Tuesday, December 15, 2015

AAO HUM SAB EK HO JAYAIN

Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH
 Kisi Bhi Amal Ki Kamyabi 2 Baton Per Hai Pehli Yeh Ke Jo Amal Kiya Ja Raha Hai Woh Khalis Allah subhanahu watala Ke Liye Ho Aur Tareeqa Rasool SAW Ka Ho.
Allah tala frmata hai...
Aye imandaro khuda ka hukm mano aur rasool saw ki farmabardari karo Aur apne aamal ko zaya mat karo.
๐Ÿ“–( Quran: 47:33 )
 Jitne Bhi Ambiya ikram Aayein Hain Un Sabki Pehli Dawat Dawat-E-Touheed Thi, Hamare Aakhri Nabi Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne Bhi Apni Makki Zindagi Main Dawat-E-Touheed Per Hi Sabse Zyada Kam Kiya, Isliye Ke Touheed Ke Bina Koee Bhi Amal Allah subhanahu watala K Yahan Qabile Qabool Nahin Hota.
Agar Koee Insan Allah subhanahu watala Ke Sath Shirk Karta Hai Uske Baad Woh Kitni Bhi Namaze Parhe Kitne bhi Roze Rakhe Uska Yeh Amal Qabile Qabool Nahin Ho Sakta. Isliye Sabse Aham Cheez Insan Ka Aqeeda Hai.
Aqeeda Khalis Hoga To Allah subhanahu watala Doosre Jis Gunah Ko Chahega Maaf Kar Dega Lekin Agar Hamne Allah subhanahu watala Ke Sath Shirk Kiya To Phir Hamari Nijat Nahin Ho Sakti. Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne Mushrekeen E Makkah Se Gazwat Q Kiye 
 Makkah ke Mushrik Allah subhanahu watala Ko Apna Rab Mante The Lekin WOh Allah Ke Sath Shirk Bhi karte The Isliye Unko Mushrik Kaha Gaya Woh Allah Ke Sath Doosron Logon Ko Sifarshi Banate The Iski Sari Tafseel Quran Main Mojood Hai or Allah Ne Quran Main Mushrekeen Ki Har Baat Ka Jawab Diya Hai.
Doosri Jo Baat Amal Ki Qabuliyat Ke Liye Lazim Hai Woh Hai Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ka Tareeqa.
isliye Ke Allah subhanahu watala Ne Rasoolsallallaho alyehi wasallam Ki Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai
Momineen ki ye baat hai ke wo jab Allah aur uske Rasool ki taraf bulaae jaate hain, taake wo un mein faisla karen to kahen hum ne hukm sun liya aur maan liya, Aur yahi log falaah paane waale hain.
๐Ÿ“–(Quran : An-Noor 24:51)
Agar Hamne Rasoolsallallaho alyehi wasallam Ka Tareeqa Chhorh Kar Kisi Aur Ka Tareeqa Apnaya To Woh Allah subhanahu watala Ke yahan Qabool Nahin Ho Sakta.
 Ab Hum Sab Khud Sochein Aur Quran Ahdees Ki Roshni Main Sab Apne Iman Aqeede Aur AMal Ka Jayza Lein. Hum Yeh Check karein Ke Kya Hamara Aqeeda usi Tarhan Hai Jis Tarhan Rasool sallallaho alyehi wasallam Bata Kar Gaye The
Kya Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ke Zamane Main Woh Sab Hota Tha Jo Aaj Hum Deen ke Naam Per aaj Karte Hain 
 Jo Hum Karte Hain Aur Jo Hum Mante Hain Agar Wesa Hi Quran wa sahe Ahdees Main Hai To Samajh Lein Ke Alhamdolillah Hum Sahee Raaste Per Hain.
Lekin Agar Hamara Aqeeda Hamara Amal Us Tarhan Nahin Hai Jaisa Rasool sallallahu Alaihi wasallam Farma Kar Gaye The To Phir Hamein Badalna Hoga.
Isliye Ke Deen Wohi Hai Jo Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Bata Kar Gaye Aur Alhamdolillah Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Kamil Deen Dekar Gaye The.
