BISMILLAH
Aqeeqa aise janwar ko kahte hai jb bcha paida ho jaye uski taraf se paidaish ke satwe (7) din zibh Kia jata Hai
Aqika Krna Sunnate Muakkadah Hai Aur Mustahab Aml Hai Isliye Jo Shaksh Haisiyat Rakhta hai use chaiye apni aulad ki tarf se aqika kre
Hazrat salam bin amir r.a se riwayat hai rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya bche ke sath aqika (lazim) hai chunanche us ki tarf se qurbani kro aur us ki taqlif dur kro (mtlb uska sar mundao)
Bukhari 5472
Hazrat samura r.a se riwayat hai ki rasulullah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya har bacha apne aqika ke bdale girvi hota hai paidaish ke satwe din uska aqika kia jaye uska nam rakha jaye aur sar ke bal mundaye jaye. Abu dawood 2838, tirmizi 1522
jab bache ka sar munda dia jaye to us ke sar se utrne wale balo ke wazan ke barabr chandi sadqa kar dena bhi jaruri hai jesa ki hadis me hai.
Hazrat Ali r.a se riwayat h rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne hazrt hasan r.a ki tarf se bakri ke sath aqiqa kia aur farmaya ai fatima is ka sar mundao aur uske balo ke wazan ke barabr chandi sadqa kar do
hasan irwa al ghalil 1175, tirmizi 1519
AqiQa ladke ki tarf se 2 bakriya aur ladki ki tarf se ek bakri
Rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ladke ki tarf se 2 barabr bakriya aur ladki ki tarf se ek bakri
Abu dawood 2834, Nasai , ahmad
Rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne hasan r.a aur husain r.a ki tarf se 2,2 dumbe zabah kiye
Nasai 4224
Aqiqa ke janwar nar (male) wa mada (fmle) dono ho sakte hai rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ladke ki tarf se 2 bakriya aur ladki tarf se ek bakri zabah ki jaye nar ho ya madda tumhe koi chez nuksan nahi degi
Mishkat 4152 irwa al ghalil 3/390 ,abu dawood
KYA AQIQA KI ME OONT AUR GAAY KI QURBANI KI JA SAKTI HAI?
Oont aur gaay ka zikr kisi hadith me nahi nabi SallAllahu Alaihi wasallam ne sirf bakri aur dumbe ka zikr kia h isliye sirf yahi janwar zabah krna chaiye yahi sunnat hai.
KYA SATWE DIN ke BAAD AQIQA KIA JA SAKTA HAI?
Satwe din ke bad bhi aqika kia ja sakta h chahe bacha baligh hi q na ho gaya kyo ki wah bacha abi b girvi hai aur use girwi se churane ke liye AQIQA hi krna padega aur ek riwayat hai se malum hota h ki satwe din ke bad 14 we ya 21 we din aqika krna chaiye jesa ki
Rasul SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya aqiqa ka janwar satwe din zabah kia jaye ya 14 we din ya 21 we din
sahih saheehul jamehussagheer 4011
As salamo alyikum jab kisi wajh se aqiqa ho na paya our ba hvhon ki sadi bhi ho gai kya bad me aqiqa ho sakti hey ?
ReplyDelete