Monday, October 19, 2015

SURAH IMRAN

(Sura-Al-e-Imran Madina mai Nazil hui, is mai doso (200) Aayatain hain)
 
03.01 Alif Laam meem.
 
03.02 Allah Taalaa woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka nigehban hai.
 
03.03 Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha.
 
03.04 Iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai badla lenay wala hai.
 
03.05 Yaqeenan Allah Taalaa per zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi.
 
03.06 Woh maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat wala hai.
 
03.07 Wohi Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain.
 
03.08 Aey humaray rab! Humen hidayat denay kay baad humaray dil tehray na ker dey aur humen apney pass say rehmat ata farma yaqeena tu hi boht bari ata denay wala hai.
 
03.09 Aey humaray rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney wala hai jiss kay aaney mein koi shak nahi yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta.
 
03.10 Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah Taalaa (kay azab) say churaney mein kuch kaam na aayen gi yeh to jahannum ka endhan hi hain.
 
03.11 Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala hai.
 
03.12 Kafiron say keh dijiye! Kay tum un-qarib maghloob kiye jao gay aur jahannum ki taraf jama kiye jao gay aur woh bura thikana hai.
 
03.13 Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaton mein jo guth gaee thin aik jamat to Allah Taalaa ki raah mein larr rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha woh unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah Taalaa jisay chahaye apni madad say qavi kerta hai. Yaqeenan iss mein aankhon walon kay liye bari ibrat hai.
 
03.14 Marghoob cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa hi kay pass hai.
 
03.15 Aap keh dijiye! Kiya mein tumhen iss say boht hi behat cheez bataon? Taqwa walon kay liye unn kay rab taalaa kay pass jannaten hain jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur pakeeza biwiyan aur Allah Taalaa ki raza mandi hai sab banday Allah Taalaa ki nigah mein hain.
 
03.16 Jo kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman laa chukay iss liey humaray gunah moaf farma aur humen aag kay azab say bacha.
 
03.17 Jo sabar kerney walay aur sach bolney walay aur farmanbardari kerney walay aur Allah ki raah mein kharach kerney walay aur pichli raat ko baksish maangney walay hain.
 
03.18 Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi.
 
03.19 Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai.
 
03.20 Phir bhi agar yeh aap say jhagren to aap keh den kay mein aur meray tabey daaron ney Allah Taalaa kay samney apna sir tasleem khum ker diya hai aur ehal-e-kitab say aur un-parh logon say keh dijiye! Kay kiya tum bhi ita’at kertay ho? Pus agar yeh bhi tabye daar bann jayen to yaqeenan hidayat walay hain aur agar yeh roo gardani keren to aap per sirf phoncha dena hai aur Allah bandon ko khoob dekh bhaal raha hai.
 
03.21 Jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain aur na haq nabiyon ko qatal ker daaltay hain aur jo log adal-o-insaf ki baat kahen unhen bhi qatal ker daaltay hain to aey nabi! Enhen dard naak azab ki khabar dey dijiye!.
 
03.22 Inn kay aemaal duniya-o-aakhirat mein ghaarat hain aur inn ka koi madadgar nahi.
 
03.23 Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen aik hissa kitab ki diya gaya hai woh apney aapas kay faislon kay liye Allah Taalaa ki kitab ki taraf bulaye jatay hain phir bhi aik jamat inn ki mun pher ker lot jati hai.
 
03.24 Iss ki waja inn ka yeh kehna hai kay humen to ginay chuney chand din hi aag jalaye gi inn ki ghari gharaee baaton ney enhen inn kay deen kay baray mein dhokay mein daal rakha hai.
 
03.25 Pus kiya haal hoga jabkay hum enhen uss din jama keren gay? Jiss kay aaney mein koi shak nahi aur her shaks apna apna kiya poora poora diya jayega aur inn per koi zulm na kiya jaye ga.

03.26 Aap keh dijiye aey Allah! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
 
03.27 Tu hi raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein ley jata hai tu hi bey jaan say jaandar peda kerta hai aur tu jaandar say bey jaan peda kerta hai tu hi hai kay jissay chahata hai bey shumar rozi deta hai.
 
03.28 Mominon ko chahaiye kay eman walon ko chor ker kafiron ko apna dost na banayen aur jo aisa keray ga woh Allah Taalaa ki kissi himayat mein nahi magar yeh kay inn kay sharr say kissi tarah bachao maqsood ho aur Allah Taalaa khus tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lot jana hai.
 
