Friday, February 24, 2017

Namaz- E- ISTIKHARA

BISMILLAH

Jab kisi ko koi (Jaaez) kaam karna ho aur wo is mein shak ho ke ise karu’n ya na karu’n, ya jab kisi kaam ka iraada kare to is par isteqhara karna sunnat hai.

Jaabir bin Abdullah se riwayat hai ke Rasool Allah hamei’n tamaam kamo’n ke liey isi tarha isteqhara ki dua sikhate the, jis tarha Quran e Hakeem ki koi surat sikhate the. Aap farmate: ‘Jab koi admi kisi kaam ka iraada kare to 2 rakat nafil adaa kare, phir farigh hokar ye dua padhe:

Allahumma Inni Astakhiruka Bi I’ilmika wa Astaqdiruka Bi Qudratika wa Asaluka Min Fadhlikal A’azeemi Fainnaka Taqdiru
wala Aqdiru wa Ta’alamu wala A’alamu wa Anta A’allamul Ghuyoobi Allahumma In Kunta Ta’alamu Anna Hazal Amra
Khairulli Fee Deeni wa Ma’ashee wa A’aqibati Amri Faqdurhu wa Yassirhu li Summa Baariklee Feehi Wa in Kunta Ta’alamu Anna Hazal Amra Sharrulli Fee Deeni wa Ma’ashee wa A’aqimati Amri Fasrifhu A’anni Wasrifni A’anhu Waqdurliyal Khaira
Haisu Kaana Summar Zini Bihi

TArjuma: 
Aey Allah! 
Tehqeeq main (is kaam mein) tujh se tere ilm ki madad se khair maangta hu’n aur (husool e khair ke liey) tujh se tere qudrat ke zarie qudrat maangta hu’n aur main tujh se tera fazal azeem maangta hu’n, beshak tu (har cheez par) qaadir hai aur main (kisi cheez par) qaadir nahi. 
Tu (har kaam ke anjam ko) jaanta hai aur main (kuch) nahi jaanta aur tu tamaam ghaibo’n ka jaanne wala hai. Aey Allah! Agar tu jaanta hai ke ye kaam (jiska main iraada rakhta hu’n) mere liey mere deen, mere zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se behtar hai to ise mere liey muqaddar kar aur asaan kar phir is mein mere liey barkat paida farma aur agar tere ilm mein ye kaam mere liey mere deen, meri zindagi aur mere anjaam kaar ke lehaaz se bura hai to is (kaam) ko mujh se aur mujhe is se pher de aur mere liey bhalaai muhiyya kar jaha’n (kahee’n bhi) ho. Phir mujhe iske sath raazi karde.
Nabi e Rahmat ne farmaya ke phir apni haajat bayan karo.’
(Bukhari: al Tahajjud 1162).

Baaz log khud isteqhara karne ki bajaae dusro’n se isteqhara karwate hain ye rawish 1 wabaa ki shakal iqhtiyaar kar gai hai jis ne jagah jagah dusro’n ke liey isteqhara karne waale specialist paida kar diey hain. Haala’nke apne liey khud isteqhara karne ki bajaae kisi aur se isteqhara karwaana sirf khilaaf e sunnat hi nahi, blake kaahin aur nujoomi ki tasdeeq karne ke mutaraadif hai.

Khusoosan jabke isteqhara karwane waala is niyyat se isteqhara karwata hai ke mujhe in ‘Buzrugo’n’ se koi pakki khabar ya wazeh mushaheda milega jise baad mein wo min o a’an saccha jaan kar kisi kaam ke karne ya na karne ka faisla karta hai. 
Halaa’nke isteqhara ke liey na to ye laazmi hai ke ye sone se pehle kiya jaae aur nay a laazmi hai ke khuwab mein koi wazeh ishaara hoga.

Seedhi se baat hai ke zaroorat mand khuwah isteqhara kare Allah Ta’ala iska seena khol dega mazeed tasalli chaahta hai to kisi acche shaqs se mashwara karle phir wo jo kaam karega Allah Ta’ala is mein behtari paida karega In shaa Allah Ta’ala.

Jab aap ye masnoon isteqhara karke koi kaam karei’nge to Allah Ta’ala apne fazal se zaroor is mein behtari ki surat paida karega aur buraai se bachaega.

Isteqhara raat ya din ki jis ghadi mein bhi aap chaahei’n kar sakte hain, siwaae auqaat e makruha ke.

No comments:

Post a Comment