Monday, October 19, 2015

QABAR KA AZAAB


 BISMILLAH

“ Mauth [ Death ] “ aani hi hai, usse bachkar koi nahi jaasakta. Aur Jisne Mauth ko bhulgaya wo bahoth bade dhoke me hai.

Azab Qabar me bhi hoga, aur aakhirat ke Hisaab e Kitaab ke baad hoga.

QURAN

كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ

Har jaan maut ka maza chakhne wali hai.

[ SURAH AL IMRAN # 185 ]

Asal maslah Duniya ke pareshaniyonka nahi hai, asal masla Akhirat ka hai.

MAUTH PAR SAQT TAKLEEF HOGI.

Ummul Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..

Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya..
“ Allah ke siwa koi ma’bood nahi hai aur sahime mauth par saqt takleef hai.”

[ BUKHARI & AHMED ]

QABAR KA AZAB KO INSAAN AUR JINN KE ALAWA SAB JAANDAR SUNSAKTE HAI 

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hai ke ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ney farmaya ke..

“ Aadmi jab apni qabr me rakha jata hai aur janaza me shareek hone wale log isse rukhsat hote hain to abhi woh unke Jooton ki aawaz sunta hota hai ke do farishtay [ Munkar, Nakir ] iske paas ate hain.
Wo usey bithakar puchte hain ke..

“ Is shakhs yani Mohammad Sallallahu Alai Wasallam ke baare me to kya aitqaad rakhta tha ? 

Momin to yeh kahega ke mai Gawahi deta hun ke aap Sallallahu Alai Wasallam Allah ke bande aur is ke Rasool hain. 

Is jawab par isse kaha jayega ke “ Tu ye dekh apna jahannum ka thikana lekin Allah taala ne iske badleme tumahre liye jannat me thikana daydiya. “
Uswaqt usey Jahannum aur Jannat dono thikaane dikhaaye jayenge. 

Qatadeh ne bayan kiya ke iski Qabar khoob kushadah kardi jaye gi. 
( Jisse Aaraam o raahat milegi )

Phir Qatadeh ne Anas Ra. ki hadees bayan karni shuru ki' farmaya..
“ Aur munafiq o kafir se jab kaha jaye ga ke is shakhs ke baare mein to kya kehta tha to woh jawab dega ke mujhe kuch maloom nahi' mein bhi wohi kehta tha jo dosre log kehte they. 

phir isse kaha jayega ke
“ Naahi tune jan-nay ki koshish ki aur naahi samajhney walon ki raye par chala. 

Phir use lohay ke hatodi se bari zorse mara jayega ke wo cheekh parega aur iski cheekh ko JIN AUR INSANON KE SIWA IS KE AAS PAAS KI TAMAM MAKHLOOQ SUNAY GI .

[ SAHIH AL-BUKHARI # 1374 ]

Ummum Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya..

“ QABAR ka Azaab HAQ hai, magar kisikotho sunne aata nahi ? “
“ Jinnat aur Insaan usko nahi sunpaate magar doosre jaandar usko sunte hai. “

[ BUKHARI & MUSLIM ].

Ummum Mumineen Hazrath Ayesh Ra. Se rivayat hai ke..

Ek yahoodi aurat unke paas aayi. Usne azaab qabar ka zikar cherdiya aur kaha ke Allah tujh ko azaab qabar se mehfooz rakhay. 

Is par Aisha Ra. ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam se azaab qabar ke bareme daryaft kiya. Aap Sallallahu Alai Wasallam ne iska jawab yeh diya ke..
“ Haan azaab e qabar haq hai. “

Aisha Ra. bayan kiya ke..

“ Phir maine kabhi aisa nahi dekha ke aap Sallallahu Alai Wasallam ne koi namaz parhi ho aur usme azaab qabar se Allah ki panah nahi mangi ho.

[ SAHIH AL-BUKHARI # 1372 ]

QABAR PAHLI MANZIL HAI AUR AZAB E QABAR SABSE JYADA KHAUFNAAK AZAB HAI. :

Hani Se rivayat hai ke..

“ Jab kabhi Uthman bin afwan Ra. Jab kabhi kisi Qabar ke paas taherte tho rone lagte yahatak ke unke aansuonse Dadi bheegjaati thi.

Tho unse poochagaya ke “ jab Jannat aur Jahannum ka taskara aata tho AAP itna kyun rote hai ?

