Sunday, December 11, 2016

12 Rabbi-ul-Awwal "WILADAT ya WAFAT

BISMILLAH

Pahle hum huzur e pak sallAllahu alaihi wasallam ki "WILADAT"(paidaish)ke bare me kuch jante hai


Nabi SallAllahu Alaihi wasallam ki Youm-e-Wiladat par tareekh ka ikhtilaaf:

1) 2 Rab-ul-awal

2) 8 Rabi-ul-awal

3) 10 Rabi-ul-awal

4) 12 Rabi-ul-awal

5) 17 Rabi-ul-awal

6) 18 Rabi-ul-awal

7) 22 Rabi-ul-awal
[Al-Bidayah wal nihaya , vol 2 pg 320]

8) 9 Rabi-ul awal
[Araheek-ul-Makhtoom, page#101]


9) 5 Rabi-ul-awal
[seerat-e-Tayabba pg 76]

10) Shaikh Abdul Qadir jilani Rh.a apni kitab main 10 moharram-ul-haraam naqal kertay hain baghair kisi a'teraz kay.

[Ghuniat-ul-Talibeen, pg#392/2, Taba' Beirut, or pg#448 of publisher Naumani Kutb khana)]

11) Bani-e-maslak BARELWI, Ahmed Raza khan sahab barelwi apni kitaab Fatawa rizviya, page # 412 , vol 26 mai zikar karte hain k 8 Rabi-ul-awal Nabi S.A.W.W ki wiladat ka din hai , iske baad wafaat ka zikar karte hain k wafaat-un-nabi S.A.W.W 12 rabbi-ul-awal hai. Jub k "Malfuzaat" 220/2 likhtay hain k "Nabi s.a.w ki wiladat 12 Rabi-ul-Awwal ko hai or isi main wafaat shareef bhi hai."


- Mashhoor Mufassir or tarikhdaan Haafiz Ibn-e-Kaseer rh.a kay mutabiq tareekh-e-wiladat 8 Rabi-ul-Awwal hai. [Al-Bidayah wal Nihaya (Imam Ibn Kaseer), vol.2, pg.259-262]


- Imam Tabri rh.a or Imam Ibn Khuldun ne 12 Rabi-ul-Awwal ko ikhteyar kia.
[Ba-Hawala Rahmatulli Alameen, Allamah Qazi Sayyed Suleman Mansurpuri, Hashiah 1/40]


- Aur Imam Ibn-e-Jauzi ne apni kitab main 10 Rabi-ul-Awwal ko awwaliyat di hai.
[Alwafa Ba Hawal-ul-Mustafa (s.a.w)(154/1 taba' Ryadh)]

- jub k Maazi-eqareeb kay do azeem seerat nigaron Allamah Qazi Suleman Mansurpuri ne Rahmatulli Alameen 1/40 main aur Allamah Shubli Mumani ne Seerat un Nabi (s.a.e) 1/171 main 9 RABI-UL-AWWAL jadeed tehqeeq kay mutabiq sahih tareen tareekh-e-wiladat qarar dia hai.

- Aur Misir (Egypt) kay ma'roof Maahir-e-falkiaat or Hi'at daan Mehmood Pasha ne dalail-e-riyazi ki roo say muta'addid zaechay bana ker saabit kia hai Ap s.a.w ki wiladat ki sahih tarikh 9 RABI-UL-AWWAL hi ati hai.

["At-taqweem-ul-Arabi qablul Islam (Az Memood Pasha) pg.36-39, taba' Qatar, Hadaiq-ul-Anwar page#29, jild 1, بحوالہ محاضراتِ تاریخ الامم الاسلامیہ از خضری بک :ص۶۲]

Allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) makka ke shobe banu hashim ke andar 9 rabi ul awwal san 1, aam ul feel (haanthi ka saal) peer (monday) ke din subah ke waqt ko paida huwe
( nataijul ifhaam fi taqweemil arab qabbal islam pg 28,35, mahmood pasha falki, edition beruit)

us waqt nausherwa ke baadshah hone ka 40wa saal tha aur 20 ya 22 april san 571 ki tareekh thi, allama muhammad sulayman sahab salman mansoor puri rh aur mahsood pasha ki khoj(research) yahi hai
(20 april puraane eeswin calender ke mutabik aur 22 april naye eeswin calendar ke mutabik, dekhiye rahmatulil aalameen 1/38,39 3/360,361)

=============================

12,RABIUL AWWAL PEER KE DIN

SUB'HA SADIQ KE WAQT 4:45 BAJE 20,APRIL, 571 KO MAKKA SHARIF ME HUI

(MADARIJUN NABUWAT Jild 2,Safa 14)

Agar cheh WILADAT k mamlay mai sab se sahih rivayat 9 rabbi-ul-awal hai , leken tamam rivayat mai shadeed ikhtilaf hai.



Ab huzur e pak sallAllahu Alaihi wasallam ki WAFAT ke bare me;


Allah taala ne rasool akram sallalaho alaihi wasallam ki zabaan e aqdas se ye elaan karaya ke

" kah do ! bila'shubah meri namaz, meri qurbani, meri zindagi, aur mera MARNA allah ke liye hai jo tamaam jahaano ka rabb hai "
(surah anaam 163)

in aayaat ne rasool akram sallalaho alaihi wasallam ke baare me waazeh kar diya ke rasool akram sallalaho alaihi wasallam ko bhi maut aane waali hai .


