Hazrat Tariq Bin Shihab RadhiAllahu Anhu se marwi hai ki Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: "Namaaz e Jumu'ah har Musalman par ba Jama'at ada karna haqq aur wajib hai magar char qism ke log is se mustashna hain: Ghulam, Aurat, Bachcha aur Mareez.”
[Saheeh: Saheeh Abu Dawud 942, Abu Dawud 1067, Darqutnee (2/3) Bayhaqi (3/172)]
Hazrat Ibn Umar RadhiAllahu Anhu se marwi hai ki Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: "Musafir par Jumu'ah zaroori nahin hai."
[Za'eef: Bulugh ul-Maram 438, rawahu at-Tabrani' kama fee at-Talkhees (2/65) Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah ne isey Za'eef kaha hai, Shaykh Muhammad Subhi Hasan Hallaq ne bhi isey Za'eef kaha hai. [At-Ta'leeq ala Subul as-Salam (3/196)] Shaykh Hazim Ali Qazi raqamtaraz hain ke is ki Sanad Za'eef hai lekin ma'ani Saheeh hai. [At-Ta'leeq ala Subul as-Salam (2/658)]
Hazrat Jabir RadhiAllahu Anhu se marwi ek riwayat mein hai ki "Jo shaksh bhi Allah Taala aur yaum e aakhirat par eemaan rakhta hai us par Jumu'ah lazim hai magar char qism ke log is hukum mein shamil nahin: Aurat, Musafir, Ghulam aur Mareez.”
[Za'eef: Darqutnee (2/3), Bayhaqi (3/184) al-Kamil li ibn 'Adi (6/432) yeh Hadees is liye za'eef hai kyunki is ki sanad mein 2 rawi ibn Luhayy' aur Mu'az bin Muhammad Ansari za'eef hai. [Nayl ul-Awtaar (2/505)]
(Nawawi Rahimahullah) Aisi Khawateen jo boodhi nahin hain un par bil ikhtelaaf Jumu'ah wajib nahin hai albatta jo boodhi hain Imaam Shafi'i Rahimahullah farmate hain ke un ke liye Jumu'ah mein hazir hona mustahab hai.
[Al-Majmoo' (4/496)]
Ghulam bhi Farziat Jumu'ah se mustashna hai albatta Ahle Zahir Imaam Dawud Rahimahullah umoomi dalail ki wajah se is par bhi Jumu'ah ko wajib kehte hain.
Mareez par bhi Jumu'ah wajib nahin jabki Jumu'ah mein hazri ke liye mushaqqat uthani padhe.
(Abu Hanifah Rahimahullah) Mareez ki tarah Andhe par bhi Jumu'ah Farz nahi agarche Masjid le jane ke liye koi us ka rehnuma maujood ho.
(Shafi'i Rahimahullah) Agar koi rehnuma maujood ho to Andhe shaksh ke liye Jumu'ah chhodhne ka koi uzr nahin.
Bil ittifaq Nabaligh bachche par bhi Jumu'ah wajib nahin hai, aur Musafir par Jumu'ah wajib hai ya nahin is ke mutalliq chunki Ahadees Za'eef hai is liye Ulama ne is mein ikhtelaaf kiya hai lekin razeh baat yehi hai ki Musafir par Jumu'ah Farz nahin (Jabki woh halat e safar mein ho aur us par Safar ka lafz sadiq aata ho) isi liye Aap Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne dauran Hajj Arafat mein Jumu'ah nahi padha balki Namaaz e Zuhr ada ki.
(Jamhoor) Musafir par Jumu'ah wajib nahin.
[Nayl ul-Awtaar (2/505_506) Subul as-Salam (2/659) Al-Majmoo' (4/496) Al-Bahr (2/4)]
('Amir as-Sana'ni Rahimahullah) Musafir par Jumu'ah wajib nahin.
[Subul as-Salam (2/659)]
(Saudi Majlis Ifta') Musafir par baJamaat Namaaz Jumu'ah wajib nahi, agar woh halat e safar mein ho toh Qasr kare aur muqeem ho to Zuhr ki char Raka'at ada kare.
[Fatawaa Islamiyyah (1/397)]
(Ibn Hazm Rahimahullah) Musafir par Jumu'ah wajib hai.
[Al-Muhalla bil-aasar 93/252)]
Yaad rahe ki in sab par Jumu'ah Farz to nahin lekin agar in mein se koi Jumu'ah padhle toh durust hai aur isi tarah Mareez ya Musafir shaksh Imaamat karaye toh yeh bhi jayez hai. Neej Minhaj us-Sunnah mein hai ki Ghulam, Bachche aur Musafir ke pichhe Jumu'ah Saheeh hai aur us mein yeh bhi hai ki aise Ma'zoor par Jumu'ah zaroori nahi hai jise Jamaat chhodhne ki rukhsat di gayi hai.
[FIQH UL-HADEES| Islami Tarz e zindagi se mutalliq Fiqhi Ahkaam o masail; Imaam Sawkani Rahimahullah ki Fiqh ki maroof kitab "Ad-Durur ul-Bahiyah" ka Tarjuma Tasreeh Takhreej o Tahqeeq- Hafiz Imran Ayyub Lahori Hafizahullah, Jild Awwal Safa 526]
Assalam-O-Alaikum
ReplyDeleteAllah has made it obligatory for all the Muslims to perform Hajj at-least once in their lifetime. As mentioned by Allah in the holy Quran “And pilgrimage to the House is a duty unto Allah for mankind, for him who can find a way thither” (Aal Imran 3:97).
if you are from Muslim Community of UK and want to make your journey comfort towards MAKKAH for Umrah or Hajj then choose our
Cheap Hajj & Umrah Packages 2017.