Sunday, July 10, 2016

SAHIH AQEEDAH KI AHMIYAT

بسم الله والحمد لله والصلاة والسلام على رسول الله ، وبعد
Note: Zyadatar Notes Shaykh Abu Zaid Zameer ke Dars se liye gae hai.
Akidah kehte hai Ek Admi pukhtagi ke sath kisi cheez ko maane ya yakeen kare.
Index:
1) Imaan aur salih aamal ki ahmiyat.
2) Imaan ke arkaan
3) Imaan ke kisi bhi rukan ke inkar se aamal zaya ho jate hain aur koi neki faidah nahi deti
4) Touhid ki fazilat aur ahmiyat
5) Shirk ki mazammat aur nuksanaat

1. Imaan aur saleh Aamal ki ahmiyat:
1. Imaan ka zikar amal salih se pehle:
Allah ta-ala fermata hai:
وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أُولَٰئِكَ أَصْحَابُ الْجَنَّةِ ۖ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
Aur jo log imaan laye aur nek amal kiye wo jannat wale hain wahi hamesha jannat mai rahe ge.
-(Surah al baqrah 82)
Faida:- Is ayat ke mutabik Jannat me jaane ke liye 2 kaam karna zaruri hai.
i) Imaan Lana
ii) Amal saleh karna.
Imaan ko Amal se pehle zikr kia gaya hai isse Imaan ki ahmiyat pata chalti hai.
Imaan Amal Saleh par muqaddam hai.
2. Iman , Amal saleh ki qabooliyat ke liye sharat:
Allah ta-ala fermata hai:
مَنْ عَمِلَ صَالِحًا مِّن ذَكَرٍ أَوْ أُنثَىٰ وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَلَنُحْيِيَنَّهُ حَيَاةً طَيِّبَةً ۖ وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَجْرَهُم بِأَحْسَنِ مَا كَانُوا يَعْمَلُونَ
Jo neik aamal kare marad ho ya aurat haan magar imaan wala ho to hum ise yakinan nihayat behter zindgi ataa farmaye ge aur in ke neik aamal ka badla bhi unhe zaroor de ge.
-(Surah al nahal 97)
Faida:- Is ayaat me 2 vaadey aur 2 shart hai.
Vaadey:- 1. Umda zindagi 2. Behtarin Amal ke mutabik ajr ya badla.
Shart:- 1. Imaan wale ho 2. Nek Amal
Is ayaat me Imaan ko Amal ke baad zikr kia hai par bator e shart ke, toh Imaan ki ahmiyat Zyaadi hai, Aur Imaan ke bager Amal zaae hai.

2. Imaan ke arkaan
1. Imaan ke tamam arkan par imaan lana wajib hai.
Allah ta-ala fermata hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا آمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ وَالْكِتَابِ الَّذِي نَزَّلَ عَلَىٰ رَسُولِهِ وَالْكِتَابِ الَّذِي أَنزَلَ مِن قَبْلُ ۚ وَمَن يَكْفُرْ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا بَعِيدًا
Aye imaan walo , imaan lao allah par , is ke rasool par , us ki kitab par jo us ne apne rasool par nazil ki aur un kitabon par jo is se pehle nazil ki aur jis ne allah ka ya is ke rasool ka ya iski kitabon ka ya is ke rasoolon ka ya aakhirat ke din ka inkar kiya to wo bohat dur ki gumrahi mai ja pada.
-(Surah an nissa 136)
Faida:- Is ayat me Imaan walo se khitab hai. Kin kin chizo pe Imaan lana hai ye bataya gaya hai.
In baato me se kisi ek ka bhi inkaar kare toh kufr ha.
Hadees jibraeel mai hai ke Jibraeel a.s ne kaha:
وفي حديث جبريل :
قَالَ فَأَخْبِرْنِي عَنْ الْإِيمَانِ
قَالَ :أَنْ تُؤْمِنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ
وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ
وَتُؤْمِنَ بِالْقَدَرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ
[م: الإيمان 9 – خ: نحوه] عن عمر
Mujhe imaan ke mutaliq batlaiye
Aap صلى الله عليه وسلم
ne farmaya: (imaan ye hai keh ) tum allah par, is ke farishton par, is ki kitabon par , is ke rasoolon par , aakhirat ke din par aur taqdir ki bhalai aur burai par imaan lao.
[Muslim: Al imaan 9, Bukhari mai isi trah hai] Ravi : Umar

