Tuesday, July 26, 2016

EHKAMMUL JANAA' EZ

BISMILLAH

BEEMAR PURSI

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke: ‘Musalman ke musalman par 5 huqooq hain

(Jab mile to ise salaam kahe ya iske) salaam ka jawaab de
Jab beemar ho to iski iyaadat kare
Jab mar jaae to iska janaaza padhe
Jab da’awat de to ise qubool kare.
Agar wo cheenk par Alhadulillahi kahe to jawaab mein Yar hakumullah kahe.’

(AL BUKHARI: AL JANAAEZ # 1240 – AL MUSLIM: AL SALAAM # 2162)

Sayyadna Ali Radiallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘Jo musalman doosre musalman ki din ke awwal hisse mein (dopaher se pehle) iyaadat karta hai to 70,000 farishte iske liey shaam tak rahmat o maghfirat ki dua karte hain aur jo musalman din ke aaqhri hisse mein (do paher ke baad) iyaadat karta hai to 70,000 farishte is ke liey subha tak rahmat aur maghfirat ki dua karte hain nez iske liey bahisht mein bagh hai.’

[ TIRMIZEE: AL JANAAEZ 969 – ABU DAWOOD: AL JANAAEZ 3099) ISE IMAM IBNE HIBBAN (710) IMAM HAAKIM (V1 P341,342) AUR HAAFIZ ZAHBI NE SAHEEH KAHA. ]

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasllam ne farmaya hai:
‘Musalman jab apne musalman bhai ki teemardaari ke liey jaata hai to wo waapas lautne tak jannat ke mewey chunta hai.’

[ MUSLIM: AL BIRRI WAL SILAH 2568)]

BEEMARI SE GUNAH DOOR HOTE HAIN:

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Allah Ta’ala jis shaqs ke sath bhalaai ka iraada karta hai ise takleef mein mubtelaa kardeta hai.’

[ Al Bukhari: al Marzi 5645 ]

Aap ne farmaya: ‘Musalman ko ranj, dukh, fikr aur gham paho’nchta hai, yaha’n tak ke agar ise kaanta (bhi) lagta hai to wo takleef is ke gunaho’n ka kaffara ban jaati hai.’

[ AL BUKAHRI: 5640 – MUSLIM: AL BIRR WAL SILAH 2572 ]

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallm ne farmaya :

‘Jab kisi musalman ko koi takleef paho’nchti hai to Allah Ta’ala is ki wajah se is ke gunaho’n ko is tarha mitaata hai jis tarha darakht ke patte jhadte hain.’
(Al Bukhari: al Marzi 5647 – Al Muslim: 2571)

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Bukhaar (ho jaae to is) ko buraa na kaho kyou’nke bukhar aadmi ke gunah is tarha door karta hai jis tarha bhatti lohe ke mail ko door karti hai.’

(Sahih Al Muslim # 2575)

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ka irshad hai :

‘Allah Ta’ala musaafir aur mareez ko in amaal ke baraabar ajar deta hai jo wo ghar mein aur tandrusti ki haalat mein kiya karta tha.’

(AL BUKAHRI: AL JIHAAD WAL SEER 2996)

BEEMARI MEIN SABAR KI FAZEELAT:

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke Allah Ta’ala fermata hai :

‘Jab main kisi bande ko iski 2 mehboob cheezo’n (ankho’n) mein azmaata hu’n (ise beenai se mehroom karta hu’n) phir agar wo sabar kare to iske badle mein ise jannat du’nga.’
(Al Bukahri: al Marzi # 5653)

A’ataa riwayat karte hain ke mujhe Ibne Abbas Radiallahu Anhu ne kaha ..

“ kya main tujhe jannati aurat dikhlaou’n ?

Main ne kaha.. “ dikhlao “
Tho Ibne Abbas Radiallahu Anhu ne farmaya ke “ Rasool Allah ke paas ye kaali aurat aai aur arz ki ke mujhe mirgee ka daura padta hai aur mera satar (T: Private Parts) khul jaata hai, Aap mere liey Allah se dua karie’n.

Aap ne farmaya: ‘Agar tu sabar karegi to tere liey jannat hai aur agar chaahe to dua kiey deta hu’n.
Wo kehne lagi: ‘Main sabar karu’ngi,

Phir kaha : “ Mera satar khul jaata hai Allah se dua karie’n ke wo na khule. (Taake main be parda na hou’n).

’ Chunaache Aap ne is kel iey dua farmaai.’

[ Al BUKAHRI: AL MARZI 5656 – MUSLIM ]

 IYAADAT KI DUAEI’N: 

Jab mareez ki iyaadat ke liey jaei’n to Rasool Allah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ki zabaan e mubaarak se nikli hui mundarja zel duaei’n is ke haq mein karei’n: 

PHELI Dua: 

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Jo shaqs apne musalman bhai ki teemardaari ke liey jaata hai aur iske sar ke paas baith kar saat martaba ye kalimaat padhta hai to shifayaab ho jaata hai Illa ye ke iski maut ka waqt hi aachuka ho.’

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

Asalullahal A’azeema Rabbal A’arshil A’azeem Aie’n Yashfiyaka –
" Main Azeem o Bartar Allah, Arsh Azeem Ke Rab Se Sawaal Karta Hu’n Ke Tujhe Shifaa Se Nawaaze.

[ABU DAWOOD: AL JANAAEZ # 3106 ] Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P346 V4 P416) aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha.

DOOSRI (2) DUA:

Rasool Allah Sallallahu alai Wasallam 1 araabi ki iyaadat ke liey tashreef le gae aur is se ye kalimaat kahe:

لاَ بَأْسَ طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ

Laa Baasa Tuhoorun In Shaa Allahu – Darr Nahi (gham na kar) Agar Allah Ne Caaha To (yehi beemari tujhe gunaaho’n se) Paak Karne Waali Hai.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL MARZI # 5656 ]

TEESRI (3) DUA:

Aisha siddiqa Radiallahu Anha farmati hain ke " Nabi e rahmat Sallallahu Alai Wasallam mareez (ke jism) par apna daaya’n hath pherte aur ye dua padhte the:

‘azhibil basa rabbannasi washfi antash saafi laa shifaa‐a illa shifaa oka shifaa‐ann laa yugaadiru saqamann – Aye!insano’n ke rabb! beemari ko door kar aur shifaade. tu hi shifaa dene waala hai. teri shifaa ke siwaa koi shifaa nahi aisee shifaa (de) jo kisi beemari ko nahi chodti.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL TIBB 5750 – MUSLIM: AL SALAAM 2191 ]

Rasool allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘ jab kisi musalman ko takleef (museebat ya nuqsaan) paho’nchey to wo ye kahe:

" Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurnee Fee Musibati waqhliflee Khairam Minha – Ham Sab Allah Ke Liey Hain aur Isi Ki Taraf Laut Kar Jaane Waale Hain. Aey Allah Mujhe Meri Museebat Mein Ajar Aur Nemul Badal (dono’n) Ataa Farma’,

To Allah Ta’ala Is ke badle mein is se acchi cheez inaayat farma deta hai.’

