hum ne Jumu'ah ki raat chand dekha tha, unhone poochha: kya tum ne khud dekha tha? maine kaha: haan, aur logon ne bhi dekha aur Roza rakha, aur Mu'awiah Radhiallahu Anhu ne bhi Roza rakha. Us par unhone kaha: lekin hum ne toh sanichar ki raat chand dekha tha, so hum barabar Roza rakhte chale jayenge yahan tak ki 30 ki ginti poori kar lein ya chand dekh lein, maine poochha: kya aapke liye Mu'awiah Radhiallahu Anhu ki riwayat aur un ka Roza rakhna kaafi (daleel) nahi hai? aap ne jawab diya: nahi, Rasool-Allah ﷺ ne humein aisa hi hukum diya hai.
[Muslim: as-Siyam 28-(1087)]

10.Roze ki niyat kab karna chahiye?
Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jis ne Fazr (Subah sadiq) ke tuloo hone se pehle Roze ki niyat nahin ki us Roza nahin.
(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nasa'i) Rawiah: Hafsa Radhiallahu Anha
[Saheeh ul-Jami'6538] (Saheeh)

Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jo raat hi mein Roze ki niyat na karle us ka Roza nahin.
(Nasa'i) An Hafsa
[Saheeh ul-Jami' 6535] (Saheeh


11.Qiyam e Ramazan yani Taraweeh ki masnoon Rakaat kitni hai?

Salamah bin Abdur Rahman Radhiallahu Anhu farmate hain: Maine Aishah Radhiallahu Anha se poochha: Ramazan mein Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ki Namaaz ki kya kaifiyat
thi? Aap ne farmaya: Aap Ramazan aur ghair Ramzan mein Egayrah(11) Rakaat se jyada nahin padhte thein, Aap pehle char(4) Rakaat padhte, un ke husn aur tuaalat ke mutalliq na puchhoo, phir char(4) Rakaat aur padhte un ke husn aur tueel hone ke mutalliq na puchho, phir teen(3) Rakaat padhte, Maine poocha: Ai Allah ke Rasool ﷺ! Aap witr padhne se qabl so jate hain? Aap ne jawab diya: Ai Aishah! Meri aankhein soti hai magar Mera dil nahin sota.
[Bukhari: Salat ut-Taraweeh 2013; Muslim: Salat ul-Musafireen wa kasriha 125-(738)]

12 .Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne Qiyam e Ramazan ki kitni Rakaat ka hukum diya tha?

Saib ibn Yazid Radhiallahu Anhu farmate hain:
Umar Radhiallahu Anhu ne Ubayy bin Kabb Radhiallahu Anhu aur Tameem ad-Daari Radhiallahu Anhu ko logon ko Egyarah(11) Rakaat padhane ka hukum diya. Saib bin Yazid Radhiallahu Anhu farmate hain: Ek ek Qari sau sau(100) aayatein tilawat karta tha, yahan tak ki hum taweel Qiyam ki wajah se lathion(stick) ka sahara liya karte thein aur humari Namaaz, Fazr ke bilkul qareeb khatm hoti thi.
[Al-Muwatta: Kitab an-Nidaya lis-Salah Baab Ma ja'aa fee Qiyam e Ramazan]

13. Kya Allah ke Nabi ﷺ ne ek raat mein Taraweeh aur Tahajjud alag alag padhi hain?

Nuaim bin Ziyad Abu Talha an-Namri Radhiallahu Anhu farmate hain:
Ki unhone Numan bin Bashir ko hams ke minbar par yeh kehte suna: Hum ne Ramazan ki teyees'ween(23) raat Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke saath raat ke pehle ek tihai hisse tak Qiyam kiya, phir humne pachchis'ween(25) raat Aap
 SallAllahu Alaihi wasallam  ke saath adhi raat tak Qiyam kiya, phir humare saath Allah ke Rasool ﷺ ne sattais'ween(27) raat Qiyam kiya yahan tak ki humaein guman hone laga ki humein falah nahin milegi. unhone kaha: hum sehri ko falah kehte the.

