Monday, February 20, 2017

LAILATUL QADR AUR USKI FAZILAT

BISMILLAH

◄Hum ne ye Quran ko Shab-e-Qadr me nazil farmaya hai.
(Al Quran, Surah Qadr 97, Ayaah 1)


◄Beshak! Hum ne is (Quran) ko Laylat-ul-Mubaraka me uthara hai. Beshak! Hum khabardaar karne wale hai, isi Raat me har mamile ka Hakimana faisla kiya jaata hai.
(Al Quran, Surah Dukhan 44, Ayaah 3-4)

◄Beshaq humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishtey aur rooh nazeel hote hain, Aapney Rab ke hukm se har kaam par wo subah Roshan honey tak salamati ki raat hai
(Al Quraan: Surah Al-Qadr (97)

◄ Umm Aayesha Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya

"Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo".
Sahih Bukhari, Vol 3, 2017

◄Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya
Shab-e-Qadr ko Ramzan ke aakhri ashrey ki taaq Raato me talaash karo
(Sahih Bukhari, Hadees 2017)

◄Hazrath Ibne Omar Radi Allahu Anhu ka bayan hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sahaba ko khwab mein Ramzan ke akhri Ashre mein Shabe Qadr nazer ayi

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya," Tum logon ko Ramzan ke akhri Ashre mein hi Shabe Qadr nazar ayi hai .Chunache Tum sab log Akhri Ashre hi mein iski justaju kiya karo ".

(Sahih Bukhari, Shabe Qadr ki fazilat ka Bayan ,Vol-no: 03, Book: 32 (Kitaab-ul-Lailatul-Qadr), Hadees-no: 2015)

=============

LAILATUL QADR ki FAZILAT

◄Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
"Ye Mahina jo tum par aya hai ismein ek aisee Raat hai jo Hazaar Mahino se behtar hai
Jo Shaks is se mehroom raha wo har bhalayi se mehroom raha is raat ki saadat se sirf Badnaseeb hi ko mehroom kiya jata hai "
(Sunan Ibn E Majah, Hadees Number 1644)

Sab e Qadr (ki raat) ek hazaar mahino se behtar hai [83 saal 4 mahino ki ibadaat se behtar](surah:kadr-97 aayat no.3) HAZRAT MUHAMMAD SALLAL LAHO ALAIH WA SALLAM NE FARMAYA

"jo lailatul qadr mein imaan wa ahtasaab ke saath namaaz mein khara rahega uske agle tammam gunaah maaf kar diye jaate hai "
(bukhari:2014)

==============

LAILATUL QADR KI DUWA

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّ

◄ Hazrath Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya," Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam agar

Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu "?

To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya.
kaho

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni

Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
(Sunan ibn Majah, Vol 3, 731-Sahih)
(Tirmizi ,Hadees Number 3513

==========
Bohat log aise hain jo apne aap ko Aashiq-E-Rasool,Ghulam-E-Rasool aur na Jaane kya kya bolte rehte hai lekin is hadeeson pe amal hi nahi..

raat din aimma arba ka rat lagane wale ko bhi aksar dekha jata hai ke ek raat (27 ),ko makhaus karar de kar sirf usi raat me ibadat karye hain .

kuch aise bhi hain jo apne man se us raat ki alag alag pahchan banaye hue hain .

Yaad rahe ! lailatul qadr ke baare me hadees me bataur e khaas uski alaamat bayaan nhi ki gai,is liye ye kehna ke is raat aasmaan par taaron ki chamak zada hoti hai,kutton ke bhokne ki awaaz nhi aati,suba hone par suraj tulu hota hai to us ki shuwaayen(rays) nahi hoti,baatil qaul hai,jiski daleel hadees me maujood nhi ..

Allah pak se dua hai ki allah hame ye Mubarak raat naseeb farma de.
Aur in taak raaton me ye dua kasrat se padhen.

ALLAH HUMMA INNAKA AFF'UN TUHIBBUL AFWA FA FU ANNI.
  • (Tirmizi)

Aur apni duao me mujhe yaad rakhe.

Jazak Allahu khairan

No comments:

Post a Comment