03.29 Keh dijiye! Kay khuwa tum apney seenon ki baaten chupao khuwa zahir kero Allah Taalaa (bahar haal) janta hai aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab ussay maloom hai aur Allah Taalaa jer cheez per qadir hai.
 
03.30 Jiss din her nafss (shaks) apni ki hui nekiyon ko aur apni ki hui buraiyon ko mojood paa ley ga aarzoo keray ga kay kaash! Uss kay aur buraiyon kay darmiyan boht hi doori hoti. Allah Taalaa tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa apney bandon per bara hi meharban hai.
 
03.31 Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai.
 
03.32 Keh dijiye! Kay Allah Taalaa aur rasool ki ita’at kero agar yeh mun pher len to be-shak Allah Taalaa kafiron say mohabbat nahi kerta.
 
03.33 Be-shak Allah Taalaa ney tamam jahaan kay logon mein say aadam (alh-e-salam) ko aur nooh (alh-e-salam) ko aur ibrahim (alh-e-salam) kay khandan aur imran kay khandanon ko muntakhib farma liya.
 
03.34 Kay yeh sab aapas mein aik doosray ki nasal say hain aur Allah Taalaa sunta janta hai.
 
03.35 Jab imran ki biwi ney kaha aey meray rab! Meray pet mein jo kuch hai ussay mein ney teray naam azad kerney ki nazar maani tu meri taraf say qabool farma! Yaqeenan tu khoob sunney wala aur poori tarah janney wala hai.
 
03.36 Jab bachi hui to kehney lagin kay perwerdigar! Mujhay to larki hui Allah Taalaa ko khoob maloom hai kay kiya aulad hui hai aur larka larki jaisa nahi mein ney uss ka naam marium rakha mein issay aur iss ki aulad ko shetan mardood say teri panah mein deti hun.
 
03.37 Pus issay uss kay perwerdigar ney achi tarah qabool farmaya aur ussay behtareen perwerish di. Uss ki khair khabar lenay wala zakariya (alh-e-salam) ko banaya jab kabhi zakariya (alh-e-salam) unn kay hujray mein jatay unn kay pass rozi rakhi hui patay woh poochtay aey marium! Yeh rozi tumharay pass kahan say aaee? Woh jawab detin kay yeh Allah Taalaa kay pass say hai be-shak Allah Taalaa jissay chahaye bey shumar rozi dey.
 
03.38 Ussi jagah zakariya (alh-e-salam) ney apney rab say dua ki kaha kay aey meray perwerdigar! Mujhay apney pass say pakeeza aulad ata farma be-shak tu dua ka sunney wala hai.
 
03.39 Pus farishton ney unhen aawaz di jabkay woh hujray mein kharay namaz parh rahey thay kay Allah Taalaa tujhay yahya ki yaqeeni khushkhabri deta hai jo Allah Taalaa kay kalmay ki tasdeeq kerney wala sardar zaabit nafss aur nabi hai nek logon mein say.
 
03.40 Kehney lagay aey meray rab! Meray haan bacha kaisay hoga? Mein bilkul boorha hogaya hun aur meri biwi baanjh hai farmaya issi tarah Allah jo chahaye kerta hai.
 
03.41 Kehney lagay perwerdigar! Meray liye iss ki koi nishani muqarrar ker dey farmaya nishani yeh hai kay teen din tak tu logon say baat na ker sakay ga sirf isharay say samjhaye ga tu apney rab kay zikar kasrat say ker aur subha-o-shaam ussi ki tasbeeh biyan kerta reh!.
 
03.42 Aur jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa ney tujhay bar gazeedah ker liya aur tujhay pak ker diya aur saray jahaan ki aurton mein say tera intikhab ker liya.
 
03.43 Aey marium! Tu apney rab ki ita’at ker aur sajda ker aur rukoo kerney walon kay sath rukoo ker.
 
03.44 Yeh ghaib ki ghabron mein say hai jissay hum teri taraf wahee say phonchatay hain tu unn kay pass na tha jabkay woh apney qalam daal rahey thay kay marium ko inn mein say kaun paa ley ga? Aur na tu unn kay jhagray kay waqt unn kay pass tha.
 
03.45 Jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri deta hai jiss kay naam maseeh essa bin marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur woh meray muqarrabeen mein say hai.
 
03.46 Woh logon say apney gehwaray mein baaten keray ga aur adher umar mein bhi aur woh nek logon mein say hoga.
 
03.47 Kehney lagin ilahee mujhay larka kaisay hoga? Halankay mujhay to kissi insan ney haath bhi nahi lagaya farishtay ney kaha issi tarah Allah Taalaa jo chahaye peda kerta hai jab kabhi woh kissi kaam ko kerna chahata hai to sirf yeh keh deta hai kay ho ja! To woh ho jata hai.
 
03.48 Allah Taalaa ussay likhna aur hikmat aur toraat aur injeel sikhaya ga.
 
03.49 Aur woh bani isareel ki taraf rasool hoga kay mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun mein tumharay liye parinday ki shakal ki tarah mitti ka parinda banata hun phir uss mein phoonk maarta hun to woh Allah Taalaa kay hukum say parinda bann jata hai aur Allah Taalaa kay hukum say mein maadar zaad andhay ko aur korhi ko acha ker deta hun aur murdon ko zinda kerta hun aur jo kuch tum khao aur jo apney gharon mein zakheera kero mein tumhen bata deta hun iss mein tumharay liye bari nishani hai agar tum eman laney walay ho.
 
03.50 Aur mein toraat ki tasdeeq kerney wala hun jo meray samney hai aur mein iss liye aaya hun kay tum per baaz woh cheezen halal keroon jo tum per haram ker di gaeen hain aur mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun iss liye tum Allah Taalaa say daro aur meri farmanbardari kero!.
 
03.51 Yaqeen maano! Mera aur tumhara rab Allah hi hai tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai.
 
03.52 Maga jab hazrat essa (alh-e-salam) ney unn ka kufur mehsoos ker liya to kehney lagay Allah Taalaa ki raah mein meri madad kerney wala kaun kaun hai? Hawariyon ney jawab diya kay hum Allah Taalaa ki raah kay madadgar hain hum Allah Taalaa per eman laye aur aap gawah rahiye kay hum tabeydaar hain.
 
03.53 Aey humaray paalney walay mabood! Hum teri utari hui wahee per eman laye aur hum ney teray rasool ki ittaba ki pus tu humen gawahon mein likh ley.
 
03.54 Aur kafiron ney makar kiya aur Allah Taalaa ney bhi (makar) khufiya tadbeer ki aur Allah Taalaa sab khufiya tadbeer kerney walon say behtar hai.
 
03.55 Jab Allah Taalaa ney farmaya kay aey essa! Mein tujhay poora lenay wala hun aur tujhay apni janib uthaney wala hun aur tujhay kafiron say pak kerney wala hun aur teray tabeydaron ko kafiron kay upper ghalib kerney wala hun qayamat kay din tak phir tum sab ka lotna meri hi taraf hai mein hi tumharay aapas kay tamam tar ikhtilafaat ka faisla keroon ga.
 
03.56 Phir kafiron ko to mein duniya aur aakhirat mein sakhta tar azab doon ga aur unn ka koi madadgar na hoga.
 
03.57 Lekin eman walon aur nek aemaal logon ko Allah Taalaa unn ka sawab poora poora dey ga aur Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta.
 
03.58 Yeh jisay hum teray samney parh rahey hain aayaten hain aur hikmar wali naseehat hain.
 
03.59 Allah Taalaa kay nazdeek essa (alh-e-salam) ki misal hoo ba hoo aadam (alh-e-salam) ki misal hai jissay mitti say bana ker keh diya kay ho ja! Pus woh hogaya!.
 
03.60 Teray rab ki taraf say haq yehi hai khabardar shak kerney walon mein say na hona.
 
03.61 Iss liye jo shaks aap kay pass iss ilm kay aajaney kay baad bhi aap say iss mein jhagray to aap keh den kay aao hum tum apney apney farzandon ko aur hum tum apni apni aurton ko aur hum tum khas apni apni janon ko bula len phir hum aajzi kay sath iltija keren aur jhooton per Allah ki laanat keren.
 
03.62 Yaqeenan sirf yehi sacha biyan hai aur koi mabood bar haq nahi ba-juz Allah Taalaa kay aur be-shak ghalib aur hikmat wala Allah Taalaa hi hai.
 
03.63 Phir bhi agar qabool na keren to Allah Taalaa bhi sahih tor per fasadiyon ko janney wala hai.
 
03.64 Aap keh dijiye kay aey ehal-e-kitab! Aisi insaf wali baat ki taraf aao jo hum mein tum mein barabar hai kay hum Allah Taalaa kay siwa kissi ki ibadat na keren na uss kay sath kissi ko shareek banayen na Allah Taalaa ko chor ker aapas mein aik doosray ko hi rab banayen. Pus agar woh mun pher len to tum keh do kay gawah raho hum to musalman hain.
 
03.65 Aey ehal-e-kitab! Tum ibrahim ki babat kiyon jhagartay ho halankay toraat-o-injeel to unn kay baad nazil ki gaeen kiya tum phir bhi nahi samjhtay?
 
03.66 Suno! Tum uss mein jhagar chukay jiss ka tumhen ilm tha phir abb iss baat mein kiyon jhagartay ho jiss ka tumhen ilm hi nahi? Aur Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay.
 
03.67 Ibrahim to na yahudi thay na nasrani thay bulkay woh to yak tarfa (khalis) musalman thay woh mushrik bhi na thay.
 
03.68 Sab logon say ziyada ibrahim say nazdeek tar woh log hain jinhon ney unn ka kaha maana aur yeh nabi aur jo log eman laye mominon ka wali aur shahara Allah hi hai.
 
03.69 Ehal-e-kitab ki aik jamat chahati hai kay tumhen gumrah ker den dar-asal woh khud apney aap ko gumrah ker rahey hain aur samajhtay nahi.
 
03.70 Aey ehal-e-kitab tum (ba wajood qaeel honey kay phir bhi) daanista Allah ki aayaat ka kiyon kufur ker rahey ho?
 
03.71 Aey ehal-e-kitab! Ba wajood janney kay haq-o-baatil ko kiyon khalat malat ker rahey ho aur kiyon haq ko chupa rahey ho?
 
03.72 Aur ehal-e-kitab ki aik jamat ney kaha kay jo kuch eman walon per utara gaya hai uss per din charhay to eman lao aur shaam kay waqt kafir bann jao takay yeh log bhi palat jayen.
 
03.73 Aur siwaye tumharay deen per chalney walon kay aur kissi ka yaqeen na kero. Aap keh dijiye kay be-shak hidayat to Allah hi ki hidayat hai (aur yeh bhi kehtay hain kay iss baat ka bhi yaqeen na kero) kay koi uss jaisa diya jaye jaisa tum diye gaye ho ya yeh kay yeh tum say tumharay rab kay pass jhagra keren gay aap keh dijiye kay fazal to Allah Taalaa hi kay haath mein hai woh jissay chahaye ussay dey Allah Taalaa wusat wala aur janney wala hai.
 
03.74 Woh apni rehmat kay sath jissay chahaye makhsoos ker ley aur Allah Taalaa baray fazal wala hai.
 
03.75 Baaz ehal-e-kitab to aisay hain kay agar tu enhen khazaney ka amin bana dey to bhi woh tujhay wapis ker den aur inn mein say baaz aisay bhi hain kay agar tu enhen aik dinar bhi amanat dey to tujhay ada na keren. Haan yeh aur baat hai kay tu uss kay sir per hi khara rahey yeh iss liye kay enhon ney keh rakha hai kay hum per inn jahilon (ghair yahudiyon) kay haq ka koi gunah nahi yeh log ba wajood janney kay Allah Taalaa per jhoot kehtay hain.
 
03.76 Kiyon nahi (moakhiza hoga) albatta jo shaks apna qarar poora keray aur perhezgari keray to Allah Taalaa bhi aisay perhezgaron say mohabbat kerta hai.
 
03.77 Be-shak jo log Allah Taalaa kay ehad aur apni qasmon ko thori qeemat mein baich daaltay hain unn kay liye aakhirat mein koi hissa nahi Allah Taalaa na to unn say baat cheet keray ga na unn ki taraf qayamat kay din dekhay ga na unhen pak keray ga aur unn kay liye dard naak azab hai.
 
03.78 Yaqeenan inn mein aisa giroh bhi hai jo kitab parhtay huye apni zaban marorta hai takay tum ussay kitab hi ki ibarat khayal kero halankay kay dar-asal woh kitab mein say nahi aur yeh kehtay bhi hain kay woh Allah Taalaa ki taraf say hai halankay woh dar-asal Allah Taalaa ki taraf say nahi woh to daanista Allah Taalaa ki taraf jhoot boltay hain.
 
03.79 Kissi aisay insan ko jissay Allah Taalaa kitab-o-hikmat aur nabooat dey yeh laeeq nahi kay phir bhi woh logon say kahey kay tum Allah Taalaa ko chor ker meray banday bann jao bulkay woh to kahey ga kay tum sab rab kay ho jao tumharay kitab sikhaney kay baees aur tumharay kitab parhney kay sabab.
 