[ SAHIH MUSLIM: AL JANAAEZ 918 ]

CHAHO’NTI (4) DUA MA’AUZAAT KA DAM:

Ummul Momineen Aisha Radiallahu Anha riwayat karti hain ke Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam beemar hote to apne aap par ma’auzaat se (quran ki aaqhri 2 suratie’n) dam karte aur apne jism par apna hath pherte. Jab Aap bahot beemar hue to main ma’auzaat padh kar Rasool Allah par beemari ki haalat mein phu’nkti aur Aap hi ka hath Aap par pherti kyou’nke Aap ke hath mubaarak mein mere hath se ziyada barkat thee.

[ SAIHH AL BUKAHRI: FAZAAEL AL QURAN 5016 – MUSLIM: AL SALAAM 2192 ]

Aur bhi Dua'en Maujood hai..


TAJHEEZ_O_TAKFEEN :

Abu Qataada Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallalalhu Alai Wasallam ke paas 1 janaaza guzra tho Aap ne farmaaya: 

‘Raahat pane waala hai ya is se auro’n ne raahat paai’ Momin banda duniya ke ranj o museebat se raahat paata hai aur is ezaa se Allah ki rahmat ki taraf araam paata hai aur faajir banda se insaan, shaher , daraqht aur jaanwar raahat paate hain.

[ BUKHARI: AR RAQAAQ # 6512 – SAHIH MUSLIM: 950]

A’ALAM NAZA’A MEIN TALQEEN:

➤ Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘In logo’n ko jo marne ke qareeb ho’n (Laa Ilaaha Illallah) ki talqeen karo.’

[ MUSLIM: AL JANAAEZ 916,917 ]

Ya’ani inke qareeb (Laa Ilaaha Illallah) padho take ise sun kar wo bhi padhei’n lekin afsos ke johlaa zinda, qareeb ul marg ko to is ki talqeen nahi karte albatta maut ke baad chaar pai ko kandha dete waqt kehte jaate hain ‘Kalima Shahaadat’ halaa’nke qhair ul quroon ke musalmano’n mein se kisi neb hi ye kaam nahi kiya phir ye aaj hamaare deen ka hissa kaise ban sakta hai.

➤ Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke:
‘Jis ke aaqhir kalaam (Laa Ilaaha Illallah) ho wo jannat mein daqhil hoga.’

[ ABU DAWOOD: AL JANAAEZ # 3116 ]

ISE HAAKIM V1 P351,500 AUR IMAM ZAHABI NE SAHEEH KAHA.

➤ Kyou’nke is ne asaar maut dekh kar nahi balke Allah se dar kar (Laa
Ilaaha Illallah) padhna lekin chand hi lamho’n baad Allah ki qazaa agai aur (Laa Ilaaha Illallah) is ki zindagi ka aaqhri kalaam ban gayaa. Allah Ta’ala sab ko iski taufeeq de.
Amin.

➤ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Jab tum beemar ya mayyat ke paas jao to bhalaai ki baat kaho, kyou’nke is waqt tum jo kuch kehte ho farishte is par amin kehte hain.’

[ Sahih Muslim: al Janaaez # 919 ]

Allah Ta’ala Ke Baare Mein Nek Gumaan Rakhna Waajib Hai:
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Tumhei’n is haal mein maut aani caahiey ke tum Allah ke sath accha gumaan rakhte ho.’
[ MUSLIM: AL JANNA # 2877 ] 

MAKKA YA MADEENA MEIN MARNE KI TAMANNA KARNA:

➤ Hafsa Radiallahu Anha Riwayat karti hain ke " Main ne Umar e farooq Radiallahu Anhu ko ye dua karte hue suna:

‘ALLAHUMMAR ZUQNEE SHAHAADATAN FEE SABEELIKA WAJA’AL MAUTI FEE BALADI RASOOLIKA –

"AEY ALLAH! MUJHE SHAHAADAT KI MAUT DE AUR MUJHE MADEENA RASOOL MEIN MAUT DE.’

[ BUKAHRI: ABWAAB FAZAAEL AL MADEENA # 890 ]

MAUT KI AARZU KI MUMAANEAT:

➤ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Maut ki aarzu na karo. Agar tum nek ho to shayad ziyaada neki kar sakoge aur agar badkaar ho to shayad tauba karke allah ko raazi kar sakoge.’

[ Sahih Al bukhari: al timnee # 7235 ]

Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Na maut ki aarzu karo na maut ki dua karo, kyou’nke jab koi shaqs marjaata hai to iski (neki karne ki) ummeed khatam ho jaati hai aur momin ki lambi umar se iski nekiya’n badhti hain.’

[ SAHIH AL MUSLIM: AL ZIKR WAD DUA # 2682 ]

➤ Ibne Umar Radiallahu Anhu farmate hain ke " Rasool Allah Sallalhu Alai Wasallam ne mera kaandha pakad kar farmaaya :

‘Duniya mein is tarha reh goya ke to musaafir balke raahi hai, chunaache ibne umar Radiallahu Anhu ne farmaaya karte the, " Jab shaam ho to subha ka intezaar na kar. Jab subha ho to shaam ka intezaar na kar. Tandrusti ko beemari aur zindagi ko maut se pehle ghaneemat jaan.’

[ SAHIH BUKHARI: AR RIQAAQ # 6416 ] 

KHUD KHUSHEE SAQHT GUNAAH HAI:

➤ Nabi e kareem Sallallahu alai Wasallam ne ne farmaya: ‘Jo shaqs apne aap ko gala gho’nt kar maarta hai wo jahannam mein apna gala gho’nta rahega aur jo shaqs neza chubho kar apni jaan deta hai wo jahannam mein apne aap ko neza maarata rahega, aur wo jahannam mein hamesha hamesh rahega.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL JANAAEZ 1365 – MUSLIM : 109 ]

➤ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya: ‘Allah ta’ala ne farmaya : Mere bande ne apni jaan khud li is liey main ne is par jannat haraam kardi.’

[ Sahih bukahri: 3463 – muslim: al eman # 113 ]
Jaabir bin samrah Radiallahu Anhhu se riwayat hai ke ..

➤ ‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne is shaqs ki namaz e janaaza nahi padhi jis ne khud khushee ki thee.’

[ SAHIH AL MUSLIM: AL JANAAEZ # 978 ]

Lehaaza mua’aziz ahle ilm iski namaz janaaz mein shareek na ho’n take baaqi logo’n ko ibrat haasil ho.
 

MAIYYAT_KA_KAFAN :

Mard Ko 3 Kapdo’n Mein Kafan Dena Masnoon Hai: 

Rasool Allah Salllallahu Alai Wasallam ko 3 (safed) kapdo’n mein kafan diya gaya s mein kurta thaa na amaama.

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL JANAAEZ # 1264 – MUSLIM # 941 ]

Aurat ke kafan mein 5 kapde istemaal hote hain :

Hasan Basri Rahimahullah farmate hain ke :

" Aurat ke kafan ka paa’nchwa’n kapda wo hai jo qamees ke neeche rehta hai, is se aurat ka satar aur ranei’n baandhi jaati hain.

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL JANAAEZ ]

Ibne Abbas Radiallahu Anhu se riwayat hai ke ehraam ki haalat mein 1 shaqs ki garden iske oun’th ne tod daali to Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaaya ke :

‘ISko paani aur beri ke patto’n se ghusl do aur 2 kapdo’n mein ise kafan do.’

