BISMILLAH
Namaz E Juma ka hukm
Ghulam, Aurat, Bacche, Bimaar aur Musafir ke alawa har musalmaan par jama'at ke saath jummah ki namaz farz hai.
Surah Jummah : 9. Sanan abi dawood : 1067.
Sakht barish ho rahi ho ya masjid aana mushkil ho tou aisi surat mei namaze juma na ada karne ki rukhsat hai aur iske badle mei namaze zuhar ada karenge.
Sahih bukhari : 901.
Yahi hukm mazoor ka bhi hai.
JUMMAH KI FAZEELAT
Jummah ka din sabse behtareen aur azmat wala din hai, isi din aadam ko paida kiya gaya, isi din jannat mei daqil kiye gaye, isi din jannat se nikale gaye aur isi din qayamat qayam hogi.
Sahih muslim, kitab al-juma, baab : Fazl al-juma.
Namaze juma ka ajar paanch (5) darjaat par mushtamil hai, pehle aane wale Allah ki raah mei OONT(CAMEL) dene ka ajar payenge, inke baad aane wale GAAYE(COW), teesre number par EK SEENGH WALE MENDHE, aur chouthe number par MURGHI aur panchwe number par aane wale EK ANDA(egg) Allah ki raah mei dene ka sawab payenge.
Sahih bukhari : 881.
Jummah ke din kasrat ke saath Dua karni chahiye, kyunke is din ek ghadi aisi hai jis mei Dua zaroor qubool ki jati hai.
Sahih bukhari : 935. Sanan abi dawood : 1048. Sanan ibn majja : 1139.
Wo maqbuliyat ka waqt asar ke baad hai.
sanan abi dawood : 1048. Basanad sahih.
Ek jummah dusre jumma tak ke gunahoun ke liye kaffara ban jata hai.
Sahih bukhari : 883, 910.
NAMAZ E JUMMAH KI AHMIYAT
Agar kisi ne baghair kisi sharai uzar ke lagataar teen(3) juma ki namazein tark kardi tou Allah tala iske Dil par mohar laga deta hai.
Sahih muslim, kitab al-juma. Sabab abi dawood : 1056.
Rasool Allah(saw) ne in gharoun ko jalane ka irada farmaya jinke Ahel namaze jummah ke liye masjid nahi aate.
Sahih muslim : 254.
Youm E Jummah Aur Namaz E Juma ke ahekaam.
Jummah ke din bagair waqt aur kaifiyat ki ta'een kiye hue, infiradi taur par kasrat ke saath Rasool Allah(saw) par durood bhejna mustahib hai.
Sanan abi dawood : 1048. Sanan nisai : 1374.
Namaze jummah ke liye miswak karna, ghusul karna, khushboo lagana aur accha libaas pahen kar aana mustahib hai.
Sahih bukhari : 877, 880, 884, 886, 887, 906.
Jummah ke din SURAH AL-KAHAF ki tilawat masnoon hai.
Sunan Nisai.
Jummah ke din fajar ki namaz mei surah al-sajda aur surah al-duhar padhni sunnat hai.
Sahih bukhari : 891.
Namaze jummah ke liye azaan is waqt hogi jab imam membar par baithenge.
Sahih bukhari : 912.
Hasb zaroorat do(2) azaan de sakte hai jaisa ke usman r.z ne kiya hai aur agar iski zarurat na ho tou sunnat Rasool(saw) par amal karte hue ek azan hi dena behtar hai.
Sahih bukhari : 912, 916.
Koi kisi ko iski jagha se utha kar khud na baithe.
Sahih bukhari : 911.
Namaze jummah ka waqt, zuhar ka waqt yani baad zawal hai.
Sahih bukhari : 903.
Namaze jummah ke liye pehle aane waloun ka sawab zyada hai.
Sahih bukhari : 881.
Jin afraad par jummah ki namaz farz nahi, wo uske badle zuhar ki namaz padhenge.
Jummah ki namaz padhne waloun se zohar ki namaz saakhit ho jati hai, phri wo dobara zohar ki namaz nahi padhenge, jaisa ke baaz log ehtiyatan karte hai, aisa karnan ghalat hai.
Khutbae jummah namaz se qabl hoga.
Sahih muslim, kitab al-jumma.
Sunnat ye hai ke qutba muqtasr aur namaz lambi ho.
Sahih muslim : 47. Sanan abi dawood : 1106, 1107.
Agar khutba shuru nahi hua hai tou farz se pehle jitni nawafil ada karna chahiye kar sakte hai.
Sahih muslim, kitab al-jummah : 80.
Khutba ke liye membar ka istemaal karna sunnat hai.
Sahih bukhari : 917.
Khutba jummah mei hasbe hajat barish ki dua maangna aur iske liye haath uthana sunna hai.
Sahih bukhari : 932, 933.
Khutba khade hokar dena chahiye.
Sahih bukhari : 920.
Khutbe ke liye aasa wagaira ka sahara lena sunnat hai.
Sanan abi dawood : 1104.
Dono khutboun ke darmiyan baithna masnoon hai.
Sahih bukhari : 928.
Khutba sunna wajib hai, is dauraan baat cheet, betawajjohi khutba jummah sunne ki fazeelat ko khat kar deta hai.
Sahih bukhari : 934.
Sunnat ye hai ke khateeb hasbe hajat shahadat ki ungli se ishara kare aur hathoun ko bahoot zyada harkat na de.
Sanan abi dawood : 1096.
Namaze jummah dehaat mei bhi ada karni chahiye.
Sahih bukhari : 896. Sanan abi dawood : 414/1.
Agar jummah ke roz Eid padh jaye, tou namaze Eid ada karne ke baad jummah ki namaz na padhne ki rukhsat hai, magar namaze zuhar zaroor ada karenge. Aur agar jummah ki namaz ada karle tou zyada bahetar hai.
Sanan abi dawood : 1070. Sahih ibn khuzaima : 1464.
Jummah ki farz namaz do raka'at hai.
Sahih muslim, kitab al-jummah : 61, 62.
Jummah ki farz namaz se pehle koi sunnat e moukkida nahi. Albatta do raka'at tahetul masjid padhi jayegi.
Sahih bukhari : 930.
Agar koi shaqs khutbe ke dauraan daqil hua tou ise bhi halki do raka'at tahetul masjid padh kar hi baithn chahiye.
Sahih bukhari : 930.
Farz namaz ke baad sunnate moukkida agar masjid mei ada kare tou chaar(4) raka'at, aur agar ghar jakar ada kare tou do(2) raka'at padhni masnoon hai.
Sahih bukhari : 937. Sanan abi dawood : 1130.

No comments:
Post a Comment