Na Ab usme Koee Kami Hogi Aur Na Koee Zyadti. Bus Itni Guzarish hai ke Doston Ho Sakta Hai Hum Ghalat Raah Per Ja Rahe Hon Abhi Hamare Paas Waqt Hai Isse pehle Ke Yeh Waqt Khatam Ho jaye Hum Apne Aapko Check karlein
Kya Hame hamare har amal ki daleel maloom hai 
Ya phir samne wala kar raha h isliye ham bhe aankh band kar k uske peche ja rahe hai 
Dunia Ki Chhoti Si Cheez Jab Hum Khareed Ne Jate Hain To Hum Bahot Bareeki Se Har Cheez Ki Janch Karte Hain ke Kahin Hamein Koee Duplicate Cheez Na De Di Jaye, Lekin jab Deen Ka Maamla Aata Hai To Hum Phir, Kyon Tehqeeq Nahin Karte
 Hum Yeh Kyon Nahin Sochte Ke Agar Allah na Karey Hum Ghalat Raaste Per Hote Hue is Dunia Se Chale Gaye To Hamara Maamla Phir Kya Hoga
Kya Phir Koee Aalim Murshid Koee Imam Hamari Madad Kar Sakega 

Hum Aaj Andhi Taqleed Main Is Qadar Doob Chukein Hain Ke Dekhna Hi Nahin Chahte Ke Allah Aur Rasoolsallallahu alaihi wasallam Ka Farman Kya Hai.
Hamein jo Bata Diya Jata Hai Aankhein Band Ki Aur Hum Usko Hi Sahee Maan Lete Hain. Aur Agar Koee Insan Kehta Hai Ke Aapka Yeh Amal Quran Ahdees Ke Khilaf Hai To use Jawab Milta Hai Ke Hamare Aalim Aapse Zyada Jante Hain.
To Un Logon Se Ek Sawal Hai Kya Aalim Sirf Ek hi Firqe Ke Paas Hain ?
↪ Aalim To Har Jamat Har Firqe Main Mojood Hain or Har Koee Apne Aap Ko Hi Huq Per bata Raha Hai. Aur Doosri Taraf Sabko Yeh Bhi ILm Hai Ke Rasoolsallallahu alaihi wasallam Farma Kar Gayein Hain Ek Firqa Hi jannati Hoga. Aur Woh Firqa Hoga Jo Quran Sunnah Per Hoga.
(Abu dawod, tirmizi)
 To Doston kya Yeh hamari Zimmedari nahin banti Ke Aise Mahol Main Jab Sab Apne Aapko Huq Per Bata Rahein Hain Hum Tehqeeq Karein Aur Dekhein Ke Aakhir Huq Kiske Paas Hai?
↪ Ek Chhoti Si Baat Ek Musalman Kisi Masle Per Fatwa Lene Jata Hai To Use Hamare mulkon Main Alag Alag Maslak ke Mutabiq Fatwa Diya Jata Hai.
Koee Baat Agar hanfi Maslak Main Jayaz Hai To Kisi Doosre maslak Main Wohi Baat haram Aur Najayaz Ban Jati Hai. Aap khud Sochiye Ek hi Masle Per Alag Alag Fatwe Alag Alag Raye
Jabke Rasoolsallallahu alaihi wasallam To Ek Tareeqe per Sab Ko Chhor Kar Gaye The, wo tha Quran hadees.
 Ahle Bait Sab Sahaba Kiram Ka Tareeqa bhi Ek Hi Tha. Har Masle Main Quran Aur Farman E Rasool SAWW Ki Baat Mani Jati Thi. To Aaj ham ithna ikhtelaf Kun?
 Kya Allahsubhanahu watala Ne hukum Nazil Kiya Ke Hum Apne Apne Alag Alag Imam Bana Kar Firqon Main bat Jaein ?
Kya Rasool Mohammad sallallahu alaihi wasallam Ka Farman Tha Ke Mere Baad Alag Alag Imam Bana Lena
Jitna Main Janta Hoon Aur Samjha Hoon To Aisa Koee Farman Quran Ahdees main nahin Hai.
↪Beshak Allah Ne To Rasool Mohammad sallallahu alaihi wasallam Ki Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai Kisi Imam Ka kol Quran wa Hadees K mukable m lena Hargeez Kisi bhe imam ne aise taleem nahe di.
 Hamari Nijaat Aur Kamyabi Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ki Itteba Karne Main Hi Hai.

