Friday, October 16, 2015

KHAANE KE ADAAB AUR USKI TALEEM -O- TARBIYAT


BISMILLAH


 Hazrat Umar bin Abi Salma Rad. se riwaayat hai ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ne mujhse irshaad farmaaya ki…
“ Allah ka naam le kar seedhe haath se aur apne saamne se khaaya karo.”

[Sahih Al-Bukhari, Sahih Muslim ].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 728 ]

AGAR BISMILLAH SHUROO ME YAD NA RAHE :

Hazrat Aisha Rad. se riwaayat hai ki NABI SALLALLALHU ALAI WASALLAM ne farmaaya ki..
“ khaana Bismillah kah kar shuroo kiya karo agar ibteda me kahna yaad na rahe to
phir Bismillahi awwal ahu wa aakhiri hu kahna chaahiye.

[ Abu Dawood, Tirmizi - SAHIH ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 729 ]

BISMILLAH KAHNE SHAITAAN KI MAAYOOSI :

Hazrat Jaabir Rad. se riwaayat hai ki maine RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ko irshaad farmaate suna ki…
Aadmi jab apne ghar me daakhil hote waqt aur khaana shuroo karte waqt bismillah kah leta
hai to shaitaan (apne saathiyon se)kahta hai ki yahaan na raat guzaarne ka thikaana hai aur na
khaane ka sahaara hai aur jab aadmi ghar me jsstr waqt Allah ta'ala ka naam nahin leta to
shaitaan kahta hai ki raat guzaarne ki jagah to mil gayi aur jab khane ke waqt bhi Allah ta'ala
ka naam na liya to shaitaan kahta hai ki tum ne raat basar karne ki jagah bhi paali aur khaana
(ghiza) bhi tum ko mil gaya.

[Sahih Muslim]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 730 ]

SHAITAAN KI KOSHISH :

Hazrat Hazifah Rad. se riwaayat hai ki….
Jab kabhi hamko RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM saath khaane ka itefaaq hojaata tha to ham us waqt tak khaane me haath na daalte the jag rak Huzoor RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM shuroo na farmaa lete..
Ek martaba ham aap ke saath khaane me shareek the ki ek ladki daudti hui aai, goya koi usko
dauda raha hai aur woh khaane me haath daalne waali thi ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne uska haath pakad liya…
Phir ek dehaati daudta hua aaya aur khaane ki taraf haath badhaana chaaha lekin RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne us ka bhi haath pakad liya..
Phir Aap RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM farmaaya…
Jis khaane par Allah ta'alaa ka naam nahin liya jaata to shaitaan apne liye halaal samajhta hai. Chunaanche shaitaan us ladki ko apne saath laaya tha taki uske zariye apne liye khaana Halaal kar le, tho maine us ka bhi haath pakad liya, Phir us dehaati ko laaya ki uske zariye apne khaane ko halaal karle to maine us ka bhi haath pakad liya..

Uski qasam jis ke qabze me meri jaan hai..Us dono ke saath shaitaan kaabhi haath mere
haath me hai. Phir bismillah kah kar khaana shuroo kiya.

[ Abu Dawud and An-Nasa'I - SAHIH ].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 731 ]



BIISMILLAH KA SHAITAAN PAR ASAR :

Hazrat Umayya Makhshi Rad. Se riwaayat hai ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM baithe the ek aadmi ne khaana shuroo kiya aur Bismillah na kaha, jab sirf ek luqmah baaqi raha aur us ko munh tak le jaane laga to kaha bismillah awwalahu wa aakhirahu to
RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM muskara diye aur farmaaya..

“ Shaitaan barabar uske saath khaana khaata raha, jab usne Bismillah kaha to shaitaan ne apna sab khaaya piya ugal diya yaani qai di. ”

[Abu Dawud and An-Nasa'i - SAHIH ].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 732]

BISMILLAH KI BARKAT :
Hazrat Aisha Rad. se riwaayat hai ki Rasulallah Sallallahu Alai Wasallam apne chhe (six) ashaab ke saath khaana nosh farmaa rahe the, itne me ek dehaati aa gaya aur us ne saara khaana do
luqmon me khatm kar diya..

