(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain)
02.01 Alif laam meem
02.02 Iss kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi perhezgaron ko raah dikhaney wali hai.
02.03 Jo log ghaib per eman latay hain aur namaz ko qaeem rakhtay hain aur humaray diye huye (maal) mein say kharach kertay hain.
02.04 Aur jo log eman latay hain uss per jo aap ki taraf utara gaya aur jo aap say pehlay utara gaya aur woh aakhirat per bhi yaqeena rakhtay hain.
02.05 Yehi log apney rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log falah aur nijat paney walay hain.
02.06 Kafiron ko aap ka darana ya na darana barabar hai yeh log eman na layen gay.
02.07 Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per parda hai aur inn kay liye bara azab hai.
02.08 baaz log kehtay hain kay hum Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain lekin dar haqeeqat woh eman walay nahi hain.
02.09 Woh Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi.
02.10 Unn kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein mazeed barha diya aur unn kay jhoot ki waja say unn kay liye dard naak azab hai.
02.11 Aur jab inn say kaha jata hai kay zamin mein fasaad na kero o jawab detay hain kay hum to sirf islaah kerney walay hain.
02.12 Khabardaar ho! yaqeenan yehi log fasaad kerney walay hain lekin shaoor (samajh) nahi rakhtay.
02.13 Aur jab inn say kaha jata hai kay aur logon (yani sahaba) ki tarah tum bhi eman lao to jawab detay hain kay kiya hum aisa eman layen jaisa bey waqoof laye hain khabardaar hojao! yaqeenan yehi bey waqoof hain lekin jantay nahi.
02.14 Aur jab eman walon say miltay hain to kehtay hain kay hum bhi eman walay hain aur jab apney baron kay pass jatay hain to kehtay hain kay hum to tumharay sath hain hum to inn say sirf mazaq kertay hain.
02.15 Allah Taalaa bhi inn say mazaq kerta hai aur enhen inn ki sirkashi aur behkaway mein aur barha deta hai.
02.16 Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay mein khareed liya pus na to inn ki tijarat ney inn ko faeeda phonchaya aur na yeh hidayat walay huye.
02.17 Inn ki misal uss shaks ki si hai jiss ney aag jalaee pus aas pass ki cheezen roshni mein aaee hi thin kay Allah unn kay noor ko ley gaya aur enhen andheron mein chor diya jo nahi dekhtay.
02.18 Behray goongay andhay hain. Pus woh nahi lottay.
02.19 Ya aasmani barsaat ki tarah jiss mein andheriyan aur garaj aur bijli ho maut ki darr say karakay ki waja say apni ungliyan apney kaanon mein daal letay hain. Aur Allah Taalaa kafiron ko gherney wala hai.
02.20 Qareeb hai kay bijli inn ki aankhen uchak ley jaye jab inn kay liye roshni kerti hai to chaltay phirtay hain aur jab inn per andhera kerti hai to kharay hojatay hain aur agar Allah Taalaa chahaye to inn kay kanon aur aankhon ko bey kaar kerdey. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai.
02.21 Aey logo! apney uss rab ki ibadat kero jiss ney tumhen aur tum say pehlay kay logon ko peda kiya yehi tumhara bachao hai.
02.22 Jiss ney tumharay liye zamin ko farash aur aasman ko chatt banaya aur aasman say pani utaar ker uss say phal peda ker kay tumhen rozi di khabardaar bawajood janney kay Allah kay shareek muqarrar na kero.
02.23 Hum ney jo kuch apney banday per utara hai uss mein agar tumhen shak ho aur tum sachay ho to iss jaisi aik surat to bana lao tumhen ikhtiyar hai kay Allah Taalaa kay siwa apney madadgaron ko bhi bula lo.
02.24 Pus agar tum ney na kiya aur tum hergiz nahi ker saktayto (issay sacha maan ker) uss aag say bacho jiss ka endhan insan aur pathar hain jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai.
02.25 Aur eman walon aur nek amal kerney walon ko unn jannaton ki khushkhabriyan do jin kay neechay nehren beh rahi hain. Jab kabhi woh phalon ka rizq diye jayen gay aur hum shakal laye jayen gay to kahen gay yeh wohi hain jo hum iss say pehlay diye gaye thay aur unn kay liye biwiyan hain saaf suthri aur unn jannaton mein hamesha rehney walay hain.
