Friday, July 15, 2016

HADIS AUR FIQH KE BAAZ USOOL ( PART - 3 )

"Hadees Aur Fiqh Ke Baaz Usool"
By: Abu Zaid Zameer Hafizullah.

Roman urdu written by: syed Ibraheem salafi


HADEES KI  KITABO MEIN HADEES KAISE AATI HAI:

Misaal, hummare samme do hadeese hai ek bukhari ki aur ek muslim ki:aagar aap Sahih Bukhari padhegen tou aap ko milega...

69. Haddasan Muhammad bin Basshaar, Qaal: Haddasana Yahya bin Saeed, Qaal: Haddasana Saubah, Qaal: Haddasani Abu Taiyah, An Anas (Radhi Allahu Anhu), An Nabiya Sallallahu Aalaihi Wasallam Qaal: "Yassaroo Wala Tu'assaroo, Wa Basharoo Wala Tu'naffaroo."

Imam Bukhari ne kahan Haddasan (hum sab se Hadees bayaan ki) Muhammad bin Bashaar ne, Muhammad bin Basshaar ne kahan Haddasan Yahya bin Saeed, Yahya bin Saeed ne kahan Haddasan Saubah, Saubah ne kahan Haddasani (mujse Hadees bayaan ki) Abu Taiyah ne, Abu Taiyah ne kahan An Anas (Anas Radhi Allahu Anhu ke paas se aayi hai) aur Anas (Radhi Allahu Anhu) ne kahan An Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam qaal: "Aasani karo aur sakhti na karo aur khush kar aur nafrat na dila." (Sahih Bukhari, Kitabul Ilm, Hadees 69)

Rawi aur Riwayath:

In mein se Muhammad bin Basshaar, Yahya bin Saeed, Saubah, AbuTaiyah wagiara Rawi hai aur jo cheez ye paish karrahe hai isko Riwayath kahte hai...

Sanad aur Matn:

Imam Bukhari ne kahan Haddasan.. ... ... phir aaqir tak Anas Radhi Allahu Anhu ne kahan... ... .. tak ye sanad hai... aur jo cheez layee gayee wo Matn hai... Jo ek dusre se bayaan kar ke laya jaa raha hai us pure (shuru se aaqir tak) laane ke silsile ko is tarteeb ko Sanad kehte hai, aur jo laaya gaya usko Matn kehte hai...

Ab hum dusri Hadees dekhte hai jo Sahih Muslim Kitabul Jihaad_ ki hai:

Haddasana Abu Bakr Ibnu Aabi Shaiba wa Abu Kuraib, Wal Lafzu Li Abi Bakr, Qala: Haddasana Abu Usma An Buraid Ibni Abdillah, An Abi Burdah, An Abi Musa (Radhi Allahu Anhu) Qaal: Kana Rasoolullahi Sallallahu Aalaihi Wasallam, iza ba'asa aahadam man ashabihi fee baazi amrihi qaal: "Bash'saroo Wala Tu'naffiroo, Wa Yassiru Wala Tu'assaroo."

Imam Muslim ne kahan Haddasan (Hum sab se Hadees bayaan ki) Abu Bakr Ibne Aabi Shaiba aur Abu Kuraib ne, dono ne kahan, Haddasan Abu Usma, Abu Usma ne kahan An Buraid Ibni Abdillah (Buraid Ibni Abdillah se hum tak ayee) Buraid Ibni Abdillah ne kahan An Aabi Burdah (Aabi Burdah se un tak aayee) Aabi Burdah ne kahan Aabi Musa (Abu Musa Radhi Allahu Anhu se tak aaye) Abu Musa ne kahan: "Rasoolullah Sallallahu Aalaihi Wasallam apne sathiyo mein se kisi ko jab apne kisi mamle ki zimedari dey kar rawana karte tou farmate: "Aasani paida karo aur Mushkil mein na dalo."

[Sahih Muslim, Kitabul Jihaad Was Sayar, Hadees 1732]

HADEES BAYAAN KARNE KO DO TARIQE:

Hadees riwayath karne ke do tarike hote hai, "Riwayah Bil Mana" (Hadees ka mana bayaan kardiya jaye) aur "Riwayah Bil Lafz" (Lafz ba lafz Hadees bayaan karna) ye do tarike se bayaan karna jaiz hai... jaisa ke aap ne aabhi dekha Bukhari aur Muslim ki Aahadees mein...


HADEES KI TEHQEEQ KI AHMIYAT:

Hadees ki tehqeeq us ke mutabar gair mutabar hone ke aitebaar se lazim hai zarori hai, har hadees jo hum tak pouhchti hai zarori nahi ke wo mutabar ho kabhi mutabar hoti hai kabhi mutabar nahi hoti hai...

Kya wujuhaat hai khabar mutabar na hone ki pehli baat khabar pouchane wale ne Jhoot kahan ho dusri baat Bolne wale se Anajne mein bhool hogayee ho, is liye khabar pouchane wale mein do cheezi dekhi jayegee ek Taqwa dusri Yaadash...

(jo Jhooti hadees jaan boch kar bayaan kar uske Taqwe mein kharabi hoti aur jo Anjane mein hadeez mein izafa ya kami karde kuch ka kuch karde uski Yaadash mein kharabi hoti hai)

Allah ke Nabi (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ne Hadees ke silsile mein hum ko ahtiyaat ka hukum diya hai:

Wo hadeese dekhte hai:

Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: "Mujpar jhoot bolna kisi aur par khoot bolne ki tarha nahi hai, jo jaante boojte mujpar jhoot kahen wo apna thikana jahannum mein bana ley." (Bukhari Wa Muslim, Dekhiye Mukhaddima Sahih Muslim)

Kuch loug kehte hai jab do musalmaan bhaiyo ko milane ke liye jhoot bol sakte tou Allah aur Bande ko milane ke liye jhooti hadees bayaan kuy nahi kar sakte unki ye baat bilkul ghalat hai,

Is hadees se maloom huwa Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam par jhoot bolna kisi aur par jhoot bolne ki tarha nahi hai, jo Nabi par jhoot bole wo Jahannumi hai, kuy ki Nabi (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki baat Deen mein Daleel hai Hujjat hai...

Is hadees mein ek shart hai "Jo jaan booch kar Nabi par jhoot kahen" wo Jahannumi hai, jaise ek aadmi kisi se hadees sune aur wo Hadees bayaan karne wale ko Sachcha samjhe halanke wo jhoota ho tou wo is waeed mein nahi aata kuy ke jahannun ki waeed jaan booch kar jhoot bolne wale par hai, muhaddiseen se bhi galti huwi unko nahi maloom tha is liye jhooti hadeese likh di apni kitabo mein, aur muhaddiseen ne sanad bhi bayaan karte hai jis se unki zimedari khatam ho jaati hai ab aap kudh dekh lo kaunsi Hadees Sahih hai aur kaunsi hadees Zaeef hai, aur ek ye bhi wajha hai Zaeef hadees likhne ki ke lougo ko maloom hi jaye ke ye hadees Zaeef hai, aur behat se wujuhaat hai muhaddiseen se ghalti hone ki aur Zaeef hadees likhne ki...

Hadees ki tehqeeq ki zarorat kya hai, Allah ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:

"Aaqri zamane mein (Nabi ke baad ke daur mein) Dajjal (dhoka deyne wale) aur Kazzab (bohat jhoot bolne wale) aayegen wo tumhare paas aisi aisi hadeese lekar aayegen jo na tumne aur na tumhare baap dada ne suni hogee, tum unse bach ke rehna kahin wo tum ko bhatka na dey aisa na ho ke kahin wo tumhe fitne mein daal dey."

(Sahih Muslim, Mukhaddima)

Is Hadees mein "baap dada ne na suni hogee" is ka matlab hai ke wo hadees ki Aasal na hogee wo hadees oupar se na aayee hogee balke wo bich mein ghadi huwi hogee, is hadees se maloom huwa ke Hadees ki Sanad honi chahiye...

Is hadees mein Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne Jhooti Hadeese bayaan karne walo se bachne ka hukum diya (aur jo aisa nahi karta tou natije mein gumrahi aur fitne aate hai) lehaz hum ko dekhna chahiye ke hadees bayaan karne wala kaisa hai, is se sabit huwa asma wa rijaal ka ilm zaroori hai...

Khateeb Baghdadi Rahimahullah is Hadees ke ziman mein kehte hai:

"Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne khabar dey di hai ke Aap ki ummat mein Aap ke baad Jhoote Loug aayegen Aap ne pehle hi khabardaar kar diya aur unki Riwayath qubool karne se mana kiya aur hum ko ye bhi bataya ke "Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam par jhoot dusre par jhoot ki tarha nahi hai" Is se (Aap ke ye batane se) wajib hogaya ke hum hadees bayaan karne walo ke halaat mein gaour kare, aur hadees naqal karne walo ke mamlaat mein tafteesh kare, Deen mein ahtiyaat ki wajhe se, aur Shariyath ki hifazt karne ke liye mulhideen (bigde huwo) ki tarf se."