Tho aapne farmaya ke..
Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ QABAR AAKHIRAT KI MANZILOMESE PAHLI MANZIL HAI, AGAR INSAAN IS QABAR KE MAMLOMESE NAJAAT PAAJAYE THO ISKE BAADKE JO BHI MANZILE HAI WO JYADA ASAAN HAI AUR AGAR ISMESE NAJAAT NAHI PAATA HAI THO ISKE BAADKE JO BHI MANZILE HAI WO ISSE JYADA SAQT HAI. “

Aur Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke

“ MAINE KOI KHAUFNAAK AZAB KA MANZAR NAHI DEKHA MAGAR JITNA QABAR E AZAB KA MANZAR SABSE JYADA HAI. “

[ IBNE MAJAH Book 37, Hadith 4408 ]

IS UMMAT KO QABAR ME AAZMAAYA JAAYEGA.

Anas ibn Malik Rad. Se rivayat hai ke..
“ Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka farmaya hai ke..

“ Agar mujko is baat ka dar nahi hotha ke tum apne murdonko dafan karna chordoge tho mai ALLAH se Dua karta ke JO AZAAB E QABAR MAI SUNTA HU WO ALLAH TUMKO BHI SUNAADE. “

[ SAHIH MUSLIM # 2868 ]

PAISHAB KE CHEETONSE AUR GHEEBAT KI WAJAH SE QABAR ME AZAAB HOGA.

Hazrat Ibn Abbas Ra. Se rivayat hai ke..

“ Nabi e kareem Sallallahu Alai Wasallam madinah Munawwara ke kisi baagh se tashreef laaye to aap ne do ( murda ) insanon ki aawaz suni jinhein unki qabarome mein azaab diya ja raha tha.

“ Phir aapne farmaya..
“ Inhen azaab horaha hai aur kisi barre gunah ki wajah se inhen azaab nahi horaha hai. Unme se 1 shakhs pishaab ke chhinton se nahi bachta tha aur dosra chugal Khor tha. 

Phir aapne khajoor ki ek hari shaakh mangwayi aur usey do hisson me toara aur Ek tukda ek ki qabar par aur dosra dosray ki qabar par garh diya. 

Phir farmaya shayad ke unke azaab mein is waqt taq ke liye kami kar di jaye, jabtaq yeh sookh nahjayen .

[ SAHIH AL BUKHARI Vol. 8, Book 73, Hadith 81 ]

Bahr bin Marrar apne Dada Abu Bakrah Ra. Se rivayat karte hai ke..

“ Nabi Sallallahu Alai Wasallam ka guzr do Qabar ke dauran se huwa. “
Fir aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ In qabar ke logonko Azaab diya jaaraha hai, magar wo logko ahem gunah [ major sin ] k liye saza nahi di jaarahi hai, balke ek ko PAISHAAB KE CHEETONKI WAJAH SE aur doosre ko GHEEBAT ki wajah se.. “

[ IBNE MAJAH VOL. 1, BOOK 1, HADITH 349 ]

QABAR ME 3 SAWAL:

Al-Bara’ (razi allahu anhu) se riwayat hai, Inhon ne kaha hum Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke sath ek Ansari ke janaze me gaye hum kabar ke paas phunche toh abhy lehed (kabar) tayar nahi hui thy Rasool SallAllahu Alaihi wasallam baith gaye aur hum bhi Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke sath baith gaye. Gooya kee hamare saraon par parinde ho (nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the).

Aap SallAllahu Alaihi wasallam ke hath me chadi thy Aap SallAllahu Alaihi wasallam is se zameen khuraid rahe the.
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne apna sar uthaya aur farmaya
Allah se Kabar ke azab ki amaan mango.

Aapne 2-3 baar ye farmaya (jurair ki riwayat me yahan izafa hai.)
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya jab log (murde ko dafna kar) wapis jate hai to mayyat inke qadmo ki aahat sunti hai jab ke isse yahan pucha jaa raha hota hai

Aye falanh: Tera Rab kaun hai.?
Tera Deen kya hai.?
Tera Nabi kaun hai.?
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya iske paas 2 farishte ate hai aur ise baithate hai aur is se kehte hai
Tera Rab koun hai.?
Too woh kahta hai mera Rab Allah hai.
Fir wo puchte hai- Tera Deen kya hai.?
To woh kehta hai mera Deen Islam hai.

Fir woh puchte hai, ye admi kaun hai jo tum me maboos kiya gaya tha.?
Wo kehta hai ki woh Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam hai.

