Tuesday, July 26, 2016

USOOL E EMAAN

BISMILLAH

Aaj k period me ye topic bahut ahem hai aur har ek insaan ko Imaan k usool ko janna farz Aur Wajib hai pls read full post.

Usool-e-Imaan ko Usool-e-deen Usool-us-Sunnah Usool-Al-Aqeedah bhi kaha jaata hai.

Usool-e-Imaan ka taluq La Ilaha Ilallah Muhammad ur Rasoolullah se hai jabtak usool-e-Imaan nahi samaj liya jaye Kalima Tawheed per Imaan Lana mushkil hai.

kalima Tawheed kiya hai?

La ilaha illallah Muhammadur Rasoolullah 

Is kalime me do naam hai ek Allah Ka aur ek Rasool Sallallahu Alaihi- wasallam ka jiska mayine hai Allah k alawa koi mabood-e-barhaq nahi hai Muhammad Sallallahi Alaihi Wasallam Allah k Rasool hai.

Usool-e-Imaan ki 6 buniyadi baten

1⃣.Allah Tala koun hai Allah Tala Kahan hai Allah Tala k mere upar kya huqooq hai.

2⃣.Allah Tala ki muarifat kaise hasil hui Rasoolou k Zariye.

3⃣.Allah Tala ka paigaam Rasoolou tak kisne Pahunchaya Farishtey ne.

4⃣.Paigam kiya hai Risalat Kitabay hai 

5⃣.Rasoolou ki pairvi karte hai Aur unke Ahkamat per Amal karte hai duniya me kaise Rahinge aur marne k baad unki Zindagi kaise hogi yane Akhirat bhi hai.

6⃣.Taqdeer hamare zindagi ka khatma kab hoga hamari zindagi kisne mutayin ki hai kabtak mutayin ki hai.

In Saari chizou ka Taluq Usool-e-Imaan se hai.


Usool-e-Imaan ki 6 bunyadi batein janne k baad ab Aqsaam...

Usool-e-Imaan k Aqsaam kounse hai kitne hai aur kya hai?

1.ARKAAN-E-EMAAN

1.Allah Ta'la per Imaan.

2.Allah Ta'la k Farishtou per Imaan.

3.Allah Ta'la ki Kitabou per Imaan.

4.Allah Ta'la k Nabiyou per Imaan.

5.Akhirat k Din per Imaan.

6.Achi aur Buri Taqdeer per Imaan.

2. IMAAN KI TAREEF
Imaan k Mayine kiya hai Imaan ka matlab kiya hai kya iska janna zarori hai.

3.SAHABA KIRAM AUR AHLE BAIT
Mera Imaan Sahaba Rz k Taluq se kya hai jinke zariye se hame ye Ilm mila ek sachche musalmaan ka kya Aqeeda hona chahiye Sahaba Rz k taluq se.

4.HUKUMARAN
Musalmaan ek sath nahi ho sakte jabtak koi Jamaat me na ho aur har jamat k Ameer hote hai yani hukmaran bagair hukmaran k koi jamaat nahi chal sakti musalmanou ki nazariyaat iske taluq se kiya hona chahiye.

5.TAKFEER

Hukmaran k baad Takfeer ka masla aata hai Baaz log ye Samaj gaye k hukmaran kafer hogaye ya kaferou se dosti kare aur takfeer k jo umoor hai sab Imaan se taluq rakhte hai.

6.DOSTI AUR DUSHMANI
Dosti Aur Dushmani bhi Imaan me se hai.

7.KARAMAT AULIYA
Allah Ta'la k Auliya koun hai Allah Ta'la k dost Allah Ta'la k Auliya hai Aur unke dushman Allah Ta'la k dushman hai Auliya ki Nishani kiya hai Karamat Auliya kiya hoti hai.

8. DALEEL WO ISTEDLAAL
Deen-e-Islam k Usool kiya hai Kaha se Daleel li jati hai Quran,Sahi Hadees,Ijma,Qiyas Muatabar jo sahi qiyas hai iske alawa Sahaba kiram aur Manhaj Salaf.

9. WAAD AUR WAYEED
Jis chiz ki Allah ne basharat di hai wo Waad hai aur jis chiz ki sakht Wayeed darane wala Aazaab ka ziker kiya hai wo wayeed hai.

10. BIDDAT AUR AHLE BIDDAT
Biddat Aur Ahle Biddat ka hamare taluq se kya Aqeeda hai Biddat hoti kya hai Biddat ki kitni qisme hai Ahle biddat koun hai.