[ SAHIH BUKAHRI: 1265 – MUSLIM # 1206 ]


Aur ye 2 kapde wo hain jin mein isne ehram bandha hua tha.
[ Sunan Nasaai : al Janaaez # 1904 ]

Jaabir bin Abdullah Radiallahu Anhu se riwayat hai ke :
‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne Ohad ke shohadaa ke barey mein Hukam diya ke inko khoon alood (kapdo’n samet) dafan kiya jaae aur na wo ghusl diey gae aur na hi inki namaz e janaaza padhi gai.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL JANAAEZ # 1343 ]

MARNE_SE_PEHLE_APNA_KAFAN_TAIYYAR_KARNA_JAAEZ HAI:

Sahal bin Saad Radiallahu Anhu se riwayat hai ke 1 aurat Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki paas 1 bani hue haashiyadaar chaadar tohfa mein laae.

Aap ko is waqt chaadar ki zaroorat thee Aap ne ley lee aur iska tehband banaaya, 1 sahaabi (Abdur Rahman bin A’auf) kehne lage " kya umda chaadar hai Aap mujh ko de dijiey. "

Aapne chaadar inhei’n dey dee.

Logo’n ne kaha ke tum ne Rasool Allah Sallallahu alai Wasallam se chaadar maa’ng kar accha nahi kiya. Aap Sallalhu Alai Wasallam ko khud zaroorat thee, Abdur Rahman kehne lage:

" Allah ki qasam main ne pahenne ke liey nahi maa’ngi balke main isko apna kafan banaou’nga, phir wo chadar inka kafan bane.

[ SAHIH AL BUKHARI: AL JANAAEZ # 1277 ]

MAIYYAT_KA_SOG:

Zainab bint Jahash Radiallahu Anha ke bhaai ka inteqaal hogayaa. 3 din baad inho’n ne khushboo mangwaai aur isko milaa.

Phir kahaa " Mujhe khushbu ki zaroorat nahi thee magar main ne Rasool Allah Sallallahu alai Wasallam se suna ke jo aurat Allah Ta’ala aur qiyaamat par eman rakhti ho iske liey halaal nahi ke 3 din se ziyada kisi maiyyat par sog kare, siwaae shauhar ke jis ka sog 4 maah 10 din hai. "

[ SAHIH BUKHARI: AL JANAAEZ # 1282 – MUSLIM # 1487 ]

Umme Atiya Radiallahu Anha ka ladka faut hogayaa. 3 din inho’n ne zardi mangwaa kar badan par malee aur kaha:

‘Hamaare liey shauhar ke alaawa kisi aur (ki wafaat) par 3 din se ziyada sog karma mamnoo hai.’
[ Sahih Bukahri # 1279 ]

MAIYYAT_PAR_RONA:

Agar maiyyat ko dekh kar rona aae aur aa’nsu jaari hu’n to manaa nahi, is liey ke ye be iqhtiyaar rona hai jo jaaez hai.
Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam Sa’ad bin Obaada ki behoshee par roe, Sahaaba Radiallahu Ajmaeeen bhi Aap ko dekh kar roe pas Aap ne farmaya suno :

‘Allah Ta’ala ankh ke rone aur dil ke pareshan hone ki wajah se azaab nahi karta balke zabaan (ke chalaane aur waawela karne) se azaab karta hai.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL JANAAEZ # 1304 – MUSLIM: AL JANAAEZ # 924]
 

➤ MAIYYAT KO BOSA DENA:

Jiska koi qareebi dost, azeez faut ho jae to isko maiyyat ka farte muhabbat se bosa lena jaaez hai, kyou’nke Abu Bakar Radiallahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki wafaat par Aap Sallallahu AlaiiWasallam ka bosa liya tha. 

[ SAHIH BUKHARI: AL JANAAEZ 1241 ]

➤ MAIYYAT PAR CHAADAR DAALNA:

Aisha Radiallahu Anha farmati hain ke ‘Jab Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam faut hue to 1 dhaari daar yamani chaadar se Aap ko dhaa’np diya tha.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL JANAAEZ 1241]

➤ FAUT HONE WAALE KE DOSTO’N AUR RISHTEDAARO’N KO ISKE MARNE KI ITTELA DENA:

Abu Huraira Radiallahu Anhu se riwayat hai ke ‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne habsha ke baadsha Najjashee ki marne ki is din khabar di jis din wo faut hua.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: 1245 ]

➤ Anas bin Maalik Radiallahu Anhu se riwayat hai ke ..
‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne ghazwa muta mein pehle Ziad phir Jafar aur phir Abdullah bin Rawaaha Radiallahu Anhu Ajmaeen ki shaadat ki ittela di aur Aapki ankho’n se aa’nsu jaari the.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL JANAAEZ 1246 ]
MAIYYAT KI ANKHEI’N BAND KARNA:

➤ Umme Salma Radiallahu Anha se riwayat hai ke ...
‘Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam Abu Salma Radiallahu Anha ki iyaadat ko aae aur inki ankhei’n khuli reh gai thee’n, phir Aap Sallallahu Alai Wasallam ne inko band kiya aur farmaya: ke " jab jaan nikalti hai to aankhei’n iske peeche lagi rehti hain.’

[ SAHIH AL MUSLIM: AL JANAAEZ # 920 ]

➤ MAIYYAT KO JALD DAFAN KARNA:

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ‘Maiyyat ko jald dafan kar, agar wo nek hai to jis taraf tum ise bhej rahe ho wo iske liey faaeda mand hai aur agar wo buraa hai to isko apni gardano’n se utaardoge.’

[ SAHIH AL BUKAHRI: AL JANAAEZ # 1315 – MUSLIM: AL JANAAEZ # 944 ]

➤ MAIYYAT KA GHUSL:

Umme Atiya Radiallahu Anha ne kaha, ham Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki beti zainab ko nehlaa rahe the to Aap Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Isko 3,5, ya 7 baar paani aur beri ke patto’n se ghusl do aur aaqhir baar (paani mein) kuch kaafoor bhi milaa lo aur ghusl se faraaghat par mujhe itella kar dena, ghusl daei’n a’azaae wazu se shuroo karo, (Umme atiya kehti hain) ham ne (ghusl ke baad) inke balo’n ko 3 chotiy’an gondhie’n aur inko peeche daal diya.’

[ SAHIH AL BUKAHRI : AL JANAAEZ # 1258 – MUSLIM: AL JANAAEZ # 939 ]

➤ IS HADEES SE MALOOM HUA KE AURAT KO AURATEI’N HI GHUSL DEI’NGI.

MIYA’N BEEWI EK DOOSRE KO GHUSL DE SAKTE HAIN.
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne Aisha Radiallahu Anaha se kaha ke ‘Agar tum mujh se pehle par gaei’n to main tumhei’n ghusl du’nga, kafan pehnaaou’nga aur tum par namaz e janaaz padhu’nga aur tumhei’n dafan karu’nga.’

[ SUNAN IBNE MAJJA: AL JANAAEZ # 1465 ]

Yaad rahe ke ghusl maiyyat ka tareeqa bhi taqreeban ghusl janaabat waala hai albatta, ghusl ke dauraan ikraam maiyyat ka bahot khayaal rakhna caahiey. Tafseel darj e zel hai.

