Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu
BISMILLAH
📌BIDDAT
PART - 1
Sunnat ka matlab ARABIC DICTIONARY ke HISAB se ‘TAREEKA’ hota hai.
💥Gaur aur fikr karne ki baat ye bhi hai ki sunnat ke matlab ke hisab se sirf ye nai hota ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne kya kiya balki ye bhi hota hai ki rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne kya nahi kiya. Is liye jo RasoolAllah ne nahi kiya usko na karna bhi sunnat hai aur jis amal ko RasoolAllah aur sahaba ne nahi kiya usko Biddat kahte hai.
⏩Aiye ham QURAN , SUNNAT(HADITH) , SAHABA , TABAEEN aur ULMA e DEEN SE SAMAJHTE HAI KI ISLAM ME BIDDAT KYA MUKAM HAI.
✅QURAN
..aaj mein ney tumharay liye Deen ko kaamil(complete ) kar diya aur tum par apna ehsaan bharpoor ker diya aur tumharay liye Islam kay deen honey per raza mand hogaya…
SURAH MAIDA AYAT-3 .
Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey kay woh boht achay kaam kerrahey hain.
SURAH KAHF, AYAT-104 .
Aur jo shaks Allah aur us ke Rasool (SallAllahu Alaihi wasallam) ki na-farmani karay aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai.
SURAH NISA, AYAT- 14.
..Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao..
SURAH NISA AYAT-171.
✅ SUNNAT (HADITH)
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
📚Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
📚[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai …”
📚Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ka ijaad karte hai To usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
📚Al-Tirmidhi, (Hadith 65).

” Sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai…”
📚Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Jab bhi Kabhi ek Rasool bheja jata tha to uske kuch hawari aur sahaba hote the, wo sahabi , apne nabi ki sunnato(tariko) ko mazbuti se pakad lete the aur usi pe jame rahtethe.Fir hamesha aisa hua hai ki unke baad kuch aise log paida hue hai JO KAHTE WO THE JO KARTE NA THE, AUR KARTE WO THE JISKA HUKM BHI NAI HUA THA. To sunlo jo unse JIHAD KAREGA APNE HATHO SE, APNE ZUBAN SE, APNE DIL SE WO MOMIN HOGA, aur is ke baad EEMAN TO RAAI KE DANE KE BARABAR BHI NAI HAI.
📚Sahih Muslim,The Book of Faith (Kitab Al-Iman) [001:0081].
BISMILLAH
📌BIDDAT
PART - 1
Sunnat ka matlab ARABIC DICTIONARY ke HISAB se ‘TAREEKA’ hota hai.
💥Gaur aur fikr karne ki baat ye bhi hai ki sunnat ke matlab ke hisab se sirf ye nai hota ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne kya kiya balki ye bhi hota hai ki rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne kya nahi kiya. Is liye jo RasoolAllah ne nahi kiya usko na karna bhi sunnat hai aur jis amal ko RasoolAllah aur sahaba ne nahi kiya usko Biddat kahte hai.
⏩Aiye ham QURAN , SUNNAT(HADITH) , SAHABA , TABAEEN aur ULMA e DEEN SE SAMAJHTE HAI KI ISLAM ME BIDDAT KYA MUKAM HAI.
✅QURAN
..aaj mein ney tumharay liye Deen ko kaamil(complete
SURAH MAIDA AYAT-3 .
Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey kay woh boht achay kaam kerrahey hain.
SURAH KAHF, AYAT-104 .
Aur jo shaks Allah aur us ke Rasool (SallAllahu Alaihi wasallam) ki na-farmani karay aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai.
SURAH NISA, AYAT- 14.
..Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao..
SURAH NISA AYAT-171.
✅ SUNNAT (HADITH)
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
📚Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
📚[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai …”
📚Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ka ijaad karte hai To usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
📚Al-Tirmidhi, (Hadith 65).
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
” Sabse behtar amr (amal ke liye) Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai…”
📚Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Jab bhi Kabhi ek Rasool bheja jata tha to uske kuch hawari aur sahaba hote the, wo sahabi , apne nabi ki sunnato(tariko)
📚Sahih Muslim,The Book of Faith (Kitab Al-Iman) [001:0081].
No comments:
Post a Comment