(Musnad Ahmad, Musannif ibn Abee Shaybah, Ibn Nasr fee Qiyam al-layl, Nasa'i, Musnad Ahmad al-Faribee, Haakim, Ibn Khuzaima) Alfaaz Ahmad ke hain.
[Salat ut-Taraweeh Safa 10] (Saheeh)

14.Kya ba Jamaat Qiyam e Ramazan Bidaat hai?

Abu Dharr Radhiallahu Anhu farmate hain:
Hum ne Allah ke Rasool  
 SallAllahu Alaihi wasallam ke saath Roza rakha, Aap ne humein Namaaz (Qiyam e Ramazan) nahi padhayi yahan tak ki Ramazan ki sirf saat(7) raatein baki reh gayi thin (22 Roze ho chuke thein), phir us (23 ween) raat Aapne humein Namaaz padhayi aur itni taweeel Namaaz padhayi ki raat ka ek tihayi hisse guzar gaya, phir chhati raat Aapne humein Namaaz nahin padhayi, paanchween raat Aapne humari imamat ki aur itni taweel padhayi ke adhi raat guzar gayi. Humne kaha: Ai allah ke Rasool! Kyun na baqiah raat mein bhi Aap humein yeh Nafl Namaaz padha den! Aapne farmaya: Jo imaam ke saath yeh Namaaz padhe hatta ki imaam Namaaz poori kar le, us ke liye poori raat Qiyam ka sawab likha jata hai. Phir Aapne humari imamat nahin ki haata ki Ramazan ki teen raatein baqi reh gayi, phir teesre din ki raat mein Aapne humein Namaaz padhayi jis mein Aapne apne Ahl aur apni biwiyon ko bhi shamil kar liya, Aapne humein itni taweel Namaaz padhayi ki humein Falah ki faut hone ka darr hone laga. Jubair bin Nufair farmate hain: Maine un se (yani Abu Dharr Radhiallahu Anhu se) poochha: yeh Falah kya hai? Unhone kaha: Shehri.

(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nasa'i, Ibn Majah)
[Qiyam e Ramazan Safa 14, Salat ut-Taraweeh Safa 15] (Saheeh)

1⃣5⃣ Kya teen raaton se jyadah Taraweeh Bidaat hai?
Hazrat Aishah Radhiallahu Anha farmati hain:
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi wasallam ne ek Masjid mein Namaaz ada ki toh log bhi Aap ke saath Namaaz mein sharik ho gaye. Phir agle din bhi Aap ne Namaaz padhi toh log mazeed badh gaye, phir log teesri ya chauthi raat ko bhi jamaa huye toh Allah ke Rasool  SallAllahu Alaihi wasallam (Namaaz ke liye) un ki taraf bahar nahin nikle. Jab subah (yani Fajr) huyi toh Aapne farmaya: tumhare (Masjid mein jamaa ho jane ke) amal ko Maine dekh liya tha lekin Mujhe tumhari taraf nikalne se bas is cheez ne rok liya ke mujhe andesha huwa kahin yeh Namaaz tum par Farz na kar di jaye. (Sahabi kehte hain) yeh waqiah Ramazan mein pesh aaya tha.

[Bukahri: at-Tahajjud 1129; Muslim:
Salat ul-Musafireen wa kasriha 177-(761)]

16. Kya Auratein apas mein ba jamaat Taraweeh padh sakti hain?

Ibrahim Rahimahullah Aishah RadhiAllahu Anha se riwayat karte hain:
Hazrat Aishah RadhiAllahu Anha Ramazan mein auraton ki imamat kiya karti thin aur Saf ke wast(middle) mein kadhi hoti thin.
[Al-Athar lil-Imaam Muhammad 215]

17. ya Qur'an teen(3) din se kam mein khatam karna achha hai?

Hazrat Aishah RadhiAllahu Anha se riwayat hain, farmati hain:
Allah ke Rasool 
 SallAllahu Alaihi wasallam teen(3) din se kam mein Qur'an khatam nahin karte thein.

