BISMILLAH
“Un Mein Se Agar Koi Bhi Kah Dey Ke ALLAAH Ke Siwa Main LaaeQ I’baadat Hoon Tou Hum Usey Jahannam Ki Sazaa Deyn, Hum ZaaLimon Ko Isi Tarah Sazaa Deytey Hain. [AL-Qur-Aan, 21:29]
WAZAAHAT: Yahi ALLAAH Ka FaisLah Hai Taaghoot Par Ke Jo Doosron Ko BuLaata Hai Ye Kah Kar Ke Main ILAAH Hoon ALLAAH Ke Siwa, Jaisey Fir’aun Waghairah.
Taaghoot Ke Liey Ba’z Sooraton Mein Zarooree Nahin Hai Ke Woh Seedhaa (direct) Ye Kahey Yaa Da’waa Karey Ke Main ILAAH Hoon, Woh Us Ke A’maL Se Saaf Zaahir Hojaata Hai,
Jaisey Murshid Loag Apney Mureedon Ko Seedhaa Tou Ye Nahin Kahtey Ke Main ILAAH Hoon Leykin Woh Apney Mureedon Ko Roaktey Nahin Un Ke Saamney Sajdah Karney Se. Aisey Loag Taaghoot Hai Kyun Ke SAJDAH SIRF ALLAAH WAHDAHOO LAA SHAREEK KA HAQQ AUR USI KE SAATH KHAAS HAI.
Is Ki Aur Aek (1) MisaaL Jo Sab Ko Jaanna Zarooree Hai Taaghoot Ke Baarey Mein Ke Jo Hakam (judge) Ka Da’waa Apney A’maL Se Kar Kar Bataaey, Woh Haakim Taaghoot Hai Kyun Ke Woh ALLAAH Ke Banaaey Hue Qaanoon Ke Bajaaey Apni Khwaahishaat Ke MutaabiQ Qaanoon Banaatey Hain, Aur Woh Cheezein Jaaez Kartey Hain Jo ALLAAH Ne Mana’ Farmaaey Hain. Jaisey: Hum Jins Ki Shaadi (same-sex marriages), Sharaab (alcohol), Ribaa (sood) Waghairah, AL-Hakam ALLAAH Ki Sifat Hai Aur Wohi AL-Hakam (The Legislator/the judge) Hai.
Shahaadah (LAA ILAAHA ILLA-LLAAH) Ka MatLab Hai Taaghoot (Doosrey Ma’boodon) Ka Inkaar Karna Aur ALLAAH Par Eemaan Laana Jo Saarey MakhLooQ Ka Paidaa Karney WaaLa Hai.
ALLAAH Ta’aaLaa Ne Farmaaya:
أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّـيْطٰنِ الرَّجِيْمِ
وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِي كُلِّ أُمَّةٍ رَسُولًا أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاجْتَنِبُوا الطَّاغُوتَ
“Aur Beyshakk Hum Ne Har Ummat Mein RasooL Bheyjey Ke ALLAAH Ki I’baadat Karo Aur TAAGHOOT (Doosrey Ma’boodon) Se Bacho.” [AL-Qur-Aan, 16:36]
Taaghoot (Doosrey Ma’boodon) Ka Radd (reject) Kiey Baghair Koi Bhi IsLaam Mein DaakhiL Nahin Ho Sakta,
LAA ILAAHA Ka MatLab Hai “Nahin Hai Koi Ma’bood”, Muraad Taaghoot (Doosrey Ma’boodon) Ka Radd (Reject), Aur Phir Hum Kahtey Hai ILL-LLAAH “Siwaaey ALLAAH Ke”. Jab Hi Insaan IsLaam Mein DaakhiL Hota Hai Aur MusaLmaan Kah Laata Hai, Tab Hi Us Ke I’baadat Ke Tamaam A’maaL Jaisey Namaaz, Zakaat, Hajj Aur Roazah QubooL Hotey Hai.
ALLAAH Ta’aaLaa Ne Farmaaya:
لَا إِكْرَاهَ فِي الدِّينِ ۖ قَدْ تَبَيَّنَ الرُّشْدُ مِنَ الْغَيِّ ۚ فَمَنْ يَكْفُرْ بِالطَّاغُوتِ وَيُؤْمِنْ بِاللَّهِ فَقَدِ اسْتَمْسَكَ بِالْعُرْوَةِ الْوُثْقَىٰ لَا انْفِصَامَ لَهَا ۗ وَاللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
“Deen Ke Baarey Mein Koi Zabardastee Nahin, Hidaayat ZaLaaLat Se Raushan Ho Chuki Hai, Is Liey Jo Shakhs ALLAAH Ta’aaLaa Ke Siwa Doosrey Ma’boodon (TAAGHOOT) Ka Inkaar Kar Ke ALLAAH Ta’aaLaa Par Eemaan Laaeyga Us Ne Mazboot Kadey (Handhold) Ko Thaam Liya, Jo Kabhi Na Tooteyga Aur ALLAAH Ta’aaLaa Sunney WaaLa, Jaanney WaaLa Hai. [AL-Qur-Aan, 2:256].”
No comments:
Post a Comment