11. AHLE SUNNAT KA MANHAJ
Ahle Sunnat ka Manhaj kiya hai jabtak Aap manhaj per qayem hai ye saare batein samaj sakte hai Manhaj kise kahte hai Sunnat ul jamaat koun hai aur kyu kaha jata hai aur ye kab shuru hua.

12. MUTAFARIQQ MASAIL
Mutafariq Masail jinka taluq fiqh se hai.

Usool-e-Imaan ka janna Farz hai jinke bina Imaan mukammil nahi hota aur Kalima Tawheed se gahra taluq hai in Usoolou ka jinhe kahte hai Usool-e-Imaan.


Usool-e-Imaan Ki Aqsaam k baad ab har ek qism k tafseel.

Pahli Qism:-

1.Arkaan-e-Imaan:-

1.Allah Ta'la per Imaan.

2.Farishtou per Imaan.

3.Kitabou per Imaan.

4.Nabiyou per Imaan.

5.Akhirat k din per Imaan.

6.Achi aur buri Taqdeer per Imaan.

Daleel No.1:-

"Saari achayi mashriq wo magrib ki taraf muh karne me hi nahi hai Balke haqiqatan acha shaqs wo hai jo Allah Ta'la per,Qayamat k din per,Farishtou per,Kitab Allah per Aur Nabiyou per Imaan Rakhne wala ho.

(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.177)

Daleel No.2:-

Jibrail Alaihi salaam ne pucha Imaan kiya hai?

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

Allah Tala per Imaan aur farishtou per aur kitabou per aur Rasoolou per aur Akhirat k din per aur Imaan lao Taqdeer per Achi ho ya buri.

(Sahih Muslim Jild No.1 Kitab ul Imaan Hadees No.8)

Sabse pahle 

1.Allah Ta'la per Imaan :-

Allah Tala per Imaan se kya muraad hai Allah Ta'la per Imaan ek musalmaan jab kalma padht hai LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH ab La ilaha illallah usse taqaza karta hai Allah Ta'la ko Sachacha Mabood Jaan liya hai to phir is ka matlab ye hai k Aap ne in Chaar chizou per mazboot hai.

1.Allah Ta'la Moujud hai:-

Jisne inkaar kiya wo dayire Islaam se bahar hogaya jisne inkaar kiya wo Kafer hai.

2.Tawheed-e-Rabubiyat:-

Allah Ta'la wahed sachcha Rab hai Allah Ta'la k alawa koi sachcha Rab Nahi hai.

3.Towheed-e-Ibadat:-

Allah Ta'la Wahed Sachcha Mabood haib Allah Ta'la k siwa koi sachcha Mabood nahi hai isko Tawheed-e-Uluhiyat bhi kaha jata hai.

4.Tawheed Asma wo Sifaat:-

Allah Ta'la k pyare Naam hai aur Sifaat hai Allah Ta'la in Namou aur Sifaat me ek hai us jaisa koi nahi hai Allah Ta'la k Naam aur Sifaat Quraan Aur Sahi Hadees se Sabit hai hamara un sab per Imaan hai Allah Ta'la k Asma wo Sifaat maqlooq jaise nahi hote hai...


Arkaan-e-Imaan janne k baad Sabse pahla rukn.

1.Allah Ta'la per Imaan:-

Allah Ta'la per Imaan laane k liye hum Kalima tawheed padhte hai Aur Allah Ta'la per Imaan late hai jo shaqs jab kalima padhta hai uska matlab ye hai k wo in chaar chizou per Imaan lata hai aur agar wo in char chizou me ek ka bhi inkaar kiya to wo Kafer hai...

pichli post me humne chaar batey batadi pahli baat ab tafseel se.

1.AllahTa'la Moujud hai:-

Allah Ta'la Moujud hai iske ky Dalail hai pahli baat kya kisi ne iska inkaar kiya hai Allah Ta'la k wajud per haqiqatan yaqinan kisi ne bhi inkaar nahi kiya jisne bhi inkaar kiya mahez hat dharmi ki wajeh se inkaar kiya warna jitne bhi dalail hai Allah Ta'la k wajud per maqlooq k liye unko jhutlana ya unki mukhalifat karna kisi bhi surat me mumkin nahi hai Aur Rasool Allah k jo Paigambar salatu wassalam wo ye paigam nahi leke aaye k logou ko bataye k Allah Ta'la moujud hai.