3. Imaan ke kisi bhi rukan ke inkar se aamal zaya ho jate hain aur koi neki faidah nahi deti.
1. Aakhirat ka inkar Ayesha r.a farmati hain:
عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ :
قُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ابْنُ جُدْعَانَ
كَانَ فِي الْجَاهِلِيَّةِ
يَصِلُ الرَّحِمَ وَيُطْعِمُ الْمِسْكِينَ
فَهَلْ ذَاكَ نَافِعُهُ؟ قَالَ :لا يَـنفعهُ
إِنـَّهُ لَمْ يَقلْ يَوْمًا رَبِّ اغْفِرْ لِي خَطِيئَتِي يَوْمَ الدِّينِ
[م: الإيمان : 315]
Mai ne pucha : aey allah ke rasool abn jadaan zamane jahiliyat mai sila rehmi karta tha aur miskinon ko khana khilata tha to kiya ye chize ise nafa de gi? Aap ne farmaya : nahi ye chize ise nafa na de gi is liye ke is ne ek din bhi na kaha : aey mere rabb meri khataon ko badle ke din maaf farma.
[Muslim : al imaan : 315]
Faida:- Akherat ka inkar Amal ko barbaad karta hai.
Sahi Aqidey ke bager Amal kabul nahi.
2. Taqdir ka inkar
Yahya bin yamar rahmallah ne ibn umar r.a se kaha:
َالَ يَحْيَى بْنِ يَعْمَرَ لإبن عمر :
أَبَا عَبْدِ الرَّحْمَنِ إِنَّهُ قَدْ ظَهَرَ قِبَلَنَا نَاسٌ
يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ وَيَتَقَفَّرُونَ الْعِلْمَ وَذَكَرَ مِنْ شَأْنِهِمْ
وَأَنَّهُمْ يَزْعُمُونَ أَنْ لَا قَدَرَ وَأَنَّ الْأَمْرَ أُنُفٌ
قَالَ فَإِذَا لَقِيتَ أُولَئِكَ فَأَخْبِرْهُمْ أَنِّي بَرِيءٌ مِنْهُمْ
وَأَنَّهُمْ بُرَآءُ مِنِّي
وَالَّذِي يَحْلِفُ بِهِ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عُمَرَ
لَوْ أَنَّ لِأَحَدِهِمْ مِثْلَ أُحُدٍ ذَهَبًا
فَأَنْفَقَهُ مَا قَبِلَ اللَّهُ مِنْهُ حَتَّى يُؤْمِنَ بِالْقَدَرِ
[م : الإيمان : 9]
Aey abu abdur rehman hamare ha kuch log aise zahir hue hain jo quraan padhte hain ilm ki gehrai ke dawedar hain aur in ke halat zikar kiye aur ye bhi batlaya ke wo kehte hain ke taqdir koi chiz nahi aur mamlat maqdur nahi hote hain. Aap ne farmaya : jab tum in se milo to kaho ke mai in se bari aur wo mujh se bari han. Aur Abdullah bin umar ne zaat bari ki kasam kha kar farmaya : agar in mai se kisi ke pass “ahad” pahad jitna sona ho aur wo ise(allah ke rah mai) kharch kare tab bhi allah ta-ala is (kharch) ko hargiz kabool na kare gay aha tak keh wo taqdir par imaan laye.
-[Muslim : al imaan : 9]
Faida:- Taqdeer ka inkar Amal ko barbaad karta hai.
Amaal ki kabuliyat Akidey par mubni hoti hai.
Akidey ko Amal se kam samajna Jahalat hai.

4. Touhid ki fazilat aur ahmiyat
1. Imaan ko shirk ki gandagi se pak karna wajib hai.
Allah ta-ala fermata hai:
وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُم بِاللَّهِ إِلَّا وَهُم مُّشْرِكُونَ
In mai se aksar log allah par imaan lane ke bawajud shirk karte hain.
(surah yusuf 106)
Faida:- Aksariyat haq pe hogi zaruri nahi. Is ayat se hame pata chalta hai Aksar log Allah pe imaan lane ke baawajud shirk karte hai.
Allah ta-ala fermata hai:
الَّذِينَ آمَنُوا وَلَمْ يَلْبِسُوا إِيمَانَهُم بِظُلْمٍ أُولَٰئِكَ لَهُمُ الْأَمْنُ وَهُم مُّهْتَدُونَ
Jo log imaan laye phir apne imaan ko shirk se ganda nahi kiya in hi ke liye salamati hai aur wahi log hidayat yafta hain. [Surah al Anaam 82]
Faida:- Sirf Imaan lana zaruri nahi Imaan ko akhir tak shirk se bachana bhi zaruri hai. Aur Shirk ke bachne ke liye Ilm hasil karna zaruri hai.
2. Tamam rasoolon ki dawat “toheed”
Allah ta-ala fermata hai:
وَمَا أَرْسَلْنَا مِن قَبْلِكَ مِن رَّسُولٍ إِلَّا نُوحِي إِلَيْهِ أَنَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا أَنَا فَاعْبُدُونِ
Aur aap se pehle hum ne jis rasool ko bhi bheja is ki janib yahi wahi ki keh mere siwa koi mabood barhaq nahi lihaza meri hi ibadat karo.
-[Sura al anbiya: 25]
Faida:- Iss ayat se hame pata chalta hai ki saare rasoolo ki dawat ek thi wo hai Tawheed ki dawat aur Shirk se har ummat ko roka gaya.
3. Sab se afzal zikar tauhid
أَفْضَلُ الذِّكْرِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ
(ت ن هـ حب ك) عن جابر. [صحيح الجامع ‌1104] (حسن)
Allah ke rasool s.a.w ne farmaya:
La ila ha illa allah sab se afzal zikar hai.
-(Tirmizi, Nasai, Ibn maja, Ibn hiban, Hakim)
Ravi : Jabir
[Sahih al Jame 1104] (Hasan)
4. Touhid jahannam se nijaat ka zariya hai.
يُعَذَّبُ نَاسٌ مِنْ أَهْلِ التَّوْحِيدِ فِي النَّارِ
حَتَّى يَكُونُوا فِيهَا حُمَمًا
ثُمَّ تُدْرِكُهُمُ الرَّحْمَةُ فَيُخْرَجُونَ
(حم ت) عن جابر. [صحيح الجامع ‌8103] (صحيح)
Allah ke rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:
Ahle Touhid mai se kuch logo ko jahannam mai (aag ka) azab diya jayega yaha tak ke wo jal kar koila ho jaen ge phir unhe rehmat pale gi aur wo (jahannam se) nikale jayege.
-(Musnad ahmed, tirmizi)
Ravi : Jabir
[Sahih al jame 8103] (sahih)
5. Touhid gunahon ko mita deti hai
