BISMILLAH
❗1. Takbeere tahreemah ke saath rafa'ul yadain karna.eere tahreemah ke saath rafa'ul yadain karna.
1. Takbeere tahreemah ke saath rafa'ul yadain karna.
2. Ruku' karne waqt rafu'ul yadain karna
3. Ruku' se uththe waqt rafu'ul yadain karna.
Bukhari : 736
4. Do tashahhud waali Namaaz ki teesri rak'at men khade hokar rafa'ul yadain.
5. Rafu'ul yadain karte waqt haathon ki ungliyon ko band na rakhna.
6. Hatheliyon ko Qiblah rukh karte huye ungliyon ka khol kar rafu'ul yadain karna.
7. Rafa'ul yadain ke waqt haathon ka kandho ke barabar kaanon ki lau tak uthhana. (Kaanon ka woh hissah jo kandhe ke qareeb hai)
8. Daayen haath ko baayen haath par rakhna. Ya daayen haath se baayen haath ki kalayi ko pakadna.
9. Nazar ka sajdah ki jagah par rakhna.
10. Qiyaam ki haalat men qadmon ka thoda sa khol kar rakhna.
11. Quraan ka tarteeb se padhna aur qiraa't men ghauro Fikr karna.
❗RUKU' KI SUNNATEN❗
1. Donon ghutnon ko haathon se is kaifiyat se pakadna ke haathon ki ungliyon khuli rahen.
2. Ruku' ki haalat men apni kamar ko bilkul barabar rakhna.
3. Namaazi ka apne sar ko kamar ke barabar rakhna, na neecha ho na Ooncha.
4. Donon baazuon ko apni atraaf se door rakhna.
❗SAJDON KI SUNNATEN❗
1. Apne atraaf se baazuon ko door rakhna.
2. Apne pet ko raanon se door rakhna.
3. Apne raanon ko pindliyon se door rakhna.
4. Sajdah ki haalat men apne ghutnon ko alaahidah alaahidah rakhna.
5. Apne qadmon ko khada rakhna.
6. Apni ungliyon ko zameen par rakhna.
7. Sajdah ke dauraan donon qadmon ko harkat men na lana.
8. Donon haathon ko kandhon ya kaanon ke barabar rakhna.
9. Donon haathon ko khol kar rakhna.
10. Ungliyon ko milakar rakhna.
11. Ungliyon ko qiblah rukh rakhna.
❗DONON SAJDON KE DARMIYAAN KI SUNNATEN
🔹Donon sajdon ke darmiyaan baithhne ke do tareeqe hain.
1. IQAA' KARNA:- yani donon qadmon ko khada karke Edhiyon par baithhna.
2. IFTIRAASH:- yani daayen paauon ko khada rakhna aur baayen par baithhna.
pahle tashahhud men baayen paauon ko bichhana aur us par baithhna.
Allah ke Rasool ﷺ is jalsah ko yani us baithhak ko itna lamba karte ke dekhne waala samajhta ke Aap ﷺ shaayad bhool gaye hain.
❗JALSA -E-ISTERAAHAT ❗
Ma'mooli sa baithhna. Is mein koi du'a nahin padhi jaati. Aur us ki jagah aur waqt konsa hai ?
Is ka bhi ilm hona zaroori hai us ka waqt pahli rak'at aur teesri rak'at ke donon sajdon ke baad doosri aur chauthi rak'at ke liye uthhne se pehle hai.
Abu Dawood : 842
Nasai : 1153
Nasai : 1153
❗AAKHRI TASHAHHUD KI SUNNATEN
Doosra Tashahhud is ki teen haalaten hain.
A) Daayen qadam ko khada rakh kar baayen qadam ko daayen ki pindli ke neeche se nikaal kar peethh par baithha jaaye.
Abu Dawood : 963
B) Pahle ki tarah baithha jaaye, lekin daayen qadam ko khada karne ki bajaaye dayeen taraf bichha diya jaaye.
