BISMILLAH
ALLAH KI KASAM EID MILAD-E-NABIWI BIDAT HAI AUR ISSKA ISLAM SE KOI TALUQ NAHI
Kuch Log Iss Bid'at Ko Quran Se Sabit Karne Ki Nakam Koshish Karte Hain Aur Qurani Ayaat Ka Mafhoom Badal Kar Pesh Karte Hain.Aur Yeh Sabit Karne Ki Koshish Karte Hain Ke Eid Milad-E-Nabiwi Manane Ka Hukam Quran Main Diya Gaya Hai.
POINT 1
Agr Waqai Allah Ny Quran Main Milad-E-Nabiwi Manane Ka Hukam Diya Hai To Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ney Kyo Nahi Us Hukam Pe Amal Karte Hue Milad Manaya Aur Logon Ko Iss Ka Tareeqa Btaya Jab Ke Allah Ney Nabi Pak Ko Hukam Diya Tha.?
"Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo Kuch Aap Ke Rab Ki Janib Se Aap Par Nazil Kiya Gaya Hai Aap (Woh Sab) Pohncha Dijiye..."(Al Quran, Surah Maidah 5, Ayat 67)
Iss Se Yeh Baat Saaf Zahir Hai Ke Aesa Koi Hukam Quran Main Nahi Ke Milaad Manao. Agar Hota To Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Us Pe Zaroor Amal Karte.
POINT 2
Agar Aesa Hukam Diya Gaya Hota To Sahaba-E-Karam Uss Pe Zaroor Amal Karte. Kyo Ke Nabi Pak Ke Bad Sabse Zyada Ilm Unke Pas Tha.
POINT 3
Agar Aesa Koi Hukam Diya Hota To Imam Abu Hanifah, Imam Maalik, Imam Shafa'i, Imam Ahmad, Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Abu Dawood, Imam Ibn Katheer Us Pe Zaroor Amal Karte. Jab Inn Sab Main Se Kisi Ney Bhi Eid Milaad-Un-Nabiwi Nahi Manai To Kia Hamare Pas Inn Se Zyada Quran Ki Samajh Hai?
POINT 4
Such To Yeh Hai Jo Shakhs Yeh Baat Kahta Hai Ke Allah Ney Quran Main Milaad-Un-Nabiwi Manany Ka Hukam Diya Hai Woh Allah Pe Tohmat Lagata Hai Kyo Ke Allah Ney To Aesa Koi Hukam Nahi Diya.
Woh Shakhs Nabi Pak Sallallahu Alaihay Wasallam Pe Tohmat Lagata Hai Ke Nabi Pak Sallallahu Alaihay Wasallam Ney Milaad Manane Ka Hukam Ham Tak Nahi Pohnchaya.
Woh Sahabah Pe Tohmat Lagata Hai Ke Unke Pas Deen Ka Ilm Nahi Tha Aur Quran Ki Samajh Nai Thi Tabhi Unho Ny Milaad Nahi Manaya.
Allah Swt Ne Ibadat (Nek Aamal) Muqarrar Kar Diya Hai.
"Humne Har Ek Ummat Keliye Ekraah (Ahkam-E-Shariyat) Muqarrar Kar Di Hai Aur Unhe Isi Par Chalna Hai"
📖(Al Quran, Surah Hajj 22, Ayat 67).
ISLAM MAI "Sirf Do" EIDEIN HAIN.
Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Hijrat Farma Kar Madina Tashreef Laye Toh Dekha Yahan Ke Log Saal Me 2 Din Khel-Kood Karte Hain, Khushi Manate Hain.Aap ï·º (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Log’on Se Pucha, “Yeh 2 Din Kaise Hain ?”Log’on Ne Arz Ki, “Inn 2 Dino Me Hum Jahalat Ke Zamaane Me Khushiyan Manate The”.Aap ï·º (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Ne In 2 Dino Ko Badal Kar Isse Behtar 2 Din Khushi Ke Liye Tumhe Diye. “Eid-Ul-Fitr(Ramzan Eid) Aur Eid-Ul-Azha(Qurbani Eid)”.
(Sunane Abi Dawood,Baab Salatul Eidain Jild-1, Safa-418,Hadees 1134, Sunan Nasa'i 1556)
Allah Ka Deen Mukammal Ho Chuka Hai. Ab 'Wahy' Ka Silsila Khatm Ho Gaya Kahin Aur Se Ya Kisi Aur Se Ab Hamare Liye Naya Deen Nahi Aa Sakta.