UMMAT KIS K NAAM PAR EK HO SAKTI HAI ?
 Kalma Hamne Rasool E Mohatram Mohammad sallallaho alyehi wasallam ka Parha Hai To Phir Baat Bhi hamein Rasool Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ki Maan Ni paregi.
Agar Yeh kaha Jaye Ke Sare Imam Huq Per The To Beyshak Woh Huq Per The Aur Sare Imamo Ne Deen Ki Bahot Khidmat Ki Hai Unki Mehnatein Sar Aankho Per.
↪ Lekin Hamein Yeh Bhi yaad Rakhna Chahiye ke Woh Masoom Nahin The Woh Ambiya nahin The.
Ghaltiyan Unse Bhi Ho Sakti Hain Aur Har Imaam Ne Yeh Farmaya Hai Ke Logon Jab Rasool SAW Ki Sahee Ahdees Samne Ajaye To Hamari baat Ko Chhorh Dena. 
 IMAM ABU HANIFA R.A
(mizan usherani, – uqdul jayyad. pg. 53, 70. – Zafraul ma’ ani)
IMAM MALEEK R.A
(uqdul jayyad. pg.70, jalbul mun fa’ata. pg.74)
IMAM SHAFI R.A
(uqdul jayyad. pg. 54, 70)
IMAM AHMAD BIN HAMBAL R.A
(uqdul jayyad. pg. 54, 70)
↪ Har Imam Ka Iman Quran Ahdees Per Tha Aur Woh Isi Ko Follow Karte The Kisi Imam ne yeh Nahin Kaha Ke meri Taqleed Karna.
Ikhtelaf Sahaba Kiram Ke Dour Main Bhi hue Lekin Jab Rasool sallallaho alyehi wasallam Ka Farman Samne Aata Tha To Sare Ikhtelaf Door Ho Jate The.
↪Aaj Bhi Yehi Baat Hai Agar Hum Logon Main Ikhtelaf Hai To Hum Quran Ahdees Ki Roshni Main Dekhein Ke Kis Ki Baat Sach Aur Huq Per Hai.
Agar Hamein Apas Main Ittehad Aur Ittefaq Chahiye To Hamein Quran Aur Sunnah Per jama Hona Hoga.
Ek Baat Poochta Hoon Agar Koee yeh Kahe Ke Sab Imam Abu Hanifa Ke Naam Per jama Ho Jao❓
To Aap Bataein Kya Sare Musalman Imam Abu Hanifa R.A. Ke Naam per Jama Ho Sakte Hain❓
Nahin Ho Sakte Jo Doosre Imamo Ko Follow Karne Walein hain Woh kabhi Razi Nahin Honge Isi Tarhan Imam Jafar Sadiq R.A. Ke Naam per Bhi Sare Musalman Jama Nahin Ho Sakte Kehne Ka Matlab Yeh Hai Ke Aap Kisi Bhi Ek Imam Ke Naam Per Sabko Jama Nahin Kar Sakte.
 Hum Sab Musalman Jis Ek Naam Per Jama Ho Sakte hain Woh Hain Mohsin-E-Insaniyat Imam-E-Azam Hazrat Mohammed Rasool sallallaho alyehi wasallam, Yehi Woh Shakhsiyat Hain Jis Per Tamam Musalman Ek Ho Sakte Hain.

Hamein Rasoolsallallahu alaihi wasallam Se Sachi Moahabbat Hai To phir Hamein Aap SallAllahu Alaihi wasallam Ki Baat Ko Apne Imamo Apne Alimo Se Ooper Rakhni Hogi.
Agar Hum Mohabbat Ka Dawah karte Hain To Phir Hamein Yeh Mohabbat Sabit Bhi Karni Hogi Sirf Zaban Se Rasoolsallallahu alaihi wasallam se Mohabbat Ka Dawah karna Kaafi nahin Apne har Faisle Har Maamle Main Hamein Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ki Itteba Karni Hogi.
 Allah tala farmata hai...
Falaa wa Rabbika laa yu'-minuuna hattaa yuhakkimuu-ka fiimaa shajara baynahum summa laa yajiduu fiii 'anfusihim harajam-mimmaa qa-zayta wa yusallimuu tasliimaa.
ูَู„َุง ูˆَุฑَุจِّูƒَ ู„َุง ูŠُุคْู…ِู†ُูˆู†َ ุญَุชَّู‰ٰ ูŠُุญَูƒِّู…ُูˆูƒَ ูِูŠู…َุง ุดَุฌَุฑَ ุจَูŠْู†َู‡ُู…ْ ุซُู…َّ ู„َุง ูŠَุฌِุฏُูˆุง ูِูŠ ุฃَู†ูُุณِู‡ِู…ْ ุญَุฑَุฌًุง ู…ِّู…َّุง ู‚َุถَูŠْุชَ ูˆَูŠُุณَู„ِّู…ُูˆุง ุชَุณْู„ِูŠู…ًุง
So qasam hai tere parvardigaar ki ! Ye mumin nahi ho sakte ' jab tak k tamaam Aapas k ikhtelaf me Aap (nabi sallAllahu Alaihi wasallam ) ko hakim na maan len ' phir jo faisle Aap un me kar den un se Apne dil me kisi tarah ki tanggi aur na khushi na payen aur farma bardari k saath qubool kar len
(Quran : An-Nisa 4:65)
↪ Agar Hamein Rasool SAW Se Sachi Mohabbat Hai To Jab Rasool sallallahu alaihi wasallam ka Farman Samne Aaye To Phir Hum Yeh Na Bolein Ke Hamare Imam Ke Nazdeek Yeh Baat Is Tarhan Hain Aur Hum Falan Imam Ko maan Ne Walein hain Isliye Hum Aesa Karte Hain.
Agar Hamne Aisa Kiya To Phir Yaqeen Kijiye Hamne Rasool sallallahu alaihi wasallam Se Mohabbat Ka Huq Ada Hi Nahin Kiya.
 Agar Main Ya Koee Aur Bhi Aapse Koee Baat kehta Hai to Use Quran Ahdees Ki Roshni main Dekhein.
Koee Insan Aapko yeh Bolta Hai ke Bhai Yeh Jo Aap baat kar Rahe Ho yeh Quran Ahdees ke Mutabiq Nahin Hai To Uski Baat Ka Bura Maan Ne Ki jagah Us Baat Ki Tehqeeq Karein.
 Alhamdulillah Quran Ahdees Mojood Hain Sache Dil Se Tehqeeq Karenge To Huq Baat Insha Allah Zaroor Malum Hogi.
Agar Aap Logon main Se Kisi Ko Mera Aqeeda Mera tareeqa Meri kahi Huee Baat Quran Ahdees Ke Khilaf Lagti hai To Please Mujhe Zaroor Bataein Meri baat Ko Point Out Karein Main Aap ka Shukriguzar rahunga Aur Agar Mera Aqeeda Meri Soch Quran Ahdees Ke Khilaf Huee To Rab-E-Kareem Ki Qasam Hai Ek Minute Nahin lagega Mujhe Apne Aapko Change Karne Main.
Yehi Meri Sabse Request Hai ke Doston Jab Koee Baat Batayee Jaye To Us Per Bura Na Maana Karein Yahan Per Hum Ek Doosre Ke Dushman Nahin Hain.
Hum Hi Ek Doosre Ki Islah kar Sakte Hain. Allah subhanahu watala Ne Farmaya Hai Jiska Mafhoom Hai
Kuรฑtum khayra 'ummatin 'ukhrijat linnaasi ta'-muruuna bil-ma'-ruufi wa tan-hawna 'anil-munkari wa tu'-minuuna billaah. Wa law 'aamana 'Ahlul kitaabi lakaana khay-ral-lahum: min-humul-mu'-mi-nuuna wa 'aksaru-humul-faasi quun.