C). Dayeen qadam ko khada rakhkha jaaye aur baayen ko daayen pindli aur ghutne ke darmiyaan se nikaala jaaye.
1. Donon haathon ko raanon par rakhna. (daayen haath ko daayen raan par aur baayen haath ko baayen raan par) haath ki ungliyaan na millin hon na ziyaadah khuli hon.
2. Attahiyyat men angusht shahaadat se shuru' se Aakhir tak ishaarah karna. (Apne anguththe ko angusht Shahaadat ke neeche se nikal kar darmiyaani ungli se milakar halqah banana) aur nazar ungli ke ishaare par rakhna.
Muslim : 1338
3. Salaam pherte waqt daayen aur baayen dekhna. Is tarah har rak'at men (25) Sunnaten huyin.
Baar baar duhraane se majmoo'yi taur par ek farz Namaaz men (425) Sunnaten ban jaati hain. Aur phir ek rak'at ki jo (25) Sunnaten hain agar insaan din raak ki nafil Namaaz ada kare to majmoo'yi taur par (625) Sunnaten ban jaati hain.
aur agar koi insaan is se ziyadah nafil namazen, Qiyamullail, zuha ki namaaz waghairah, ada karega to phir mazeed Sunnaton men izafah ho jaayega.
Aur iske elaawah kuch mazeed aisi fe'li sunnaten hain jo namaz mein sirf ek ya do martabah hi ada karna hoti hain.
1. Takbeer-e-Tahreema ke saath rafa'ul yadain.
2. Do Tashahhud waali namaz mein teesri rak'at ki ibteda men rafa'ul yadain karna.
3. Attahiyyat mein angusht shahaadat se shuru se Aakhir tak eshaeah karna. Khah pahla Tashahhud ho ya Aakhri.
4. Salaam pherte waqt dayeen aur baayen dekhna.
5. Jalsa-e-isteraahat:- do Tashahhud waali namaz mein do dafa aur ek Tashahhud waali namaz mein ek dafa moqa milta hai khah farz namaz hoya nafil.
6. TAWARRUK. dayyen Qadam ko khada rakh kar baayen qadam ko dayeen pindli ke neeche se nikaal kar peethh par baithh ne ko "TAWARRUK" kaha jaata hai.
yeh do Tashahhud waali namaz ke Aakhri Tashahhud men karna hai. Is sunnat ko namaz mein sirf ek dafa karna hota hai.
Lekin angusht shahaadat se ishaarah Tashahhud men do Martabah karna hota hai, har farz namaz mein siwaaye fajr ki namaz ke. (Is mein ek hi tashahhud hai)
Aur isi tarah jalsaye isteraha chaar rak'at waali namaz men do martabah karne kul majmoo'yi (34) sunnaten ban jaati hain.
🔹Aye Mu'azzaz Deeni Bhaaiyon❗
Koshish yeh karen ke apni namaz mein qauli sunnaten hon ya fe'li Un par amal karke apni namazon ko muzayyan banaayen taake Allah ke haan taqarrub bhi hasil ho. Aur ajre azeem ka sharf bhi mile.
Imaam ibne Qayyim رحمۃ اللہ علیہ farmaate hain:-
Bnade ko Allah ke saamne do tarah ki haazri ka saamna karna hai.
1. Ek haazri woh hai jo insaan ki haalte namaaz men hoti hai.
2. Aur doosri haalat woh hogi jab Allah ke saamne haazri hogi.
Jo shakhs Allah ke saamne pahli haazri mein haq ke saath raha, uske liye doosri haazri aur doosra mawqif bhi Aasaan rahega.
Aur jis ne pahle waquf ya'ni pahli haazri ko ahmiyat na di. Us ke haq ko poora na kiya to doosri haazri aur dusri peshi bhi uske liye Aasaan na hogi.
No comments:
Post a Comment