Irshad-E-Bari Taa'la Hai: Aaj Mai Nai Tumharai Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya,Or Apni Naimat Tum Par Puri Kar Di,Or Islam Ko Bahasiyat Deen Tumharai Liye Pasnd Kara Li
📖(Al Quran Surah Maeda5, Ayat 3)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mukammal Taur Pe Allah Ke Deen Ko Tafseel Se Bayan Farmaya Hai, Allah Ke Is Deen Ko Behtareen Aur Mukammal Taur Par "Samajhne Aur Amal Me Laane Wale, Sahaba(Ra) The".
Allah Ko Raazi Karna Hai To Allah Ke Deen Ko, Jaise Sahaba (Ra) Ne Samjha Waise Samajhna Hoga
"Allah Swt In Sab [Sahaba(Ra)] Se Raazi Ho Gaya Aur Woh Sab Us Se Raazi Ho Gaye, Aur Usne Inke Liye Jannatein Tayyarfarma Rakhi Hain"
📖(Al Quran, Surah Tawba9, Ayat, 100)
"Kya Aap Ne Un Logon Ko Nahi Dekha, Jo Allah Ki Ayaton Me Jhagda Kartehain, Wo Kahan Bhatke Jaa Rahe Hain?❓"
📖(Al Quran, Surah Ghafir 40, Ayat 69.)
Ahle-Biddat, Is Ayat [Surah Yunus 10, Ayat 58]Se Jashne Eid-Milad Aur Iske Ghalatrasoom Ka Jawaaz Saabit Karne Ki Koshish Karte Hain.
"Farma Dijiye! Allah Ke Is Fazl Aur 'Rehmat' Parlogo Ko, "Khush Hona Chahiye".
📖(Al Quran, Surah Yunus 10, Ayat 58)
Yahan 'Rehmat' Se Murad "Quran"Hai, Na Ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam' Ko Mukhatib Kiya Gaya Hai Aur Na Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 'Wiladat' Ko Aur Na Hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke 'Yaum-E-Paidaaish' Ko. "Khush Hona" Us Kaifiyat Ka Naam Hai Jo Dil Me Mehsoos Ki Jaati Hai.
Ahle-Imaan Ko Kaha Jaa Raha Hai Ke quran, Allah Ka Khaas Fazl Hai Aur Allah Ki Rehmat Hai. Is Par Unko 'Khush Hona' Chahiye.
Khushi (Jashn) Manaane Ko Nahikaha Gaya.
Yahoodiyon Ke Naqsh-E-Kadam Parchalte Hue, Ahle-Biddat, Apni 'Biddat Ki Himaayat' Me, Allah Ki Kitaab(Quran) Ka Maa'na Ko Badal Kar, Logon Ko Gumraah Kar Rahe Hain.
"(Aye Musalmano!) Kya Tum Yeh Tawaqqu' Rakhte Ho, Ke Woh(Yahoodi) Tum Par Yakeen Karlenge ? In Me Se Ek Girohh Ke Log Aise The, Ke Allah Ka Kalaam (Torah) Sunte, Phir Isey 'Samajhne Ke Baad, Khud Badaldete', Halanke Woh Khoob Jaante The (Ke Haqeeqat Kya Hai Aur Woh Kyakar Rahe Hain)"
📖(Al Quran, Surah Baqara 2, Ayat 75)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "Tum Pehli Ummato Ki Ek Ek Baalisht Aur Ek Ek Haath Ittebaa Karoge, Yahan Tak Ke Agar Woh Kisi Goh Ke Suraakh Me Daakhil Hue Honge, Tum 'Us Me Bhi Unki Itteba Karoge' Sahabi (Ra): Kya Is Se Muraad'yahood Wa Nasaara Hain? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Haan, Bilkul."
(Sahih Bukhari 7320)
Eid-E-Milad Ki Biddat' "Ahle-Biddat", Apni Biddat Ko 'Zinda Rakhnekeliye', Quran Ko Tak Nahi Bakhsha.
Jashne Eid-Milad-Un-Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Biddat Ko Zinda Rakhne Ki Naakam Koshish Karte Hue, 📖(Surah Yunus10, Ayat 58)
Ke Alawa Kai Aur Qurani Aayaton Ko Bhi Ba-Taur Saboot Pesh Kar, Awaam Ko Gumrah Karte Hain.