Yaad rahe ke ghusl maiyyat ka tareeqa bhi taqreeban ghusl janaabat waala hai albatta, ghusl ke dauraan ikraam maiyyat ka bahot khayaal rakhna caahiey. Tafseel darj e zel hai.

1.Wafaat ke fauran baad maiyyat ka mu’n, ankhei’n band ki jaaei’n, baazu aur tangei’n aur hath, paou’n ki ungliya’n bhi seedhi kardi jaaei’n. Nez qameez aur baniyaan waghaira utaar kar chaadar se maiyyat ka badan dhaa’np diya jaae.

Maiyyat ke baazu, gale, ya pindli mein koi taweez dhaaga ya kadaa waghaira ho to ise utaar dei’n.

2.Paani aur beri ki patte ubaal liey jaaei’n phir neem garam paani istemaal kiya jaae lakdi ka ek taqhta aisee jagah rakha jaae jaha’n paani ka nikaas aur gandagi ko thikaane lagaana asaan ho, maiyyat ko is taqhte par litaaya jaae. Naaf se ghutno’n tak ki jagah kapde se dhaa’np di jaae aur dauraan e ghusl siwaae majboori ke maiyyat ki sharamgaah par nazar pade aur na hi kapde ke baghair ise haath lage.

3.Agar jis zaqhmi ho aur is par pattiya’n bandhi hui ho’n to ehtiyaat se pattiya’n khol kar rui aur neem garam paani se aahista aahista zaqhm dhoe jaaei’n. Har kaam ki ibtedaa daei’n taraf se karei’n siwaae iske ke sirf baei’n jaanib tawajje ki mustaheq ho.

4.Naaf ki taraf haath se maiyyat ka pet 2 ya 3 dabaaya jaae (take andar ki gandagee imkaani had tak khaarij ho jaae) phir baei’n hath par kapde ka dastaana waghaira (jo kafan ke sath banaaya jaata hai) pahen kar pehle mitti ke 3 dhelo’n aur paani se iska istenjaa karei’n. Agar zer e naaf balo’n ki safaai baaqi ho to karli jaae.

5.Naak, daa’nt, mu’n ka khilaal aur kano’n mein acchi tarha geeli rui pher kar inki alag se safaai karli jaae take baad mein wazu ke dauraan 3 dafa se ziyaada na dhona pade.

6.Bismillah padh kar maiyyat ko masnoon wazu karaaya jaae (sar ka masah aur paou’n rehne dei’n) 3 dafa acchi tarha sar dhoei’n. 

7.Hasb e zaroorat saabun istemaal karte hue porey jism ko 3 ya 5 ya 7 martaba acchi tarha dhoei’n. Aqhri dafa nehlaate waqt paani mein kuch kafoor milaalei’n. Sab se aaqhir mein paou’n dhoei’n.
 


MAIYYAT_PAR_RONA:

➤ Agar maiyyat ko dekh kar rona aaye aur aa’nsu jaari hu’n to manaa nahi, is liey ke ye be iqhtiyaar rona hai jo jaaez hai. 
Nabi e Sallallahu Alai Wasallam ne Sa’ad bin Obaada Radiallahu Anhu ki behoshee par roye, Sahaaba bhi Aap ko dekh kar roye pas Aap ne farmaya suno:

‘Allah Ta’ala ankh ke rone aur dil ke pareshan hone ki wajah se azaab nahi karta balke zabaan (ke chalaane aur waawela karne) se azaab karta hai.’

[ BUKAHRI: AL JANAAEZ 1304 – MUSLIM: AL JANAAEZ 924 ]

➤ Nabi e Rahmat Sallalalhu Alai Wasallam ne farmaya (Allah ke haa’n) wo sabar motebar hai, jo sadma ke shuroo mein ho.

[ BUKAHRI: AL JANAAEZ 1302 – MUSLIM: AL JANAAEZ 926 ]

➤ Yaani waawela aur been karne ke baad sabar karma, sabar nahi hai. Asal sabar ye hai ke museebat ke waqt tasleem o razaa ka muzaahera kiya jaae aur izhaar e gham ke fitree tareeqe ke alaawa aur kuch na kiya jaae.

➤ Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke :
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Wo ham mein se nahi hai jo ruqhsaar (T: cheeks) peete, girebaan phaade aur jaahiliyyat ki pukaar pukaare.’ (Yaani noha aur waawela kare).

[ SAHIH AL BUKHARI: AL JANAAEZ 1294 – MUSLIM: AL EMAN 103 ]

➤ Rasool Allah Sallalalhu Alai Wsallam ne farmaya :
‘Allah Ta’ala fermata hai: ‘Mere (is) momin bande ke liey bahisht hai jiske piyaare ko main ahle duniya se qabz karta hu’n aur wo (iski maut par) sabar karta hai.’

[ SAHIH BUKHARI: AL RIQAAQ 6424 ]

➤ Rasool Allah Sallallalahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Jaahiliyyat ke 4 kaam aise hain jinhei’n meri ummat ke log bhi karei’nge.

1. (Apne) Hasb (T: Family, Tribe, Khaandaan) par faqhar karna.
2. (Doosre ke) nasab (T: Family Status) par ta’an karna.
3. Sitaaro’n ke zariey paani talab karna.
4. Noha (T: crying & shouting when somebody is dead) (aur ye bhi farmaaya) Agar noha karne waali aurat marne se pehle tauba na kare to qiyaamat ke din is par gandhak ka kurta aur khaarish ki odhni hogi.’
[ SAHIH AL MUSLIM: AL JANAAEZ 934 ]


Ahle Jaahiliyat ka aqeeda tha ke sitaaro’n ki naqal o harkat aur tuloo o ghuroob ka barish aur deegar zameeni waqeaat o hawaadis ke sath gehra ta’alluq hai aaj kar ilm nujoom bhi inhi shirkiya khurafaat se ebaarat hai.
Allah Ta’ala mehfooz rakhe.
Ameen.

➤ Rasool Allah Sallalalhu Alai Wasallam ke bete Ibraheem jab haalat e nazaa mein the to Aapne inhei’n uthaaya aur farmaaya:
‘Ankh aa’nsu bahaarahi hai aur dil ghamgheen hai magar iske bawajood ham kuch nahi kahei’nge siwaae is (baat) ke jis se hamaara rab raazi ho. Aur Allah ki qasam Aye Ibraheem! Ham teri judaai ke sabab ghamgheen hain.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL JANAAEZ 1303 – MUSLIM: AL FAZAAEL 2315 ]

Maloom hua ke Allah Ta’ala mehboob ki muhabbat mein aakar apne faisle nahi badalta, balke jo caahta hai so karta hai.

Wo kisi taaqt se maroob hota hai ne kisi ki muhabbat se maghloob. Ghafoor ur Raheem hai tu hare k ke liey aur agar be niyaazhai to sab ke liey.

➤ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ka nawaasa faut hua to Aap ki ankho’n se aa’nsu jaari ho gae.