(Al Kifaya Fee Ilmi Riwayah)

Ek usool maloom huwa ke Muhaddiseen ne Rawiyo ke halaat ki tahqeeq ki uski buniyaad hadees mein hai...


KHABAR QUBOOL KARNE KE DEEN MAIN USOOLl KYA HAI?

Allah Ta'ala ne farmaya hai:

"Aye Emaan walo! aagar tumhare paas koi Fasiq Khabar laaye tou tum Achchee tarha se uski tehqeeq kar lo, kahin aisa na ho ke jahalat mein tum kisi qaoum ko nuksaan poucha dou phir anjaam ye ho ke jo kuch tumne kardiya us par tumhe afsoos ho."

[Surah Al Hujraat Aayat 6]

Aagar koi Fasiq Khabar laaye tou Qur'an mein uski khabar ko tehqeeq karne ka hukum diya (Fasiq Allah ki haddaou ko paar karne wala, aisa insaan jo Deen ka ahtemaam nahi karta, gunhagaar qiam ka insaan) (ye usool hai Qur'an ka ke Fasiq ki khabar qubool nahi ki jayegee)

Ulama ne is Aayat se daleel lee hai ke is Aayat mein bando ke mamlaat mein Allah ne kahan hai ke koi aadmi jo kirdaar ke aitebaar se mautabar nahi ho, muttaqee nahi hai (fasiq aadmi ho) wo aakar kuch kehta hai Duniyawi mamlaat mein (bade mamlaat mein) tou usko quubool nahi karegen, Ulama ne kahan jab duniya ke mamlaat mein ek aadmi jo taqwa wala nahi hai uski baat nahi li jayegi ek aama aadmi ke bareme tou Nabi (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ke bareme kaise li jayegee? (hargis nahi li jayegee) tou Zaeef rawi ki riwayth nahi legen...

Is Aayat ke baad aur kuch aayatou ke baad aur Haadees ke baad Imam Muslim Rahimahullah kehte hai:

"Ye jo Aayate humne zikr ki hai is se ye baat sabit hoti hai ke Fasiq ki khabar Saa'qit hai aur jo Aadal na ho uski gawahi mardood hai."

[Sahih Muslim, Mukhaddima]

Saa'qit: Gira huwa jo leyne ke layaq nahi, aisi khabar qubool nahi kargen. Aadal: Jo na gulu kare aur na takseer kare, barabar Deen par chale. Mardood: Rad kar deyna lauta deyna qubool nahi kiya jayega...

Is se ek baat maloom huwi Fasiq ki Hadees Mautabar nahi hai...

Jhooti baat bayaan karne ka mamla kya hai?

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: "Meri taraf se koi aadmi aisi Hadees bayaan kare wo dikhayee deyti hai ke jhoot hai tou wo Kazibeen (wo jhooto mein se ek jhoota hai) ya Kazibain (wo do jhootaou mein se ek jhoota hai) hai."

[Sahih Muslim, Mukhaddima]

Ulama Akraam ne is hadees ko do tarha se bayaan kiya Kazibeen aur Kazibain, Ulama Akraam ne is ko do tarha se samjhaya.

Aagar Kazibain padha jaye tou is ka matlab hoga wo do jhootaou mein se ek jhoota hai pehla jhoota wo hai jisne Hadees Ghadi aur dusra jhoota is jhooti hadees ko pahlane wala...

Aagar Kazibeen padha jaye tou is ka matlab hoga tou wo jhootaou mein se ek jhoota hai tou Ulama us Hadees ki tarf isharaa kiya hai jis mein Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya tha "Mere Baad Kazzaab aur Dajjal aayegen__ _ _" (puree hadees pehle guzar chuki) wo un jhootaou mein se ek jhoota hai jo jaan boch kar jhooti hadees ghadte hai (banate hai jhooti hadees wo un mein se hai)

Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:

"Aadmi ke jhoota hone ke liye itna hi kafi hai ke wo har suni sunayee baat bayaan karne lag jaye."

(Sahih Muslim, Mukhaddima)

Har sunee huwi baat bayaan karne wala bhi Jhoota shumaar kiya jaata hai kuy ke wo har baat chahe wo Sach ho ya Jhoot ho Sahih ho ya Ghalat kahin se bhi sunta hai kahin se bhi padhta hai aur bayaan karne lag jaata hai...

Aagar baat sach ho tou koi mushkil nahi lekin aagar wo baat jhoot hogee tou phir ye jhoot pahlane wala banega jis ki wajhe se ye bhi jhoota shumaar kiya jayega chahe wo sachcha hi kuy na ho...


To Be Continue...IN SHAA ALLAH

No comments:

Post a Comment