Sunday, January 29, 2017

Fitna e Dajjal se kya Murad(matlab) Hai


Arabi zaban mein Dajjal ke mayne hote hai 'Fareb' ke.Kisi shay(element) ki haqiqat me koi aur parda dal dena .Is sey lawz-e-dajjal bana hai yani bhut bada 'dhokebaz',jab yeh kisi insan ke liye istemal hoga tab uske mayne honge 'Behrupiye' ke.

Yeh lawaz Quran majeed me kahi nahi aaya.Na fitna e dajjal ka zikr aaya hai.Han hadees mein'Fitna e dajjal' ka zikr bhut bar aaya hai,uskey aane ka ,uski qualities ka ,uski halakat ka ,khas toor par Huzur(saws)ki hidayat hai '

Joh insan Surah Kahaf padta rahega woh fitna e dajjal ke asar se mehfooz rahega'
(Muslim).


Joh insan surah kahaf ki shuruwati ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahegi
(Dawood).


Joh insan surah kahaf ki akhiri ayat padta rahega woh fitna e dajjal se mehfooz rahega
(Nasai).


Huzur(saws)ne farmaya ke Surah Kahaf insan ko fitna e dajjal sey mehfooz rakhney mein mufeed hai.
(Muslim,Tirmizi,Dawood,Maza,Nasai,Ahmad)

Quran ki roshni mein hum jab dekhte hai tab hume pata chal ta hai sabse bada Dajjal yeh 'duniya' aur 'duinya ki zindagi' hai ,Isliye k is Duniya ne Akherat(Day of Judgement) me parda dal diya hai.

Quran bar-bar kehta hai 'Yeh duniya ka saman siway dhokey ke aur kuch nahi'
(Quran).


Jis insan ne apni puri mehnat ,strength,duniya mein laga de aur akherat se gafil raha woh samgho is Dajjal ke fitne mein giraftar ho gaya.Aur uskey liye Duniya-Azab-E-Ilahi ka reason ban gayi .Khas tuar par duniya ka 'Glamour' bad ta ja raha hai, Duniya mein jitni material chamak-damak hai,Nazar ko lubhane wali chamak hai yeh chamak jitni badegi Dajjaleyat utni he badti chali jayegi.

Kafir joh haqeqatan kafir hai chaye naam uska muslim ho uski pechan yeh hai uski sari mehnat ,struggle,duniya ke liye hai ,duniya ka Aaram,Luxury etc .

Yeh hi wajah hai jab hum surah kahaf par ghor karte hai,Aur hamarey Huzur(saws) ne bhi Surah Kahaf ki shuruwati aur akhiri ayat padne ko kaha hai.

'Aur jo cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai. (Surah 18 Ayat 7,8)

Yani duniya ki sajawat,glamour,Aaj joh west mein apni inteha ko puhunch chuka hai.Aap andaza kijeye waha zindagi kitni dilkash hai,kitni chamak damak hai .Is qadar wah Uuchi-Uuchi Imaretey hai,Aadmi sab bhool jata hai.

Farmaya
'Taki hum aazmaey ke kuan accha amal karta hai,Kiya tum duniya hi ke andar gum ho jate ho,magan ho jate ho Aur hume bhool jate ho? Duniya se mohabbat kartey ho?Bus yeh imtehan ka ek 'peroid' hai,Aur is period mein hi Insan ki kamyabi aur na kamyabi hai.Duniya mein rehte hue duniya se dil na lagana ,Duniye se mohabbat na karna .Isey sirf zindagi guzarne ki leye zariya(means) samaghna ,Asal mehboob ,maqsood Allah ho jaye,Akhirat ki zindgi asal maqsood ho ,fhir farmaya''Aaj tum is zameen par jo dekh rahe ho kal hum isey chateyal maydan bana dengey jasey koi fasal kat di jaye.
(Surah 18 Ayat 8).


phir Allah age farmatey hai 'Aay Nabi (saws) 'In sey kahiye kiya hum tumko bataye ke apney amal ke aithbar se, apni mehnat ke aithbar se,apni koshish ke aithbar se sabs sey zyada dhokey mein kuan hai? Jinki bhag-dor ,mehnat,duniya hi ki zindgi mein gum ho kar rah jaye,duniya mein .....? 'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'...

Ye wah log hain,'Jinki puri koshish duniya hi ki zindgi me barbad ho kar rahi ,or wah apney ap ko yahi samjhtey rahey ,ki wah achey kam kar rahe hai
(Surah 18 Ayat 103,104)

Lekin Insan ye samjh raha ho ke mein bhut kamyabi pa lee,maine fala factory bana li,mera capital pehle se bhut zyada ho gaya? etc

Or insan ye soche k ye sari hamari success hai ,halaki asal aithbar se ,akherat k aithbar se 'yeh log woh hai jo apni mehnat k aitbar se sabse zyada dhoke me hai?

Quran majeed ke mutabik yeh duniya aur uske glamour 'SAB SE BADA DAJJAL HAI'.Insani zindgi ka asal Dajjal yeh duniya hai .Hamara asal ghar yeh duniya nahi hai .Jab insan is duniya mein hi gum ho jaye aur woh bhool jaye ke 'Hum sab Allah ke hai aur uski taraf wapas palat kar jane waley hai'
(Surah 2 Ayat156)

Jab insan duniya ka ashiq ho jaye tab duniya Dajjal ban jati hai,Huzur(saws)ne farmaya'Duniye kehti hai jismey bogey to akherat me katogey'.Duniya Darul Imtehan hai

Aaeyeh aab Hadees e Rasool(saws) ki taraf aanyeh hadees mein 'Dajjal' ka lafz 'singular noun '(ek wachan)mein bhi aaya hai Aur 'Dajjalon'yani plural noun (bahu wachan) mein aaya hai.Plural noun mein kai hadees hai joh aayi hai,jin mein yeh farmaya gaya hai 'Ke Qiyamat kayam nahi hogi jab tak 30 dajjal payda na ho jaye ,Aur woh sab ke sab yeh kahengey ke hum Allah ke rasool hai ,halaki Allah ka akheri Nabi mein hu aur mere bad koi Nabi nahi ayega
(Tirmizi)

