Friday, September 18, 2015

HADITH (SAHIH BUKHARI)


BISMILLAH

Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur Rahmaan ko bahut aziz hai

سُبحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
Sahih Bukhari, Vol 7, 6406
Sahih Bukhari, Vol 8, 6682


Hazrat Abdullah bin Umar Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se har ek hakim hai aur harek se sawal hoga , Imam hakim hai us sey sawal hoga, Mard apney biwi bachchon ka hakim hai us sey sawal hoga, Aurat apney shohar ke ghar ki hakim hai us sey sawal hoga, Ghulam apne sardar ke maal ka hakim hai us sey sawal hoga, isliye tum mein se har ek hakim hai aur har ek se sawal hoga.
{Sahih Bukhari, vol 6, 5188}


Hazarat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre ya Dil mein uske karne ki khwahish paida ho magar uske mutabiq na amal kiya ho aur na baat ki ho.    Sahih Bukhari, Vol 8, 6664

Hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne jhooti Qasam is maqsad se khayee ki iske zariye Najayaz tareeqe se kisi Musalman ka maal hasil kare to wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga , phir ALLAH Subhanahu in iski tasdeeq Quran mein nazil farmayee. (Surah Aal-e-Imran, Verse 77) Beshak jo log ALLAH ke ahad aur apni Qasmon ( ko bech dete hain aur us) ke badle thodi see qeemat hasil karte hain……      Sahih Bukhari, Vol 8, 6659

Hazrat Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ruku aur Sazda pure taur par Ada kiya karo ALLAH ki Qasam jiske haath mein meri jaan hai main apne Kamar ke peeche se tum logon ko dekh leta hu jab tum log Ruku aur Sazda karte ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6644


Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sulaiman Alaihi Salam ne ek din kaha ki Aaj raat mein apni 99 aurton (yani biwiyon) ke pass jauunga aur sabse Ek Ghudsawar ( horse rider) bachcha paida hoga jo ALLAH Subhanahu ke raaste mein Jihad karega is par unke saathi ne kaha ki In-Sha-ALLAH lekin Sulaiman Alaihi Salam ne in-Sha-ALLAH nahi kaha, phir wo apni tamam aurton (biwiyon) ke pass gaye lekin Ek ke siwa kisi se hamal nahi hua aur wo bhi nakis ( adhura) bachcha paida hua , us jaan ki kasm jiske haath mein Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ke jaan hai agar unhone In-Sha-ALLAH kah diya hota to (tamam biwiyon ke yahan bachche paida hotey) aur sab ghodo (horses) par sawar hokar ALLAH subhanahu ke Rasste mein Jihad karne wale hote.    Sahih Bukhari, Vol8, 6639


Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us shaksh ki misaal jo Quran parhta hai aur wo uska hafiz bhi hai , mukarram aur neik likhne wale (farishton) jaisee hai , aur jo shaksh Quran majeed baar bara parhta hai aur phir bhi wo uske liye dushwar hai to use do guna sawab milega.    Sahih Bukhari, Vol 6, 6937

Hazrat Ibn Abi Mulaika ne bataya ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha jab koi aisi baaten sunti jisko samjh na paati to dobara Isko maloom karti taaki samjh le. Chunancha (ek martaba) Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasalam ne farmaya jisse hisaab liya gaya usey a'zaab kiya jayega. Hazrat Ayesha Radi Allahu Anha farmati hain ki (ye Sunn kr) Maine kaha ki kya Allah ne ye nhi farmaya ki anqareeb Ussey asaan hisaab liya jayega??? Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ye sirf (Allah ke darbar mein) peshi ka zikr hai. Lekin jiske hisaab mein jaanch partaal ki gayi (samjho) wo ghaarat ho gaya.   Sahih Bukhari, Vol 1, 103


Hazrat Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya Aurat pasli ki tarah hai, agar tum usko seedha karna chahogey to tod dogey aur agar is se fayda hasil karna chahoge to uski tedh ke saath hi fayda hasil karoge.  {Sahih Bukhari, Vol 6, 5184}