Sa’ad bin Obaada Radiallahui Anhu ne arz ki “ Yaa Rasool Allah ! Sallallahu Alai Wasallam !! Ye kya hai ??
Aap ne farmaya: ‘Ye wo rahmat hai jo Allah ne apne bando’n ke dilo’n mein paida ki hai aur Allah apne bando’n mein se rahmat karne walo’n par hi rahmat karta hai.’

[ Bukhari: al Janaaez 1284 – Muslim: al Janaaez 923 ]

➤ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasalam ne farmaya:
“ Jis aurat ke 3 bacche mar jaei’n aur wo Allah ki razaa mandi ki khaatir sabar kare to wo jahaannam ki aag se aadh banei’nge.
Ek aurat ne poocha agar 2 bacche mar jaaei’n to ??

Aap ne farmaya: ‘2 bacche bhi.

Abu Huraira se riwayat hai ke “ Isse muraad wo bacche hain jo abhi baaligh na hue ho’n.’

[ SAHIH BUKHARI: AL ILM # 101 – SAHIH MUSLIM: AL BIRR WAL SILAH # 2633,2634 ]

➤ 1 riwaayat mein hai ke wo apne maa’n baap se mile’nge phir inka kapda ya hath pakadei’nge aur inko na chodei’nge yaha’n tak ke Allah inko aur inke bapo’n ko jannat mein daaqhil kardega.

[ SAHIH MUSLIM: KITAAB AL BIRR WAL SILAH 2635 ]

➤ 1 aur riwaayat mein hai ke Allah Ta’ala in baccho’n par (apni) rahmat aur fazal ke sabab is shaqs ko (yaani inke waalid ko) jannat mein daqhil karega.

[ Sahih Bukahri: al Janaaez # 1248 ] Bashart ke waalid ka Aqeedah durust ho.

ACHAANAK_MAUT:

➤ Obaid bin Khalid al Salmi Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu alai wasallam ne farmaya:
‘Achaanak maut (kaafir ke liey) Allah Ta’ala ki ghazab ki pakad hai.’

[ ABU DAWOOD: AL JANAAEZ 3110 – MUSNAD AHMAD V4 P 219 ]


MAUT_KE_WAQT_PESHAANI_PAR_PASEENA:

➤ Bareeda Radiallahu Anhu se riwayat hai ke ..
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:
‘Maut ke waqt momin ki peshaani par paseena aajaata hai.’

[ TIRMIZEE: AL JANAAEZ # 982 ] IMAAM TIRMIZEE NE ISE HASAN KAHA.

JIS_GHAR_MEIN_WAFAAT_HO_INKE_HAA’N_#KHAANAA_PAKAA KAR_BHIJWAANA:

➤ Abdullah bin Jaafar Radiallahu Anhu farmate hain ke :
“ Jab Jaafar ki wafaat ki khabar aayi to Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Aale Jaafar ke liey khaana taiyyar karo in logo’n par aisee museebat aai hai jis mein wo khaana nahi pakaa sakei’nge.’

[ ABU DAWOOD: AL JANAAEZ 3132 – IBNE MAJJA 1210 ]

➤ Kitnee buree aur naa munaasib baat hai ke baaz ahle maiyyat doosro’n ke liey khaane ka intezaam karte hain.

TA’AZIYYAT_KE MASOON_ALFAAZ:

Inna Lillahi Maa A’khaza walahu Maa A’ataa wa Kullu Shai’in I’indahu Bi Ajalin Musamman Faltasbir wal Tahtasib –

Yaqeenan Allah ka (maal) hai jo isne le liyaa aur isi ka hai jo isne de rakha hai iske haa’n har cheez (ke fanaa hone) ka waqt muqarrar hai (lehaaza) sabar karke iska ajar o sawaab haasil karo.

[ SAHIH BUKHARI: 1284 – MUSLIM: 923 ]
 
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:

‘Eman ki haalat mein sawaab ki niyyat se jo kisi musalmaan ke janaaza ke sath jaata, iske saath rehta, iska janaaza padhta aur isko dafan karke faarigh hota hai to iske liey 2 qiraat sawaab hai. Har qiraat ohad pahaad ke baraabar hai aur jo (sirf) janaaza padh kar waapas aajaata hai iske liey 1 qiraat hai.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL EMAN 47 – MUSLIM: AL JANAAEZ 945 ]

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘Jis musalman ke janaaza mein aise 40 aadmi shaamil ho’n jo Allah ke sath shirk na karte ho’n to Allah Ta’ala is (maiyyat ke haq) mein inki sifaarish qubool karta hai.’

[ SAHIH MUSLIM: AL JANAAEZ # 948 ]

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:
‘4 musalman jis musalman ki ta’areef karei’n aur acchi shahaadat dei’n, Allah isko jannat mein daqhil karega.

Ham ne arz kiya: ‘aur 3’?
Aap ne farmaya: 3 bhi.
Ham ne arz kiya: ‘aur 2’?
Aap ne farmaya: 2 bhi.

Phir ham ne 1 ke bare mein nahi poocha.’

[ SAHIH BUKAHRI: AL JANAAEZ 1368 ]

Yahaa’n in musalmano’n ki gawaahi muraad hai jinka Aqeeda o Amal aur aqhlaaq o kirdaar kitaab o sunnat ke mutaabiq ho.

Namaaz e Janaaza padhne ke liey maiyyat ki chaarpaai is tarha rakhei’n ke maiyyat ka sar shimaal (T: North) ki simt aur paou’n Junoob (T: South) ki jaanib ho’n, phir baawazu hokar safei’n baandhei’n.

Anas bin Maalik Radiallahu Anhu ne 1 mard ka janaaz padhaya to wo (iske) sar ke saamne khade hue,
phir 1 aurat ka janaaza laaya gaya to wo iske darmiyaan khade hue aur farmaya ke..

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam aisa hi karte the. “

[ TIRMIZEE: AL JANAAEZ 1034 – ABU DAWOOD: AL JANAAEZ 3194 ]
IMAM TIRMIZEE NE ISE HASAN KAHA.

Phir dil mein niyyat karke dono’n hath kandho’n ya kano’n tak uthaei’n aur phir takbeer keh kar Surah Fateha padhei’n.

JANAAZA MEIN SURAH FATIHA:

Abu Omaama bin Sahal Radiallahu Anhu se riwayat hai ke namaz janaaza mein sunnat tareeqa ya hai ke pehle takbeer kahi jaae,
Phir faateha padhi jaae,
Phir Nabi e Rahmat Sallallahu Alai wasallam par darood aur maiyyat ke liey dua (ki jaae) iske baad salaam (phera jaae).

[ Musannaf Abdur Razzaq: 6428 V3 P489,490 ]
Imam Hafiz ibne Hajar ne ise Saheeh kaha.

Talha bin Abdullah bin Aouf Radiallahu Anhu kehte hain ke main ne ibne Abbas Radiallahu Anhu ke peeche namaz e janaaz padhi to Aapne Surah Fateha padhi aur farmaya:
“ Main ne ye is liey kiya take tum jaan lo ke ye sunnat hai “

[ SAHIH BUKHARI: AL JANAAEZ # 1335 ]

Is se jehri qiraa‐at bhi saabit hui, tajjub hai jo log uth‐te baith‐te ‘Faateha’ ke naam lete hain wo namaz janaaza mein ise padhte hi nahi.