Fir wo kahte hai tujhe kaise Ilm hua?
Wo kahta hai maine Allah ki kitab padhi hai, ispar imaan laya aur iski tazdeek ki. jurair ki riwayat me mazeed hai, yahi(sawal jawab) misdaq hai Allah ke is farmaan ka(ayat hai)” phir wo dono riwayat karne me muttafiq hai, aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya phir aasman se munadi karne wala ailaan karta hai.

Tahqeeq mere bande ne sach kaha hai, ise Jannat ka bistar bichadoo aur jannat ka libas pehnado aur iske liye jannat ki taraf se darwaza khol doo,
Fir farmaya jannat ki taraf se wahan ki hawaein, rahatein, aur khushbu aane lagty hai, aur iski Qabr ko itehayi nazar tak wasee kar diya jata hai,

Fir Kafir aur iski maut kaa zikr kiya aur farmaya: Iski Rooh iske jism me lautayi jaaty hai aur wo iske paas aate hai aur woh iske paas aate hai aur ise baithate hai aur ise puchte hai 

Tera Rab koun hai ?
Wo kahta hai ke haye afsoos mujhe khabar nahi hai.

Fir wo us se pochte hai tera Deen kya hai ???
To wo kahta hai haye haye mujhe khabar nahi,

Fir wo us se pochte hai ye aadme koun hai jo tum me maboos kiye gaya tha..

wo kehta hai ke haye haye mujhe khabar nahi..
to munadi asman se nida dete hai ke isne jhut kaha, ise aag ka bistar bichado, ise aag ka libaas pehnaadoo, aur iske liye dozaq ki taraf ka darwaza kholdo..

Farmaya ki phir ise jahannam ki taraf se tapish aur saqht garam hawa ane lagty hai aur is par Kabar ko tang diya jaata hai,hatta ke iski phansiliyan ek dusre me ghuns jaate hai,
jurair ki riwayat me mazeed hai Fir is pe ek andha gungaa farishta muqarrar kardiya jata hai jiske paas bhary garz hota hai,agar isi pahad par maara jaye to wo (pahad)matthy matthy hojaye,
Fir wo ise iske saath aisy chot marta hai jis ki awaaz jino aur insano ke alawa mashriq wa maghrib ke darmiyaan maqlooq sunty hai,
aur phir wo matthy (reza reza) hojata hai,
Farmaya fir ismee rooh lautayi jaaty hai.

[ Narrated by Abu Dawood, 4753; Ahmad, 18063 – this version was narrated by him. Classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 1676. ]

QURAN, SURAH AL MOMINOON # 99 – 103.

حَتَّىٰ إِذَا جَاءَ أَحَدَهُمُ الْمَوْتُ قَالَ رَبِّ ارْجِعُونِ {99

لَعَلِّي أَعْمَلُ صَالِحًا فِيمَا تَرَكْتُ ۚ كَلَّا ۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَائِلُهَا ۖ وَمِنْ وَرَائِهِمْ بَرْزَخٌ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ {100

فَإِذَا نُفِخَ فِي الصُّورِ فَلَا أَنْسَابَ بَيْنَهُمْ يَوْمَئِذٍ وَلَا يَتَسَاءَلُونَ {101

فَمَنْ ثَقُلَتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ {102

وَمَنْ خَفَّتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَٰئِكَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ فِي جَهَنَّمَ خَالِدُونَ{103

TARJUMA :

Yeh log [ disbelievers ] isi tarah gaflat me rahenge, Yahatak ke inmese kisike paas Mauth aajayegi tho kahega ke
“ Aye Parwardigaar ! Muje fir Duniyame wapas bhejde taake mai jisme jise chod aaya hu NEK kaam kiya karu “.

HARGIS nahi. Yeh ek Aisi baat hai wo ise zuban se kahraha hoga aur uske saath amal nahi hoga AUR UNKE PEECHE “ BARZAKH “ HAI JAHA WO USDINTAK RAHENGE JISDIN FIRSE UTHAYE JAYENGE WAHI RAHENGE, fir jab sooor phoonka jaayega tho naatho unme karabaten rahenge aur naatho ek doosre ko poochenge. 

Tho jinke amal ka bojj bhaari honge wahi kaamiyaab honge aur jinke bojj halke honge yeh wo log hai jinhone apne apko Khasareme daala hamesha Dozakk me rahenge.

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hain ke..