Ap Rasulallah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya, agar yeh bismillah kah kar shuroo karta to yeh khaana tum sab ko kaafi ho jaata.

📘[At-Tirmidhi - SAHIH ].
📚[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 733]

KHAANE KE IKHTETAAM PAR DUA :

Hazrat Abu Umama Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah Sallallahu Alai Wasallam ke aage se jab dastarkhaan Uthaaya jaata tha to aap yeh dua farmaate the..

"Al-hamdu lillahi hamdan kathiran taiyyiban mubarakan fihi, ghaira makfiyyin wa la muwadda`in, wa la mustaghnan `anhu, Rabbuna “.
"الحمد لله حمداً كثيراً مباركاً فيه، غير مكفى ولامودع، ولا مستغنى عنه ربنا" .

📎TARJUMA :

Allah ta'ala ki sab taareef hai paak aur barkat waali, jisse be-niyaazi mumkin nahin aye
hamaare rab..
[Sahi Al-Bukhari].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 734]

KHAANA KHANE PAR ALLAH KI TAAREEF KARNE KA NATEEJAH :

Hazrat Maaz bin Anas Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah Sallallahu Alai Wasallam ne irshaad farmaaya…Jis ne khaana kha kar yeh kaha,..

'Al- hamdu lillahi-lladhi at'amani hadha, wa razaqanihi min ghairi haulin minni wa la quwwatin”
..” Sab taareef Allah ke liye hai jis ne mujhe baghair kisi hila aur quwwat ke yeh rizq ata farmaaya “ to us ke agle gunaah maaf ho jaayenge. “

[ Abu Dawood, Tirmizi ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 735]

NA PASANDEEDAH KHAANE KE SAATH HUZOOR SALLALLAHU ALAI WASALLAM KA MAAMLA :
Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki Rasoolulllah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne kabhi kisi khaane me aib nahin nikaala, agar pasand aaya to nosh farmaaya aur na pasand hua to chhod diya.

[Sahih Al - Bukhari, Sahih – Muslim ].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 736]

SIRKE KI TAAREEF :
Hazrat Jaabir Rad. se riwaayat hai ki Nabi SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne apne ghar waalon se saalan maanga. Unhon ne kaha hamaare paas is waqt sirke ke siwaye kuchh nahin hai. aap SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne sirka mangwa liya aur us ko khaate jaate the aur
farmaate jaate the. Sirka kitna achchha saalan hai, sirka khoob saalan hai.

[Sahih Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 737]

ROZE KI HAALAT ME DAWAT DI JAAYE TO KYA KARNA CHAAHIYE ? :

Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki Rasoolulllah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya agar tum me se kisi ko dawat di jaaye to qabool karo agar roza ho to us ke haq me dua karo aur agar roza na ho to khaalo.
(Sahih Muslim)
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 738]

DAWAT ME JAATE WAQT EK BE BULAAYE AADMI KE SAATH HO JAANE PAR HUZOOR SALLALLAHU ALAI WASALLAM KA MEZBAAN SE IJAAZAT LENA :

Hazrat Abu Masood Rad. se riwaayat hai ki ek shakhs ne Huzoor Sallallahu Alai Wasallam ki dawat ki aap ke liye khaana tayyar kiya..
Huzoor Sallallahu Alai Wasallam ko milakar paanch aadmi the. Jab aap tashreef le jaane lage to ek aadmi aur bhi aap ke saath hogay.
Jab aap mezbaan ke darwaaze par pahoonche to aap ne mezbaan se farmaaya yeh shakhs
mere saath hogaye hain, tumhaare khushi ho to inko rok loon, warna yeh waapas ho jaayen.
Unhone arz kiya Ya Rasoolullah Sallallahu Alai Wasallam main inko bhi ijaazat deta hoon .

