Friday, March 3, 2017

MAZAAQ MAIN BHI KISI KI KOI CHEEZ NALENA

BISMILLAH

Mazaaq karne ki 2 sooratein hain :
Ek yeh hai ke kisi ka dil khush karne ke liye aisa mazaaq karna , jis mein jhoot aur waada khilaafi na ho, to yeh durust hai.
Doosri soorat yeh hai ke aisa mazaaq kiya jaaye ke jis se doosre ko naagawaari ho aur
takleef pochnche , is tarah ka mazaaq karna durust nahin hai.

Baaz log maazaq mein doosron ka saaman chhupa lete hain ya koi cheez le lete hain, jis se un ko takleef hoti hai , aisa karna
bahot buri aadat hai , Islaam hamein aisi baaton se mana karta hai , jis se kisi ko takleef pahonche ya use kisi tarah ki
pareshaani ho, isi liye mazhabe Islaam ne hamein kisi ke saamaan ko bagair ijaazat lene se mana kiya hai , chaahe mazaaq mein hi liya jaaye.

Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein
aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de.
[Tirmizi: 2160]

Matlab yeh hai ke lakdi aurchhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena
chaahiye , yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.

Sahaaba Raziy Allahu anhuma ke zamaane mein ek martaba chand hazraat Huzoor ﷺ ke paas baithhe huwe the, un mein se ek shakhs uthh kar chala gaya aur apna joota pahenna bhool gaya, kisi ne un ke joote ko (mazaaq mein) uthha kar apne neeche rakh liya, thodi der ke baad woh shakhs waapas
huwa aur kaha ke joota kahaan hai? Logon ne kaha ke maaloom nahin, itne mein un ko apna joota ek shakhs ke neeche nazar aaya,
to unhon ne kaha ke yahaan hai,is par Huzoor ﷺ ne farmaaya :
Momin ko pareshaan karna kaisa hai! Us ne kaha : Ya Rasoolullah! Main ne mazaaq mein aisa kiya tha. Lekin Huzoor ﷺ ne 2 ya 3martaba yahi farmaaya ke momin ko pareshaan karna kaisa hai!
[Mo'jame kabeer: 980]

Ref: Deeniyat Course book
[Idara-e-Deeniyat]

No comments:

Post a Comment