02.26 Yaqeenan Allah Taalaa kissi misal kay biyan kerney say nahi sharmata khuwa machar ki ho ya iss say bhi halki cheez ki. eman walay to issay apney rab ki janib say sahih samajhtay hain aur kuffaar kehtay hain kay iss misal say Allah Taalaa ney kiya murad li hai? iss kay zariye baishtar ko gumrah kerta hai aur aksar logon ko raah-e-raast per lata hai aur gumrah to sirf fasiqon ko hi kerta hai.
02.27 Jo log Allah Taalaa kay mazboot ehad ko tor detay hain aur Allah Taalaa ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai unhen kaattay aur zamin mein fasaad phelatay hain yehi log nuksan uthaney walay hain.
02.28 Tum Allah kay sath kaisay kufur kertay ho? Halankay tum murda thay uss ney tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda keray ga phir ussi ki taraf lotaye jao gay.
02.29 Woh Allah jiss ney tumharay liye zamin ki tamam cheezon ko peda kiya phir aasman ki taraf qasad kiya aur unn ko theek thaak saat aasman banaya aur woh her cheez ko janta hai.
02.30 Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay.
02.31 Aur Allah Taalaa ney aadam ko tamam naam sikha ker unn cheezon ko farishton kay samney paish kiya aur farmaya agar tum sachay ho to inn cheezon kay naam batao.
02.32 Unn sab ney kaha aey Allah! teri zaat pak hai hum to sirf utna hi ilm hai jitna tu ney humen sikha rakha hai pooray ilm-o-hikmat wala to tu hi hai.
02.33 Allah Taalaa ney (hazrat) aadam (alh-e-salam) say farmaya tum inn kay naam bata do. Jab unhon ney bata diye to to farmaya kay kiya mein ney tumhen (pehlay hi) na kaha tha kay zamin aur aasmanon ka ghaib mein hi janta hun aur meray ilm mein hai jo tum zahir ker rahey ho aur jo tum chupatay thay.
02.34 Aur jab hum ney farishton say kaha kay aadam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya. Uss ney inkar kiya aur takabbur kiya aur woh kafiron mein hogaya.
02.35 Aur hum ney keh diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho aur jahan kahin say chahao ba faraghat khao piyo lekin uss darakht kay qareeb na jana werna zalim hojao gay.
02.36 Lekin shetan ney unn ko behka ker wahan say nikwa hi diya aur hum ney keh diya kay utar jao! um aik doosray kay dushman ho aur aik waqt-e-muqarrara tak tumharay liye zamin mein theharna aur faeeda uthana hai.
02.37 (hazrat) aadam (alh-e-salam) ney apney rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee be-shak wohi tauba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai.
02.38 Hum ney kaha tum sab yahan say chalay jao jab kabhi tumharay pass meri hidayat phonchay to uss ki tabey daari kerney walon per koi khof-o-ghum nahi.
02.39 Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay.
02.40 Aey bani israeel! meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur meray ehad ko poora kero mein tumharay ehad ko poora keroon ga aur mujh say hi daro.
02.41 Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro.
02.42 Aur haq ko baatil kay sath khalat malat na kero aur na haq ko chupao tumhen to khud iss ka ilm hai.
02.43 Aur namazon ko qaeem kero aur zakat do aur rukoo kerney walon kay sath rukoo kero.
02.44 Kiya logon ko bhalaiyon ka hukum kertay ho? Aur khud apney aap ko bhool jatay ho ba wajood yeh kay tum kitab parhtay ho kiya itni bhi tum mein samajh nahi?
02.45 Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero yeh cheezen shaaq hain magar darr rakhney walon per.
02.46 Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain.
02.47 Aey aulad-e-yaqoob! Meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur mein ney tumhen tamam jahanon per fazilat di.
02.48 Uss din say dartay raho jab koi kissi ko nafa na dey sakay ga aur na hi uss ki babat ki koi sifarish qabool hogi aur na koi badla uss kay ewaz liya jaye ga aur na woh madad kiye jayen gay.
