03.101 (go yeh zahir hai kay) tum kaisay kufur ker saktay ho? Bawajood yeh kay tum per Allah Taalaa ki aayaten parhi jati hain aur tum mein rasool (PBUH) mojood hain. Jo shaks Allah Taalaa (kay deen) ko mazboot thaam ley to bila shuba ussay raah-e-raast dikha di gaee.
03.102 Aey eman walo! Allah Taalaa say daro jitna uss say darna chahaiye aur dekho martay dum tak musalman hi rehna.
03.103 Allah Taalaa ki rassi ko mill ker sab mazbooti say thaam lo aur phoot na dalo aur Allah Taalaa ki uss waqt ki nemta ko yaad kero jab tum aik doosray kay dushman thay to uss ney tumharay dilon mein ulfat daal di pus tum uss ki meharbani say bhai bhai hogaye aur tum aag kay garhay kay kinaray phonch chukay thay to uss ney tumhen bacha liya. Allah Taalaa issi tarah tumharay liye apni nishaniyan biyan kerta hai takay tum hidayat pao.
03.104 Tum mein say aik jamat aisi honi chahaiye jo bhalaee ki taraf bulaye aur nek kaamon ka hukum keray aur burray kaamon say rokay aur yehil log falah aur nijat paney walay hain.
03.105 Tum unn logon ki tarah na hojana jinhon ney apney pass roshan daleelen aajaney kay baad bhi tafarrqa daala aur ikhtilaf kiya enhin logon kay liye bara azab hai.
03.106 Jiss din baaz chehray safaid hongay aur baaz siyah, siyah chehray walon (say kaha jayega) kay kiya tum ney eman laney kay baad kufur kiya? Abb apney kufur ka azab chakho.
03.107 Aur safaid chehray walay Allah Taalaa ki rehmat mein dakhil hongay aur iss mein hamesha rahen gay.
03.108 Aey nabi! Hum inn haqqani aayaton ki tilawat aap per ker rahey hain aur Allah Taalaa ka irada logon per zulm kerney ka nahi.
03.109 Allah Taalaa hi kay liye hai jo kuch aasmanon aur zamin mein hai aur Allah Taalaa hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain.
03.110 Tum behtareen ummat ho jo logon kay liye peda ki gaee ho kay tum nek baaton ka hukum kertay ho aur buri baaton say roktay ho aur Allah Taalaa per eman rakhtay ho agar ehal-e-kitab bhi eman latay to unn kay liye behtar hota unn mein eman walay bhi hain lekin aksar to fasiq hain.
03.111 Yeh tumhen sataney kay siwa aur ziyada kuch zarar nahi phoncha saktay agar laraee kay moqa aajaye to peeth mor len gay phir madad na kiye jayen gay.
03.112 Inn per her jagah zillat ki maar pari illa yeh kay Allah Taalaa ki ya logon ki panah mein hon yeh ghazab-e-elahee kay mustahiq hogaye aur inn per faqeeri daal di gaee yeh iss liye kay yeh log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay thay aur bey waja anbiya ko qatal kiya kertay thay yeh badla hai inn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka.
03.113 Yeh saray kay saray yaksan nahi bulkay inn ehal-e-kitab mein aik jamat (haq per) qaeem rehney wali bhi hai jo raaton kay waqt bhi kalam ullah ki tilawat kertay hain aur sajday bhi kertay hain.
03.114 Yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman bhi rakhtay hain bhalaiyon ka hukum kertay hain aur buraiyon say roktay hain aur bhalaee kay kaamon mein jaldi kertay hain. Yeh nek bakht logon mein say hain.
03.115 Yeh jo kuch bhi bhalaiyan keren unn ki na qadri na ki jaye gi aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai.
03.116 Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah kay haan kuch kaam na aayen gi yeh to jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay.
03.117 Yeh kuffaar jo kharach ikhraajaat keren uss ki misal yeh hai kay aik tund hawa chali jiss mein pala tha jo zalimon ki kheti per para aur ussay tehus nehus ker diya. Allah Taalaa ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay thay.