Huzur ke zamane hee mein hume pata chalta hai ke 4-5 jhutey nabi kharey ho gaye thaey ,Halaki woh jhutey nabi mar deye gaye.Waqt-Waqt mein kai logo ne asa kiya eg Bahaullah(Irani),Gulam ahmed qadeyani etc etc.Is silseley ka akheri jhoota nabi joh akheri hoga woh yahood sey hoga aur maseeh(christ) honey ka dawa karega.Yeh toh thaey woh 30 dajjal .Lekin ek aur hai joh hai Dajjal-Ul -Akbar yani sab sey bada dajjal jokey 'Kanha Dajjal' ke naam se mashoor hai.Yeh woh hoga joh khudai ka dawa karega insan ke paas duniya ki bhut badi takat hogi woh 'natural forces' tak ko apney control mein kar lega woh kahega mugh par imaan lao.Mughey sajda karo insan ki bhut badi tadad usey khuda manegi .Hadees shareef mein ata hai 'Ke Momin insan jab apney ghar se niklega toh yeh samghey ga mein momin hu lekin jab woh dajjal apney karishmey(chamatkar) dikhlayega toh momin bhi us dajjal ke sath ho jayengey Aur 'kufr' karengey Allah ka.Ek aur hadees shareef mein aaya hai Allah ke Rasool(saws) ne farmaya hai ke 'Hazrat Adam(as) ki paidaish se lekar Qiyam-E-Qiyamat tak koi fitna itna bada nahi hai jitna us Dajjal-Ul-Akbar ka hoga(Muslim).Ek aur hadees mein Huzur (saws)ne farmaya hai 'Ke koi aasa Nabi nahi guzra hai jisne apni ummat ko us andhey Dajjal se kahabrdar na kiya ho,Tume sun rakho ke woh kana(blind from one eye) hoga,Aur tumhara rab hargiz kana nahi hai.(Bukhari)Yani Allah aur Dajjal mein farq sirf ek anakh ke kane hone ka hai ,usey Allah itna power dengey ke log usey Allah smaghne langegey.Ek aur hadees mein aya hai ke'Uski dono aankho ke beech mein likha hua hoga Kaaf-Faa-Raa.
(Bukhari&Muslim).

Ek aur hadees mein aya hai ke yeh alfaz uskey mathey(forehead) par likhey hue hongey usey har momin pad lega ,chaye woh pada likha hoga ya nahi ,Iska matlab kuch nishaniya aeysee hongi uskey sath ke jisey uski peshani mein alfaz padney ke liye pada likha hona zaruri nahi hai.Usko natural forces mein itna kabza ho jayega..Ke Hadees mein aata hai''Woh puri duniya mein fhir jayega aur koi ek dariya bhi nahi chorega sirf 40 din ke andar-andar.(Dajjal ke liye fasla bemani ho kar rahjayega uski raftar itni tez hogi jasey koi tufaan badal ko liye jaa raha ho aur zameen ki koi basti nahi bachegi jismey woh 40 din ke andar fhir na jaye.

Hazrat Ali(raz) ki riwayat mein aya hai ke 30-30 hath lambey uskey kan hongey fhir yeh ki uski raftar itni tez hogi ek kadam Mecca mein hoga toh dusra Syria mein hoga). Aur uskey gadhey(sawari) ke kano ke darmiyan fasla 80 hath ka hoga.Teesri baat yeh ke uska joh gadha hoga uski ek taap aur dusri taap ke darmiyan fasla hoga jitna ke insan ek din aur ek raat mein tay karta hai.
(Muslim)

Ek aur hadees mein aya hai 'Ke woh pukarega(baat karega,address karega)asee awaaz sey jisey sunegey tamam mashriq(east) aur magrib(west) le lo
(Ahmed)
Ek aur hadees mein aya hai ke zameen ke sarey dariya (nadi,naley)yeh sab uskey hukum ke tabey kar diye jayegey,Aur joh kuch uskey pani se ugta hoga woh bhi uskey kabzaey-kudrat mein hoga ,woh hukum dega asman ko toh woh barish barsaega Aur zameen ko hukum dega toh woh apney andar sey fasal nikalege aur jab woh aasey veeran jagah se guzrega toh usey hukum dega aapney khazaney nikalo ,Toh zameen apney khazaney nikal kar Dajjal ke sath chal padegi .Uski ek alamat yeh bhi bataegayi hai ke uskey andar Ilaj karney ka aur bimariyo ko shiwa dene ka bhut badi malka paida ho jayega,Yani paidashi Andho ko roshni aata karega aur joh kori(leprosy)hai unhey achha karega,
murdoy ko zinda karga.(Ilaj ke joh alwaz Quran majeed mein Hazrat Isa(as) ke liye aaye hai same wasey hee alfaz dajjal ke liye aaye hai jasey Quran mein Isa(as) kehtey hai
'Mai paidaishi andho ko accha karta hu ,aur koriyo ko sirf hath fher kar achha kar deta hu aur murdoy ko zinda kar deta hu.Yahi kudrat dajjal ko bhi hasil hogi.)

Yaha tak farmaya ek aadmi ko woh aarey se cheer kar 2 hissoy mein alag-alag kardega aur dono hissoy ke beech mein chalega jissey pata chal jayega ke is mein gap paida ho chuka hai,fhir un dono ko jod kar ek zinda insan bana dega .

Dajjal ka ek aur karishma yeh hoga ke uskey sath asey shayateen jin hongey ke jinki surtaein hongi un logo jasi jo mar chukey hai(kisi insan ke baap,bhai maa etc)Woh log jinhe ek insan pechanta ho.Aur un mein se ek shaks aayega apney baap ke paas aur kahega kiya mein tumahra baap nahi hu ,kya mein tumahra bhai nahi hu ,kya tum mughe nahi pechantey .Is ka nateja yeh hog ke kufr bhut badey pamaney mein faal jayega.

Majority us paar imaan layegi ,usey khuda manegi ,usey sajda karegi ,uski parshtish karegi.Ek aur hadees mein aaya hai ke dajjal jab niklega uskey sath pani bhi hoga aag bhi hogi ,woh cheez jisey log pani deykah rahe hongey woh aag hogi joh bhasam kar ke rakh degi aur jisko log samgheygey aag hai woh paani hogi woh dhanda mein hoga meeta bhi hoga toh huzur(saws)ne farmaya tum mein sey joh bhi usey paye 'toh us cheez ko ikhteyar karey jisko woh dekh raha hai ke woh aag nazar aa rahi hai isleye ke woh paani hoga
(Bukhari&Muslim)


Aab hum zara in hadees'o ka analysis kartey hai 'Jaha tak shaks Dajjal hai woh abhi nahi aaya ,Lekin kyo ke khabar de hai Hazrat Muhammed(saws) ne ke asa ho kar rahega ,Yeh tha ek individual(Dajjal) ke barey mein hai ,
Aur jaha tak sawal hai Fitna e Dajjal uskey asrat hamarey samaney hai .Aap dekhe ke duniya mein science aur technology kis inteha ko pucah gayi hai.Insan ke kadam chand par par chukey hai .

