Sunday, July 10, 2016

AlLLAH KA TARUF – PEERAN-E-PEER ABDUL QADIR JILANI KA AQEEDAH

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله ، وبعد
Ye article Shaykh Abdul Qadir Jilaani rh. ki Kitaab Guniyat-ut-Talibeen se lia gaya hai. Baab ka Naam hai Allah ka Taruf.
Ummat me aj ek bada tabka hai jo Ab tak Allah ko vese nahi janta aur manta hai jese usey Janne aur manne ka Haq Hai.
Allah kaha hai ye Ikhtelaaf hamesha se Ahle Haq aur Ahle baatil me raha hai.
Hamesha se Ahle Haq ne Ahle Baatil ka parda faash kia. Aur Haq ko Awwam ke samne wazeh kia hai.
Allah rahem kare Shaykh Abdul Qadir Jilani rh. par jinhone ye umda kitaab Guniyat-ut-Talibeen likhi, aur Baatil ka parda Fash kia.
Agar hum aaj Deoband/Barelwi Hazraat se puche ki Allah kaha hai ? Toh unka jawab hota hai ki MaazAllah Allah har jagah hai. Ya phir ye kehte hai ki Allah jaha tha wahi hai.
Ye Awwam ko gumrah karne ka ek Mugalta hai.
—————————-
Aaiye hum dekte hai ki Allah kaha hai is Taaluk se Peeran-e-Peer Abdul Qadir Jilani rh. ka kya Aqeedah hai:
Wo likhte hai Page – 156:
Wo upar ki taraf hai, Arsh par Mustawi Hai, Tamam Kaynaat par Kabiz Hai, Tamam ashiya is ke Dayre Ilm mein hai.
Sathvey Asmaan se upar Paani hai, aur is ke bhi upar Rahmaan ka Arsh hai. Allah tala Arsh par hai…
Mazeed Likhte hai Page – 158 pe:
…Wo Makhluk ki Mushabihat se paak hai, Is ke Ilm se Koi Jagah Khali nahi, Magar Isey Har Jagah (Wajud ke sath) Maujud hone se Mutsif NAHI karsakte, balke kaha jaega ke who Asmaan me Arsh Majid par hai Jaisa Allah ne Farmaya:
1. Surah Taha : 5   الرَّحْمَٰنُ عَلَى الْعَرْشِ اسْتَوَىٰ
Tarjuma: Wo nihayat Maherbaan Arsh par Mustawi hai.
2. Surah Al-Furqan : 59
الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ ۚ الرَّحْمَٰنُ فَاسْأَلْ بِهِ خَبِيرًا
Tarjuma: Wahi hai jis ne Asmaano aur Zameen aur inke darmiyaan ki sab chizo ko  6 din hi mein paida kar dia hai, Phir Arsh par mustawi hua, wo rehmaan hai, aap is ke baarey me kisi khabar daar se puchle
3. Surah Al Fatir : 10مَن كَانَ يُرِيدُ الْعِزَّةَ فَلِلَّهِ الْعِزَّةُ جَمِيعًا ۚ إِلَيْهِ يَصْعَدُ الْكَلِمُ الطَّيِّبُ وَالْعَمَلُ الصَّالِحُ يَرْفَعُهُ ۚ وَالَّذِينَ يَمْكُرُونَ السَّيِّئَاتِ لَهُمْ عَذَابٌ شَدِيدٌ ۖ وَمَكْرُ أُولَٰئِكَ هُوَ يَبُورُ
Tarjuma:
 جو شخص عزت حاصل کرنا چاہتا ہو تو اللہ تعالیٰ ہی کی ساری عزت ہے، تمام تر ستھرے کلمات اسی کی طرف چڑھتے ہیں اور نیک عمل ان کو بلند کرتا ہے، جو لوگ برائیوں کے داؤں گھات میں لگے رہتے ہیں ان کے لئے سخت تر عذاب ہے، اور ان کا یہ مکر برباد ہوجائے گا
Aap saw ne jab ek Laundi se sawaal kia ke Allah kaha hai? Toh usne asmaan ki Taraf ishara kia. Is par Aap saw ne is ke Musalman hone ka Huqam sadir farmaya. [1]Hazrat Abu Hurairah se rivayat hai ke Aap saw ne irshaad farmaya Jab Allah ne makhluk ko takhleek kia toh Apne liye Apne arsh par ek jumla likha joh yeh hai Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai. [2]
Page – 159 pe likhte hai ki:
Allah taala ki Sifat Istawa ko bila taawil mutlak manna zaruri hai, yaani Allah taala ki ZAAT arsh par mustawi hai magar is mein Bethne aur Chune ka mafhum nahi hai, Jis tarah Firqa Mujasama aur Karamiya ka Khayaal Hai. Isi tarah Ulu aur Bulandi ke maani par bhi Is ka Ahtamaal Durust nahi jis tarah ke Firka Asharia ka Qaul hai. Istawa ko Galba aur Istilah ke Maani par bhi Mahmul nahi kia jasakta jis tarah Firqa Muatezila kehte hai.
Page – 160 pe likte hai:
Allah taala ka Arsh par hona bila Kaifiyat har Nabi ki kitab me Mazkur hai kyun ke Allah taala Azal hi se tamaam Makhluk par Arsh se Ulu Kudrat aur Galbah va Istilah jesi Sifaat se mutsif raha hai, Lihaza Istawa ko is maani par mahmul nahi kiya jasakta.
Istawa Sifat ZAATIA me se hai jis ki Khud Allah ne sarahat se Khabar kardi hai, aur apni kitaab ki saath ayat mein isey Taakidan Bayan kar diya hai, Isi tarah Sunnat Masoora se bhi iski sarahat Malum Hogi.
… Allah taala har raat Asmaan duniya ki taraf jis tarah aur jese chahta hai Naazil hota hai aur Mujrimo aur Gunah Garo me se jisey chahta hai Muaf karta hai. Nihayat Ba barkat Buland va Bala Hasti hai, Is ke Alawa koi Ibadat ke layak nahi aur Iske ache ache Sifaati naam hai.
Allah taala ke Asmaan Duniya par Nuzul ko iski Rehmat va Sawaab ke Nuzul se Taawil kar lena Durust nahi, Jesa ke Muatizila Aur Asharia ka Dawa hai.
Hum Quraan, Sunnat se bahar nahi jaate, Ayaat va hadis ko padh kar Imaan laate hai, aur Sifaat ki kaifiyat va Mahiyat ko isi Allah ke supurd karte hai.
Upar diye Dalaail se Shaykh Abdul Qadir Jilani rh. ka Aqeedah waze hai.
Allah hame Quraan aur Sunnat ko Salaf ke manhaj pe samajne ki Taufik ata kare. Ameen!
—————Refrences:
[1] Sahih Muslim 537
[2] Sahih Bukhari 3194 aur Muslim 2751.
 Kitaab ke Scan Ke Liye Refer kare: https://www.facebook.com/notes/salmaan-bin-jalaluddin/-allah-ka-taruf-peeran-e-peer-abdul-qadir-jilani-ka-aqeedah-/10153943357331488

No comments:

Post a Comment