“ Allah ke nabi Sallallahu Alai Wasallam Banu al-Najjar ke khajoor ke ek baagh me daakhil hue, to ek khaufnaak aawaz suni.
Aap Sallallahu Alai Wasallam farmaya : 

” Yeh qabrain kis ki hain ? “

Logon ne arz kya : “ Zamana jahliat me marne walon ki hain “
Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

“ Tum log jahannum ke azaab se aur Dajjal ke ftne se Allah ki panah mango ” 

Logon ne arz kya : “ Aisa kyun, Aye Allah ke Rasool ?? 

“Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

“ Momin jab qabar me rakha jata hai to uske paas ek farishta aata hai, aur usse poochta hai k: 

“ Tum kis ki ibadat karte the ? 

“to agar Allah usey hidaayat diye hota hai to woh kehta hai : 
“ Main Allah ki ibadat karta tha “ 

Phir usse poocha jata hai, “ Tum is shakhs ke baray mein kya kehte they ?
“ Tho wo kahta hai : 
“ wo Allah ke bande aur Uske Rasool hain, “ 

Phir uske ilawa aur kuch nahi poocha jata, Phir usey ek ghar ki taraf lejaya jata hai, jo uske liye jahannum me tha aur usse kaha jata hai : 

“ Yeh tumhara ghar hai jo tumahre liye Jahannum me tha, lekin Allah ne tumhe isse bacha liya, tum par reham kiya aur iske badleme tumhe jannat me ek ghar diya. 

Tho woh kehta hai : Mujhe chordo ke mai jakar apne ghar walon ko basharat dedun. 
lekin usse kaha jata hai, thehre raho.

Aur jab kafir qabar me rakha jata hai tho uske paas ek farishta aata hai aur usse daant kar poochta hai ke..

“ Tu kiski ibadat karta tha ?? 
Tho woh kehta hai : Main nahi jaanta,
Tho usse kaha jata hai ke : 

“ Naahi tune jana aur naahi kitaab parhi ( yani quran )..” 

Phir usse poocha jata hai :

“ Tu is shakhs ke bareme kya kehta tha ?? 

Tho woh kehta hai : wohi kehta tha jo log kehte they..
Tho woh usey lohey ke Ek garz se uske dono kaanon ke darmain maarta hai, tho wo is tarha chillata hai ke uski AAWAZ AADMI AUR JIN KE ILAWA SAARI MAKHLOOQ SUNTHEE HAI “ .

[ SUNAN ABI DAWUD # 4751 – SAHIH. ]

QAYAMAT ke DINTAK ek hi THIKANA HOGA :

Hazrath Abdulah bin Umar Ra. se rivayat hai ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke 
“ Jab tummese koi shakhs marjata hai tho uska thikana usey subah o shaam dekhaya jata hai. Agar woh janati hai to jannat walon me aur jo dozakhi hai to dozakh walon me. Phir kaha jata hai yeh tera thikana hai yahan taq ke qayamat ke din Allah tujh ko uthayega.
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1379 ]

BARZAKHI ZINDAGI : 

YEH EK HALAT E ZINDAGI HAI.YAANI KE MAUT KE BAAD AUR QAYAMAT SE PAHLE WALI ZINDAGI. 

QURAN PADKAR USPAR AML NAHI KARNE WALE AUR NAMAZ KO TARK KARNE WALON KO AZAB :

NOTE : 
YEH EK TAWEEL HADITH HAI ISME SE KUCH HISSA YEH AZABONKE BAREME BATAYAGAYA HAI..

“ Aur ham chalte chalte ek jagah pahoonche, maine dekha ki ek aadmi leta hai aur ek aadmi uske paas khada hai aur uske haath me ek patthar hai woh patthar is zor se us lete huye aadmi ke sar par maarta hai ki us ka sar paash paash ho jaata hai aur woh patthar ludhhak kar door gir jaata hai, jab tak woh pattthar utha kar laaye yahaan us ka sar bilkul asli haalat par aa jaata hai phir woh us ko maarne lagta hai.
Aur Yeh azab usko Qayamat ke dintak chalte rahega. “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

JHOOT BOLNE WALON KO SAZA :

Ham aage badhhe yahaan tak ki aisi jagah pahoonche ki wahaan do aadmi the..Ek chit leta tha aur doosra khada tha aur us ke haath me lohe ka zanboor tha uszanboor se lete huye aadmi ke kalle ko cheerta hai aur woh zanboor phaadta hua guddi tak pahoonch jaata hai phir doosre kalle ke saath yahi maamla karta hai jaisa pahli jaanib kiya tha aur doosre kalle se faarigh nahin hota tha ki pahla kalla duroost ho jaata tha jaisa pahla tha aur yahi maamla phir shuroo kar deta tha. 