Fasley khtam ho gaye hai .Agar aaj 'Obama' speech karey toh puri duniya usey ek sath dekh sakti hai sun sakti hai.Isetarah joh Information technology hai uskey kitney karnamey hai .

Hawai-Jahaz asal joh kaha gaya hai 'Dajjal' ka gadha Woh aaj ka Hawai-Jahaz hai.Aaj se 1440 sal pehle in sab scientific discovery ke barein mein bataya jata toh in alwaz ke siwa aur koi surat nahi thi inhe bayan karne ki. Huzur(saws) agar us waqt Hawai-Jahaz ka taskira(explain) kartey toh log ko kase samagh aata,us waqt insan gadhey ki sawari karta tha aur aaj 'hawai-jahaz ' insan ki sawari hai.

Uska joh gadha hai woh hamara Hawai-Jahaz hai aur joh hawai jahaz ke radar hotey hai yeh bilkulunke wings ke end mein hotey hai,yahi unke kan hai jis sey unhe maloomat hasil hoti hai ,Unki lamabai chorai kitni hai .

Hawai jahaz ki Raftar kitni tez hoti hai.
Aur aaj hume pata hai ke 'Din-Raat' ka joh safar hai usesey hum puri duniya cover kar saktey hai.

Aaj deserts jaha kahi kuch paida nahi hota tha Aaj yeh haal hai ke Saudi Arabia khud wheat,rice export karne laga hai.Ise tareeke se 'Clonning' ka mamla hai ,Human clonning ki Ijazzat abhi nahi hui hai ,Kisi murdey shaks jism sey ek cell nikallegey usey treat karengey aur ek insan banadengey.

Jasey Dajjal ki hukumat puri duniya mein kayam ho jayegi .Aaj humey pata hai puri duniya 'Unipolar' ho chuki hai America jo hai,jis tareekey se woh puri duniya ko control karna cha raha hai.

New World Order(N.W.O) ke tehat jaisey 'Golbalisation' ho raha hai,World bank ,IMF puri duniya ka finance control kar rahi hai .WTO ka agrements 'Trips' se ho chuka hai.Genetical engeneering sey naya beech(seeds) paida kiya hai ,Ek chawal ki paidawar hoti hai usey pehley bhut kam chawal milta tha.

Aab bhut zyada ho raha kyo ke unhoney beech(seeds) ke andar 'genetical engeneering'ki hai ke woh zyada padawar de rahe hai ,Yeh joh zyada paidawar ho rahi humne iskey leye joh kosish ki hai ,Research ki,Science develop ki hai lehaza us ka fayeda hume puchna chayeyeh Ayenda beech hum se logey ,Aur beech bhi woh dengey jis sey el fasal toh hasil ki ja sakegi lekin fasal ko beech ki shakal mein istemal nahi kiya jaa sakega .

Jasey ke humey maloom hai joh andey(eggs) aaj kal bazar mein biktey hai
usey hum choozey nhai nikal saktey Duniya ka galamour asa bada ke insan duniya ka gulam ban kar rah jayega .

'Dajjal' fitna ka preface aa gaya hai kisi bhi din jasey Huzur(saws) ne farmaya hai ke koi Asa shaks khara ho jayega Aur woh khudai ka dawa karega aur asey asey karishmey dekhaega ke log usey khuda manegey.

Joh cheezey kabhi 'Rasool'o' ke mojzey se hoti thi,Woh insan kudrat('Forces of nature,Univeral forces') par kabu paa kar khud karne lagega.

Ek Aur Alamat yeh batai gayi hai ke'Us Fitney ke dono Aankho ke beech mein likha hua hoga KAAF-FAA-RAA.

Yeh alamat(symbol) hai is majuda tehzeeb ki ,Matrialism ki,Allah ke inkar ki,Akherat ke inkar ki ,Rooh ke inkar ki

Ek aur hadees mein yeh aya hai ke 'Khuda ki kasam jab waqt ayega ek shaks hazir hoga Dajjal ke paas aur woh shaks apney aap ko momin samghta hoga lekin joh shubhat(shak) is fitney ki wajah se paida ho jayengey ke woh bhi usiki parwi karengey..

Aaj aap khud dekh lejeye kitno ko imaan ki hasiyat hasil hai ,hamari values kiya hai ,wohi material culture hamara bhi hai ,hum samghtey zaroor hai apney aap ko musalman ..Lekin??
Upar ek civilization hai Aur uskey mathey par likha hai KAAF-FAA-RAA.(yani kufr)

Ek aur hadees mein aya hai 'Dajjal ke sath kuch shyateen hongey aur woh logo ko dhoka denge yeh kehka ke hum rooh hai tumhare marey hue logo ki woh logo ko kuch nishaniya bhi batayengi jis sey log man langey.

Dajjal ke sath shaytano ke lashkar hongey woh shaytan jinn nazar toh nahi aayengey darasal woh jinn uske walid se awaz bana kar batein karengey woh samghegey hamarey walid ki rooh bol rahi hai halaki woh jinn shaytan hoga yeh sarey kam europe ,america mein bhut sare kam asey hotey hai,arwah ko bulana,hadees sey malom hota hai woh arwah nahi hongi woh shaytan e jinn hotey hai joh aakar guftugu karte hai woh is tarah sey guftugu kartey hai ke log samagh batey ke wakai merey baap se guftugu ho rahi hai.

AUR AB HUM DEKHTEY HAI ISKA KHAS TALLUK AURTO SE KIYA HAI...
Hadees mein aya hai 'Ke sabse akheri mein joh dajjal ki taraf ruzu karengi woh aurtein hongi ,Yaha tak ek Banda e Momin bhagega apney ghar ki taraf aur apni maa ko .apni beti ko,apni behan ko ,
aur apni phupi ko bandey ka rassiyo sey kahi yeh dajjal ke peechey na nikal jaye ,Ek aur hadees mein ata hai ke sabsey zyada kaseer tadad mein is fitney ki taraf joh badegi woh aurtein hongi,
Yaha tak ek banda e momin apney ghar mein wapas jayega apni maa ko apni behan ko apni phupi ko bandhey ka rassiyo se is khuaf se kahi woh nikal kar dajjal ki parwi na karne lage
(Musnad Ahmed).

