Tuesday, September 15, 2015

BIDDAT PART - 2

BISMILLAH

📌BIDDAT


Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanputhey, humney arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiskey din aur raat barabar hain is sey wo hatega jo Halaq honey wala hoga jo tum mein se zinda rahega wo shadeed ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazimhai isko daanton se mazbut pakad lena aur tum par Ita’atameer lazim hai chahey wo habshi ghulam ho kyunki momeen nakel daaley huye oont ki tarah hota hai jaisey chalaya jata hai ita’at karta hai-
📚Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 (Sahih)

Anas bin malik (r.a) farmate hai ke, Rasool Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ki ibadat ke bare mey puchne ke liye 3 shakhs Aisha r.a.(azwaje-mohtaraat) ke pass aaye, jab un logon ko rasool Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ki ibadat ka tariqa bataya gaya to, unhone aap ki ibadat ko thodi samjhi aur kaha, humara Rasool Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) se kya muqabala ?, Allah ne aapke agle piche gunah maaf kardiye hai, un mey se 1ne kaha, main humesha raat bhar namaz padhta rahunga, 2re ne kaha main humesha roza rakha karunga, 3re ne kaha ki mai auraton se door rahunga, main nikah nahi karunga, unmey ye guftagu ho rahi thi, ke RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wasallam) aaye aur farmaya, kya tum logon ne ye baate kahi hai?, gaor se suno, Allah ki kasam, main tumme sab se zada Allah se darne wala hon, or tumme sab se zada taqwa-ikhtiyaar karne wala hon, lekin main roza rakta hon or nahi bhi rakta, raat ko namaz padhta hon aur sota bhi hon, or auraton se nikah bhi karta hon,Toh sunlo yahi mera tariqa hai aur jisne mere tariqe(sunnat) se hatkar kiya wo mujhse me se nahi hai.📚(Bukhari, Wedlock, Marriage (Nikaah) [62:1] .

Mohammad SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki “Jis shaks ne bhi kisi biddati ki izzat ki toh fir wo aisa hai ki usne islam ko girane me madat ki”.
Brought by Imam Baihaqi in his hadith book Baihaqi, see in chapter Shobul Imaan.

Ali ibn AbuTalib riwayat karte hai ki RasoolAllah s.a.w. ne farmaya
“Agar koi shaks biddat ijaad karta hai(deen me), toh wo zimmedar hoga is ke liye. Agar koi shaks biddat ijaad kaarta hai ya kisi biddati ko panah deta hai, to uspar Allah, uske farishto aur sare logo ki lanat hoti hai.
📚Sunan of Abu-Dawood Hadith 4515.

RasoolAllah SallAllahu Alaihi wasallam Hauz-e-Kausar say apne ummatio ko pani pila rahe honge aur unhe rok dia jaega, inko bhi Nabi SallAllahu Alaihi wasallam yehi samjhaenge ke yeh to meray farmabardar ummati hain lekin Aap SallAllahu Alaihi wasallam ko mutla’ kia jae ga ke ‘Ae Nabi SallAllahu Alaihi wasallam Aap nahi jantay ke inho ne Aap ke jane ke bad kya kuch kiya, inhon ne Aap ke baad Deen me Nayi Nayi cheeze nikal li thin’, to Aap SallAllahu Alaihi wasallam farmaenge “In ke liye (rahmat se) duri ho! In ke liye duri ho! Jinho ne mere baad Deen ko badal dala.”
📚[Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq, Hadith- 6584]

📌⏩SAHABA

Hazrat Ibne Abbas r.a nay farmaya logow k is talbiyah aur tasbeeh chod denay par tajjub hai .meray nazdeek takbeer achi chees hai. LEKIN SHAITAN INSAAN K PASS GUNAH K DARWAZAY SAY AATA HAI, JAB WO ISSAY BACH JAYEH TO USKAY PASS NAIKI KI DARWAZAY SAY AATA HAI TAAKAY WO SUNNAT KO CHOD KAR BIDDAT KO APPNA LEY.
📚MUSNAD ISHAAQ BIN RAWAIYAH, HADITH 482 .

Hazrat Ibn Abbaas R.A. (d. 68H) kahte hai : “Beshak, sabse zyada na-pasandeeda chiz Allah ki nazar me BIDDAT hai.”
📚Reported by al-Bayhaqee in as-Sunan al-Kubraa (4/316)

Hazrat Ibn Abbas r.a. farmate hai: Jab biddat ki ijaad hoti hai to sunnat mar jati hai aur tab tak faut rahti hai jab tak biddat zinda rahti hai.
📚(Tirmidhi 187)

Hazrat Abdullah ibn Masood r.a. farmate hai ki har biddat jis se Islam ke sath sazish ki jati hai Allah ka ek mehboob banda hota hai jo us(biddat ko) radd karta hai aur hatata hai aur uski nishanio pe baat karta hai isiliye us mauke ka pura fayda utha kar aise jagah pe jaya karo aur Allah par bharosa rakhha karo.
📚IBNE WADDAH AL BIDAYAH (HADITH 4) .

 SOURCE :-http://www.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=284&pid=54462&hid=4

Hazrat ‘Abdullaah ibn Mas’ood R.A., ne Farmaya, ” Pairwi karo aur nayi chize ijaad mat karo, kyuki jo tumhe diya gaya hai wo Kafi hai aur har biddat ek gumrahi hai.
📚Reported by Abu Khaithamah in Kitaab Ul-‘Ilm (no. 540) and declared saheeh by Shaikh al-Albaanee.

ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﻭﺿﺎﺡ ﻗﺎﻝ : ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺳﻌﻴﺪ ﻗﺎﻝ : ﻧﺎ ﺃﺳﺪ ﺑﻦ ﻣﻮﺳﻰ ﻗﺎﻝ : ﻧﺎ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻤﺆﻣﻦ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﻗﺎﻝ : ﺣﺪﺛﻨﻲ ﻣﻬﺪﻱ ، ﻋﻦ ﻋﻜﺮﻣﺔ ، ﻋﻦ ﺍﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ﻗﺎﻝ ﻣﺎ ﻳﺄﺗﻲ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻨﺎﺱ ﻣﻦ ﻋﺎﻡ ﺇﻻ ﺃﺣﺪﺛﻮﺍ ﻓﻴﻪ ﺑﺪﻋﺔ ﻭﺃﻣﺎﺗﻮﺍ ﻓﻴﻪ ﺳﻨﺔ ، ﺣﺘﻰ ﺗﺤﻴﺎ ﺍﻟﺒﺪﻉ ﻭﺗﻤﻮﺕ ﺍﻟﺴﻨﻦ 

Hazrat Ibne Abbas r.a farmatay hai har saal biddati log koi na koi biddat jaari kardetay hai.aur koi naa koi sunnat mitha detay hai.natijaa yeh hoga biddatay zinda aur sunnatay murdaa hojayegi.
📚IBNE WADDAH AL BIDAYAH AN NAHAYA, HADITH 93.

📌⏩TABAEEN

Hazrat Sa’iid Ibn al Musayyib r.a. (Tabaeen) ne ek shaks ko suraj tulu hone ke baad do rakat se zyada padhte hue dekha sajda aur ruko me izafa karte hue, toh unhone use mana kiya ye karne se. Us shaks ne jawab diya: ‘Ae Aba Muhammad, kya Allah mujhe namaz padhne ke liye saza dega? Unhone kaha: ‘NAHI, LEKIN WO TUMHE SUNNAT SE IKHTILAF KARNE KE LIYE SAZA DEGA’.📚(SUNAN AL-KUBRA 2/466).

No comments:

Post a Comment