ูƒُู†ุชُู…ْ ุฎَูŠْุฑَ ุฃُู…َّุฉٍ ุฃُุฎْุฑِุฌَุชْ ู„ِู„ู†َّุงุณِ ุชَุฃْู…ُุฑُูˆู†َ ุจِุงู„ْู…َุนْุฑُูˆูِ ูˆَุชَู†ْู‡َูˆْู†َ ุนَู†ِ ุงู„ْู…ُู†ูƒَุฑِ ูˆَุชُุคْู…ِู†ُูˆู†َ ุจِุงู„ู„َّู‡ِ ูˆَู„َูˆْ ุขู…َู†َ ุฃَู‡ْู„ُ ุงู„ْูƒِุชَุงุจِ ู„َูƒَุงู†َ ุฎَูŠْุฑًุง ู„َّู‡ُู… ู…ِّู†ْู‡ُู…ُ ุงู„ْู…ُุคْู…ِู†ُูˆู†َ ูˆَุฃَูƒْุซَุฑُู‡ُู…ُ ุงู„ْูَุงุณِู‚ُูˆู†َ
Tum behtareen ummat ho jo Awaam-un-naas ki khidmat ke liye nikli hai, tum neki ke liye kehte ho aur badi se rokte ho, aur Allah par iman laae ho, aur agar Ahl-e-kitaab iman le aate to un ke liye behtar hota, un mein se baaz to musalmaan hain, aur aksar un mein kaafir hain.
(Quran : Aal-E-Imran 3:110)
Allah subhanahu watala Hum Sabko Aisa Bana De.
AAMEEN YA ALLAH
Please Thori Dair Ke Liye Thande dimagh Se Sochiye.
Jab Hamara Deen Ek Hai Rasool Ek Hain To phir Hamare AQEEDAH Aur Hamare Amaal Is Qadar Alag Alag Kyon Hain ?
Mohammad sallallahu alaihi wasallam To Ek Shariyat De Kar Gaye The Aur Aap Mohammad sallallahu alaihi wasallam Ke Farman Ka Mafhoom Hai Ke Main Tumhe Us Shah Raah per Chhor Kar Ja Raha Hoon Jiski Raate Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain.
(Muslim, Abu dawood)
Jab Allah subhanahu watala Ne Hamein Itna Roshan Deen Diya Hai To Phir Hum Q Nahin Samajhte?
Allah subhanahu watala Ne Hamein Andhere Main Nahin Chora Hamein Quran o hadees Diya or Quran hadees Ko Kis Tarhan Samajhna Hai Us Per Mohammad sallallahu alaihi wasallam Ne AMal kar ke Dikhaya. Ab phir Kya Reh Jata Hai?
 Kya Hamare Liye Quran Aur Farman-E-Rasool Mohammad sallallahu alaihi wasallam Kafi Nahin?
Ek Misaal Lelijiye Agar Pakistan Main Islami Shariyat Nafiz Hoti Hai To Konse Imam Ki Fiqah Nafiz Ki jaygi
Kya Sare Log Kisi Ek Imam Per Razi Ho Jaeinge 
 Dosre To Chhoriye Hanafi logon Main Bhi do Barhe Firqe Hain Ek Hain Barelvi Doosre Hain Deobandi Kya Yeh Dono Har Baat Per Ek Ho Jaeinge
Jabke Ham Sabko Pata Hai ke Barelvi or Deobandiyon Main Kis Qadar Ikhtelaf Hai.
Halan k dono Imam Abu Hanifa r.a ki taqleed karte hai phir bhe ikhtelaf hai. Shariyat To Bus Wohi Hai Jo Mohammad sallallahu alaihi wasallam Dekar Gaye Usi per Hum Ek ho sakte Hain.
Aur Jab Tak Hum Ek Nahin Honge Hamare Halaat Sudharne Wale Nahin, Zaroorat Aaj isi Baat Ki Hai ke Hamare Andar Ittehad Ho Ittefaq Ho.

PLEASE:
Ek Baar In Sab Baton per Ghour Zaroor Kijiye. Aur Kisi Ko Meri Baat Se Dil Azari Huee Ho To Main Maafi Chahta Hoon. Mera Maqsad Yahan per Kisi Ki Dil Azari nahin Hai.
Aao Sab Ek Ho Jaein
Aao Musalman Ho Jaein
Aao Mohammadi Ban Jaein
Abhi Waqt Hai Allah subhanahu watala Se Apne Gunaho Ki Maafi Mange.
Aur Sabse Barha Gunah Allah ke Sath Shirk Hai. Kya Hamein Nazar Nahin Aata Ke Hamare Mulko Main Kis Qadr Shirk Kiya Ja Raha Hai ? 
Allah subhanahu watala Hamein Aisa Bana De Ke Hum Allah ki TAWHEED Aur Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ki Risalat Main Kisi Ko Shareek Na Karein.
AAMEEN YA RABBUL AALAAMEEN

NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUP N BROADCAST:
Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

1 comment: