Monday, January 9, 2017

*Quran Paak Galti Se Gir Jaye To Kya Iska Kaffara Hai*


BISMILLAH

*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

Aaj kal ye baat mashoor hai k *AGR galti se bhi* Quran paak gir jaye to ye bahot bade gunah ka sabab hai, is waja se aksar log pareshan ho jate hai k is galti ka Kaffara kaise kare. Aise me la ilm pet molwi bhi aise aise tareeqe batate hai jiska shriyat me koi hukm nahi h._

Itna jaan le k Quran majeed Allah ka paak Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.*

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas r.a se rewayat hai k Allah k Rasool saw ne faramaya :

" Allah tala ne meri Ummat se (Anjane m hone wali) galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khelaf e shriya kamo ko maaf kar diya hai.*
Sunan Ibne Maja : 2045_

Saydna Abu Hurerah r.a se Marwi Sure Baqra ki Aakhre 2 Aayat ki fazeelat k muttaliq hadees me hai "

Aye Hamare rab ham se mawakhza na kar, Agar ham bhool jaye ya ham galti kar jaye, to Allah tala ne faramaya :
"Maine Aisa Kar diya "
Sahi Muslim : 330_

Upar ki dono hadees se pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala unhe maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhe gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara etc Allah tala ne Aur Mohammed saw ne bayan nahi Farmaya. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq se

Aameen Ya Allah.

6 comments:

  1. assalaamwalekum agar ghalti se quran paak ku pair laga ho toh kya karna chahiye

    ReplyDelete
  2. quraan paak ku tilawat karke uthraha tha mai us daoran ghalti se pair box ko touch hogaya jisme quraan paak rakha tha mujhe kya karna chahiye us waqt maine 2 rakat salatul tauba paadi phir b dil ek darr hai kya karna chahiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai yeh site visit karo https://islamqa.info/en/answers/10686/there-is-no-sin-on-a-person-who-drops-the-mus-haf-unintentionally


      Aur sheikh assim ke tweets dekha karo (unse sawal pucha kro agr zrurat pde to)👇
      https://twitter.com/Assimalhakeem/status/1328898032256114689?s=19

      Delete
  3. https://islamqa.info/en/answers/10686/there-is-no-sin-on-a-person-who-drops-the-mus-haf-unintentionally

    ReplyDelete
  4. Mene bhut bda gunha kiya h shayad mafi ke layk bhi na ho mene gusse me quran pak ko hath me uta KR ksm kha li halaki mene nfal tobha bhi pdh li or kalma bhi pd liya h ab Kya kru

    ReplyDelete