Is fitney ki taraf akheri pesh kadmi ho chuki hai .
Joh kuch ho raha hai shariat ka mazak udaya jaa raha hai.Islam ka mazak udaya ja raha hai,Femenism,Liberalism ke naam par 'Aurton ki azadi' ke naam par jo kuch ho raha woh kisi se chupa nahi hai,Bepardagi, Television ,newspaper etc mein hum sab dekh sakte hai .Shareef insan har man chuka hai.

Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahunga aur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.

Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhi hai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...And (remember) when We said to the angels; "Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan).

 He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord. Will you then take him (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What an evil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).
(surah 18 ayat 50)

Yeh jis mein ek taraf Allah ke neak bandey hai unhe farishto ke support hasil hai dusri taraf shytan aur uskey agent hai.Aur yahudi sabse bade shytan ke agent hai yahudi apni makkariyon se christian ko apna gulam bana liya hai.Aur in logo ne 'Shirk' ko sabse zyada faylaya..Shaytan aur apney agent ke zariye.

Allah farmate hai 'Ke Mai 'Shirk' ko toh hargiz maaf nahi karunga'.
(Surah 4 Aayat 48& 116)

INSANI ZINDAGI Ke 3 LEVEL HOTE HAI .

1. FAMILY{Mard+Aurat -- khandan}

2. FINANCIAL ASPECT.

3. CONCEPT OF'STATE'

(Concept of state is 200 yrs old).Is duniya mein burai ki sabsey badi takat iblees hai ,iblees aur adam(as) ka mamla Quran mein 7 suraton mein aaya hai.Quran mein aaya hai ke 'Shaytan kasam kah kar keh chuka hai ke 'Mein Adam ki aulad ko gumrah kar ke rahunga aur tu dekhe ga in mein se aksar(majority) tere shukar karne wale nahi payega,
Mughe mohlat dey mugh par mouat tari na hi us din tak jis din yeh jama kiye jaye (Qiyamat tak)Allah ne kaha tughe mohlat de 'Lekin mere khas bando par tera zor nahi chalega(yani Allah ke khas bandey shytan ke shar se bach jayengey ),Mere bando par tera koi ikhteyar nahu hai,Tu unhe sabs-baag dekha sakta hai temptations de sakta hai tu unpar zabrdasti nahi kar sakega.

Insano ka sabse bada dushman shyatn hai uska mission hi insano ko gumrah karna hai,uskey cheley(agent)insano mein bhi hai aur shytano(jinn)mein bhi.Yeh sab shyatano ki taraf bulatey hai,gunah ki taraf,behayai ki taraf,insani soverienty ki taraf...And (remember) when We said to the angels; "Prostrate to Adam." So they prostrated except Iblîs (Satan). He was one of the jinns; he disobeyed the Command of his Lord.


Will you then take him (Iblîs) and his offspring as protectors and helpers rather than Me while they are enemies to you? What an evil is the exchange for the Zâlimûn (polytheists, and wrong-doers, etc).

 'INDIVIDUAL AND SOCIETY'
1.Pehla pehlu joh family ha woh itna purana hai jitna khud insan hai.Aur yeh Quran ka sabse zyada pasandeeda subject hai.
Insani zindgai ka yeh level hadees shareef ki roshni mein sabse akhir mein kharab hoga.Hadees e Rasool(SAWS) ke alfaz hai 'Auratein is fitne ke taraf sabsey akhir mein ruzu karengi'.

2.Dusra level hai 'Finacial level' aur isko shytan ke agent puri tarah tabah kar chukey hai .Interest,Gambling ,shares ke zariye
{speculation = gambling = manipulation}IMF(International Monetary Fund),World bank ke zariye woh puri duniya ko control kar rahe hai

Pehle angrez hum par direct raj karta tha ,aaj in 'bankS' ke zariye woh hume apna gulam bana chuka hai.

Islam ka 'financial system' aaj puri duniya se gayab hai .Puri duniya Fitna e Dajjal mein fas chuki hai.Christian bhi Interest ko haram mantey thaey,Pope-Roman Catholic sect ki sabsey highest authority hoti hai aur jab tak yahudiyo ne 'protestant' sect nahi banwaya tha tab tak 'pope' ka control hota tha purey christian world mein.
Lekin jasey hee 'protestant' sect kayam hua wase hee 'Bank Of England'(estblished in 1694 )bani ..

phir ye lanat (Interest) puri duniya mein fhaal gayi jiskey zariye 'exploitation' ki inteha par ho gayi.

Huzur(saws) ne farmaya 'Sood(interest) itna bada gunah hai ke agar iskey 70 hissey kiye jaye toh iska ek hissa itna bada gunah hai ke koi apni maa ke sath zina karey).Interest se 'distribution of wealth' bigad jata hai,gareebi bad jati hai.Socho hum 'banks' sey kitna bache hue hai.Agar hum bank se interest nahi lete toh kiya bank hamarey paiso se interest nahi kamatey kiya?

3.Teesra Concept hota hai 'State' ka .Yahudiyo ko 'Europe aur England' mein koi position hasil nahi thi 'christianity ' ke chaltey .

Christian Jesus(pbuh) ko (Nauzobillah) Allah ka beta kehte hai aur Yahoodi Jesus(pbuh) ko kehte hai ke iske 'baap' ka pata nahi hai,Dono community mein itna bada difference tha jiske chalte 'yahoodi'o ' ko 'europe aur england' mein koi haseyat hasil nahi thi,unhe kuch asa karna chaye tha jise yeh museebat hamesha ke liye khatam hojaye .Aur yahudiyo ne kiya bhi kuch asa pehli baar duniya ko unhone 'secularism' ka concept diya.Yahudi pichley 500 salo sey is ko hasil hua.

Democracy (Govt of the people,by the people,for the people).'Representative of the people' Yani 'Janta key numayendey' joh chaye kanoon banaye.

Woh homosexuality,gambling jisko chaye lagu kar waye.

Secularism mein logo ko apna-apna mazhab manne ki ijazat hoti hai 'State 'ka koi mazhab nahi hota .Jiska matlab hai Allah,God,Malik ki koi hasiyat nahi,God ko kinarey karo, Hum azad hai God Ya Allah yeh naam masjid,mandir,church tak rahe .'Insan joh chaye karey,insan homsexuality,gayism ,living relationship etc etc.

Jisko chaye ijazat dey.IS SEY BADI ALLAH KI NAFARMANI AAJ TAK NAHI HUI.YEH TOH WOHI BAAT HAI JOH 'FIRUAN NE KI THI ' MEIN HU YAHA KA RAAB.(sURAH 43 Aayat 51). I DONT CONSIDER ANY AUTHORITY ABOVE ME.IS SEY BADA AUR KIYA SHIRK HOGA.