Allah Ta'la Moujud hone k 4 tarikhe k Dalail.

1.Fitry:-Inasan Apni Fitrat se yaqinan jaanta hai k uska Rab Uska Khaliq uska Maalik Moujud hai.

Daleel:-

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:-

Har bachcha fitrat per Paida hota hai(Yani Musalmaan) phir uske Maa Baap usay Yahood,nasrani ya majusi banadete hai.

(Sahih Bukhari Jild No.2 Kitab ul Janaiz Hadees No.1358,1359)

2.Sharai:-Sharai Daleel 3 qism ki hai 
1.Quran 2.Sahih. Hadees 3.Ijma-e-Ummat.

Daleel:-

Aur Unke Rasoolou ne kaha k kiya Haq Ta'la k baarey me tumhe shak hai jo Aasman aur Zameen ka banane wala hai.

(Surah Ibrahim Surah No.14 Ayat No.10)

3.Aqli:-Insaan Bashart hai k uski Aqal Aqle Saleem ho uski aqal jo ho najasat se aaluda na hui ho jiski aqal paak ho saaf ho jisko aqal saleem kahte hai wo ye maan leta hai k Allah Ta'la Moujud hai kyu k do surtey hai Insaan Rab ko jhutalane wale k Ya to khud tumne Apne aap ko paida kiya hai Ya kisi aur ne paida kiya hai aur kisi ne bhi aaj tak ye dawa nahi kiya k usne aapne aapko paida kiya hai.

Daleel:-

"Kya ye Bagair Kisi (paida karne wale) k khud bakhud Paida hogaye hai? Ya ye khud Paida karne wale hai?

(Surah At-Toor Surah No.52 Ayat No.35)

4.Hissi:-Mahsos Karte hai hum k hamara Rab Moujud hai jab hum dua karte hai aur dua Qubool hoti hai to hamara Rab hi Dua Qubool karta hai Moujizaat Ambiya kiraam ye bhi Daleel hai Allah Ta'la k Moujud hone ki.

Daleel:-

Pas usne Apne Rab se dua ki k main be bas hu tu meri madad kar.

(Surah Al-Qamar Surah No.54 Ayat No.10)


1.Allah Ta'la per Imaan 

last post me humne Allah Ta'la moujud hai is per post ki abAb Allah iman laane k liye 2 shart.

2.Towheed-e-Rabubiyat:-

Allah Ta'la Wahed sacha Rab hai Khailq hai Malik hai mudabbir hai Raaziq hai Mushkil kusha hai hajat Rawa hai nafa wo nuqsaan ka Malik hai jinme ye sifaat hai wo Rab hai aur Allah Ta'la wahed Rab hai iska Inkaar muahrikaane Makkah ne bhi nahi kiya aaj yahoodi bhi inkaar nahi karta k Allah Ta'la Rab hai Isayi bhi inkaar nahi karta. abu jahal abu lahab ne bhi inkaar nahi kiya tha wo ye maantey the k unka Khaliq Malik Raaziq ye Laat aur uzza nahi hai balke Sirf aur sirf ek Allah Hai.

Towheed-e-Rabubiyat se kya muraad hai.

1.Khaliq:-

Allah Ta'la wahed khaliq hai jisne Is saatou Aasmanou aur zameenou ko banaya aur charind parind jinn Insaan aur in sab ko Mahiye karne k liye Nahrey phal darakht pahad ki taqleeq ki Allah Ta'la k alawa koi khaliq nahi hai.

Daleel:-

"Allah Ta'la Har chiz ka paida karne Wala hai"

(Surah Az-Zumur Surah No.39 Ayat No.62)

2.Raaziq:-

Allah Ta'la Raaziq hai Tamaam jinns aur insaan charind aur parind ko Rizq mohiya karta hai. Allah Ta'la Razzaq bhi hai dono me faraq hai Razzaq baar baar Rizq dene wala kasrat se Rizq dene wala hai jisko deta hai be hisaab deta hai.

Daleel:-

"Allah Ta'la to khud hi Sab ka Rozi Rasa Quwwat wala aur zor awar hai"

(Surah Az-Zariyaat Surah No.51 Ayat No.58)

3.Mudabbir:-


Tadbeer karne Wala hai Wahi tadbeer karta hai saare umoor ki puri kayenaat me Aasman se zameen tak usi ki tadbeer usi k hukm k mutabiq usi ka hi faisla hota hai usi ki tadbeer hoti hai. Tadbeer me Allah Ta'la Wahed Mushkil kusha Hajat Rawa hai Allah Ta'la wahed Nafa wo Nuqsaan ka Malik hai.