Chand Aayatein Pesh Hain:
📖(Al Quran, Surah Al-Fath 4, Ayat 28)
"Wohi Hai, Jisne Apne Rasool Ko Hidayat Aurdeen-E-Haqq Ataa Farma Kar Bheja Taake Isey Tamaam Adyan Parghalib Karde. Aur Allah Hi Gawaah Kaafi Hai."
📖(Al Quran, Surah As-Saff 61, Ayat 6)
"Jab Eisa (As) Ne Kaha; .....Aur Us Rasool Ki Basharat Sunaane Wala Hun Jo Mere Baad Tashreef Laa Rahehain, Jinka Naam Ahmad Hai.Phir Jab Wo Waazeh Nishaaniyan Le Kar Unke Paas Tashreef Le Aaye, To Woh Kehne Lage, 'Yeh To Khula Jadoo Hai'."
📖(Al Quran, Surah Ad-Dhuha 93, Ayat 11)
"Beshak! Tumhaare Paas, Tum Me Se Ek Rasool Tashreef Laaye Hain. Tumhaari Takleef Aur Mashaqqat Me Padna, Un Par Sakht Guzarta Hai. Woh Tumhare Liye Bade Taalib Aur Aarzoo-Mand Rehte Hain. Momino Ke Liye Nihayat Shafeeq, Be-Hadd Rehem Farmane Wale Hain."
📖(Al Quran, Surah Aal-E-Imran 3, 164)
"Allah Ka Ehsaan, Ke Usne Musalmaano Ke Liye Unhi Me Se Ek Rasool Bheja."
📖(Al Quran, Surah Al-Anbiya 21, Ayat 107)
"Aur Hum (Allah) Ne Aap Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko, Tamaam Jahaanon Keliye Rehmat Bana Kar Bheja."
In Qur'ani Aayaton Me Se, Kisi Ek Aayat Me Bhi, Pyare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke "Yaum-E-Paidaaish" Ka Zikr Nahin Hai.
Jab Zikr Hi Nahin Hai, Phir To'jashn Manaane' Ki Baat Jahaalat Hai.
Quran Aur Allah Ke Deen Ko, 'Apne Aur Apne Bade/Buzurg/Maulviyon Ke Zehnon' Se Samajhne Ka Nateeja Hai Ke, Jhooti Daleelein Pesh Karke, 'Allah Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aur Sahaba(Ra) Par' Bohtan Bandhna Aur Phir Siraat-E-Mustaqeem Se Bhatakjaana Hai.
"Agar Woh(Log) Waise Imaan Laayein, Jaisa Sahaba(Ra) Ne Imaan Laaya To Phir Waaqi'i Hidayat Paajayenge."
📖(Al Quran, Surah Baqara 2, Ayat 137)
"Aur Us Se Badh Kar Zaalim Kaunhoga, Jo Allah Par Jhoota Bohtaan Baandhe"
📖(Al Quran, Surah Anaam 6, Ayat 93)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shakhs Meri Taraf Aisi Baat Mansoob Kare, Jise Maine Nahin Kaha Hai, Woh Apna Thikana Jahannum Me Bana Le. (Sahih Bukhari 109.)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Agar Tum, Apne Bhai Ke Baare Me Woh Baat Bayan Karo, Jo Us Ke Andar Maujood Na Ho, To Goya Tumne Us Par Bohtaan Baandha.
(Sahih Muslim 6758)
Wallah, Tehqeeq Karein! "Aye Imaan Walo! Agar Tumhare Paas Koi Fasiq Koi Khabar Laaye, To Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo. Aisa Na Ho Ke Laa-Ilmi Me Tum Kisi Qaum Ko Nuqsaan Pahunchao Aur Phir Apne Kiye Par Pachtaate Reh Jaao"
📖(Al Quran, Surah Hujraat, 49, 6)
Kisne Aap Ko Eid Milad Ke Jashn Ka Hukm De Diya?❓
"Unhone (Allah Ko Chhod Kar) Apne Ulema Aur Zaahidon Ko Rabb Bana Liya Hai"
📖(Al Quran, Surah Tawba, 9, Ayat 31)
(Is Ayat Ko Sun Kar) Adiyy Ibn Hatim(Ra), Nabi(Saw) Se Farmaya:-"Yahood-Wa-Nasara
(Sunan Tirmizi 3095)
Tum Us (Qur'an) Ki Pairvi Karo, Jo Tumhare Rabb Ki Taraf Se Utara Gaya Hai Aur Baatil Haakimon Aur Doston Ke Peeche Mat Chalo Tum Bahut Kam Naseehat Qabool Karte Ho.