Aaj 'America' ki yeh halat hai ke kuch saal pehley American President 'Clinton' ne kaha tha 'Aaj America ki majority haramzadoy ki hai ' uske alfaz thaey 'Born without wedlock'.Quran jis khandani system ki baat karta hai usmey 'Haya ,izzat,issmat' hai.Quran Auarato'n ki hifazat ki baat karta hai.Aur is 'fitne' ne aurat'o ko zaleel kar ke rakh diya.

Sahaytano ke agento ne 'International Conference' karwayi hai apna maqsad hasil karne ke liye Aur isko naam diya hai 'Social Engeneering'(matlab yeh family system sahi nahi hai ,society ki imarat galat buniyaado par khari hai iski engeneering hum karengey)Aap ko 'Kahira Conference'(1994), Beijing Conference(1995)Aur akehri jo US mein 9 June 2000(U.N Assembly) mein hui thi yaad hogi .
Pehle conference 'Egypt' mein hui aur dusri 'China Beijing + 5 'mein kyo unhe 'Asia' ka gheyraw karna hai.Abhi 'Asia' mein 'Khandani nizam' baki hai.Is social engeneering program ke yeh point thaey..

1. Jisam faroshi(prostituism) ko izzatdar pesha karar diya jaye aue isey bura na mana jaye.

Jasey insan apney kisi na kisi body part ko isteymal karta hai paisa kamaney ke liye wasey hee yeh bhi hai.
Homosexuality should be considered normal orientation bcoz everyone has a different taste.Yaha tak inki shaadi bhi ho sakti hai.

2. Aurat aur mard barabar hojaye 'Virasat' aur 'Talaq' ke mamle mein.

3. Aurat ghar ka kaam karne ke liye paband nahi hai aur kaam karne ki salary maang sakti hai.Agar aurat chaye toh 'pregnancy'ki taqleef ke chaltey mana kar sakti hai bacchey ki paidaish ko.Aur chaye toh 'relationship(sath mein rahney ka), pregnancy' ka muafza mang sakti hai U.N.O is working for the attaintment of these principles.

Is Dajjali Fitney ne 3rd aur 2nd level 'Insani zindagi' ka pura gira diya hai .Aab 1st level joh bacha hai uska number hai.Shaytan ke agent isey pura karwaney ke liye koshish kar rahe hai.Charter bana rahe hai ..Aur joh mulk bhi inki nahi manega un par yeh 'sanctions' laga deygey .Jasa inhone 'Iraq aur Afgahnistan' mein kiya.

'Huzur(saws) ne farmaya hai 'Ke Dajjal ka rizk ke khazano par itna kabza ho jaye ga ke joh kufr karega sirf usko dega'.

Momino ke liye yeh waqt bada takleef hoga.1ST level ko tabah karne ke liye shaytan ke agent ne,'Femenism,Liberalism,Women Reservation 'etc ka sahara liya hai.
Yani kisi bhi tareeke se aurat ko ghar ke bahar nikalo.

YEH FITNA ITNI SHIDDAT KE SATH AA CHUKA HAI.HAMARA YEH FARZ BANTA HAI KE HAMREY PAAS JITNI TAKAT HAI HUM ISEY KHUD BHI BACHEY AUR LOGO KO BHI BACHAY.

'Globalisation Of Westernisation'aaj puri duniya ka ho chuka hai.Isey Hazrat Isa(as) hi khatam kar payengey .

Hum aur hamari aulad ko deen par kayam rakhna itna hee mushkil ho jayega jaisey dhaktey huey angarey ko hath mein lena.
Padai(studies) woh hona chaye jis sey Imaan badey.Aaj joh bhi padai ho rahi hai usey is 'Fitney Hi Ko Serve' kiya ja raha hai'.'
 Even Technology is serving Multinational companies and Capitalists'.'Some are big some are small servant .
'Lekin Gulami toh Gulami hai.Aap M.A. In Language, M.A in social sciences (Arts,economics,histroy,poltical science,philosphy,psychology.)kar saktey hai taki kam sey kam is system mein involve ho.
Yeh zaroor hai ke MBA,Engneering,C.A.etc karengey toh badi achi job mil jayegi lekin hoga kiya woh inhi yahoodi 'Firmo,Multinational companiyo' ki chakri karengey. M.A karney kisi college mein lecturer lagegey aane wali naslo ka zahan tayyar kar sakte hai,In 'Social science' jais political science etc mein har cheez galat nahi hai hum dekhengey ke islam ki taleem in mein kitni hai hum usey kis tarah fayeda uda saktey hai,kaha tak hum unhey behta bana saktey hai.

Hum kahne-peeney ke liye zinda na rahey balki zinda rehney ke liye kahaey-peeyeh.Insan asani se guzara kar sakta hai,sadgee se bhi zindagi guzar jaati hai.Kitney asey badsaah guzrey hai joh apney haatho sey topiya sil kar,Quran likh kar apni zindgi chalatey thaey.

Baitul Maal(National Reserve) sey ek paisa bhi nahi letey thaey.Yeh hamara lalach hee hai joh humey muthmaeen nahi karney deta.
Warna wakeyah yeh hai zindgi guzar ney ke liye jin cheez ko zaruri samagh thaey hai,unmey sey aksar zaruri nahi hai,jasey badey-badey makan ho,bhut keemti usmey furniture ho,decoration ho,lekin hum bhool jatey hai 'In makano sey hume char kandho par nikalna padega.
'Kuch bhi hamesha ke leye nahi hai'

Science ki tarakki fitna nahi hai isey jis cheez ne fitna banaya hai woh yeh ke 'science' ki tarakki ke sath ,Rooh ki tarraki Imaan ki tarraqi nahi ho payi .