02.49 Aur jab hum ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen bad tareen azab detay thay jo tumharay larkon ko maar daltay thay aur tumhari larkiyon ko chor detay thay uss nijat denay mein tumharay rab ki bari meharbani thi.
02.50 Aur jab hum ney tumharay liye dariya cheer (phaar) diya aur tumhen uss say paar ker diya aur firaoniyon ko tumhari nazron kay samney uss mein dobo diya.
02.51 Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say chalees raaton ka wada kiya phir tum ney uss kay baad bachra poojna shuroo ker diya aur zalim bann gaye.
02.52 Lekin hum ney ba wajood iss kay phir tumhen moaf ker diya takay tum shukar kero.
02.53 Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) ko tumhari hidayat kay liye kitab aur moajzay ata farmaye.
02.54 Jab (hazrat) musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha kay aey meri qom! bachray ko mabood bana ker tum ney apni janon per zulm kiya hai abb tum apney peda kerney walay ki taraf rujoo kero apney ko aapas mein qatal kero tumhari behtri Allah Taalaa kay nazdeek issi mein hai to uss ney tumhari tauba qabool ki woh tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hai.
02.55 Aur (tum ussay bhi yaad kero) tum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say kaha tha kay jab tak hum apney rab ko apney samney na dekh len hergiz eman na layen gay (jiss ki gustakhi ki saza mein) tum per tumharay dekhtay huye bikli giri.
02.56 Phir iss liye kay tum shukar guzari kero iss maut kay baad bhi hum ney tumhen zinda ker diya.
02.57 Aur hum ney tum per badal ka saya kiya aur tum per mann-o-salwa utara (aur keh diya) kay humari di hui pakeeza cheezen khao aur unhon ney hum per zulm nahi kiya albatta woh khud apni janon per zulm kertay thay.
02.58 Aur hum ney tum say kaha uss basti mein jao aur jo kuch ja kahin say chahao ba faraghat khao piyo aur darwazay mein sajday kertay huye guzro aur zaban say hitta kaho hum tumhari khatayen moaf farma den gay aur neki kerney walon ko aur ziyada den gay.
02.59 Phir unn zalimon ney uss baat ko jo unn say kahi gaee thi badal daali hum ney bhi unn zalimon per unn kay fisq-o-nafarmani ki waja say aasmani azab nazil kiya.
02.60 Aur jab musa (alh-e-salam) ney apni qom kay liye pani maanga to hum ney kaha kay apni laathi pathar per maaro jiss say baara chashmey phoot niklay aur her giroh ney apna chashma pehchan liya (aur hum ney keh diya kay) Allah Taalaa ka rizq khao piyo aur zamin mein fasaad na kertay phiro.
02.61 Aur jab tum ney kah aey musa! hum say aik hi qisam kay khaney per sabar na hosakay ga iss liye apeny rab say dua kijiye kay woh humen zamin ki peda waar saag kakri gehon masoor aur piyaz dey aap ney farmaya behtar cheez kay badlay adna cheez kiyon talab kertay ho! acha shehar mein jao wahan tumhari chahat ki yeh sab cheezen milen gi. Unn per zillat aur miskeeni daal di gaee aur Allah ka ghazab ley ker woh lotay yeh iss liey kay woh Allah ki aayaton kay sath kufur kertay thay aur nabiyon ko na haq qatal kertay thay yeh unn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka nateeja hai.
02.62 Musalman hon yahudi hon nasaara hon ya saabi hon jo koi bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray unn kay ajar un kay rab kay pass hain aur unn per na o koi khof hai na udasi.
02.63 Aur jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor pahar laa khara ker diya (aur kaha) jo hum ney tumhen diya hai ussay mazbooti say thaam lo aur jo kuch iss mein hain ussay yaad kero takay tum bach sako.
02.64 Lekin tum iss kay baad bhi phir gaye phir agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to tum nuksan walay ho jatay.
02.65 Aur yaqeenan tumhen unn logon ka ilm bhi hai jo tum mein say haftay kay baray mein hadd say barh gaye aur hum ney bhi keh diya kay tum zaleel bandar bann jao.
02.66 Issay hum ney aglon pichlon kay liye ibrat ka sabab bana diya aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat ka.