Hazrat Abu Hurairah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya aurton se achcha suluk karo kyunki aurat pasli se paida ki gayee hai pasli mein bhi sabse jiyada teda upar ka hissa hota hai agar koi shaksh usey bikul seedhi karna chahye to usey tod kar rahega aur agar usey waisa hi chhodh deto hamesha tedi hi rah jayegi isliye aurton se achcha suluk karo. {Sahih Bukhari, Vol 4,3331}


Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH se panaah manga karo Aazmayeesh ki pareshaniyon se, badbakhti se, bure khatme se aur dushman ke hansne (malamat) se.  Sahih Bukhari, Vol 8, 6616


Hazrat Al-Mughira Radhi Allahu Anhu ne Muawiya Radhi Allahu Anhu ko likha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab har namaz ke baad salam pherte to ye kahte ki:
ALLAH ke siwa koi ma’abud nahi wo Tanha hai uska koi Sharik nahi , mulk uske liye hai, aur usi ke liye tamam tareefein hain aur wo har cheej par kudrat rakhne wala hai.
Eh ALLAH jo kuch tu dena chahe use koi rokne wala nahi, aur jo kuch tu rokna chahe use koi dene wala nahi aur tere samne daulat walon ki daulat kuch kaam nahi aa sakti

لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
اللهم لا مانع لما اعطيت ولا معطي لما منعت ولا ينفع ذا الجد منك الجد

"La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu; lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa 'ala kulli shai'n qadir. Allahumma la mani'a Lima a taita, wa la mu'ta Lima mana'ta, wa la yanfa'u dhal-jaddu minkal-jadd.  
Sahih Bukhari, Vol 8, 6615


Hazrat zubair bin adhi kahete hai
hum syedna anas bin malik (r.a) ke pas gae aur hajjaj ki taraf se hone wali takleef ka zikr kiya unhone kaha Rasool allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya har saal ke badh wala saal phele se bura hoga (ye silsila yuhee jari rahega) hatta ke tum apne rab se ja miloge (SAHIH BHUKARI : 7068)


Hazrat Abdullah Ibn Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Nazar (mannat) maan-ne se inkaar kiya aur farmaya ki nazar ( mannat) kisi cheez ko nahi rokti, Nazar sirf Bakhil (Kanjus) ke pass se maal (paisa) nikalti hai.

Sahih Bukhari, Vol 8, 6608

Hazrat Nauman bin Bashir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din Dozakhiyon mein Azab ke aitbaar se sab kam Azab pane wala wo shaksh hoga jiske Dono Qadmo ke neeche Do Angaare rakh diye jayenge jiski wajah se uska Dimag khol ( Boiling) raha hoga jis tarah haandi ya Ketli josh maarti hai.

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Dozakh se bacho Sadqa dekar chahe Khajur ka ek tukda dekar hi sahi aur jise ye bhi na mile to achchi baat kahkar (kyunki Achchi baat kahna bhi sadqa hai) Sahih Bukhari, Vol8 , 6562,6563

DUA :
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar
Allahumma Ajirna Minan Naar

Hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai kiRasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jo Sachcho se bhi sachche hain ne farmaya tum mein se har shaksh Apni Maa ke pet mein 40 din tak nutfe mein rahta hai, phir utne hi muddat (yani 40 din )tak Alqa yani khoon ki phuki banta hai aur phir utne hi arse (yani 40 din) tak Mudghah yani goshta ka lothda banta hai phir ALLAH Subhanahu ek farishta bhejta hai aur uske baare mein ( maa ke pet mein hi) chaar baton ke likhne ka hukm diya jata hai..uski Rozi ka , Uski Maut ka , uske neik ya bura hone ka ( aur ye ki wo ladka hai ya ladki ..  Sahih Bukhari, Vol 8, 6594 & 6595

No comments:

Post a Comment