📖(Al Quran, Surah Araf 7, Ayat 3)
Aur Duniya Me 'Aksar Log' Aise Hain Agar Aap Inka Kehna Maanne Lagein, To Wo Aapko Allah Ki Raah Se Gumraah Kar Denge.
📖(Al Quran, Surah Anaam 6, Ayat 116)
Aye Nabi Aap Farma Dijiye! Kya Hum Tumhein Aise Logon Se Khabardaar Kar Dein, Jo Aamal Ke Hisaab Se Sakht Khasaara Paane Wale Hain?❓ Yeh Woh Log Hain Jinki Saari Koshishein Duniya Ki Zindagi Me Hi Barbaad Ho Gayi Aur Woh Yeh Khayaal Karte Rahe Ke Hum Bade Achche Kaam Anjaam De Rahe Hain'.
📖(Al Quran, Surah Kahf 18, 103-104)
Abdullah Ibn Umar(Ra) Farmate Hain: Tamaam Biddatein Gumraahi Hain, Agarche "Ba-Zaahir Woh, Logon Ko Achchi Lagein".
(Daarimi 82.)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mujh Se Pehle Jitne Bhi Anbiya(As) Guzre, In Par Waajib Tha Ke Jo Bhi Khair-Wa-Bhalaai Inke Liye Jaanta Tha Apni Ummat Ki Us Taraf Rehnumaai Kare Aur Jo Bhi Sharr Inke Liye Jaanta Tha Unhe Us Par Mutanabba(Aagaah) Kare.
(Sahih Muslim 4882)
Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ne, Woh Tamaam Baatein Ummat Ko Nahi Batlaayi, Jin Par Ummat Ko Amal Karna Tha?❓
Maine, Har Woh Cheez Jo Jannat Ki Taraf Le Jaane Wali Hai, Aur Har Woh Cheez Jo Jahannum Se Door Karne Wali Hai, Batlaa Di Hai. (Musannnaf Abdur-Razzak 20,100)
Main Tumko Aise Raaste(Deen) Par Chhod Kar Jaa Raha Hun, Jis Ki Raat Uske Din Ki Tarah Roshan Hai.
(Musnad Ahmad 17,182)
Koyi Bhi Kaam Neki Samajh Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye, Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Taala Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Na Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Sunnat Yani Hadees-E-Mubaraka Me Maujood Ho Aur Na Hi Sahaba-E-Kraam (Ra) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai
Rasulullah Salallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya : "Kullu Bidaatin Zalala Wa Zalalatin Fin Naar" Deen Me Har Naye Bath Bidd'at Gumrahi Hai, Or Hr Gumrahi Jahn'um Main Ley Kare Jany Wali Hay."
Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Hamare Is Deen Me Apni Taraf Se Koi Nayi Cheez Paida Ki, Jo Is Me Se Nahi Hai Toh Wo Mardood Hai (Yani Wo Deen Se Kharij Hai), Har Nayi Cheez ( Jo Deen Me Paida Ho) Biddat Hai Aur Har Biddat, Gumrahi Hai Aur Har Gumrahi, Jahannam Me Lee Jaati Hai.
(Sahih Bukhari-2696, Sahih Muslim-1718,Sunnan Nasai-3/188)
Allah Sy Dua Hy K Allah Hum Sab Ko Biddaton Sy Buchny Ki Taufeeq Ataa Frmaye, Or Humain Siraat E Mustaqeem Pr Chalaye, Aameen Yaa Rabbal Alameen
Wa Maa Alainaa Illal Balaagh Ul Mubeen.
NOTE
Ye Ba dalil post Islah e Muslimeen k liye upload kiya gaya hai aur jo log Bahes aur Badkalami ka muzahera karengey wo darasal Qurani ayat aur Hadees ki behurmati karengey aur wahi sabse badey GUSTAAQ khudko Sabit karengey .
NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUO N BROADCAST:
http://
Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/
No comments:
Post a Comment