(Ibn Saa'd) An Aishah
[Saheeh ul-Jami' 4866] (Saheeh)
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:

Jo shaksh teen(3) din se kam mein Qur'an padh le woh Qur'an ko gehrayi se nahin samjha.
(Abu Dawud, Tirmizi, Ibn Majah) Rawi: Ibn Umar
[Saheeh ul-Jami' 7743] (Saheeh)

18. Sujood e Tilawat mein kya padhe?

Aishah RadhiAllahu Anha farmati hain:
Allah ke Rasool ﷺ raat (ki namaaz) mein Qur'an ke Sajde mein yeh Duaa manga karte:
(SAJADA WAJHIYA LILLAZI KHALAQAHU WA SHAQQA SAM'AHU WA BASARAHU BIHAWLIHI WA QUWWATIHI)
Mere chehre ne Usey (Allah ko) sajda kiya jis ne banaya aur us mein apne tasrif aur quwat se kan aur aankhein banayi.
(Abu Dawud, Tirmizi, Nasa'i)
[Sunan Tirmizi Tahqeeqil Albani 580] (Saheeh)

19. Witr ki Namaaz ka tareeqa kya hai?

Nafi' Rahimahullah farmate hain:Abdullah ibn Umar witr ki teen(3) rakaat mein do(2) rakaat par salam pherte aur aap (in 2rakaat aur 1 rakaat ke darmiyan) kabhi kisi kam ka hukum bhi diya karte the.
[Bukhari: Ma j'aa fee witr 991]

20.Qunoot e witr Rukoo se qabl hai ya baad mein?
Ubayy ibn Kabb RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi wasallam  teen(3) Rakaat witr padha karte jis mein pehli rakaat mein {Sabbihi isma rabbika al-aAAla} aur doosri rakaat mein {Qul ya ayyha alkafiroon} aur teesre rakaat mein {Qul huwa Allahu Aahad} padha karte thein. Aap Rukoo se qabl qunoot karte aur jab salam pherte toh farmate {Subhana al-malikil quddoos} (paaki hai us paak Malik ki) aur teesri martaba {Subhana al-malikil quddoos} kehte huye Apni aawaz ko taweel kar dete.

(Nasa'i) [Nasa'i Tahqeeqil Albani 1699] (Saheeh)

21.Kya witr ke baad Namaaz padhna jayez
hai ?

Allah ke Rasool 
SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:

Raat mein apni akhri Namaaz witr ko banalo.
[Bukhari: al-Witr 998;
Muslim: Salat ul-Musafireen wa kasriha 151-(751)]

Umm Salamah RadhiAllahu Anha farmati hain:
Nabi ﷺ witr ke baad baith kar do(2⃣) rakaat halki Namaaz padha karte thein.
(Tirmizi, Ibn Majah)
[Sunan Ibn Majah Tahqeeqil Albani 1195] (Saheeh)

22.Kya Taraweeh ke baad mazeed Qiyam ul-layl ki gunzaish hai?

Qays bin Talq Radhiallahu Anhu farmate hain:
Talq bin Ali Ramazan mein ek din humare paas aaye, aur humare hi paas Saum ki aur iftaar kiya, phir usi raat humein Namaaz padhayi aur witr bhi padhai. Phir apni Masjid mein gaye aur apne saathiyon ko namaaz padhayi aur jab witr (padhani) baqi rahi toh ek shaksh ko aage kar diya aur kaha: apne saathiyon ko witr padhao kyunki maine Allah ke Rasool ﷺ se suna hai, Aap farmate thein: ek raat mein do(2⃣) witr nahin.
(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Ibn Majah, Tirmizi, al-ziy'aa)
[Saheeh ul-Jami' 7567] (Saheeh)

23. Kya bachchon par Roze Farz hai?

Allah ke Rasool 
SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:

Teen(3) logon se qalam utha liya gaya hai, Majnoon yahan tak ki us ka junoon jata rahe, Sone wale yahan tak ki bedar ho jaye aur bachche yahan tak ki baligh ho jaye.
(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Haakim) Rawi: Ali wa Umar
[Saheeh ul-Jami' 3512] (Saheeh)

24. Kya Haiz ki halat mein Aurat Roze rakh sakti hai?

Abu Saeed Radhiallahu Anha farmate hain:
Nabi 
SallAllahu Alaihi wasallam  ne farmaya: Kya aisa nahin hai ki Aurat jab Haiz hoti hai toh na Namaaz padhti hai aur na Roze rakhti hai?

[Bukhari: as-Saum 1951] An Abee Saeed
[Muslim: al-Imaan 132-(79)] An Abdullah bin Umar

25.Musafir ke liye Roze rakhna behtar hai ya na rakhna?

Allah Taala ne farmaya:
Agar tum mein se koi mareez ho ya safar mein ho toh utne din gin kar baad mein Roze rakh le.
📖[Surah al-Baqarah(2); Ayat-184]

Hamzah bin 'Amr Al-Aslami Radhiallahu Anhu farmate hain:
Ki unhone kaha: Ai Allah ke Rasool! main apne andar halat e safar mein Roze rakhne ki quwat pata hoon toh (agar main Safar mein Roze rakhoon) toh kya mujh par gunah hai?
Aap ﷺ ne farmaya: yeh Allah ki taraf se rukhsat hai, jo isey le le uske liye behtar hai aur jo Roze rakhna chahe toh us par koi gunah nahi.
[Muslim: as-Siyam 107-(1121)] An Hamzah
[Bukhari: as-Saum 1943; Muslim: as-Siyam 107-(1121)] An Aishah
Bukhari ki riwayat mein yun hai:
Agar tum chaho toh Roze rakho aur chaho toh iftaar karo (yani chaho toh Roze na rakho)
[Bukhari: as-Saum 1943] An Aishah
Ek riwayat mein yun hai:
Tumhare liye jo bhi aasan ho karo.
(Tamam Fee Fawaid) An Hamzah bin 'Amr Al-Aslami
[as-Saheehah 2884] (Saheeh)

26.Kya Musafir rawangi se pehle kuchh kha pi sakta hai?

Muhammad bin Kaab RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Main Anas bin Malik RadhiAllahu Anhu ke paas mahe Ramazan mein aaya woh safar mein ja rahe the, un ki sawari bhi taiyyar thi, unhone safar ke kapde pehne, khana mangwaya aur khaya. maine poochha: kya yeh sunnat hai? unhone kaha: haan yeh sunnat hai, phir woh safar ke liye sawar ho gaye.
(Tirmizi) [Sunan Tirmizi Tahqeeqil Albani 799] (Saheeh)

27.Kya Musafir kisi ujr ke sabab Roze tod sakta hai
Jabir RadhiAllahu Anhu farmate hain:
Fath e Makkah ke saal Allah ke Rasool 
SallAllahu Alaihi wasallam Ramazan ke mahine mein Makkah rawana huye, jab Aap Kura'Al Ghameem pahunchhein toh Aapne Roza rakha aur logon ne bhi Roza rakha. Phir Aap ko yeh baat pahunchhi ki Roza rakhne se logon ko bahut takleef ho rahi hai toh Aap ne Asr ke baad ek bartan mein paani mangwa kar sab ke saamne usey piya, is par baaz logon ne apni Roza tod diya lekin baaz ab bhi Roza se hi rahe, jab yeh baat Allah ke NabiSallAllahu Alaihi wasallam ko pahunchhi ke baaz log ab bhi Roza se hain toh Aap ne farmaya: yeh log nafarman hai.(Muslim, Tirmizi, Nasa'i, Ibn Hibban, Ibn Khuzaima, Haakim) Alfaaz Nasa'i ke hain.

[Nasa'i Tahqeeqil Albani 2263] (Saheeh)
[Muslim: as-Siyam 90-(1114),91-(1114)]

28.Nihayat Umr raseeda shaksh ya dayemi marij ke Roze ka kya hukum hai?
Ata' Rahimahullah farmate hain:
Maine Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma ko yun padhte suna:
{waAala allajeena yuteeqoonahu fidyatun taAamu miskeen}
(aur woh log jinhein Roze rakhne mein shakt mushaqqat hoti hai woh ek miskeen ko bataur fidya khana khilayein)
Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain: yeh Ayat mansookh nahi hai balki us Umr raseeda mard wa aurat ke baare mein hai jo Roze rakhne ki istatawat nahi rakhte, yeh dono har din ke badle ek miskeen ko khana khilayein.
📖[Bukhari: Tafseer ul-Qur'an 4505]

