BISMILLAH
❓
Rasool ﷺ ne farmaya jo shaks susti ki wajah se teen jummah chchod de to allah taala uske dil par mohar laga deta hai
📖(ABU DAWOOD : 1052)
Hazrat ibne masood razi allahu anhu riwayat karte hain Rasool Allah ﷺ ne:-
un logo ke gharon ko jo (baligh) jummah se piche reh jate hain, jalaa dene ka qasad kiya.
📖(SAHIH MUSLIM : 865)
Aey woh logo jo Emaan laye ho ! Jummah ke din namaz ki azaan di jaye to tum Allah ke zikr ki taraf dodh padho aur khareed-o-farokht chchod do, yeh tumhare haq mein bahot hi behtar hai agar tum jantay ho.
📖(SURAH JUMMAH : 9)
NOTE:-
Allah rabbul Aalameen Aese shaqs ke dil par mohar laga deta hai jo bina kisi ujr ke or susti ki wajah se 3 jumah chchod de, or jiske dil par Allah mohar laga deta hai to wo insan bahot hi nuksan uthane walo me ho jata hai,
Allah rabbul Aalameen Aese shaqs ke dil par mohar laga deta hai jo bina kisi ujr ke or susti ki wajah se 3 jumah chchod de, or jiske dil par Allah mohar laga deta hai to wo insan bahot hi nuksan uthane walo me ho jata hai,
Yahan tak ki Allah ke Rasool ﷺ ne ye irada kiya ki me aese logo ke gharo me aag laga dun jo jumah padne nahi aate,
Or Suah Jummah ki aayat no 9 par aaj khas taur par logo ko dhiyan dene ki zaroorat hai, khas taur par un logo ko jo azaan hone ke bawajood apne karobaar me lage rehte hain, is aayat me Allah ne huqm diya hai ki
"jab Jummah ke din namaz ki azaan di jaye to tum Allah ke zikr ki taraf dodh padho aur khareed-o-farokht chchod do", yani jab jummah ki azaan keh di jaye to har insan par lazim hai ki wo apne karobar ko chchod kar Allah ke zikr (namaz) ke liye nikal jaye,
or isi aayat me aage Allah ne ye farmaya hai ki "yeh tumhare haq mein bahot hi behtar hai agar tum jantay ho"
yani jab jummah ki azaan ho jaye to us waqt Allah ka zikr hi hamare liye behtar hai na ki hamare dusre kaam ya karobaar, or beshaq behtar wahi hai jisko Allah khud behtar bol de.
Allah ta-aala hame jummah ki ehmiyat samajhne ki taufeeq de or jummah ke din hame sabse pehle masjid me pahonchne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH
No comments:
Post a Comment