03.118 Aey eman walo! Tum apna dili dost eman walon kay siwa kissi ko na banao. (tum to) nahi dekhtay doosray log tumhari tabahi mein koi kasar utha nahi rakhtay woh to chahtay hain kay tum dukh mein paro inn ki adawat to khud inn ki zaban say zahir ho chuki hai aur jo inn kay seenon mein posheeda hai woh boht ziyada hai hum ney tumharay liye aayaten biyan ker den.
03.119 Agar aqal mand ho (to ghor kero) haan tum to enhen chahtay ho aur woh tum say mohabbat nahi rakhtay tum poori kitab ki mantay ho (woh nahi mantay phir mohabbat kaisi?) yeh tumharay samney to apney eman ka iqrar kertay hain lekin tanahi mein maaray gussay kay ungliyan chabatay hain kehdo kay apney gussay hi mein marr jao Allah Taalaa dilon kay raazon ko bakhoobi janta hai.
03.120 Tumhen agar bhalaee milay to yeh na khush hotay hain haan! Agar buraee phonchay to khush hotay hain tum agar sabar kero aur perhezgari kero to inn ka makar tumhen kuch nuksan na dey ga. Allah Taalaa ney inn kay aemaal ka ehata ker rakha hai.
03.121 Aey nabi! Uss waqt ko bhi yaad kero jab subha hi subha aap apney ghar say nikal ker musalmanon ko maidan-e-jang mein laraee kay morchon mein bitha rahey thay Allah Taalaa sunney janney wala hai.
03.122 Jab tumhari do jamaten pust himmati ka irada ker chuki thin Allah Taalaa unn ka wali aur madadgar hai. Aur ussi ki pak zaat per mominon ko bharosa rakhna chahaiye.
03.123 Jang-e-badar mein Allah Taalaa ney ain uss waqt tumhari madad farmaee thi jabkay tum nihayat giri hui halat mein thay iss liye Allah hi say daro!(na kiss aur say) takay tumhen shukar guzari ki tofiq ho.
03.124 (aur yeh shukar guzari baees-e-nusrat-o-imdad ho) jab aap momino ko tasalli dey rahey thay kiya aasman say teen hazar farishtay utaar ker Allah Taalaa ka tumhari madad kerna tumhen kafi na hoga.
03.125 Kiyon nahi bulkay agar tum sabar-o-perhezgari kero aur yeh log ussi dum tumharay pass aajayen to tumhara rab tumhari imdad paanch hazar farishton say keray ga jo nishandaar hongay.
03.126 Aur yeh to mehaz tumharay dil ki khuwaish aur itminan-e-qalb kay liye hai werna madad to Allah hi ki taraf say hai jo ghalib aur hikmaton wala hai.
03.127 (iss imdad-e-elahee ka maqsad yeh tha kay Allah) kafiron ki aik jamat ko kaat dey ya unhen zaleel ker dalay aur (saray kay saray) nu murad ho ker wapis chalay jayen.
03.128 Aey payghumbar! Aap kay ikhtiyar mein kuch nahi Allah Taalaa chahaye to unn ki tauba qabool keray ya azab dey kiyon kay woh zalim hain.
03.129 Aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye azab keray Allah Taalaa bakshish kerney wala meharban hai.
03.130 Aey eman walo! Barha charha ker sood na khao aur Allah Taalaa say daro takay tumhen nijat milay.
03.131 Aur uss aag say daro jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai.
03.132 Aur Allah aur uss kay rasool ki farmanbardari kero takay tum per raham kiya jaye.
03.133 Aur apney rab ki bakshish ki taraf aur uss jannat ki taraf doro jiss ka araz aasamanon aur zamin kay barabar hai jo perhezgaron kay liye tayyar ki gaee hai.
03.134 Jo log aasani mein aur sakhti kay moqay per bhi Allah kay rastay mein kharach kertay hain gussa peenay walay aur logon say dar guzar kerney walay hain Allah Taalaa unn neko kaaron say mohabbat kerta hai.
03.135 Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay.
03.136 Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai.
03.137 Tum say pehlay bhi aisay waqiyaat guzar chukay hain so zamin mein chal phir ker dekh lo kay (aasmani taleem kay) jhutlaney walon ka kiya anjam hua?
03.138 Aam logon kay liye to yeh (quran) biyan hai aur perhezgari kay liye hidayat-o-naseehat hai.
03.139 Tum na susti kero aur na ghumgeen ho tum hi ghalib raho gay agar tum eman daar ho.
03.140 Agar tum zakhmi huye ho to tumharay mukhalif log bhi to aisay hi zakhmi ho chukay hain hum inn dino ko logon kay darmiyan adaltay badaltay rehtay hain. (shikast-e-ohod) iss liye thi kay Allah Taalaa eman walon ko zahir ker dey aur tum mein say baaz ko shahdat ka darja ata farmaye Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta.
03.141 (yeh waja bhi thi) kay Allah Taalaa eman walon ko bilkul alag kerdey aur kafiron ko mita dey.
03.142 Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum jannat mein chalay jao gay halankay abb tak Allah Taalaa ney yeh zahir nahi kiya kay tum mein say jihad kerney walay kaun hain aur sabar kerney walay kaun hain?
03.143 Jang say pehlay to tum shahdat ki aarzoo mein thay abb issay apni aankhon say apney samney dekh liya.
03.144 (hazrat) Muhammad (PBUH) sirf rasool hi hain inn say pehlay boht say rasool ho chukay hain kiya agar inn ka intiqal hojaye ya yeh shaheed hojayen to tum islam say apni aeyrhiyon kay ball phir jaogay? Aur jo koi phir jaye apni aeyrhiyon per to hergiz Allah Taalaa ka kuch na bigaray ga un-qarib Allah Taalaa shukar guzaron ko nek badla dey ga.
03.145 Baghair Allah Taalaa kay hukum kay koi jaandaar nahi marr sakta muqarrar shuda waqt likha hua hai duniya ki chahat walon ko hum kuch duniya dey detay hain aur aakhirat ka sawab chahaney walon ko hum woh bhi den gay. Aue ehsan manney walon ko hum boht jald nek badla den gay.
03.146 Boht say nabiyon kay hum rakaab ho ker boht say Allah walay jihad ker chukay hain unhen bhi Allah ki raah mein takleefen phonchi lekin na to unhon ney himmat haari na sust rahey aur na dabay aur Allah sabar kerney walon ko (hi) chahata hai.
03.147 Woh yehi kehtay rahey kay aey perwerdigar! Humaray gunahon ko baksh dey aur hum say humaray kaamon mein jo bey jaa ziyadti hui hai ussay bhi moaf farma aur humen sabit qadmi ata farma aur humen kafiron ki qom per madad dey.
03.148 Allah Taalaa ney unehn duniya ka sawab bhi diya aur aakhirat kay sawab ki khoobi bhi ata farmaee aur Allah Taalaa nek logon say mohabbat kerta hai.
03.149 Aey eman walo! Agar tum kafiron ki baaten maano gay to woh tumhen tumhari aeyrhiyon kay ball palta den gay (yani tumhen murtid bana den gay) phir tum na murad ho jao gay.
03.150 Bulkay Allah hi tumhara mola hai aur woh behtareen madadgar hai.
03.151 Hum un-qarib kafiron kay dilon mein rob daal den gay iss waja say kay yeh Allah kay sath unn cheezon ko sharik kertay hain jiss ki koi daleel Allah ney nahi utaari inn ka thikana jahannum hai aur inn zalimon ki buri jagah hai.
03.152 Allah Taalaa ney tum say apna wada sacha ker dikhaya jabkay tum uss kay hukum say enhen kaat rahey thay. Yahan tak kay jab tum ney pust himmati ikhtiyar ki aur kaam mein jhagarney lagay aur na farmani ki uss kay baad uss ney tumhari chahat ki cheez tumhen dikha di tum mein say baaz duniya chahatay thay aur baaz ka irada aakhirat ka tha to phir uss ney tumhen unn say pher diya kay tum ko aazmaye aur yaqeenan uss ney tumhari laghzish say dar guzar farma diya aue eman walon per Allah baray fazal wala hai.
03.153 Jabkay tum charhay chalay jarahey thay aur kissi ki taraf tawajja tak nahi kertay thay aur Allah kay rasool tumhen tumharay peechay say aawazen dey rahey thay bus tumhen ghum per ghum phoncha takay tum fot shuda cheez per ghumgeen na ho aur na phonchney wali (takleef) per udas ho Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say khabardaar hai.
03.154 Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai.
03.155 Tum mein say jin logon ney uss din peeth dikhaee jiss din dono jamaton ki mudd bher hui thi yeh log apney baaz kartooton kay baees shetan kay phuslaney mein aagaye lakin yaqeen jano kay Allah Taalaa ney unhen moaf ker diya Allah Taalaa hai bakshney wala aur tahammul wala.
03.156 Aey eman walo! Tum unn logon ki tarah na ho jana jinhon ney kufur kiya aur apney bhaiyon kay haq mein jabkay woh safar mein hon ya jihad mein hon kaha kay agar yeh humaray pass hotay to na martay aur na maaray jatay iss ki waja yeh thi kay iss khayal ko Allah Taalaa unn ki dili hasrat ka sabab bana dey Allah Taalaa jilata aur maarta hai aur Allah tumharay amal ko dekh raha hai.
03.157 Qasam hai agar Allah Taalaa ki raah mein shaheed kiye jao ya apni maut maro to be-shak Allah Taalaa ki bakshish-o-rehmat uss say behtar hai jisay yeh jama ker rahey hain.
03.158 Bil yaqeen tum marr jao ya maar dalay jao jama to Allah Taalaa hi ki taraf kiye jao gay.
03.159 Allah Taalaa ki rehmat kay baees aap inn per naram dil hain aur agar aap bad zaban aur sakht dil hotay to yeh sab aap kay pass say chatt jatay so aap inn say dar guzar keren aur inn kay liye istaghfaar keren aur kaam ka mashwara inn say kiya keren phir jab aap ka pukhta irada hojaye to Allah Taalaa per bharosa keren be-shak Allah Taalaa tawakkal kerney walon say mohabbat kerta hai.
03.160 Agar Allah Taalaa tumhari madad keray to tum per koi ghalib nahi aa sakta aur agar woh tumhen chor dey to uss kay baad kaun hai jo tumhari madad keray? Emal walon ko Allah Taalaa per hi bharosa rakhan chahaiye.
03.161 Na mumkin hai kay nabi say khayanat hojaye her khayanat kerney wala khayanat ko liye huye qayamat kay din hazir hoga phir her shaks apney aemaal ka poora poora badla diya jayega aur woh zulm na kiye jayen gay.
03.162 Kiya pus woh shaks jo Allah Taalaa ki khushnoodi kay dar pay hain uss shaks jaisa hai jo Allah Taalaa ki narazgi ley ker lot’ta hai? Aur jiss ki jagah jahannum hai jo bad tareen jagah hai.
03.163 Allah Taalaa kay pass inn kay alag alag darjay hain aur inn kay tamam aemaal ko Allah bakhoobi dekh raha hai.
03.164 Be-shak musalmanon per Allah Taalaa ka bara ehsan hai kay inn hi mein say aik rasool inn mein bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur enhen pak kerta hai aur enhen kitab aur hikmat sikhata hai yaqeenan yeh sab iss say pehlay khuli gumrahi mein thay.
03.165 (kiya baat hai kay) kay jab tumhen aik aisi takleef phonchi kay tum iss jaisi do chand phonch chukay to yeh kehney lagay kay yeh kahan say aagaee? Aap keh dijiye kay yeh khud tumhari taraf say hai be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
03.166 Aur tumhen jo kuch uss din phoncha jiss din do jamaton mein mudd bher hui thi woh sab Allah kay hukum say tha aur iss liye kay Allah Taalaa eman walon ko zahiri tor per jaan ley.
03.167 Aur munafiqon bhi maloom kerley jin say kaha gaya kay aao Allah ki raah mein jihad kero ya kafiron ko hatao to woh kehney lagay kay agar hum laraee jantay hotay to zaroor sath detay woh uss din ba nisbat eman kay kufur say boht qarib thay apney mun say woh baaten banatay hain jo inn kay dilon mein nahi aur Allah Taalaa khoob janta hai jisay woh chupatay hain.
