Tuesday, September 15, 2015

BIDDAT PART -3 END

BISMILLAH

📌BIDDAT PART - 3 END


📌ULEMA E DEEN

Imaam Abu Haneefah (rahimahullaah) d. 769 C. E. (150 A. H.) kahte hai: “Salaf ke Athaar(riwayato) aur Tareeqah pe amal karo aur Hoshiyaar rahna nayi chize ijaad karne se, wo sari biddate hai.”
📚[Reported by As-Suyootee in Sawn al-Mantaq Wal -Kalaam, p. 32.].

⏩IMAAM MAALIK (raheemullah) KAHTE HAI :-

ﺍﻹﻣﺎﻡ ﻣﺎﻟﻚ ﺭﺣﻤﻪ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﻧﻪ ﻗﺎﻝ : ﻣﻦ ﺍﺑﺘﺪﻉ ﺑﺪﻋﺔ ﻓﺰﻋﻢ ﺃﻧﻬﺎ ﺣﺴﻨﺔ ﻓﻘﺪ ﺯﻋﻢ ﺃﻥ ﻣﺤﻤﺪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺧﺎﻥ ﺍﻟﺮﺳﺎﻟﺔ، ﻷﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻳﻘﻮﻝ : ﺍﻟْﻴَﻮْﻡَ ﺃَﻛْﻤَﻠْﺖُ ﻟَﻜُﻢْ ﺩِﻳﻨَﻜُﻢْ ﻭَﺃَﺗْﻤَﻤْﺖُ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ ﻧِﻌْﻤَﺘِﻲ ﻭَﺭَﺿِﻴﺖُ ﻟَﻜُﻢُ ﺍﻟْﺄِﺳْﻼﻡَ ﺩِﻳﻨﺎً ] ﺍﻟﻤﺎﺋﺪﺓ : 3 ]

Jo yeh sochta hai ki biddate hasana jaisi koi chiz hai Islam me, toh usne Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam ke Risalat par Khayanat ka Ilzaam lagaya Kyuki Allah Quran me kahte hai “Is din hamne tumhare mazhab ko pura kar diya hai…..” Toh jo mazhab nahi tha us zamane me aj wo mazhab nahi ban sakta.
📚(AL-‘ITISAAM AS-SHAATIBI 1/38)

⏩Ibn Hajar Al-Asqalani (raheemullah) (d. 852H.) ne kaha: “Khush woh hai jo Salaf ke tarike se juda(stick) rahta hai, aur bachta hai us chiz se jise Khalaf(jo salaf ke baad aye) ne ijaad kiya hai.” 
📚Fath Al-Bari by Ibn Hajar (13/267).

⏩SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (raheemullah) ne farmaya
“Tumhare upar Ittibaa lazim hai aur nayi chiz ijaad karna nahi aur tumpar salaf as saaleh ke mazhab (tarike) par amal karna lazim hai aur wahi sidha rasta hai jo tumhe apnana chaiye.
📚(al-Fath ur-Rabbaanee (p.35).
🔚

No comments:

Post a Comment