29.Kya ek saath tamam Rozon ka fidya de sakte hain?
Anas bin Malik RadhiAllahu Anhu se riwayat hai ki:
Woh ek saal Roze rakhne se ma'joor ho gaye toh unhone ek bartan mein Sarid banwaya aur tees(30) miskeeno ko dawat di aur unhein bhar pet khila diya.
(Daraqutnee)
[Irwa ul-Ghaleel Jild 4 Safa 21 tahat raqam 912]

30.Mareej ke Roze ka kya hukum hai?

Allah Taala ne farmaya:
Phir jo koi tum mein se mareej ho ya safar par ho toh woh (apne in chhoote huye Rozon ki) ginti (Ramazan ke baad) doosre dinon mein poori karle, aur jin logon ko is mein (yani Roze mein) sadeed musaqqat hoti ho toh un par ek miskeen ko khana (khilana) bataur fidya hai.
📖[Surah al-Baqarah(2); Ayat-184]

Ibn Abbas RadhiAllahu Anhu Allah ke is farman {waAala allajeena yuteeqoonahu fidyatun taAamu miskeen} ke mutalliq farmate hain: {yuteeqoonahu} se muraad jo is se bahut takleef mahsoos karte hain, (fidyatun taAamu miskeen): ek miskeen (ko khana bataur fidya) (faman tatawwaAa khayran): ek se jayed miskeen ko khilana-yeh mansookh nahin hai, (fahuwa khayrun lahu waan tasoomoo khayrun lakum) [toh yeh us ke liye behtar hai, aur tum Roze rakho yeh tumhare liye jyada achha hai] is mein rukhsat sirf us ko hai jo Roza rakhne ki takleef bardast nahi kar sakta ya woh mareej jise marj se shifaa ki ameed na ho.
(Nasa'i) [Nasa'i Tahqeeqil Albani 2317] (Saheeh)

31.Hamila aur Murzia ke liye agar Roze mein zarar ka andesha ho toh kya
kare ?

Ibn Abbas Radhi Allahu'Anhu farmate hai:
Agar Ramazan mein (Roze ki wajah se) hamila ko apne liye aur doodh pilane wali aurat ko bachche par khatra mehsoos ho toh woh Roza na rakhe aur har din ek miskeen ko khana khilaye, mazeed ye ke woh Roze ki qaza bhi na kare."
[Tafseer Al Tabari Al-Baqarah 184]
[Irwa’ ul-Ghaleel Jild 4 Safa 19 tahat raqam 912]
Iski sanad Muslim ki shart par Saheeh hai.

Saeed bin Jubair se riwayat hai ke Ibn Abbas Radhi Allahu'Anhu ne apni Umme Walada (bandi jis se aulaad ho) se kaha jo Hamila ya Murzia (doodh pilane wali) thi: tum un logon mein se ho jo Roze ki quwat nahi rakhti, tum par Roze ka badla (fidya) hai Qaza nahi.
(Daraqutni) [Irwa’ ul-Ghaleel (4/19)] (Isnaad Saheeh)

32. Kya Rozon ki Qaza lagataar karna zaroori hai ?
Allah Taala ne farmaya:
"Aagar tum mein se koi mareej ho ya safar mein ho toh utne din gin kar baad mein Roza rakhle."
[Surah al-Baqarah 184]

Ibn Abbas Radhi Allahu'Anhu farmate hai:
Allah ke is farman ke mutabiq (faAiddatun min ayyamin okhara) rozon ki qaza lagataar karna zaroori nahi.
[Bukhari Taliqan: As-Saum: Baab mata yuqza qazayuh Ramazan?]


33.Sehri ka afzal waqt kaunsa hai?
Anas Radi Allahu'Anhu farmate hai:
Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam aur Zaid bin Sabit Radi Allahu'Anhu ne sehri ki aur jab sehri se farig huye toh Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam Namaaz ke liye khade huye aur Namaaz padhi, Rawi kehte hain: humne Anas Radi Allahu'Anhu se puchha: in dono ke sehri karne aur Namaaz padne ke darmiyaan kitna waqfa tha ? Aap Radi Allahu'Anhu ne farmaya: itna ke ek aadmi 50 aayatein padh le.
[Bukhari: Al Tahajjud 1134]

34.Agar khate huye sehri ka waqt khatam hone ka ilm ho jaye toh kya kare?
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Jab tum mein se koi Aazan sune aur (peene ka) bartan uske hath mein ho toh us bartan ko rakh na de balki is se apni hajat ke mutabiq kha pee le.
[Musnad Ahmad, Haakim, Abu Dawood] Rawi Abu Huraira
[Saheeh ul-Jami’ 607, As-Saheehah 1394] (Saheeh)

35. Iftar ka masnoon waqt kya hai?
Sahl bin Sa’ad Radi Allahu'Anhu farmate hain: Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya: Meri Ummat Mere tariqe par baqi rahegi jab tak wo iftar ke liye sitaron ke tuloo ka intezaar na kare.
Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam jab Roze rakhte toh ek shaksh ko tiley par bhej dete, jab woh kehta ke suraj guroob huwa toh Aap iftar kar lete.
[Haakim, Ibne Hibban, Ibn Khuzaima] [As-Saheehah 2081] (Saheeh)
(Haakim) Rawi Sahl bin Sa’ad (Tabarani) Rawi Abu Ad-Darda
[Saheeh ul-Jami’ 4772] (Saheeh)

36. Kis cheez se Sehri aur Iftar karna Afzal hai?
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Chuwaron (Sukhi Khajooron) par ek Momin ki Sehri kitni achhi hai.
(Abu Dawood, Ibn Hibban) Rawi Abu Huraira (As-Saheehah 562) (Saheeh)

Anas bin Malik Radi Allahu'Anhu farmate hai:
Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam Namaaz se pehle Rutab (Gili khajooron) par Iftar kiya karte thein agar Rutab khajoor na hotin toh Tamr (Shookhi khajooron) par Iftar kar lete agar woh bhi na hotin toh Pani ke chand ghoont pee lete.
(Musnad Ahmad, Abu Dawood, Tirmizi) Rawi Anas
[Saheeh ul-Jami’ 4995] (Hasan)

38.Roze mein BHOOL kar kha pee lene ka kya hukum hai?
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Jis ne BHOOL kar Roze ki Halat mein kuch kha pee liya toh woh apna Roza poora kare kyun ki usey toh Allah ne khilaya pilaya hai.
[Bukhari: 6669; Muslim: As-Siyaam 171-(1155)] An Abee Huraira.

39.Kya Ramazan ki Raton mein Biwi se Jimaa jayez hai?
Allah Taala ne farmaya:
Roze ki Raat mein apni biwiyon se milna tumhare liye halaal kiya gaya hai.
📖[Al-Baqarah 187]

Ibn Kaseer Rahimahullah farmate hai:
(War'rafasu) se muraad yahan Jimaa hai. Yehi baat Ibn Abbas, Ata’, Mujahid, Saeed bin Jubair, Tawoos, Salim bin Abdullah, Umro bin Dinaar, Hasan Basri, Qatadah, Zuhri, Zahak, Ibraheem Nakhayi, Saadi, Ata’ Khurasani, aur Muqatil bin Sulaiman ne kahi hai.
Tafseer Ibn Kaseer [1/375]

40.Kya mahaz zaiqaa chakh lene se Roza toot
jata hai?

Ibn Abbas Radi Allahu'Anhu farmate hai:
Rozedaar agar handi se kuch chakh le toh koi harj nahi.
[Bukhari: Taliqan zikr kiya hai] [Ibn Abee Shaybah 9278]
[Mukhtasar Saheeh Bukhari: Aa’sar 361]
[Irwa ul-Ghaleel Jild 4 safa 86]
Qala Albani: Wahaja sanad hasan fi misl haja Al Matan


41.Kya Rozedaar apna thook nigal sakta hai?