Daleel:-

"Wo Aasmaan se lekar zameen tak har kaam ki tadbeer karta hai"

(Surah As-Sajda Surah No.32 Ayat No.5)


3.Tawheed-e-Ibadat(Uluhiyat):-

Allah Ta'la Wahed sacha mabood barhaq hai yani sirf wahi tanha haqiqi Mabood hai koi uska shareek nahi hai "Ila" ba mayina yani mabood k hai. usse muraad wo hasti hai jis ki muhabbat aur tazeem k sath ibadat ya pursatish ki jaye.

Daleel:-

"Aur Mabood tum sabka ek hi hai,uske siwa koi mabood nahi,wo bada maharbaan nihayat hi Raham wala hai"

(Surah Al-Baqrah Surah No.2 Ayat No.163)

Kalima Tawheed k do arkaan hai

1.La Ilaha:-La Ilaha se muraad koi Mabood nahi hai pathar darakht chand suraj farishtey Ambiya auliya koi nahi.

1.Pathar aur Darakht:-Pathar aur Darakht mabood nahi inko bhi mabbod banaya gaya.

Daleel:-

"kya tumne laat aur uzza ko dekha aur manaat teesre ghatiya ko.

(Surah An-Najm Surah No.53 Ayat No.19,20)

Abdullah bin Abbas rz ne farmaya Laat ek nek Saleh Buzurg tha jo hajio ko sattu ghol k pilaya karta tha uske marne k baad logou ne uski qabr per pathar nasb kardiya aur puja jane laga.

(Sahih Bukhari)

2.Suraj Aur Chand:-Suarj aur chand jo bhi mabood banaya gaya.

Daleel:-

"Aur Din Raat aur suraj chand bhi usi ki nishaniyou me se hai, tum suraj ko sajda karo na chand ko balke sajda us Allah k liya karo jisne un sab ko paida kiya hai agar tumhe uski ibadat karni hai to"

(Suarh Fusilat Surah No.41 Ayat No.37)

3.Farishey aur Ambiya:-Farshtey aur Ambiya ko bhi mabood banaya gaya.

Daleel:-

"Aur ye nahi (hosakta) k wo tumhe Farishtey aur Nabiyou ko Rab Bana lene k hukm kare" 

(Surah Al-Imran Surah No.3 Ayat No.80)

2.Illal Lah:-Illal Lah se muraad jitne bhi Ibadaat hai jaise Namaz Roza Zakat Haj Dua Aur Qurabani aur sabhi ibadat sirf Allah k liye honi chahiye.

1.Namaz aur Zakat:-Namaz aur Zakaat ibadat hai aur ye sirf Ye Allah k liye honi chahiye.

Daleel:-

"unhe us k siwa koi hukm nahi diya gaya k sirf Allah ki ibadat kare. usi k liye Deen ko khalis rakhe yakso hokar aur Namaz ko qayem rakhe aur Zakaat dete rahe yahi hai deen sidhi millat ka"

(Surah Al-Bayyinah Surah No.98 Ayat No.5)

2.Dua:-Dua ibadat hai to hame Dua sirf Allah se karni chahiye na k Nabiyou aur Waliou se.

Daleel No.1:-

"Aur tumhare Rab ka farmaan hai k mujse dua karo main tumhari duao ko qubool karunga yaqeen mano k jo log meri ibadat se khud sari karte hai wo abbi abhi zaleel hokar jahannam me pahunch jayege"

(Surah Gaafir Surah No.40 Ayat No.60)

Daleel No.2:-

Nouman bin basheer razi Allahu anhu se rivayat hai

Nabi sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 

"Dua Ibadat hai"

(Jamia Tirmizi Kitab ud duwaat Hadees No.3383,Ibn Majah kitab ud Dua Hadees No.3828,Abu Dawud Kitab us Salah baab ud dua Hadees No.1479,ibn Hibban Hadees No.2396,Hakim Hadees No.490,491,Sahih)

3.Qurbani:-Qurbani bhi Ibadat hai aur ye sirf Allah K liye honi chahiye.

Daleel:-

"Pas to apne Rab k liye Namaz pad Aur Qurbani kar"

(Surah Al-Kousar Surah No.108 Ayat No.2)

Aur Sari Ibadaat sirf aur sirf Allah Ta'la k liye layeq wo zeba hai..


No comments:

Post a Comment