Talha bin Abdullah Radiallahu Anhu kehte hain ke “ Main ne Ibne Abbas Radiallahu Anhu ke peeche namaz janaza padha inho’n ne Surah Fateha aur 1 aur Surah padhi aur buland awaaz se qira‐at ki hatta ke ham ne suna, jab faarigh hue to farmaya ke..
‘ye sunnat aur haq hai’.

[ SUNAN NASAI: AL JANAAEZ 1987 V4 P 74,75 ] Imam Ibne Turkamaani ne Saheeh kaha.

NAMAZ E JANAZA KA PADHNA SUNNAT HAI:

Abu Omaama bin Sahal Radiallahu Anhu se riwayat hai ke “ Namaz e janaza mein sunnat tareeqa ye hai ke Imam pehli takbeer ke baad surah fateha sirran padhe phir 3 takbeerat kahe aur aaqhri takbeer ke sath salam phera jaae.

[ Sunan Nasai: V4 P 75 ]
Imam Ibne Hajar ne ise Saheeh kaha.

Buland awaaz se bhi janaza padhaya jaa sakta hai, chunaache Aouf bin Maalik Radiallahu Anhu farmate hain..
“ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne namaz e janaza mein 1 dua padhi jo main ne yaad karli aur main ne tamanna ki kaash ke ye mera janaaza hota “

[ SAHIH AL MUSLIM: AL JANAAEZ # 963 ]

NAMAZ E JANAZA KA TAREEQA

* Janaze ki namaz 4 takbir se ada ki jati hai*
Abu huraira radi allahu anhu se rivayat hai ki jis din najashi ki wafat huyee Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne uski khabar di aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam sahaba ke saath musalla (namaz padhne ki jagah) tashrif le gaye aur saf banwayee aur chaar (4) takbirein kahi
Sahih Bukhari, Vol 2, 1333 

*Pahli Takbir ke baad Surah fatiha padhni chahiye:
Abu Umamah radi allahu anhu ne farmaya ki namaz e janaze mein pahli takbeer ke baad surah Fatiha ahista se padhni chahiye
Sunan Nasaii, Vol. 1,1993-Sahih

* Phir dusri takbir kahi jaye aur Durud e Ibrahim padhna chahiye 
Allahumma salli Ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. 
* Phir teesri takbir kahi jaye aur ye dua padhni chahiye :
Abu Ibrahim Al-Ansari apne walid se rivayat karte hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam namaz e janaza mein ye dua farmate

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا 

Allahummighfir lihayyina wa mayyitina wa shahidina wa gha'ibina 
wadhakarina (wazakrina) wa unthana ( wa unsana) wa saghirina wa kabirina 
Tarjumah : Ya Allah maghfirat farma hamare zindo ki 
aur hamare murdo ki aur hamare hazir ki aur hamare gayab ki aur hamare mardo ki aur hamari aurato ki aur hamare choto ki aur hamare bado ki.
Sunan Nasaii, Vol. 1,1990-Sahih

* Phir chothi takbir kahi jaye aur salam pher diya jaye

USOOL E EMAAN

BISMILLAH

Aaj k period me ye topic bahut ahem hai aur har ek insaan ko Imaan k usool ko janna farz Aur Wajib hai pls read full post.

Usool-e-Imaan ko Usool-e-deen Usool-us-Sunnah Usool-Al-Aqeedah bhi kaha jaata hai.

Usool-e-Imaan ka taluq La Ilaha Ilallah Muhammad ur Rasoolullah se hai jabtak usool-e-Imaan nahi samaj liya jaye Kalima Tawheed per Imaan Lana mushkil hai.

kalima Tawheed kiya hai?

La ilaha illallah Muhammadur Rasoolullah 

Is kalime me do naam hai ek Allah Ka aur ek Rasool Sallallahu Alaihi- wasallam ka jiska mayine hai Allah k alawa koi mabood-e-barhaq nahi hai Muhammad Sallallahi Alaihi Wasallam Allah k Rasool hai.

Usool-e-Imaan ki 6 buniyadi baten

1⃣.Allah Tala koun hai Allah Tala Kahan hai Allah Tala k mere upar kya huqooq hai.

2⃣.Allah Tala ki muarifat kaise hasil hui Rasoolou k Zariye.

3⃣.Allah Tala ka paigaam Rasoolou tak kisne Pahunchaya Farishtey ne.

4⃣.Paigam kiya hai Risalat Kitabay hai 

5⃣.Rasoolou ki pairvi karte hai Aur unke Ahkamat per Amal karte hai duniya me kaise Rahinge aur marne k baad unki Zindagi kaise hogi yane Akhirat bhi hai.

6⃣.Taqdeer hamare zindagi ka khatma kab hoga hamari zindagi kisne mutayin ki hai kabtak mutayin ki hai.

In Saari chizou ka Taluq Usool-e-Imaan se hai.


Usool-e-Imaan ki 6 bunyadi batein janne k baad ab Aqsaam...

Usool-e-Imaan k Aqsaam kounse hai kitne hai aur kya hai?

1.ARKAAN-E-EMAAN

1.Allah Ta'la per Imaan.

2.Allah Ta'la k Farishtou per Imaan.

3.Allah Ta'la ki Kitabou per Imaan.

4.Allah Ta'la k Nabiyou per Imaan.

5.Akhirat k Din per Imaan.

6.Achi aur Buri Taqdeer per Imaan.

2. IMAAN KI TAREEF
Imaan k Mayine kiya hai Imaan ka matlab kiya hai kya iska janna zarori hai.

3.SAHABA KIRAM AUR AHLE BAIT
Mera Imaan Sahaba Rz k Taluq se kya hai jinke zariye se hame ye Ilm mila ek sachche musalmaan ka kya Aqeeda hona chahiye Sahaba Rz k taluq se.

4.HUKUMARAN
Musalmaan ek sath nahi ho sakte jabtak koi Jamaat me na ho aur har jamat k Ameer hote hai yani hukmaran bagair hukmaran k koi jamaat nahi chal sakti musalmanou ki nazariyaat iske taluq se kiya hona chahiye.

5.TAKFEER

Hukmaran k baad Takfeer ka masla aata hai Baaz log ye Samaj gaye k hukmaran kafer hogaye ya kaferou se dosti kare aur takfeer k jo umoor hai sab Imaan se taluq rakhte hai.

6.DOSTI AUR DUSHMANI
Dosti Aur Dushmani bhi Imaan me se hai.

7.KARAMAT AULIYA
Allah Ta'la k Auliya koun hai Allah Ta'la k dost Allah Ta'la k Auliya hai Aur unke dushman Allah Ta'la k dushman hai Auliya ki Nishani kiya hai Karamat Auliya kiya hoti hai.

8. DALEEL WO ISTEDLAAL
Deen-e-Islam k Usool kiya hai Kaha se Daleel li jati hai Quran,Sahi Hadees,Ijma,Qiyas Muatabar jo sahi qiyas hai iske alawa Sahaba kiram aur Manhaj Salaf.

9. WAAD AUR WAYEED
Jis chiz ki Allah ne basharat di hai wo Waad hai aur jis chiz ki sakht Wayeed darane wala Aazaab ka ziker kiya hai wo wayeed hai.