MAUT AA GAYI:
phir wah waqt aagaya jab in irshad rabbani ke Mutaabik rasool akram sallalaho alaihi wasallam par bhi maut ka waqt aa pahuncha,


AAKHRI PAL

US WAQT ALLAH KE RASOOL (SAW) JIS BECHAINI AUR DARD KE SHIKAAR THEY, USE DEKH KAR HZ FATIMA(RA) BE-AKHTIYAAR PUKAAR UTHI "HAAY ABBA JAAN KI TAKLEEF !"

AAPNE FARMAYA, "TUMHARE ABBA PAR AAJ KE BAAD KOI TAKLEEF NAHI"
BUKHARI 2/282

IDHAR HAR WAQT TAQLEEF BADHTI JAA RAHI THI , AUR US ZAHER KA BHI ASAR ZAAHIR HONA SHURU HO CHUKA THA, JISE AAPKO KHAIBAR ME KHILAYA GAYA THA,

AAP HZ AISHA(RA) SE FARMATE" AIY AISHA(RA)! KHAIBAR ME JO KHAANA MAINE KHA LIYA THA, USKI TAKLEEF BARABAR MAHSOOS KAR RAHA HOON, IS WAQT MUJHE MAHSOOS HO RAHA HAI KI US KE ZAHER KE ASAR SE MERI RAGEN(VEINS) KATI JAA RAHI HAIN

(WAHI,2/637)


PHIR KOMZORI( WAFAAT SE KUCH DER PAHLE KI) SHURU HO GAYI AUR HZ AISHA NE AAPKO APNE UPER SAHARA DEKAR TEIK LIYA,

UNKA BAYAN HAI KI ALLAH KI EK NEMAT MUJH PAR YAH HAI KI "ALLAH KE RASOOL NE MERE GHAR ME MERI BAARI KE DIN ME LABBE AUR SEENE KE DARMIYAAN WAFAAT PAYI AUR AAPKI MAUT KE WAQT ALLAH NE MERA LUAAB(SALIVA) AUR AAP KA LUAAB EK(JAMA) KA DIYA.

(WAHI,2/637)

HUWA YAH KI ABDURREHMAN BIN ABU BAKR(RA) AAPKE PAAS TASHRIF LAAYE, UNKE HAATH ME MISWAK THI, AUR MAIN ALLAH KE RASOOL KO TEKE HUE THI,MAINE DEKHA KI AAP MISWAK KI TARAF DEKH RAHE HAIN, MAIN SAMAJH GAYI KI AAP MISWAK KARNA CHAHTE HAIN, MAINE KAHA, AAPKE LIYE LE LUN?

AAPNE SIR SE ISHARA FARMAYA KI, HAAN!

MAINE MISWAK LEKAR AAPKO DI, TOH AAPKO SHAKT MAHSOOS HUI, MAINE KAHA ISE AAPKE LIYE NARM (MULAYAM) KAR DUN?

AAPNE SIR KE ISHARE SE KAHA , HAAN!

MAINE MISWAK NARM KAR DI AUR AAPNE BAHUT ACCHI TARAH MISWAK KI, AAPKE SAAMNE KATORE(BOWL) ME PAANI THA ,AAP PAANI ME HAATH DAALKAR PONCHTE JAATE THEY AUR FARMATE JAATE THEY " ALLAH KE SIWA KOI MABOOD NAHI, MAUT KE LIYE SAKHTIYAN HAIN"

BUKHARI 2/640


MISWAK SE FAARIG HOTE HI AAPNE HAATH YA UNGLI UTHAI, NIGAAH CHHAT(ROOF) KI TARAF BULAND KI AUR DONO HONTHON PAR KUCH HARQAT HUI,

HZ AISHA(RA) NE KAAN LAGAYA TO AAP FARMA RAHE THEY," UN NABION, SIDDIQON, AUR SHAHIDON KE SAATH, JINHE TOONE INAAM SE NAWAAZA, AIY ALLAH MUJHE BAKHS DE, MUJH PAR RAHAM KAR, AUR MUJHE RAFEEQ-E-AALA ME PAHUNCHA DE, AIY

ALLAH! RAFEEQ-E-AALA,
(WAHI,BUKHARI BAAB MARJUNNABI BAAB AAKHIRU MA TAKALLAMANNABI 2/638-641)


AAKHIRI ALFAAZ 3 BAAR DOHRAAYA AUR USI WAQT HAATH(HAND) JHUK GAYA AUR AAP RAFEEQ-E-AALA SE JAA MILE,

INNA LILLAHI WA INNA ILLAIHI RAAJIUN

YE WAQEYA 12 RABI-UL-AWWAL 11 HIJRI DIN SUMWAAR(MONDAY), CHAST KE WAQT HUI, US WAQT AAP KI UMR(AGE) 63 SAAL 4 DIN HO CHUKI THI

YE BAYAN SAHIH HADITH KI ROSHNI ME " AR-RAHIQ-UL-MAKHTOOM" SE LIYA GAYA HAI,.....

ye baat 100% sach hai ke Allah ke rasool sallAllahu alaihi wasallam ki wafat ho chuki hai .

jo log 12 rabbi-ul-awwal ko wiladat ki khushi manate hain wo musalman nahi ho sakte q k wiladadat yani eid e milad manane wala allah ke rasool saw ki wafat ka inkar karta hai, aur wafat ka inkar karna yani ke quraan w hadees ka inkar karna hain ..

aur quraan w hadees ka inkar karne wala muslman nahi ho sakta ...


Allah pak hum musalmano ko sahi aqeede par rakhe aur sahi tarike se deen e islam par chalne ki toufeeq de...

AAMEEN YA ALLAH

1 comment:

  1. 12 Rabi ul Awwal Wisaal Ki Taarikh Haii Iski Sahih Hadees Sanad Ke Saath Pesh Karo

    ReplyDelete