03.80 Aur yeh nahi (hosakta) kay woh tumhen fariston aur nabiyon ko rab bana lenay ka hukum keray kiya woh tumharay musalman honey kay baad bhi tumhen kufur ka hukum dey ga.
 
03.81 Jab Allah Taalaa ney nabiyon say ehad liya kay jo kuch mein tumhen kitab-o-hikmat doon phir tumharay pass woh rasool aaye jo tumharay pass ki cheez ko sach bataye to tumharay liye uss per eman lana aur uss ki madad kerna zaroori hai. Farmaya kay tum iss kay iqrari ho aur iss per mera zimma ley rahey ho? Sab ney kaha humen iqrar hai farmaya to abb gawah raho aur khud mein bhi tumharay sath gawahon mein hun.
 
03.82 Pus iss kay baad jo palat jayen woh yaqeenan pooray na farman hain.
 
03.83 Kiya woh Allah Taalaa kay deen kay siwa aur deen ki talash mein hain? Halankay tamam aasmanon walay aur sab zamin walay Allah Taalaa hi kay farmanbardar hain khushi say hon ya na khushi say sab ussi ki taraf lotaye jayen gay.
 
03.84 Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur yaqoob (alh-e-salam) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa (alh-e-salam) aur essa (alh-e-salam) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain.
 
03.85 Jo shaks islam kay siwa aur deen talash keray uss ka deen qabool na kiya jayega aur woh aakhirat mein nuksan paney walon mein hoga.
 
03.86 Allah Taalaa unn logon ko kaisay hidayat dey ga jo apney eman laney aur rasool ko haqqaniyat ki gawahi denay aur apney pass roshan daleel aajaney kay baad kafir hojayen Allah Taalaa aisay bey insaf logon ko raah-e-raast per nahi laata.
 
03.87 Inn ki to yehi saza hai kay inn per Allah Taalaa ki aur farishton ki aur tamam logon ki laanat ho.
 
03.88 Jiss mein yeh hamesha paray rahen gay na to inn say azab halka kiya jayega na enhen mohlat di jaye gi.
 
03.89 Magar jo log iss kay baad tauba aur islaah ker len to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
 
03.90 Be-shak jo log apney eman laney kay baad kufur keren phir kufur mein barh jayen unn ki tauba hergiz hergiz qabool na ki jaye gi yehi gumrah log hain.
 
03.91 Haan jo log kufur keren aur martay dum tak kafir rahen unn mein agar koi zamin bhar sona go fidiye mein hi ho to bhi hergiz qabool na kiya jayega yehi log hain jin kay liye takleef denay wala azab hai aur jin ka koi madadgar nahi.
 
03.92 Jab tak tum apni pasandeedah cheez say Allah Taalaa ki raah mein kharach na kero gay hergiz bhalaee na pao gay aur tum jo kharach kero ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai.
 
03.93 Toraat kay nuzool say pehlay (hazrat) yaqoob (alh-e-salam) ney jiss cheez ko apney upper haram ker liya tha uss kay siwa tamam khaney bani israeel per halal thay aap keh dijiye kay agar tum sachay ho to toraat ley aao aur parh sunao.
 
03.94 Iss kay baad bhi jo log Allah Taalaa per jhoot bohtan bandhen wohi zalim hain.
 
03.95 Keh dijiye kay Allah Taalaa sacha hai tum sab ibrahim hanif kay millat ki pairwi kero jo mushrik na thay.
 
03.96 Allah Taalaa ka pehla ghar jo logon kay liye muqarrar kiya gaya woh hai jo makkah (sharif) mein hai jo tamam duniya kay liye barkat-o-hidayat wala hai.
 
03.97 Jiss mein khuli khuli nishaniyan hain muqam-e-ibrahim hai iss mein jo aajaye aman wala hojata hai Allah Taalaa ney unn logon per jo uss ki taraf raah paa saktay hon uss ghar ka hajj farz ker diya hai. Aur jo koi kufur keray to Allah Taalaa (uss sau bulkay) tamam duniya say bey perwah hai.
 
03.98 Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab tum Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kiyon kertay ho? Jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa uss per gawah hai.
 
03.99 Inn ehal-e-kitab say kaho kay tum Allah Taalaa ki raah say logon ko kiyon roktay ho? Aur iss mein aib tatoltay ho halankay tum khud shahid ho Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
 
03.100 Aey eman walo! Agar tum ehal-e-kitab ki kissi jamat ki baaten maano gay to woh tumhen tumharay eman laney kay baad murtid kafir bana den gay.

No comments:

Post a Comment