02.67 Aur (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jab apni qom say kaha kay Allah Taalaa tumhen aik gaaye zibah kerney ka hukum deta hai to unhon ney kaha hum say mazak kiyon kertay ho? Aap ney jawab diya kay mein aisa jahil honey say Allah ki panah pakarta hun.
02.68 Unhon ney kaha aey musa! dua kijiye kay Allah Taalaa humaray liye iss ki maahiyat biyan ker dey aap ney farmaya suno! woh gaaye na to bilkul burhiya ho na bacha bulkay darmiyani umar ki no jawan ho abb jo tumhen hukum diya gaya hai baja lao.
02.69 Woh phir kehnay lagay kay dua kijiye kay Allah Taalaa biyan keray uss ka rang kiya hai? Farmaya woh kehta hai kay woh gaaye zard rang ki hai chamkeela aur dekhney walon ko bhala lagney wala uss ka rang hai.
02.70 Woh kehney lagay apney rab say aur dua kijiye kay humen uss ki mazeed maahiyat batlaye iss qisam ki gaye to boht hain pata nahi chalta agar Allah ney chaha to hum hidayat walay hojayen gay.
02.71 Aap ney farmaya kay Allah ka farman hai kay woh gaaye kaam kerney wali zamin mein hal jootney wali aur kheton ko pani pilaney wali nahi woh tandrust aur bey daagh hai unhon ney kaha abb aap ney haq wazeh ker diya go woh hukum bardari kay qarib na thay lekin ussay mana aur gaaye zibah ker di.
02.72 Jab tum ney aik shaks ko qatal ker dala phir uss mein ikhtilaf kerney lagay aur tumhari posheedgi ko Allah Taalaa zahir kerney wala tha.
02.73 Hum ney kaha iss gaaye ka aik tukra maqtool kay jism ko laga do (woh ji utahay ga) issi tarah Allah Taalaa murdon ko zinda ker kay tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai.
02.74 Phir iss kay baad tumharay dil pathar jaisay bulkay iss bhi ziyada sakhta hogaye baaz patharon say to nehren beh nikalti hain aur baaz phat jatay hain aur baaz Allah Taalaa kay darr say gir gir partay hain aur tum Allah Taalaa ko apney aemaal say ghafil na jano.
02.75 (musalmano!) kiya tumhari khuwaish hai kay yeh log eman daar bann jayen halankay inn mein aisay log bhi hain jo kalam ullah ko sunn ker aqal-o-ilm walay hotay huye phir bhi badal dala kertay hain.
02.76 Jab eman walon say miltay hain to apni eman daari zahir kertay hain aur jab aapas mein miltay hain to kehtay hain kay musalmanon ko kiyon woh baaten phonchatay ho jo Allah Taalaa ney tumhen sikhaee hain kiya jantay nahi kay yeh to Allah Taalaa kay pass tum per inn ki hujjat hojaye gi.
02.77 Kiya yeh nahi janatay kay Allah Taalaa inn ki posheedgi aur zahri daari sab ko janta hai?
02.78 Inn mein say baaz un parh aisay bhi hain kay jo kitab kay sirf zahiri alfaaz ko hi jantay hain aur sirf guman aur atkal hi per hain.
02.79 Unn logon kay liye well hai jo apni haathon ki likhi hui kitab ko Allah Taalaa ki taraf ki kehtay hain aur iss tarag duniya kamatay hain inn ki haathon ki likhaee ko aur inn ki kamaee ko well (halakat) aur afsos hai.
02.80 Yeh log kehtay hain kay hum to sirf chand roz jahannum mein rahen gay inn say kaho kay kiya tumharay pass Allah Taalaa ka koi parwana hai? Agar hai to yaqeenan Allah Taalaa apney waday kay khilaf nahi keray ga (hergiz nahi) bulkay tum to Allah kay zimmay woh baaten lagatay ho jinhen tum nahi jantay.
02.81 Yaqeenan jiss ney bhi buray kaam kiye aur uss ki na farmaniyon ney ussay gher liya woh hamesha kay liye jahannumi hai.