(Bukhari, Muslim)
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 739]


BACHE KO KHAANE KI TAALEEM :

Hazra Umar bin Abu Salmah Rad. se riwaayat hai ki main chhota tha aur Huzoor Sallallahu Alai Wasallam ke ghar me tha (1) main palaton me idhar udhar haath daal kar khaaya karta tha, Aap Sallallahu Alai Wasallam ne mujh se farmaaya…

“ Aye ladke Allah ka naam le kar seedhe haath se khaa aur apne aage se khaa. “

[Al-Bukhari and Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 740]

HUZOOR (S.A.) KE HUKM KI TA'AMEEL NA KARNE KA NATEEJAH :
Hazrat Salamah bin Al-Akwa' Rad. se riwaayat hai ki ek aadmi Rasoolullah Sallallahu Alai Wasallam ke saamne baayen haath se khaana khaa raha tha.. 
Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya.. seedhe haath se khaao, woh bola main seedhe haath se nahin khaa sakta..
Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya na khaa sakoge, bas phir wo kabhi apne munh ki taraf haath na ootha saka (yeh baat uske ghuroor ne kahlaai thi).
[Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 741]

SAATH KHAANE WAALE KI REAAYAT :

Hazrat Jabla bin Sahim Rad. se riwaayat hai ki qahat saali ka zamaana tha. Ham ibn e ZubairRad. ke saath the ham ko khaane ke liye khajooren di gayeen. Ham usko khaa rahe the ki Abdullah bin Umar Rad. udhar se guzre aur kahne lage do do khajooren milakar na khaao. RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne is se mana farmaaya hai.
Phir kaha ki agar aadmi apne bhai yaani saath khaane waale se ijaazat le le to phir kuchh
muzaaiqah nahin.

[Al-Bukhari and Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 742]

KHAANA KHAAKAR AASOODAH HONA :

Hazrat wahshi bin Harab Rad. se riwaayat hai ki RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM se hamne arz kiya.. “ Ya RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ham khaana khaate hain aur ser(bas) nahin hote..
Aap RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya shaayadtum log alag alag khaate ho.
Logon ne kaha.. “ haan ya Rasoolulllah..!
Fir Aap RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya
mil kar khaana khaao aur bismillah kah kar shuroo karo to us me barkat hogi.

[ Abu Dawood ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 743]

BEECH SE MAT KHAAO :

Hazrat ibn e Abbas Rad. se riwaayat hai ki RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya…
khaane ke beech me barkat utarti hai to khaana har taraf se khaao beech se na khaao.

[At-Tirmidhi and Abu Dawud].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 744]


KHAANA NOSH FARMAATE WAQT HUZOOR RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM KI NASHIST :

Hazrat Abdullah bin Basr Rad. se riwaayat hai ki..

RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ka ek ghada tha uska naam Gharra tha. Usko chaar aadmi oothaate the. Jab aap ne chaasht ki Namaaz padh li to ghada laaya gaya, us me shared tha jab bahut log jamaa ho gaye to Huzoor Sallallahu Alai Wasallam uski taraf badhe aur ghoothne ke bal baith gaye..
Dehaati ne kaha yeh kaisi baithak hai ?
RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya.. Allah ne mujh ko shareef bandah banaya hai. Jabbar, sarkash, mutakbir nahin banaya.. Phir aap RASULALLAH SALLALLAHU ALAI WASALLAM farmaaya ki us ke gird khaao aur us k chod do us me barkat hogi.

The Prophet (ﷺ) had a large bowl called Al-Gharra', which would be carried by four men. One day, when the Companions finished their Duha (forenoon optional) prayer, Al-Gharra' was brought full of sopped bread, meat and broth, and they sat down around it. When their number increased, Messenger of Allah (ﷺ) sat down on his knees and rested on the soles of his feet. A bedouin said to him: "What sort of sitting is that?" Thereupon Messenger of Allah (ﷺ) said, "Verily, Allah has made me a courteous slave not a fierce tyrant." Then he said, "Eat from the sides of the bowl and leave the central part of it so that your food will be blessed."