“ Yeh saza uske liye thi jo Subah hi susbah nikal kar aisa jhoot bolta tha ki tamaam aalam me phail jaata tha. Aur Yeh azab usko Qayamat ke dintak chalte rahega. “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

BADKAAR MARD AUR AURATEIN

Ham aage chale to ek ghaar mila jo mishl tanoor ka tha..
[ Raawi kahte hain ki mera khyaal hai ki Huzoor Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya ki us me bhut shor o shaghaf tha ]..

Us me aag jal rahi thi… Maine [Sallallahu Alai Wasallam] jo us ko dekha to us me mard aur auratein nange badan nazar aayeen aur unke neeche se aag ka shola uthta hai jab woh shoal un ke lag jaata hai to woh be ikhteyaar cheekhein maarne lagte hain…
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

SOOD KHOR :

“ Ham aage chale to ek nahar mili [ raawi ka gumaan hai ki aap ne farmaaya woh nahar khoon ki tarah surkh thi ] nahar me ek pairaak e aadmi tair raha hai aur nahar ke kinaare ek shakhs khada hai jis ke paas bahut se patthar hain.. 

Jab nahar waala aadmi tairta hua kinaare pahoonchata hai to apna munh khol deta hai aur kinaare waala aadmi uske munh me patthar ka luqma dedeta hai phir woh chala jaata hai aur tairne lagta hai phir palat ta hai to phir us ke saath yahi maamla kiya jaata hai… “
[ SAHIH AL-BUKHARI # 1386 ]

GHEEBAT AUR LOGON KI IZZATONKE SAATH KHELNE WALONKI SAZA :

Hazrath Anas bin malik Ra. Se rivayat hai ke..
Nabi Sallalalhu Alai Wasallam ne farmaya ke..

“ Jab Miraj ki raat mai aasmaanonpar gaya tho mera guzar ek aise Giroh ke paas se hua jinke Naaqoon Taambe ke the aur wo usse apne seene aur chahrepe nonchrahe the..”

Maine Jibrail se poocha ke..” Yeh Kaun hai ? “
Tho farmaya…” Yeh wo log hai jo GHEEBAT karte the aur Logonki Izzatonko badnaam karte the. “

[ SUNAN ABI DAWUD # 4878 ]

AZAB E QABAR SE BACHNE K LIYE DUA :

Anas bin Malik Ra. Se rivayat hai ke ..
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam in cheezonse Panah manga karte the..

“ Aye Allah ! mai teri panah mangta hu Ajzi aur susti se [ Majboori ] ' buzdili aur burhapay ki zaleel hudood mein pahonch jane se aur main teri panah mangta hun zindagi aur mout ke fitnon se aur mein teri panah mangta hun QABAR KE AZAAB SE “.

[ SAHIH AL BUKHARI VOL. 8, BOOK 75, HADITH # 37 ]

Abdullah bin Abbas Ra. Se rivayat hai ke..
“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam inh yeh dua isi terhan sikhate jis terhan quran ki surah sikhate the.

FARMAYA : 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ 

“ Aye Allah mai teri panah mangta hun Jahannum ke azaab se, 
Aye ALLAH mai teri panah mangta hun qabar ke azaab se,
Aye ALLAH mai teri panah mangta hun maseeh Dajjal ke fitnonse aur teri panah mangta hun zindagi aur mout ki azmaaishon se “ .

[ SUNAN ABU DAWUD # 1542 ]

9 comments:

  1. ALLAH mujhe apne azab se bachana! Ameen

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. YA ALLAH MUJHE,MERE MAA BAAP,MERE BEHAN BHAIYON,MERE RISTHEDARON AUR TAMAAM MUSALMAN MARDO AUR AURTO KO QABAR KE AZAAB SE MEHFOOZ RAKHIYE GA AUR HAMARE TAMAAM CHOTE BARRE SAGEERA KABEERA GUNAHON KO BAKSH DI JIYE AAMEEN SUMAAMEEN

    ReplyDelete
  4. Allah hum sab momin musalmaan ko qabar ke azaab, jahunnam ki aag se bachchaaye, aur aakir waqt mein kalima naseeb karein aur jannat naseeb karein, aameen, summa aameen

    ReplyDelete
  5. Allah hum sabko azab se bachaye ameen

    ReplyDelete
  6. Allah hamm sab ko qabar ke azab sey mehefoos rakkna

    ReplyDelete
  7. your post is best but I believe this is best book to understand to Qabar.
    Rooh Azabe Qabar Sama e Mota

    ReplyDelete