10. BIDDAT AUR AHLE BIDDAT
Biddat Aur Ahle Biddat ka hamare taluq se kya Aqeeda hai Biddat hoti kya hai Biddat ki kitni qisme hai Ahle biddat koun hai.

11. AHLE SUNNAT KA MANHAJ
Ahle Sunnat ka Manhaj kiya hai jabtak Aap manhaj per qayem hai ye saare batein samaj sakte hai Manhaj kise kahte hai Sunnat ul jamaat koun hai aur kyu kaha jata hai aur ye kab shuru hua.

12. MUTAFARIQQ MASAIL
Mutafariq Masail jinka taluq fiqh se hai.

Usool-e-Imaan ka janna Farz hai jinke bina Imaan mukammil nahi hota aur Kalima Tawheed se gahra taluq hai in Usoolou ka jinhe kahte hai Usool-e-Imaan.


Usool-e-Imaan Ki Aqsaam k baad ab har ek qism k tafseel.

Pahli Qism:-

1.Arkaan-e-Imaan:-

1.Allah Ta'la per Imaan.

2.Farishtou per Imaan.

3.Kitabou per Imaan.

4.Nabiyou per Imaan.

5.Akhirat k din per Imaan.

6.Achi aur buri Taqdeer per Imaan.

Daleel No.1:-

"Saari achayi mashriq wo magrib ki taraf muh karne me hi nahi hai Balke haqiqatan acha shaqs wo hai jo Allah Ta'la per,Qayamat k din per,Farishtou per,Kitab Allah per Aur Nabiyou per Imaan Rakhne wala ho.

(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.177)

Daleel No.2:-

Jibrail Alaihi salaam ne pucha Imaan kiya hai?

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

Allah Tala per Imaan aur farishtou per aur kitabou per aur Rasoolou per aur Akhirat k din per aur Imaan lao Taqdeer per Achi ho ya buri.

(Sahih Muslim Jild No.1 Kitab ul Imaan Hadees No.8)

Sabse pahle 

1.Allah Ta'la per Imaan :-

Allah Tala per Imaan se kya muraad hai Allah Ta'la per Imaan ek musalmaan jab kalma padht hai LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH ab La ilaha illallah usse taqaza karta hai Allah Ta'la ko Sachacha Mabood Jaan liya hai to phir is ka matlab ye hai k Aap ne in Chaar chizou per mazboot hai.

1.Allah Ta'la Moujud hai:-

Jisne inkaar kiya wo dayire Islaam se bahar hogaya jisne inkaar kiya wo Kafer hai.

2.Tawheed-e-Rabubiyat:-

Allah Ta'la wahed sachcha Rab hai Allah Ta'la k alawa koi sachcha Rab Nahi hai.

3.Towheed-e-Ibadat:-

Allah Ta'la Wahed Sachcha Mabood haib Allah Ta'la k siwa koi sachcha Mabood nahi hai isko Tawheed-e-Uluhiyat bhi kaha jata hai.

4.Tawheed Asma wo Sifaat:-

Allah Ta'la k pyare Naam hai aur Sifaat hai Allah Ta'la in Namou aur Sifaat me ek hai us jaisa koi nahi hai Allah Ta'la k Naam aur Sifaat Quraan Aur Sahi Hadees se Sabit hai hamara un sab per Imaan hai Allah Ta'la k Asma wo Sifaat maqlooq jaise nahi hote hai...


Arkaan-e-Imaan janne k baad Sabse pahla rukn.

1.Allah Ta'la per Imaan:-

Allah Ta'la per Imaan laane k liye hum Kalima tawheed padhte hai Aur Allah Ta'la per Imaan late hai jo shaqs jab kalima padhta hai uska matlab ye hai k wo in chaar chizou per Imaan lata hai aur agar wo in char chizou me ek ka bhi inkaar kiya to wo Kafer hai...

pichli post me humne chaar batey batadi pahli baat ab tafseel se.

1.AllahTa'la Moujud hai:-

Allah Ta'la Moujud hai iske ky Dalail hai pahli baat kya kisi ne iska inkaar kiya hai Allah Ta'la k wajud per haqiqatan yaqinan kisi ne bhi inkaar nahi kiya jisne bhi inkaar kiya mahez hat dharmi ki wajeh se inkaar kiya warna jitne bhi dalail hai Allah Ta'la k wajud per maqlooq k liye unko jhutlana ya unki mukhalifat karna kisi bhi surat me mumkin nahi hai Aur Rasool Allah k jo Paigambar salatu wassalam wo ye paigam nahi leke aaye k logou ko bataye k Allah Ta'la moujud hai.

Allah Ta'la Moujud hone k 4 tarikhe k Dalail.

1.Fitry:-Inasan Apni Fitrat se yaqinan jaanta hai k uska Rab Uska Khaliq uska Maalik Moujud hai.

Daleel:-

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

Har bachcha fitrat per Paida hota hai(Yani Musalmaan) phir uske Maa Baap usay Yahood,nasrani ya majusi banadete hai.

(Sahih Bukhari Jild No.2 Kitab ul Janaiz Hadees No.1358,1359)

2.Sharai:-Sharai Daleel 3 qism ki hai 
1.Quran 2.Sahih. Hadees 3.Ijma-e-Ummat.

Daleel:-

Aur Unke Rasoolou ne kaha k kiya Haq Ta'la k baarey me tumhe shak hai jo Aasman aur Zameen ka banane wala hai.

(Surah Ibrahim Surah No.14 Ayat No.10)

3.Aqli:-Insaan Bashart hai k uski Aqal Aqle Saleem ho uski aqal jo ho najasat se aaluda na hui ho jiski aqal paak ho saaf ho jisko aqal saleem kahte hai wo ye maan leta hai k Allah Ta'la Moujud hai kyu k do surtey hai Insaan Rab ko jhutalane wale k Ya to khud tumne Apne aap ko paida kiya hai Ya kisi aur ne paida kiya hai aur kisi ne bhi aaj tak ye dawa nahi kiya k usne aapne aapko paida kiya hai.

Daleel:-

"Kya ye Bagair Kisi (paida karne wale) k khud bakhud Paida hogaye hai? Ya ye khud Paida karne wale hai?

(Surah At-Toor Surah No.52 Ayat No.35)

4.Hissi:-Mahsos Karte hai hum k hamara Rab Moujud hai jab hum dua karte hai aur dua Qubool hoti hai to hamara Rab hi Dua Qubool karta hai Moujizaat Ambiya kiraam ye bhi Daleel hai Allah Ta'la k Moujud hone ki.

Daleel:-

Pas usne Apne Rab se dua ki k main be bas hu tu meri madad kar.

(Surah Al-Qamar Surah No.54 Ayat No.10)


1.Allah Ta'la per Imaan 

last post me humne Allah Ta'la moujud hai is per post ki abAb Allah iman laane k liye 2 shart.