[ Abu Dawood ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 745]

SALLALLAHU ALAI WASALLAM KA IRSHAD E AALA :

Hazrat Abu Hujefah Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya main tek laga kar nahin khaata.

[ Sahi Al Bukhari ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 746]

HUZOOR SALLALLAHU ALAI WASALLAM KA KHAJOOR NOSH FARMAANA :

Hazrat Anas Rad. se riwaayat hai ki maine Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ko dekha tha aap donon ghutne khade kiye huye aur khule zameen par tapke huye khajoor nosh farmaaya rahe the.

[ Sahih Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 747]

TEEN OONGLIYON SE KHAANE KA BAYAAN KHAANE KA ADAB :

Hazrat ibn e Abbas Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya…
Jab khaana kha chuko to haath us waqt tak na pochho jab tak usko chaat na lo ya chatwa na lo.

[Al-Bukhari and Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 748]

Ka'b bin Malik (May Allah be pleased with him) reported:
I saw Messenger of Allah SALLALLAHU ALAI WASALLAM eating with three fingers (i.e., the thumb, the index finger and the middle finger) and licking them after having finished the food.

[Sahih Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 749]


HUZOOR SALLALLAHU ALAI WASALLAM KE KHAANA NOSH FARMAANE KA TAREEQA :
Hazrat Jabir Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne oongliyon ke chaatne aur bartan ko saaf karne ka hukm diya aur farmaaya tum nahin jaante ho ki tumhaare kis khaane me barkat hai.

[ Sahi Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 750]

Hazrat Jabir Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne irshaad farmaaya ki…

Jab kisi ka luqma gir jaaye to woh usko uthakar saaf karke khaale usko shaitaan ke liye na chhode aur oongliyon ko chaatne se pahle rumaal se haath na pochhe, is liye kisko kya maaloom ki is ke kis khaane me barkat hai.

[ Sahi Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 751]

Hazrat Jabir (May Allah be pleased with him) reported:
Messenger of Allah (ﷺ) said, "Satan appears at everything done by you; he appears even at one's dinner. When a morsel of any of you falls, he should pick it up and remove any dirt on it, and then eat it. He should not leave it for Satan, nor should he wipe his hand with the towel until he has licked his fingers, for he does not know in what portion of the food the blessing lies."

[Muslim].
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 752]

Hazrat Anas Rad. se riwaayat hai ki jab Nabi SALLALLAHU ALAI WASALLAM khaana nosh farmaate the to apni teen oongaliyan chaat lete the aur farmaate the ki kisi ka koi luqma gir jaaye to woh usko uthakar saaf karke khaale usko shaitaan ke liye na chhode aur oongliyon ko chaatne se pahle rumaal se haath na pochhe, is liye ki is ko kya maaloom ki is ke kis khaane me barkat hai.

[ Sahi Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 753]

KHAANE KE BAAD WUZU ZAROORI NAHIN :

Hazrat Saeed bin Haris Rad. se riwaayat hai ki uhonne Hazrat Jabir Rad. se poochha ki aag
me paki hui cheezo me wuzoo ke muta'alliq Huzoor SALLALLAHU ALAI WASALLAM ka kya hukm tha ?
Unhon ne kaha ham ko Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ke zamaane aisa
khaana kahaan milta tha ?? Aur jab kabhi aisa itefaaq ho jaata tha to hamaare paas rumaal bhi na hota tha, bas yahi hatheliyaaonse pochliya karte the phir ham usi tarah Namaaz padhh lete the, wuzoo nahin karte the.

[ Sahih Al – Bukhari ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 754]

DO KA KHAANA TEEN KO KAAFI HAI :

Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya do ka khaana teen aadmiyon ko kaafi ho jaata hai aur teen ka khaana chaar ko kifaayat karta hai.

[ Sahih Bukhari & Sahih Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 755]

Hazrat Jabir Rad. se riwaayat hai ki Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM se suna hai aap irshaad farmaate the ki ek aadmi ka khaana do ko aur chaar ka khaana aath aadmi ko kaafi ho jaata hai.

[ Sahi Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 3, Hadith 756]

No comments:

Post a Comment