Gadi ke doo paheye ek sath badtey toh koi fitna nahi hota.
Yeh ilm (science and technology)toh woh tha joh Hazrat Adam(as) ko Allah ne diya tha aur isko dey kar hee unko zameen ka kahilfa banaya tha .
Surah Bakr ke 4th ruku mein dono ilm (knowledge) ke barey mein bata diya gaya hai.
Aur usi ko daleel ke roop mein Allah ne pesh farmaya hai 'farishtoy' ke samney, Adam ko joh ilm sikhaya us mein yeh baat bhi hai ke joh mai Adam ko zameen ka khalifa ban kar ikhteyar dey raha hu toh sath mein ilm bhi dey raha hu.
Hazrat Adam ke andar potentially yeh ilm rakh diya gaya...''Aur(Allah ne) Aadam ko tamam naam sikhay, fhir unhe 'farishtoy' ke samney pesh kiya aur kaha ,'Agar sacchey ho toh muhghey unka naam batao. Un sabney kaha(Aaey Allah) 'Tu pak hai ,'Tuney joh kuch hamey bataya uskey sewa humey koi ilam nahi,beshak tu ilm wala hikmat wala hai.(Tab Allah ney)hukum diya ,'Aaey Adam!In(Farishtoy) ko unkey naam bata doy ,jab unhoney unkey naam bata deeye toh farmaya,'Kiya meiney tum sey (pehley hee) nahi kaha tha,ki zameen aur aasman ki chupi baton ko mai hee janta hu,aur mai janta hu ,joh kuch tum zahir karte ho aur joh kuch tum chupatey ho.''
(Surah 2 Ayat31,32,33)

Yeh hai cheez ko observe karna jis sey knowlege aati hai fhir ise ilm ko deduct kar ke result baramad karna,Insan ne ise liye har cheez ko ek naam diya hai.
Joh aaj hamrey samney ilm hai yeh wohi ilm hai joh Hazrat Adam ko Allah ne diya tha ,jaisey aam ki gudhli hee mein pura aam ka ped hota hai lekin us gudli ko waqt lagta hai ped banney mein.

Yeh ilm 'fitna' nahi hai agar yeh ilm us ilm ke sath ho joh Surah Bakr ke 4 th ruku ke akheri mein hai.
Jab Allah ne Hazrat Adam ko zameen mein rakha toh ek 'charter' diya gaya tha unhey hamesha-hamesha ke liye.
Ek farman Allah ka tha...''Hamney kaha,'Tum sab yaha sey utar jao,fhir agar meri aur sey tum logo key paas koi hidayat(divine-guidance) puachey toh jinhoney meri hidayat ki paarvi ki un ko na toh dar hoga aur na wah dhukhi hongey
(Surah2 Ayat 38).

Yeh 2 ilm hai observation,dimag sey joh hasil hota hai Aur dusra ilm hai joh Allah ney apney nabiyon ke zareye bheja hai Isey hum 'Wahi'(Revealed Knowledge') bhi kehtey hai.

Bad kismati sey hua yeh ke insani ilm aur wahi ka ilm mein bhut bada gap aa gaya aur yeh dono ilm alag ho chukey hai .Ek taraf insan chand par pucah chuka hai aur dusri taraf wahi ka ilm se door .

(Quran ko Apna 'leader' nahi man raha hai)'Even muslims do not consider Quran as their guide'.
Yeh Alami Tahzeeb (Universal civilization) hai ,har koi dekh raha hai .Duniyaparsti(Materialism) Aur akherat ka inkar ismey hai .Is Tahzeeb ka subject materialism ,universe life of the world hai .Isey ko Huzur(saws) ne farmaya hai 'Key Iski Peshani(forehead) par likha hua hai Kaaf-Faa-Raa(Yani kufr).Yahi iska symbol hai ,Science toh saaf kehti hai ke humey nahi kah saktey ke Allah hai ya nahi ..

Lekin qaynat(universe) toh hai ,kudrat(forces of the nature)ka suraag lago fhir unhey istemal karo(exploit) karo .

Rooh hai ya nahi hum nahi jantey,Woh hamari investigation mein nahi aati,Hamarey paas asey equipments nahi hai joh isey bata sakey lekin jism(body) toh hai .
Isey tarah hume nahi pata 'Life after Death' ha yaa nahi .
Sirf insano ko is duniya mein joh de sakte ho do kuan si jannat humey kuch nahi pata iseleye aaj 'welfare state' ya'welfare society' highest concept ban gaya.Is ke aagey kisi ko kuch nahi pata .
Universe,matter aur uski properties ,life of the world apna dhyan sirf in cheez par laga lo.

Zameen par apko bada farq nazar aayega,Kahi Nadiya hai,Kahi Pahar hai,Kahi Registan hai.In sab ke upar ek envelop hai ek fiza hai jisey hum Hawa kehtey hai Aur yeh puri duniya mein ek jasi chalti hai Yahi baat aapko Religion Aur Civilization mein nazar aayegi .
'Neechley tapkey (Status)' mein aapko mazhab dekhega .
Koi church jaa raha hai ,Koi mandir jaa raha hai,Koi masajid jaa raha hai.Neechey apko fark nazar ayega Muslim hai toh kurta-paejama pehney hai ,Hindu hai toh dhoti hai,Lekin uppar Ek hee tehzeeb hai ,wohi libas hai ,Woh hee values hai ,Aurton ke libas ek sey hai .
Uppar level par ek hee civilization hai ,'Woh hi materialism hai ,materialism virtues hai ,materialistic values hai,Wordly pursuit hai ,Woh hee insan ki soch yeh ban gayi hai...

duniya mein hume joh mauka mila hai woh isleye ke duniya mein hum zyada kamaye ash karein woh joh philosphy hai 'eat ,drink and be merry. '
kamyab woh hai jisne zindagi ka har-har lamha duniya mein kamyab hone mein lagaya,aaj musalman bhi ise soch mein mubtala hai.
Akhirat hai lekin usekey liye woh mehnat nahi hai ..

Isleye Allah bhut 'Gussey' mein kehtey hai..

'''Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?'

'Yeh wah log hain.'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.Yahi wah log hain jinhoney apney 'Rab' ki ayaton aur uskey samney hazir honey ko na mana ,toh inkey kam akarath ho gaye,fhir kiyamat ke din 'Hum' unhey koi wazan na dengey''
(Surah 18 Ayat 103,104,105)

Asal mein duniya ki zindagi ek dhoka hai ..
Allah farmatey hai Quran mein kai jagah ...'Duniya ki zindgi toh dhokey ke siwa kuch nahi.'
(Suarh 3 Ayat 184)

'Jan lo! ki duniya ki zindgi bas khel aur tamasha hai.'
(Surah 57 Ayat 20)

'Yah is wajah sey ki tumney Allah ki ayato ki hansi udai thi Aur duniya ki zindgi ney tumhey dhokey mein dal rakha tha,Toh aaj wah na toh ussey(dozak)sey nikaley jayengey ,aur na unki tauba kubool hogi'.
(Surah 45 Ayat35).

'Aur taki joh log akherat ko nahi mantey ,unkey dil uski aor jhukey,aur taki wah usey pasand kar ley,aur taki joh kamai unhe karni hai kar ley.
(Suarh 6 Ayat 113).