2.Towheed-e-Rabubiyat:-

Allah Ta'la Wahed sacha Rab hai Khailq hai Malik hai mudabbir hai Raaziq hai Mushkil kusha hai hajat Rawa hai nafa wo nuqsaan ka Malik hai jinme ye sifaat hai wo Rab hai aur Allah Ta'la wahed Rab hai iska Inkaar muahrikaane Makkah ne bhi nahi kiya aaj yahoodi bhi inkaar nahi karta k Allah Ta'la Rab hai Isayi bhi inkaar nahi karta. abu jahal abu lahab ne bhi inkaar nahi kiya tha wo ye maantey the k unka Khaliq Malik Raaziq ye Laat aur uzza nahi hai balke Sirf aur sirf ek Allah Hai.

Towheed-e-Rabubiyat se kya muraad hai.

1.Khaliq:-

Allah Ta'la wahed khaliq hai jisne Is saatou Aasmanou aur zameenou ko banaya aur charind parind jinn Insaan aur in sab ko Mahiye karne k liye Nahrey phal darakht pahad ki taqleeq ki Allah Ta'la k alawa koi khaliq nahi hai.

Daleel:-

"Allah Ta'la Har chiz ka paida karne Wala hai"

(Surah Az-Zumur Surah No.39 Ayat No.62)

2.Raaziq:-

Allah Ta'la Raaziq hai Tamaam jinns aur insaan charind aur parind ko Rizq mohiya karta hai. Allah Ta'la Razzaq bhi hai dono me faraq hai Razzaq baar baar Rizq dene wala kasrat se Rizq dene wala hai jisko deta hai be hisaab deta hai.

Daleel:-

"Allah Ta'la to khud hi Sab ka Rozi Rasa Quwwat wala aur zor awar hai"

(Surah Az-Zariyaat Surah No.51 Ayat No.58)

3.Mudabbir:-


Tadbeer karne Wala hai Wahi tadbeer karta hai saare umoor ki puri kayenaat me Aasman se zameen tak usi ki tadbeer usi k hukm k mutabiq usi ka hi faisla hota hai usi ki tadbeer hoti hai. Tadbeer me Allah Ta'la Wahed Mushkil kusha Hajat Rawa hai Allah Ta'la wahed Nafa wo Nuqsaan ka Malik hai.

Daleel:-

"Wo Aasmaan se lekar zameen tak har kaam ki tadbeer karta hai"

(Surah As-Sajda Surah No.32 Ayat No.5)


3.Tawheed-e-Ibadat(Uluhiyat):-

Allah Ta'la Wahed sacha mabood barhaq hai yani sirf wahi tanha haqiqi Mabood hai koi uska shareek nahi hai "Ila" ba mayina yani mabood k hai. usse muraad wo hasti hai jis ki muhabbat aur tazeem k sath ibadat ya pursatish ki jaye.

Daleel:-

"Aur Mabood tum sabka ek hi hai,uske siwa koi mabood nahi,wo bada maharbaan nihayat hi Raham wala hai"

(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.163)

Kalima Tawheed k do arkaan hai

1.La Ilaha:-La Ilaha se muraad koi Mabood nahi hai pathar darakht chand suraj farishtey Ambiya auliya koi nahi.

1.Pathar aur Darakht:-Pathar aur Darakht mabood nahi inko bhi mabbod banaya gaya.

Daleel:-

"kya tumne laat aur uzza ko dekha aur manaat teesre ghatiya ko.

(Surah An-Najm Surah No.53 Ayat No.19,20)

Abdullah bin Abbas rz ne farmaya Laat ek nek Saleh Buzurg tha jo hajio ko sattu ghol k pilaya karta tha uske marne k baad logou ne uski qabr per pathar nasb kardiya aur puja jane laga.

(Sahih Bukhari)

2.Suraj Aur Chand:-Suarj aur chand jo bhi mabood banaya gaya.

Daleel:-

"Aur Din Raat aur suraj chand bhi usi ki nishaniyou me se hai, tum suraj ko sajda karo na chand ko balke sajda us Allah k liya karo jisne un sab ko paida kiya hai agar tumhe uski ibadat karni hai to"

(Suarh Fusilat Surah No.41 Ayat No.37)

3.Farishey aur Ambiya:-Farshtey aur Ambiya ko bhi mabood banaya gaya.

Daleel:-

"Aur ye nahi (hosakta) k wo tumhe Farishtey aur Nabiyou ko Rab Bana lene k hukm kare" 

(Surah Al-Imran Surah No.3 Ayat No.80)

2.Illal Lah:-Illal Lah se muraad jitne bhi Ibadaat hai jaise Namaz Roza Zakat Haj Dua Aur Qurabani aur sabhi ibadat sirf Allah k liye honi chahiye.

1.Namaz aur Zakat:-Namaz aur Zakaat ibadat hai aur ye sirf Ye Allah k liye honi chahiye.

Daleel:-

"unhe us k siwa koi hukm nahi diya gaya k sirf Allah ki ibadat kare. usi k liye Deen ko khalis rakhe yakso hokar aur Namaz ko qayem rakhe aur Zakaat dete rahe yahi hai deen sidhi millat ka"

(Surah Al-Bayyinah Surah No.98 Ayat No.5)

2.Dua:-Dua ibadat hai to hame Dua sirf Allah se karni chahiye na k Nabiyou aur Waliou se.

Daleel No.1:-

"Aur tumhare Rab ka farmaan hai k mujse dua karo main tumhari duao ko qubool karunga yaqeen mano k jo log meri ibadat se khud sari karte hai wo abbi abhi zaleel hokar jahannam me pahunch jayege"

(Surah Gaafir Surah No.40 Ayat No.60)

Daleel No.2:-

Nouman bin basheer razi Allahu anhu se rivayat hai

Nabi sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 

"Dua Ibadat hai"

(Jamia Tirmizi Kitab ud duwaat Hadees No.3383,Ibn Majah kitab ud Dua Hadees No.3828,Abu Dawud Kitab us Salah baab ud dua Hadees No.1479,ibn Hibban Hadees No.2396,Hakim Hadees No.490,491,Sahih)

3.Qurbani:-Qurbani bhi Ibadat hai aur ye sirf Allah K liye honi chahiye.

Daleel:-

"Pas to apne Rab k liye Namaz pad Aur Qurbani kar"

(Surah Al-Kousar Surah No.108 Ayat No.2)

Aur Sari Ibadaat sirf aur sirf Allah Ta'la k liye layeq wo zeba hai..


Saturday, July 23, 2016

ID’DAT WALI AURAT KE LIYE APNI ZAROORAT KI WAJAH SE BAZAAR JANA

2. Khubsurat libaas ke istemal se ijtenab kare.
3.  Khushbu ke istemal se ijtenab kare, haan albattah ghusl haiz se taharat ke waqt baqhoor wagairah istemal kar sakty hai.
4. Soone chandi aur almaas wagairah ke zewraat bhi istemal na kare.
5. Surma aur mehendi wagairah bhi istemal na kare kyunke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se sabit hai ke aap s.a.w ne in tamaam baaton se mana farmaya hai.
Fatawa islamia [Shaykh ‘Abdul-‘Aziz bin ‘Abdullah bin Baz, Shaykh Muhammad bin Salih Al-‘Uthaimin & Shaykh ‘Abdullah bin ‘Abdur-Rahman Al-JibreenAlong with: The Permanent Committee and the decisions of the Fiqh Council.] Jild 3, Safa-352.