Allah ke rasool s.a.w ne farmaya:
إِنَّ اللَّهَ سَيُخَلِّصُ رَجُلًا مِنْ أُمَّتِي
عَلَى رُءُوسِ الْخَلَائِقِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
فَيَنْشُرُ عَلَيْهِ تِسْعَةً وَتِسْعِينَ سِجِلًّا
كُلُّ سِجِلٍّ مِثْلُ مَدِّ الْبَصَرِ
ثُمَّ يَقُولُ أَتُنْكِرُ مِنْ هَذَا شَيْئًا
أَظَلَمَكَ كَتَبَتِي الْحَافِظُونَ فَيَقُولُ لَا يَا رَبِّ
فَيَقُولُ أَفَلَكَ عُذْرٌ [أَوْ حَسَنَةٌ] فَيَقُولُ لَا يَا رَبِّ
فَيَقُولُ بَلَى إِنَّ لَكَ عِنْدَنَا حَسَنَةً فَإِنَّهُ لَا ظُلْمَ عَلَيْكَ الْيَوْمَ
فَتَخْرُجُ بِطَاقَةٌ فِيهَا أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ
وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
فَيَقُولُ احْضُرْ وَزْنَكَ
فَيَقُولُ يَا رَبِّ مَا هَذِهِ الْبِطَاقَةُ مَعَ هَذِهِ السِّجِلَّاتِ
فَقَالَ إِنَّكَ لَا تُظْلَمُ
قَالَ فَتُوضَعُ السِّجِلَّاتُ فِي كَفَّةٍ وَالْبِطَاقَةُ فِي كَفَّةٍ
فَطَاشَتِ السِّجِلَّاتُ وَثَقُلَتِ الْبِطَاقَةُ فَلَا يَثْقُلُ مَعَ اسْمِ اللَّهِ شَيْءٌ
(حم ت ك هب) عن ابن عمرو. وما بين القوسين عند (حم ك حب)
[صحيح الجامع‌ 1776] (صحيح)
Allah qayamat ke din meri ummat k eek shakhas ko tamam makhlooq ke samne hazir kare ga aur is k samne nananwe(is ke gunhahon ke) daftar rakhe jaye ge har daftar ki jasamat nazro ki inteha tak hogi phir allah is se kahe ga: kiya tujhe is mai se kisi chiz ka inkar hai? To wo kahe ga: nahii ae mere rab phir allah kahe ga : tere pass koi azar (ya koi neki) hai to wo kahe ga : nahi aey mere rab allah kahe ga kyo nahi teri ek neki hamare pass hai aur aaj tujh par zarra barabar bhi zulm na hoga phir ek parchi nikali jaye gi jis mai hoga”mai gawahi deta hu ke nahi hai koi mabood barhaq siwaye allah ke aur mohammad s.a.w is k bande aur rasool hai ” allah kahe ga: is ka wazan karo wo shakhas kahe ga : aey mere rab in dafatir ke muqable mai ye parchi kiya haisiyat rakhti hai alllah farmaye ga : tum par zarra barabar bhi zulm na hoga aap s.a.w ne farmaya : phir in dafatir koek palde mai aur is parchi ko ek palde mai rakkha jaye ga to dafatir wala palda halka aur parchi wala bhari ho jaye ga aur allah ke naam se koi chiz wazni na hogi.
(Musnad ahmed , Tirmizi, Hakim , Baheqi fi shub al imaan)
Raavi: Ibn umroo
Qousen mai jo alfaz hain wo musnad ahmed , hakim aur ibn haban mai hain.
(Sahih al jame 1776) (sahih)