Aey jinn aur inasano ke geroh!Kiya tumharey paas tumhi mein sey rasool nahi aaye thaey ,joh tumhey 'meri' aayat sunate aur is din sey daratey ? Wah kaehengey ,'kyo nahi !!(rasool toh aaye thaey) Hum khud hi apney khilaf gawah hai.'In logo ko duniya ki zindgi ne dhokey mein dal rakha tha.
(Surah 6 Ayat 130)

'Jinhoney apna deen khel-tamasah bana rakha tha aur jinhey duniya ki zindgi ney dhokey mein dal rakha tha; Toh aaj hum bhi unhey bhula dengey ,jis tarah yah log apney is din ki mulakat ko bhuley rahey aur hamari aayat ka inkar kartey rahe".
(Surah 7Ayat 51)'

'Hum unko thoda maza udaney dengey ,fhir unko ek sakht aazab ki aor kheech kar le jayengey.'

''Aaey logo!Apney rab sey dar rakho aur us din sey daro jab na koi baap apni aulad ki aor sey badala dega aur na koi aulad hee apney baap ki aoor sey badla dene wali hogi,Beshak Allah ka wada sachha hai,Toh duniya ki zindgi hargiz tumhey dhokey mein na daley,Aur na Allah ke barey mein wah dhokebaaz(shaytan) tumhe dhokey mein daley
(Surah 31 Aayat24&33)

Shyatan sabsey bada 'dhoka' yeh kah kar deta hai Allah bada Raheem hai Kareem hai,Jon insano ko gunah chorney nahi deta.Duniya ki zindgi fareb ban kar hamari aankho par dhoka dalti hai ke hamara matloob,maqsad(aim,objective) Jab duniya hee hamara 'objective' ban gayi toh fhir marney ke baad ki zindgi ko insan bhool jata hai.Allah faramtey hai "Balki tum log duniya ki zindgi ko ahmeyat dete ho,Aur akherat behtar aur baki rahne wali hai.'
(Surah 87 Ayat16,17).

'Balki tum duniya sey mohabbat kartey ho ,Aur akherat ko choar detey ho.'
(Surah 75 Ayat20,21).

'Yah log jald hasil honey wali cheez (duniya)sey mohabbat kartey hai,aur ek bhari din ko apney peechey choar datey hai'.
(Surah76 Ayat 27)

Yahi asal fareb hai .Duniya jitni haseen banegi fitna utna hee khatarnak ho jaye ga .Europe,America,Dubai mein dekhey toh samagh aata hai.Iska husn jitna badega akherat utni hee insan bhool jayega ,cham-damak,Duniya ki raunak(glamour)dekh kar insan sochta hai mai bhi apney ghar mein sab ley aayu.Insan Apna Imaan Tak Beach khata hai.Allah farmatey hai..

'''Aur joh cheez zameen par hai usko humney uskey leye zeenat(shobha) banaya hai taki logo ko aazmaey,ki unmey behtar amal karney wala kuan hai.'
'Aur joh kuch us(zameen) par hai usey toh hum ek chateyal maydan bana dene waley hai.
(Surah 18 Ayat 7,8)

'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?

'Yeh wah log hain.'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.
(Surah 18 Ayat 103,104)

Agar akherat nazar mein ho toh yeh duniya akherat ki kehti hai .Yah joh bogey toh waha katogey.Allah farmatey hai ''Yeh Quran wa rasta dekhata hai ,joh sab sey seedha hai,aur imaan walo ko joh bhaley kaam kartey hai kushkhabri deta hai,ki unkey liye bada badla hai.Aur yah bhi ki joh log akherat par imaan nahi rakhtey ,unkey leye dukh dene wala azab tayyar kar rakha hai.
(Surah 17 Ayat 9,10)

Ghor farmaye Azab un key leye hai
'joh log akherat par yakeen nahi rakhtey Aur farmaya Hum unhe azab dengey.Insan lakh smaghta ho apney aap ko musalman lekin agar akherat par imaan nahi toh kuch nahi aur tab sabit hota hai jab Allah ka hukum aur hamari khaish ke beech mein se kisi ek ko hume chuna padta hai.For eg Allah ne kaha rishwat haram lekin insan kahey 'Sahab bina rishwat ke ghar nahi chalta.Iska matlab hai uska akherat par imaan nahi ,'Arey Allah ke bandey Allah ne jannat bhi banai hai,duniya sab kuch nahi.Sabr aur Imaan dono ek dusrey sey judey huey hai.'.

Duniya jitni haseen hogi hum utney hee zyada us ke jaal mein fhas te chaleye jayengey.
Ek bar sahaba ney dekha ke Huzur(saws)kisi chez ko dhaka de rahey hai halake samne koi cheez nahi thi huzur se poocha gaya huzur aap kisko dhakka de rahey hai huzur ne farmaya duniya mere samney ek haseen bani sawri aurat ki shakal mein aayi aur mai duniya ko dhaka de raha tha,mughey duniya s kya sarokar hai tu yaha se dafa ho jaa.

'Kah dejeye ,'Kya hum tumhey unki khabar dey,joh apney amalo ke lehaz sey sabsey badkar nuksan udhaney waley hain.?

'Yeh wah log hain.

'Jinki puri koshish duniya hee ki zindgi mein barbad ho kar rahi ,aur wah apney aap ko yahi samghtey rahey ,ki wah achey kam kar rahey hai.(Surah 18 Ayat 103,104)

Sabse zyada ghatey mein rahnewaley woh hai jinki sari mehnat duniya hasil karne mein chali jaye .Duniya hee aim,objective raha ,rato ko jagey ,ghar-bar sey door rahey sirf duniya ke leye..
Kya Paya?

Allah farmata hai yeh woh log hai joh apney amal ke lehaz sey zyada dhokey mein hain.
Insan kah sakta hai hum Allah ke manney waley hai,Huzur(saws) ke manne waley hai ,Qiyamat ke manne waley hai.Agar wakai mein Qiyamat ke manne waley hotey toh 'Is Duniya Par nahi reechtey,Is Duniya ke maal ,Ikhtidar(power),shohrat ke liye apne aap ko halakan nahi kartey.

Allah Farmata hai..
"Yahi wah log hain jinhoney apney 'Rab' ki ayaton aur uskey samney hazir honey ko na mana ,toh inkey kam akarath ho gaye, fhir kiyamat ke din 'Hum' unhey koi wazan na dengey''
(Surah 18 Ayat 105)

Inhoney isleye kufr kiya hai Allah ki ayat ka Quran toh yeh kehta ke Asal zindgi Akherat ki hai Aur yeh usko nazar andaz kr key,Duniya ko pasand kar liya hai inhoney darasal Allah ki ayat ka bhi ayat ka inkar kiya ,uski mulakat ka bhi inkar kiya,Joh namaz roza yeh kar rahe hai unmein se kisi amal ka hamarey yaha wazan nahi hoga .