Qatadah Rahimahullah farmate hai:
Agar Rozedaar apna thook nigle toh koi harj nahi.
[Abdur Razzaq 7502 aur IMAM BUKHARI ne Kitaab As Saum Baab Sawaik Ar-Ratab wal yabas mein isey taliqa riwayat kiya hai]

42.Kya Qaee (Vomiting/ Oolti) karne se Roza toot ta hai?

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Jise Qaee aajaye is par Qaza nahi aur jo jaan boojh kar Qaee kare toh is par Qaza hai.
(Abu Dawood, Tirmizi, Nasa’i, Ibn Majah, Haakim) Rawi Abu Hurairah
[Saheeh ul-Jami’ 6243] (Saheeh) Alfaaz Tirmizi ke hai.

Ibn Khuzaima ke alfaaz hai:
Agar Rozedaar khud Qaee kare toh iska Roza toot gaya aur aagar us par Qaee galib aagayi toh iska Roza nahi toota.
[Saheeh Ibn Khuzaima 1960] (Isnaad Saheeh)

43.Kya Roze ki halat mein Miswak kar sakte hai?

Ibn Umar Radi Allahu'Anhu farmate hai:
(Rozedaar) din ke awwal aur akhri hisse mein Miswak kar sakta hai magar woh is ka thook na nigle.
[Imam Bukhari ne As Saum: Al agtesaal lis Siyaam mein taliqan zikr kiya hai]

44.Kya Roze ki halat mein Rahat ke liye naha
sakte hai?

Abu Bakr bin Abdur Rahman kisi Sahabi se Riwayat karte hai: Unhone kaha:
Maine Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ko Aarj ke maqaam par dekha Aap apne sar par piyaas ya garmi ki wajhe se pani daal rahe thein.
(Abu dawood)
 [Abu Dawood Tahqeeq Albani 2365] (Saheeh) yeh mukhtasar riwayat hai.

45.Kya Rozedaar Tel aur Surma laga sakta hai?

Ibn Masood Radi Allahu'Anhu farmate hai:
Jab tum mein se kisi ka Roze ka Din ho toh isey chahiye ke woh Subha Tel lagaye aur Kangi kare.
[Imam Bukhari ne As Saum: Al agtesaal lis siyaam mein taliqatan zikr kiya hai]
Hazrat Aanas bin Malik Radi Allahu'Anhu se Riwayat hai:
Woh Roze ki halat mein Surma lagaya karte thein.
(Abu Dawood) [Saheeh Abu Dawood 2082]
(Hasan mauqoof)

46. Kya khoon dene se Roza toot ta hai?

Abu Saeed Radi Allahu'anhu farmate hai:
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne Rozedaar ko Hijama karwane ki ruksat di.
(Darqutni, Tabarani, Bayhaqi)
 [Irwa Ul Ghaleel Jild 4 safa 75 raqam 931]

47.Kya Junubi ke liye Roze ka waqt shuru hone se pehle Ghusl lazim hai?

Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki Biwiyan Hazrat Aisha aur Umm Salma Radi Allahu'anhuma farmati hai:
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam Ahtelaam se nahi balki Jimaa se Janabat ki halat mein Subha karte aur Aap Roza rakh lete.
[Bukhari: As Saum 1926; Muslim : As Siyaam 78-(1109)]

48.Kya Biwi se bosa kinara karne se Roza toot ta hai?

Abdullah bin Umar bin Aas Radi Allahu'anhu farmate hai: Hum Allah ke Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki khidmat mein hazir thein ke ek naujawan aaya aur kaha: Ai Allah ke Rasool, kya main Roze ki halat mein (biwi ka) bosa le sakta hun? Aap ne farmaya: nahi. Itne mein ek Umar daraaz sahab aaye aur unhone puchha: Ai Allah ke Rasool, kya main Roze ki halat mein (biwi ka) bosa le sakta hun? Aap ne farmaya : haan!
Is par hum ek dusre ki taraf (tajjub se) dekhne lage. Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya: Mujhe maloom hai tum ek dusre ko kyun dekh rahe ho. Baat ye hai ke buzrug shaksh apne upar jyada qaboo rakhte hai.
[Musnad Ahmed, Abu Dawood] Alfaaz Ahmed ke hai. [As-Saheeh 1606] (Hasan saheeh)

49.Lailatul Qadr mein kya Duaa karna chahiye?
Hazrat Aisha Radi Allahu'Anha farmati hai:
Maine puchha: Ai Allah ke Rasool, agar mujhe ye maloom ho jaye ke kaun se raat Lailatul Qadr hai toh main us raat mein kya kahun?