5. Shirk ki mazammat aur nuksanaat
1. Shirk kabira gunahon mai se sab se bada gunah hai:
Allah ke rasool s.a.w ne farmaya :
أَكْبَرُ الْكَبَائِرِ الْإِشْرَاكُ بِاللَّهِ ..
(خ) عن أنس. [صحيح الجامع 1195]‌ (صحيح)
Kabira gunahon mai sab se bada gunah allah ke saath shirk karna hai.
(Bukhari)
Ravi: Anas [sahih al jame 1195](sahih)
2. Shirk na qabile magfirat
Allah ta-ala fermata hai:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَاءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدِ افْتَرَىٰ إِثْمًا عَظِيمًا
Allah apne saath shirk ko har giz maaf nahi kare aur is ke siwa dusrey ko jis ke lie chahe mauf kar ga aur jis ne allah ke saath sharik tehraya to is ne bohat bada bohtan andha.
[An nissa 48]
3. shirk aamal ko zaya kar deta hai
Allah ta-ala fermata hai:
وَلَقَدْ أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَاسِرِينَ
Aur aap ki janib aur aap ke pehlon ki janib wahi ki gai agar aap ne bhi shirk kiya to aapke aamal bhi yaqinan zaya ho jaye ge aur aap nuksan uthane walo mai se ho jaye ge. [al zumar 65]
4. shirk karne walo ka thikana
Allah ta-ala fermata hai:
إِنَّهُ مَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ وَمَأْوَاهُ النَّارُ ۖ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنصَارٍ
Jo allah ke saath tehraye to allah is par jannat hram kar deta hai aur is ka thikana to aag hai aur zulm karne walon ka koi madadgar nahi hota.
[al maidah 72]
5. nabi s.a w ki shifaat shirk na karne walo ko hi mile gi
Allah ke rasool s.a.w ne farmaya :
لِكُلِّ نَبِيٍّ دَعْوَةٌ مُسْتَجَابَةٌ
فَتَعَجَّلَ كُلُّ نَبِيٍّ دَعْوَتَهُ
وَإِنِّي اخْتَبَأْتُ دَعْوَتِي شَفَاعَةً لِأُمَّتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ
فَهِيَ نَائِلَةٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
مَنْ مَاتَ مِنْ أُمَّتِي لَا يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا
(م ت هـ) عن أبي هريرة. [صحيح الجامع 5176]‌ (صحيح)
Har nabi ke liye ek qubool ki jane wali duaa hoti hai magar har nabi ne apni apni dua mang li aur mai ne meri dua qayamat ke dinmeri ummat ki shifaat ke liye bacha raki hai ye in sha allah mei ummat ke har shakhas ko mile gi jis ne allah ke saath kisi chiz ko sharik na tehraya ho.
(muslim, tirmizi, ibn maja)[sahih al jame5176 ](sahih) ravi : abu hurairah
6. Shirk par marne wale ki magfirat nahi hoti agarcha wo kisi nabi ka karibi rishte dar hi ho
Saeed bin al musaib rawayat karte hai ke in ke walid ne farmaya :
Jab abu talib ki wafat ka waqat karib aaya rasool s.a.w. in ke pas aaye dekha abu jahal aur Abdullah bin abi ummayah bin mugairah in ke pass the rasool s.a.w. ne farmaya: chacha aap”la ila ha illalah ” keh dijiye mai aap ke liye allah ke pas gawahi du ga is par abu jahal aur Abdullah bin abi ummayah ne kaha: abu talib kyat um abdul muttalib ke deen se phir jao gem agar allah ke rasool s.a.w barabar in par kalma touhid paish karte rahe aur apni baat dohrate rahe yaha tak ke abu talib aakhri baat jo kahi in se kahi wo ye thi keh wo abdul mutallib ke deen par hain aur la ila ha illalah kahne se inkar kar diya. rasool s.a.w ne farmaya: allah ki qasam mai zaroor aap ke liye magfirat talab karugahatta ke mujhe mana kar diya jaye is par allah azwajal ne ye ayat nazil ki:
مَا كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ
(nabi ko aur dusrey imaan walo ko bilkul bhi zeba nahi keh wo mushrikin ke liye magfirat ki dua mange agarcha wo karibi rishtedar kyo hi na ho baa is ke keh unhe zahir ho gaya ke wo jhahannam wale hain.)[surah al toba 113]
Aur alllah ta-ala ne abu talib ke mutaliq ye ayat nazil ki :
إِنَّكَ لَا تَهْدِي مَنْ أَحْبَبْتَ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَهْدِي مَن يَشَاءُ ۚ وَهُوَ أَعْلَمُ بِالْمُهْتَدِينَ
(aap jise chahe hidayat hargiz nahi de sakte magar allah jise chahe hidayat de sakta hai aur wo hidayat walo se bakhubi waqif hai.)[surah al qasas 56]
[bukhari: kitab al jazaer: 1360 – muslim: kitab al iman :35]


Allah se dua hai ki Allah hame jab tak zinda rake Imaan aur tauhid ki haalat me zinda rakhe jab khtma kare toh tawheed ki haalat me khatma kare. Allah hame deen ki gehri samaj de. Us pe Amal karna asaan kare.

No comments:

Post a Comment