03.168 Yeh woh log hai jo khud bhi behtay rahey aur apney bhaiyon ki babat kaha kay agar woh bhi humari baat maan letay to qatal na kiye jatay. Keh dijiye! kay agar tum sachay ho to apni janon say maut ko hata do.
03.169 Jo log Allah ki raah mein shaheed kiye gaye hain unn ko hergiz murda na samjhen bulkay woh zinda hain apney rab kay pass say roziyan diye jatay hain.
03.170 Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai uss say boht khush hain aur khushiyan mana rahey hain unn logon ki babat jo abb tak unn say nahi milay unn kay peechay hain iss per kay unhen na koi khof hai aur na woh ghumgeen hongay.
03.171 Woh khush hotay hain Allah ki nemat aur fazal say aur iss say bhi kay Allah Taalaa eman walon kay ajar ko barbad nahi kerta.
03.172 Jin logon ney Allah aur uss kay rasool kay hukum ko qabool kiya iss kay baad kay unhen pooray zakham lag chukay thay inn mein say jinhon ney neki ki aur perezgari barti unn kay liye boht ziyada ajar hai.
03.173 Woh log kay jab inn say logon ney kaha kay kafiron ney tumharay muqabley mein lashkar jama ker liye hain tum unn say khof khao to iss baat ney unhen eman mein aur barha diya aur kehne lagay humen Allah kafi hai aur woh boht acha kaar saaz hai.
03.174 (nateeja yeh hua kay) Allah ki nemat-o-fazal kay sath yeh lotay enhen koi buraee na phonchi enhon ney Allah Taalaa ki raza mandi ki pairwi ki Allah boht baray fazal wala hai.
03.175 Yeh khabar denay wala sird shetan hi hai jo apney doston say darata hai tum inn kafiron say na daro aur mera khof rakho agar tum momin ho.
03.176 Kufur mein aagay barhney walay log tumhen ghum naak naa keren yaqeen maano kay yeh Allah Taalaa ka kuch na bigar saken gay Allah Taalaa ka irada hai kay inn ka liye aakhirat ka koi hissa ata na keray aur inn kay liye bara azab hai.
03.177 Kufur ko eman kay badlay khareedney walay hergiz hergiz Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur inn hi kay liye alam naak azab hai.
03.178 Kafir log humari di hui mohlat ko apney haq mein behtar na samjhen yeh mohlat to iss liye hai kay woh gunahon mein aur barh jayen inn hi kay liye zaleel kerney wala azab hai.
03.179 Jiss haal per tum ho ussi per Allah eman walon ko na chor dey ga jab tak kay pak aur na pak ko alag alag na ker dey aur na Allah Taalaa aisa hai kay tumhen ghaib say aagah ker dey bulkay Allah Taalaa apney rasoolon mein say jiss ka chahaye intikhab ker leta hai iss liye tum Allah Taalaa per aur uss kay rasoolon per eman rakho agar tum eman lao aur taqwa kero to tumharay liye bhari ajar hai.
03.180 Jinhen Allah Taalaa ney apney fazal say kuch dey rakha hai woh iss mein apni kanjoosi ko apney liye behtar khayal na keren bulkay woh inn kay liye nihayat bad tar hai un-qarib qayamat walay din yeh apni kanjoosi ki cheez kay toq daalay jayen gay aasmanon aur zamin ki meeras Allah Taalaa hi kay liye aur jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa aagah hai.
03.181 Yaqeenan Allah Taalaa ney unn logon ka qol bhi suna jinhon ney kaha kay Allah Taalaa faqir hai aur hum to toongar hain unn kay iss qol ko hum likh len gay. Aur inn ka anbiya ko bila waja qatal kerna bhi aur hum inn say kahen gay kay jalney wala azab chakho!.