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Yeh kaho: {Allahumma Innaka Oufuwu Tuhibbul Aafwa Fafu Anni}
Ai Allah Tu bada maaf karne wala hai, maaf karne ko pasand karta hai, bas mujhe maaf karde.
(Tirmizi, Ibn Majah, Haakim) An Aisha [Saheeh ul-Jami’ 4423, Tirmizi Tahqeeq Albani 3513]
(Saheeh)

50. Kitne dino ka Aitekaaf Sunnat hai?

Abdullah bin Umar Radi Allahu'anhu farmate hai:
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam Ramazan ke akhri Ashre ka Aitekaaf kiya karte thein.
[Bukhari : Al Aitekaaf 2025; Muslim : Al Aitekaaf 1 – (1171)]

Abu Huraira Radi Allahu'anhu se Riwayat hai ke Allah ke Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam har Ramazan mein 10 din ka Aitekaaf kiya karte thein, lekin jis saal Aap ki wafaat huyi us saal Aap ne 20 din ka Aitekaaf kiya.
[Bukhari : Al Aitekaaf 2044]

Hazrat Anas Radi Allahu'anhu farmate hai:
Allah ke Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam jab muqeem hote Ramazan ke Akhri 10 dino ka Aitekaaf karte aur agar Aap (Ramazan mein) Safar karte (aur Aitekaaf na kar paate) toh agle saal 20 din ke Aitekaaf Karte.
(Musnad Ahmed) An Anas [Saheeh ul-Jami’ 4775] (Saheeh)

51.Zakaat ul Fitr kis par Farz hai?
Abdullah bin Umar Radi Allahu'Anhu farmate hai:
Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne Ramazan mein Zakaat-ul-Fitr ko har musalmaan chahe woh azad ho ya gulam, mard ho ya aurat, chota ho ya bada sab par Farz kiya hai.
[Bukhari: Az Zakaat 1503; Muslim : Az Zakaat 16-(984)] Alfaaz Muslim ke hai.

52.Zakaat ul Fitr kab dena chahiye?

Abdullah bin Umar Radi Allahu'anhu farmate hai:
Rasool Allah Sallallahu Aalaihi wasallam ne logon ko (Eid ki) namaz ke liye jaane se qabl Zakaat-ul-Fitr dene ka hukum diya.
[Bukhari : Az Zakaat 1509; Muslim : Az Zakaat 22-(986)] Alfaaz Muslim ke hai.
Nafai se Riwayat hai Ibn Umar Radi Allahu'Anhu Zakaat-ul-Fitr us shaksh ko dete jo usey qabool karta tha aur log Zakaat-ul-Fitr ek ya do din pehle hi de diya karte the.
[Bukhari : Az Zakaat 1511]

53.Sadqa Fitr mein Anaaj dena chahiye ya Raqam?

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Ta’am (yani anaaj) se ek Sa'aa Sadqa Fitr diya karo.
(Hilyatul Awliya, Bayhaqi) Rawi Ibn Abbas. [Saheeh ul-Jami’ 242] (Saheeh)

54. Kya Namaz e Eid ke baad Sadqa Fitr dene se woh aada hojata hai?

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya:
Zakaat-ul-Fitr Rozedaar ko Laghw (be faida) aur behayayi (ke gunah) se paak karne aur miskeeno ka pet bharne ke liye muqarrar kiya gaya hai, jisne isey namaz se pehle aada kiya toh wo maqbool sadqa hai aur jisne isey namaz ke baad aada kiya toh ek aam sadqa hai.
(Darqutni, Bayhaqi) An Ibn Abbas. [Saheeh ul-Jami’ 3570] (Saheeh)

No comments:

Post a Comment