02.82 Aur jo log eman laye aur nek kaam keren woh jannati hain jo jannat mein hamesha rahen gay.
02.83 Aur jab hum ney bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook kerna issi tarah qarabat daron yateemon aur miskeenon kay sath aur logon ko achi baaten kehna namazen qaeem rakhna aur zakat detay raha kerna lekin thoray say logon kay ilawa tum sab phir gaye aur mun mor liya.
02.84 Aur jab hum ney tum say wada liya kay aapas mein khoon na bahana (qatal na kerna) aur aapas walon ko jila watan na kerna tum ney iqrar kiya aur tum iss kay shahid banay.
02.85 Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha (uss ka kuch khayal na kiya) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
02.86 Yeh woh log hai jinhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay khareed liya hai inn kay na to azab halkay hongay aur na inn ki madad ki jaye gi.
02.87 Hum ney (hazrat) musa ko kitab di aur inn kay peechay aur rasool bhejay aur hum ney (hazrat) essa ibn-e-marium ko roshan daleelen din aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed kerwaee. Lekin jab kabhi tumharay pass rasool woh cheez laye jo tumhari tabiyaton kay khilaf thi tum ney jhat say takabbur kiya pus baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi ker dala.
02.88 Yeh kehtay hain kay humaray dil ghilaaf walay hain nahi nahi bulkay inn kay kufur ki waja say enhen Allah Taalaa ney malaoon ker diya hai inn ka eman boht hi thora hai.
02.89 Aur inn kay pass jab Allah Taalaa ki kitab inn ki kitab ko sacha kerney wali aaee halankay pehlay yeh khud (iss kay zariye) kafiron per fatah chahatay thay to ba wajood aajaney aur ba wajood pehchan lenay kay phir kufur kerney lagay Allah Taalaa ki laanat ho kafirion per.
02.90 Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai.
02.91 Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab per eman lao to keh detay hain kay jo hum per utari gaee uss per humara eman hai. Halankay iss kay baad wali kay sath jo inn ki kitab ki tasdeeq kerney wali hai kufur kertay hain acha inn say yeh to daryaft keren kay agar tumhara eman pehli kitabon per hai to phir tum ney aglay anbiya ko kiyon qatal kiya?
02.92 Tumharay pass to musa yehi daleelen ley ker aaye lekin phir bhi tum ney bachra pooja tum ho hi zalim.
02.93 Jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor ko khara ker diya (aur keh diya) kay humari di hui cheez ko mazboot thaamo aur suno! To enhon ney kaha hum ney suna aur na famani ki aur inn kay dilon mein bachray ki mohabbat (goya) pila di gaee ba sabab inn kay kufur kay. Inn say keh dijiye kay tumhara eman tumhen bura hukum dey raha hai agar tum momin ho.
02.94 Aap keh dijiye kay agar aakhirat ka ghar sirf tumharay liye hai Allah kay nazdeek aur kissi kay liye nahi to aao apni sachaee kay saboot mein maut talab kero.
02.95 Lekin apney kartooton ko dekhtay huye kabhi bhi maut nahi maangen gay Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai.
02.96 Bulkay sab say ziyada duniya ki zindagi ka harees aey nabi! Aap enhin ko paayen gay. Yeh hirs-e-zindagi mein mushrikon say bhi ziyada hai inn mein say to her shaks aik aik hazar saal ki umar chahata hai go yeh umar diya jana bhi enhen azab say nahi chura sakta Allah Taalaa inn kay kaamon ko bakhoobi dekh raha hai.
02.97 (aey nabi!) aap keh dijiye kay jo jibraeel ka dushman ho jiss ney aap kay dil per paygham-e-baari taalaa utaara hai jo paygham inn kay pass ki kitab ki tasdeeq kerney wala aur mominon ko hidayat aur khushkhabri denay wala hai.
02.98 (To Allah bhi uss ka dushman hai) jo shaks Allah ka aur uss kay farishton aur uss kay rasoolon aur jibraeel aur mikaeel ka dushman ho aisay kafiron ka dushman khud Allah hai.
02.99 Aur yaqeenan hum ney aap ki taraf roshan daleelen bheji hain jin ka inkar siwaye bad kaaron kay koi nahi kerta.
02.100 Yeh log jab kabhi koi ehad kertay hain to inn kay aik na aik jamat issay tor deti hai bulkay inn mein say aksar eman say khali hain.
No comments:
Post a Comment