03.182 Yeh tumharay paish kerda aemaal ka badla hai aur Allah Taalaa apney bandon per zulm kerney wala nahi.
03.183 Yeh woh log hai jonhon ney kaha kay Allah Taalaa ney humen hukum diya hai kay kissi rasool ko na manen jab tak woh humaray pass aisi qurbani na laye jissay aag kha jaye. Aap keh dijiye kay agar um sachay ho to mujh say pehlay tumharay pass jo rasool deegar moajzon kay sath yeh bhi laye jissay tum keh rahey ho to phir tum ney unhen kiyon maar dala?
03.184 Phir bhi agar yeh log aap ko jhutlayen to aap say pehlay bhi boht say woh rasool jhutlaye gaye hain jo roshan daleelen aur munawar kitab ley ker aaye.
03.185 Her jaan maut ka maza chakhney wali hai aur qayamat kay din tum apney badlay pooray pooray diye jao gay pus jo shaks aag say hata diya jaye aur jannat mein dakhil ker diya jaye be-shak woh kaamyaab hogaya aur duniya ki zindagi to sirf dhokay ki jinss hai.
03.186 Yaqeenan tumharay maalon aur tumhari jaanon say tumhari aazmaish ki jaye gi aur yeh bhi yaqeen hai kay tumhen unn logon ki jo tum say pehlay kitab diye gaye aur mushrikon ki boht si dukh denay wali baaten bhi sunni paren gi aur agar tum sabar kerlo aur perhezgari ikhtiyar kero to yaqeenan yeh boht bari himmat ka kaam hai.
03.187 Aur Allah Taalaa ney jab ehal-e-kitab say ehad liya kay tum issay sab logon say zaroor biyan kero gay aur issay chupao gay nahi to phir bhi inn logon ney iss ehad ko apni peeth peechay daal diya aur issay boht kum qeemat per baich daala. Inn kay yeh beopaar boht bura hai.
03.188 Woh log jo apney kartooton per khush hain aur chahatay hain kay jo unhon ney nahi kiya uss per bhi unn ki tareef ki jayen aap unhen azab say chutkaray mein na samjhiye inn kay liye to dard naak azab hai.
03.189 Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
03.190 Aasmanon aur zamin ki pedaish mein aur raat din kay hair pher mein yaqeenan aqal mandon kay liye nishaniyan hain.
03.191 Jo Allah Taalaa ka zikar kharay aur bethay aur apni kerwaton per letay huye kertay hain aur aasmanon-o-zamin ki pedaish mein ghor-o-fiker kertay hain aur kehtay hain aey humaray perwerdigar! Tu ney yeh bey faeeda nahi banaya tu pak hai pus humen aag kay azab say bacha ley.
03.192 Aey humaray palney walay! Tu jissay jahannum mein dalay yaqeenan tu ney ussay ruswa kiya aur zalimon ka madadgar koi nahi.
03.193 Aey humaray rab! Hum ney suna kay munadi kerney wala ba-aawaz buland eman ki taraf bula raha hai kay logo! Apney rab per eman lao pus hum eman laye. Ya elahee! Abb to humaray gunah moaf farma aur humari buraiyan hum say door ker dey aur humari maut nekon kay sath ker.
03.194 Aey humaray palney walay mabood! Humen woh dey jiss ka wada tu ney hum say apney rasoolon ki zabani kiya hai aur humen qayamat kay din ruswa na ker yaqeenan tu wada khilafi nahi kerta.
03.195 Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai.
03.196 Tujhay kafiron ka shehron mein chalna phirna fareb mein na daal dey.
03.197 Yeh to boht hi thora faeeda hai iss kay baad unn ka thikana to jahannum hai aur woh buri jagah hai.
03.198 Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai.
03.199 Yaqeenan ehal-e-kitab mein say baaz aisay bhi hain jo Allah Taalaa per eman latay hain aur tumhari taraf jo utaata gaya hai aur unn ki janib jo nazil hua uss per bhi Allah Taalaa say dartay hain aur Allah Taalaa ki aayaton ko thori thori qeemat per baichtay bhi nahi inn ka badla inn kay rab kay pass hai yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
03.200 Aey eman walo! Tum sabit qadam raho aur aik doosray ko thamay rakho aur jihad kay liye tayyar raho aur Allah Taalaa say dartay raho takay tum murad ko phoncho.
No comments:
Post a Comment