'Dekha Yeh Jayega Asal Mein Aim Kiya Tha.
'kiz cheez ke leye tum ne bhag-dor ki ,Apni salaheyat kaha lagai,Hume maloom hai joh khulam-khula kafir hai unkey leye wazney amal ka masla hee nahi hai.
 Amal unke toley jayengey joh apney aap ko 'Musalman' kethe thaey .Neakiyo ka palla bhari hai toh jannat mein aur buraiyon ka palla bhari hai toh dozak bhugat kar jannat mein jayengey.

Allah farmata hai ''Unka badla wahi dozak hai ,is ley ki unhoney kufr(inkar) kiya ,aur hamari ayato,aur hamarey rasoolo ki hansi udai.''
(Surah 18 Ayat 106)

Allah ek Aur jagah farmatey hai ..
''Quran par imaan nahi rakhta woh joh Quran ke Haram kiye huey ko haram na jane.
(Al-Quran).

Insano ney magrb(west) ki material taraqi ko daleel banaya hai uski tehzeeb sahi honey ki.Allah farmatey hai ''Aur us(insan) ko khoob paidawar milti thi,toh usney apney sathi sey baat kartey-kartey bol udha,'mai tugh sey maal mein aur adamiyon mein bad kar izzat mein hu.
(Surah 18 Ayat 34).

Yani Insan superior honey ke leye yeh daleel dey 'ke mere paas tum se zyada maal hai aadmi(workers,army etc) hai, sara saman mere paas hai, isleye mai bada hu.'Tum kuan ho mughe nasiyat karney waley .

''Aur wah apney bagh mein is haal mein dakhil hua ,ki apney aap par zulm kar raha tha,usney kaha !mai nahi samghta ki yah bag kabhi tabah hoga.'
(Surah 18 Ayat 35)

'I DONT THINK THIS WILL EVER PERISH'Yeh sentence aaj kitno ki zaban par hai.Insan ko thoda sa Allah nawaz deta hai Insan apney aap ko bada samghney lagta hai.Aur haqeqat ko kitney jaldi bhool jata hai.West ki har cheez galat nahi hai lekin hume unhe Quran Aur Sunnat mein parakh kar dekhna chayeyeh.

Is dajjal ki gumrahi bhut zyada hai humey dheerey-dheerey nikalna hoga ..
Sabsey pehle hume yeh baat yaad rakhni hogi ke yeh duniya 'Imtehangah'(examination hall) hai.

Allah faramtey hai
''Jisney paida kiya hai muoat aur zindgi ko ,taki tumhe aazmaey,ki tum mein sey kuan accha amal karney wala hai? Aur wah badi takat wala ,maaf karney wala hai.
(Surah 67 Ayat 2)

''Magar Insan ka yeh haal yeh hai ki jab izzat aur nemat dekar uska 'Rab' usey aazmata hai toh kush hokar kehta hai ke mere 'Rab' ne mughey izzat di.Aur jab wah usey aazmata hai(ki)uski rozi us par tang kar deta hai toh kehta hai,'Mere Rab ney mughey zaleel kiya'.
(Surah 89 Aayat 15,16)

In ayat ka kiya matlab hai?
NA YAHA KI IZZAT,IZZAT HAI ..NA TANGI YA PARESHANI ZILLAT HAI.IZZAT BHI IMTEYHAN HAI AUR ZILLAT JISEY HUM SAMGHTEY HAI WOH BHI IMETHAN HAI ..

BALKI ZILLAT WALA IMETHAN ZYADA ASAN HAI KYO KE IS IMETHAN MEIN INSAN ALLAH KO NAHI BHULTA.

Huzur(saws) ne farmaya 'Kam ho cheez joh kifayat kar jaye behtar hai usey joh zyada ko lekin gafil kar dey.'
Allah farmatey hai .

''Aur humney is Quran mein logo key leye tarah-tarah ki misaley bayan kar di,magar insan sabsey badkar jhagralu hai.Aur hum joh rasool'o ko bheja karte hai toh kefal isleye ki kushbhari sunaye,aur (azab sey) daraye ;aur joh kafir hai wah nahaq jhagrey nikaltey hai taki usko haq sey fisla dey ;aur unhoney hamari nishaniyo ko aur uski jissey unhe darya gaya hai mazak kartey hai.
(Surah 18 Aayat 54 &56)


Momin Allah ke Fasley par sabr karey hum har cheez ki haqiqat nahi bati ja sakti hai .
'''Aap mere sath sabr na kar sakengey.
(Surah 18 Ayat 67,72,75)

Kuch ase hi batein Hazrat Khijr(as) ney Musa(as) sey kahi thi .Allah ki hikmat hum nahi samgh saktey,Jismey humey taqleef dard dekhta hai woh cheez hamarey leye bhalai ho sakti hai ,is duniya ka ek zahir hai ek batin(chupa) hua ,Hume pata nahi hota .Humey akherat ke leye mehnat karni chayeyeh ,Hamara maqsad Allah ki raza hona chayeyeh

'' Aur insan usi tarah burai mangta hai ,jis tarah bhalai ki dua mangta hai,aur insan hai hee bada jaldbaz.
(Surah 17 Aayat 11)

Hum nahi pata taqleef ke pardey mein bhalai aa rahi hai ,jisey hum khair samgh rahe woh khair na ho,humey cheezo ke zahir(face) sey muttasir (impress) nahi ho na chayeyeh .
Humey apney akhirat ke barey mein bhut fikr hone chayeh ,Kadam-kadam par dhoka hai,fareb hai.

Hume Allah sey dua karni chayeh ke Allah ne dhoko se bachahey .
Har chez ka ek zahir hai ek batin hai insan zahir se dhoka kha jata hai,hamesha batin par nigah rakho. -
yeh jo tahzeeb e nuaW aa rahi hai aur jungle ki aag ki tarah bad rahi hai is ka muaqabla karne ke liye aap ke andar ek azm(determination)hona chayeyeh ke duniya aap ko dakiya-nusee samghey aur aap unko bewakoof samghey aur apney upar athmad,yakeen ke sath shariat par pura amal karein.

Is duniya ki chamak par mat jayeyeh.
Allah sey dua karety rahne ki zarurat hai ke hamara khatma Imaan par ho
AAMEEN YA ALLAH.

No comments:

Post a Comment